/** * Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection. * However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use. */

Zulmaat Ka Devta -ibne safi

Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: Thu Dec 18, 2014 6:39 am

Re: Zulmaat Ka Devta -ibne safi

Post by Jemsbond »

Update-12 Zulmaat Ka Devta:
Achanak us ne muskura kar kaha "Tum bekaar pareshan ho rahe ho....agar main ne ishara bhi kar diya hota to wo tumhen is haal me bhi zinda nahin chhodte. Kheme ke bhitar ek rifle maujood hai. Kuchh rounds bhi hain. Moren zid pe tha ki tumhen goli maar de magar main ne rok diya."
"Is liye main tommy gun tumhare hawaale kar dun?" Safdar muskuraya.
"Ohh....tum shayad jhoot samajhte ho." Monica ne jhalla kar kaha aur phir Moren ko aawaz de kar kaha ki wo rifle le kar baahar aaye.
Moren ne der nahin lagaayi. Sach much us ke hath me rifle tha. Monica ne usay kaha ki wo ek hawai fire kar ke dikhaye. Safdar itna murkh nahin tha ki hawai fire ka scene dekne keliye poora dhyan udhar laga deta. Usay yakeen tha ki Moren usi par fire karega.
Magar aisa nahin hua. Wo sach much hawai fire hi tha. Fire karne ke baad rifle ki naal jhuka di gayi.
Thik tabhi dusre kheme se Josef kio aawaz aayi...."Mr Safdar....hoshiyar.....hoshiyar.....main gorillon ki aawazen sun raha hun." "Gorille....!" Moren uchhal pada. Aur Safdar ne tommy gun Monica ki taraf badha di.
"Main ne kisi tarah ki aawaz nahin suni." Monica boli.
Safdar ne Josef ko aawaz di aur wo kheme se nikal kar daudta hua unki taraf aaya.
"Gorille....gorille...." wo haanfta hua bola.
"Tum ne kab se nahin pi?" Safdar ne puchha.
"Ohh.....main galat nahin kah raha.
"Ham ne to kisi kism ki aawaz nahin suni." Monica boli.
"Abhi wo bahut door hain....ohh....wo dekho.....sunaa...?"
Hawa ke jhonke ke sath halke se shor ki aawaz aayi. Monica Safdar ki tarafb dekhne lagi. "Main nahin samajh sakta." Safdar ne kandhe hilaaye :dased: "Lekin isay jangalon ka tajurba hai." "Agar wo gorille nahin hon to mujh par aasmani balaayen giren...." Josef jhunjlaa gaya. "Phir hamen kya karna chaahiye...?" Moren ne puchha.
"Bas hoshiyar raho. Shayad un ka rukh isi taraf ho jaaye."
Phir badi jaldi me hathiyar distribute kiya gaya aur wo sab is nayi musibat ke liye taiyar ho gaye.
Aawazen kabhi door ki lagti aur kabhi kareeb ki. Josef disha tai karne me kamyab ho gaya tha.
Jahaan unhone kheme gaade the wahaan se lagbhag 200-250 meter ki doori par ek sukha naala thaaur us ke baad hi se chadhaayi shuru ho gayi thi aur jangal ghana hota chala gaya tha.
Wo khemon ke aas paas phail gaye. Daisy buri tarah bilak rahi thi. Monica khamosh thi. Hont bhinche huye the lekin chehre se dar zaahir nahin ho raha tha.
Josef tommy gun le kar ek ped par chadh gaya tha. Achanak us ne jangal ki taraf firing shuru kar di. Lekin dusre hi pal party ka ek aadmi cheekh maar kar dher ho gaya.
"Cover....cover...." Safdar cheekha. Lekin jitni der me wo sambhalte ek aur gira. Phir to bhagdar mach gayi.....aur Safdar ne cheekh kar kaha..."Murkhon.....udhar se bhi koi firing kar raha hai."
Magar kon sunta. Wo sab dusri taraf dhalaan me utarte chale gaye. Josef ne ped par se firing rok di thi.
Moren bhi bhaag nikla tha. Kewal haam aur Monica wahaan rah gaye the. Safdar ab bhi usi taraf firing kar raha tha jidhar se aayi huyi goliyon ne party ke 2 logon ko thikaane laga diya tha.
"Wo kon ho sakta hai...?" Monica barbadaayi.
Itne me safdar ne Josef ko utarte huye dekha. Wo bade aaram se niche aaya aur unke paas aa kar bola...."Wo koi bhi raha ho.....mai ne usay maar liya hai."
"Magar kon?.....Yahaan....iss weerane me?" Monica hairat se aankhen phaad kar boli.
"Pata nahin..." Josef dusri taraf hath utha kar bola "Udhar jhaadiyon me koi chiz hilti huyi dikhayi di thi. Main samjha shayad gorille ab chup chaap aage badh rahe hain.....magar.....ohh....ye dono......"
Wo badi tezi se un dono ki taraf jhapta tha jo ab shayad thande ho chuke the. Us ne jhuk kar unhen dekha aur phir sidhe ho kar hathon se seene par cross banaya.
"Ye bahut bura hua...." Us ne kuchh der baad bharrayi huyi aawaz me kaha....."Ham me se do kam ho gaye." Phir Haam se bola..."Apne aadmiyon ko samjhaao. Ye jangal hai. Agar isi tarah bad-hawaas ho kar bhaagte rahe to ek bhi zinda na bachega." "Aakhir wo kon ho sakta hai?" Monica naale ke paar waali jhaadiyon ko ghoorti huyi boli.
"Jaao....apne aadmiyon ko dekho.....kahin baukhlaahat me wo samundar me hi chhalaang lagana na shuru kar den." "Un ke liye yahi achha hoga." Haam ne bura sa muh bana kar kaha. "Jaao....ham idhar dekhte hain." Haam dusri taraf mud gaya.
Tum yahin ruko Monica ke paas." safdar ne Josef se kaha "Main udhar jaa raha hun."
"Thanks.....main apni hifazat khud kar sakti hun. Waise main bhi chal rahi hun tumhare sath."
Wo teeno naale me utar gaye. Lekin dusri taraf pahuchne ke liye unhen kuchh door naale hi me chalna pada. Naala kaafi gahra tha. Agar sookha na hota to wo dusri taraf pahuch hi nahin sakte. Kyonki us ki chaudaayi bhi 10 feet se kam nahin thi.
Jhaadiyon ke paas pahucnh kar wo ruk gaye. Chaaron taraf sannaata tha.
"Yahaan....iss jagah....main ne yahan koi chiz dekhi thi." Josef ne jhadiyon ki taraf ishara kiya.
Phir safdar ne door tak jhadiyaan chhaan maari lekin na to koi lash dikhayi diya aur na ye pata chal saka ki yahaan kon chhupa hua raha hoga.
"Ohh...." Safdar chaunk kar bola. "Kahin ham dhoka to nahin kha rahe?" "Kya matlab?" Monica uchhal kar pichhe hat'ti huyi bechaini se puchhi.
"Waapas chalo...." Safdar naale ki taraf daudta hua bola. Monica aur Josef bhi us ke pichhe bhaag rahe the. Naala paar kar ke Safdar ruk gaya. Wo us kheme ko ghoor raha tha jis me kuchh der pahle Haam aur us ke sathi ko rok rakha tha.
"Kya baat hai?" Monica ne dhire se puchha.
"Koi kheme ke bhitar gaya hai.....lekin wo hamaare sathiyon me se nahin tha....kyon ki us ke sharir par kapdon ke cheethde jhool rahe the."
"Tum log yahin ruko.....main dekhta hun." Josef aage badhta hua bola.
Wo tommy gun sambhaale huye bahut sawadhani se aage badhne laga. Safdar aur Monica wahin khade rahe.
Kheme ke darwaze ka parda gira hua tha.
Jaise hi Josef kareeb pahuncha andar se aawaz aayi...."Khabardar.....agar koi andar aaya to goli maar doonga." Sentence English me kaha gaya tha aur aawaz se adhik wo kisi darinde ki gurraahat lag rahi thi.
"Bhaagh jaao..." Phir kaha gaya. Aisa lag raha tha ki bolne waala jaldi jaldi gale se kuchh utaar raha ho."
Safdar aur Monica dhire dhire kareeb aa gaye the. Unhon ne bhitar se bolne waale ki aawaz suni. Safdar ne Josef ko ishara kiya ki wo yahin thahre aur khud panjon ke bal kheme ke back side aaya. Dusre hi pal wo seene ke bal zameen par let gaya. Kheme ka nichla parda upar uthane me usay kathinaayi nahin huyi. Us ne saaf dekha. Uski pith Safdar ki taraf thi. Wo ghutnon ke bal baitha jaldi jaldi kuchh kha raha tha. Kareeb hi rifle padi huyi thi.
Wo khane me itna dhyan magan tha ki kapdon ki sarsaraahat bhi nahin sun saka.
Achanak safdar ne us par chhalaang lagayi. Aur wo kisi katkhanne kutte ki tarah gurra kar palat pada. Agar Safdar ne us ki naak par ghoonsa nahin de maara hota to hafton apne daayen kandhe ko rona padta. Phate-haal ajnabi ne aise hi khunkhaar dhang se uske kandhe par muhh maara tha.
(Jaari)
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: Thu Dec 18, 2014 6:39 am

Re: Zulmaat Ka Devta -ibne safi

Post by Jemsbond »

Update-13 Zulmaat Ka Devta:

Phate-haal ajnabi ne aise hi khunkhaar dhang se uske kandhe par muhh maara tha.
Phate-haal ajnabi ne aise hi khunkhaar dhang se uske kandhe par muhh maara tha.
Wo bilkul darindon hi ki tarah gurrata aur ladta raha lekin us ka muh ab bhi chal raha tha.
Itne me josef aur Monica bhi andar ghus aaye......aur wo ardh pagal vyakti jaldi hi kaabu me kar liya gaya. Lekin kya wo hosh me tha?
Safdar usay hairat se dekh raha tha.
Ab position ye thi ki Josef ne usay donon hathpn se jakad rakha tha lekin wo un se fighting kar ke nibatne ki bajaaye un rotiyaon par hath maarne ke liye zor laga raha tha jo us ne khaane ke liye basket se nikaali thi.
"Ohho.....bhooka hai." Monica boli "chhod do....khane do."
"Chhod dun.....khaane dun?" Josef aankhen nikaal kar chillaaya. "Chhod do..." Safdar ne Monica ka samarthan kiya. Josef ki pakad dheeli pad gayi aur wo khud ko chhuda kar rotiyon par toot pada.
Monica usay hairat se dekh rahi thi. Wo European hi tha.....lekin rang dheemi ho kar rah gaya tha. Sar aur daadhi ke baal bahut adhik badhe huye the. Libaas ko agar cheetharon ka dher kaha jaaye to galat na hota.
Wo iss tarah roti ko donon hathon se pakad kar muh tak le jaata tha jaise dar ho ki kahin wo hath se chhoot kar hawa me udd na jaaye.
Monica ne usay salted meat me bhi kuchh tukde diye.....jo shukriya ke bina uske hathon se jhapat liye gaye.
Wo teenon hi usay hairat bhari nigaahon se dekhte rahe. Vikshipt(Wahshi) vyakti ko shayad is ka hosh ya chinta bhi nahin thi.....ki wo kuchh hi der pahle un ke do sathiyon ko maut ke ghaat utaar chuka hai.
***
Boat kuchh door tak sidha jaata raha.....ki strocker isay waapasi hi ka safar samjha. Arthaat wo har pal taapu se door hota jaa raha tha.....lekin phir achanak Imran ne kaha...."Ab phir right turn le lo pyare...." "Kyon...?" Strocker ne hairat se puchha.
"Abhi kaam khatam nahin hua." Imran ne uttar diya,
"Ohh.....to kya Haam abhi tak zinda hai?"
"Abhi usay zinda rakhna hi padega. Kya Gaskar ne tumhen detail nahin bataya tha? Magar kyon batata.....iski zaroorat hi kya thi?"
"Tumhari baaten meri samajh me nahin aatin." Strocker sar sahlaata hua bola.
"Apni baaten aksar khud meri hi samajh me nahin aatin......is liye tum iski chinta mat karo. Abhi to Haam ko bebas kar ke Gaskar ke liye us se ek written likhwaani hai."
"Dekho.....wo log shor kyon macha rahe hain?"
Imran saahil ki taraf mud kar dekha aur us ke honton par ek shararati si muskaan aa gayi. Wo hath hila hila kar cheekh rahe the. Imran bhi hath hila kar cheekha...."Haan....haan....main chewingum ke packet Port Sayeed me bhool aaya hun.....zara daud kar leta aaun...."
"Ye kya baat huyi?" Strocker ne hairat se kaha,
"Lo..." Imran jeb se chewingum ka packet nikaal kar us ki taraf badhaata hua bola "Main to yun hi mazaak kar raha tha....aadha packet bhi wahaan nahin chhoda.....haan thik hai.....kinaare pahunch kar kinaare hi kinaare chalte raho...." "Aakhir maksad kya hai?"
"Kya tumhen pata hai ki Haam yahaan kyon aaya hai?" "Film ki shooting ke liye...."
"Aahaa....ye tum sirf isliye kah rahe ho ki tum ne raat boat par hi guzaari.....aur hangaame ki aawaz bhi tum tak nahin pahunchi.
"
"Kaisa hangaama....? Main samjha nahin."
"Imran ne usay pichhli raat ki kahani suna di. Wo hairat se sunta raha. Phir bola...."Wo locket kaisa tha?"
"Shayad us ki keemat karodon tak jaa pahunche. Ladki ka baap un daakuon me se tha jo Africa ke samudri kinaaron par loot maar kiya karte the. Karoron ki keemat ka maal unhone isi taapu me dafan kiya tha. Us locket me aise hi ek gaade huye khazaane ka naksha(map) hai.....ye locket ladki ko apne baap se mila tha,"
"Ohh....to film ka kissa bakwaas tha?"
"Hundred percent bakwaas....pyare dost."
"To ab wo locket Haam ke paas hai ya Moren hi ke kabze me hai?"
"Wo mere paas hai aur ab wo log Lady Monica ke under me kaam karenge."
"Lady Monica.....!!!" Strocker ne hairat se kaha. "Ye kya kah rahe ho?" "Haha....tum mazaak samajh rahe ho? Ham chaaro me ek wo bhi thi." "Zaroor tum nashe me ho." Strocker ne thahaaka lagaya.
"Waapasi par dekh lena.....kya tumhen wo naujawaan ladka yaad nahin jo har samay apni khopadi par chamde ka khol mandhe rahta tha. Yahaan tak ki sote samay bhi tum ne wo khol us ke sar par hi dekha hoga."
"Arre haan.....maine ek baar usay toka bhi tha."
"Wo Lady Monica hi thi."
"Ohho....to kya mujhe Monica ki shakal bhi yaad nahin. Door hi se sahi lekin main ne usay saikadon baar dekha hai."
"Wo make-up me thi. Waapasi par phir dekh lena. Us ne khud ko zaahir kar diya hai."
"Ohh....ohh....meri kitni tamanna thi ki usay kareeb se dekhun lekin agar ye jhoot nikla to achha na hoga," "Jo aashiq ki saza wo meri saza...."
"Haaye....kitne hi uske ishq me giraftaar hain." Strocker ne thandi saans li.
"Wo sab yahaan maleria grast ho jaayenge. Mujhe vishwaas hai....ohh....dekho.....left side...." "Kyaa.....uss daraad mein?" Strocker ne hairat se kaha.
"Haan....dekho....kya ye kashti (boat) ki shakal ki daraad nahin hai?"
"Hai to...."
"Bas phir nakshe ke anusaar yahin se safar shuru karna hai. Ham wahan se lagbhag 4 ya 5 kilometer zaroor aaye honge." Strocker ne koi jawaab nahin diya. Wo boat ko daraad me mod raha tha. Dadaar intni chaudi thi ki us jaise teen boats barabar se chal sakte the. Lekin aage chal kar wo lagataar sankri(narrow) hote hote ant-tah boat ka hi roop le li thi.....jiske baad raasta band tha. Waise dhalaan aisi thi ki us par chadh kar upar pahuncha jaa sakta tha.
Imran me papers ka bag khol daala tha. Kabhi papers ko dekhta aur kabhi chaaron taraf dekhne lagta tha.
Daraad do dhaai sau meter lambi zaroor rahi hogi. Boat aage badhta ja raha tha ki achanak baayen taraf ek aur daraad phir dikhaayi di.....aur boat ko paani ke rele se bachaane ke liye right side hataana pada. Shayad ye kisi daraad ka muh tha.
"Bas yahi raasta hai." Imran khushi bhare swar me kaha.....lekin boat to aage badh gaya tha.
Strocker ne kaha...."Lekin ye bhi to dekho ki bahaao kitna tez hai.....meri samajh se boat bahaao par nahin chadh sakega." "Tab phir majboori me hamen upar chadh kar paidal hi chalna padega. Anyway....ye nadi hamen raasta bata sakti hai. Dhalaan ke paas rokna. Upar jaa kar dekhunga ki nadi kis disha se aayi hai."
"Langar daalne me kathinaayi hogi yahaan." trocker ne chintit swar me kaha.
"Kuchh bhi ho.....ye kaam to karna hi hai."
Jase hi boat daraad ke sire se takraaya Imran ne chhalaang laga di aur paani me girte girte bacha. Kandhe se tomy gun bhi latak rahi thi. Usay sambhaalna kathin ho gaya tha lekin kisi tarah wo tommy gun samet sukhi zameen par pahunch gaya. Paani ki satah se daraad ki unchaayi kam se kam 20 feet zaroor rahi hogi. Is jagah ke alawa aur kahin se bhi upar pahunchna sambhav bhi nahin hota. Yahi dhalaan daraad ko naav ka roop deti thi.
Imran upar chadhta chala gaya.
Tabhi us ne strocker ki aawaz suni jo kah raha tha "Main boat ko daraad se baahar le jaa raha hun. Yahaan langar nahin daala jaa sakta.....waapasi par pukaar lena."
"Jaao jaao...." Imran ne mude bina hath hila kar kaha.
***
WO rotiyaan khatam kar chuka tha aur uski aankhon ki vikshiptata bhi kisi had tak door ho chuki thi. Bas aisa hi lag raha tha jaise pet bhar jaane ke baad us par nasha chha raha ho.
Haam apne bhaage huye sathiyon ko waapas le aaya tha. Monica un par baras rahi thi.
"Main isay zinda nahin chhodunga." Moren ajnabi ki taraf hath utha kar dahaada.
"Magar maar daalne se pahle mujhe thodi si pila do." Ajnabi ne thandi saans li. "Maheeno beet gaye. Ek boond ko taras gaya hun."
(Jaari)
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: Thu Dec 18, 2014 6:39 am

Re: Zulmaat Ka Devta -ibne safi

Post by Jemsbond »

Update-14
Zulmaat Ka Devta:
"Tum ne hamaare do aadmiyon ko maar daala hai." Haam ne bhi aankhen nikaali.
"Haan....lekin main ab tumhen jo baat bataaunga wo hazaaro jaanon se bhi adhik keemti hogi....ohh....kya tum mujhe thodi si sharab nahin doge?"
Monica ne Josef ko ishara kiya ki uski ye ichha bhi poori ki jaaye. Josef ne jug me rum undel kar us ki taraf badhaayi.
"Haa.....god bless you...." Ajnabi ne kaha aur jug us ke hath se le liya.
"Piyo." Monica ne narm swar me kaha aur Haam aur Moren ko aise ghoorne lagi jaise unhen aise behave se mana kar rahi ho.
Wo donon phir kuchh nahin bole, Ajnabi rum ke bade bade ghoont le raha tha. Sabhi kahmosh the aur nigaahen ajnabi par thin. Jug khali kar ke us ne ek taraf rakh diya. Kuchh der sar pakad ke baitha raha phir Monica ki taraf dekhne laga.
"Tum yahaan kya karne aayi ho sundar ladki." Us ne dhire se kaha,
"Yahi main tum se bhi puchh sakti hun. Zaahir hai ki tum yahaan ke niwaasi nahin ho sakte."
"Mera durbhaagya laya tha." Wo bharrayi huyi aawaz me bola. "Lekin main tumhen waapas jaane ka mashwira doonga. Mujhe vishwaas hai ki khazane ka chakkar hi tumhen yahaan khinch laaya hai." "Main tumhare is soch ko reject nahin karunga." Haam bola.
"Waapas jaao. Ye shaitaan ka island hai. Pagal ho kar mar jaaoge. Main teen mahinon se janwaron aur pakshiyon ka kacha gosht kha raha hun. Aaj tum log dikhayi diye aur main ne apne aakhri 2 kartoos bhi nasht kar diye."
"Magar tum ne goli chalaayi hi kyon thi?" Monica boli. "Tum hamaare paas aa kar khana maang sakte the."
"Main ne pahal nahin ki thi. Main to un jhaadiyon me chhup kar dekh raha tha ki tabhi mujh par goliyaan barasne lagin. Pata nahin main ne kis tarah khud ko bachaya. Shayad wo tomy gun ki goliyaan thin. bas phir bina soche samjhe main ne bhi apni dono goliyaan barbaad kar din. Nishana bhi nahin liya tha. Ye mera durbhaagya hai ki wo do aadmi mar gaye aur mujhe tomy gun bhi na chaat saki."
"Tum kon ho aur yahaan kyon aaye ho?"
"Main duniya ka sab se bada ahmaq(murkh) hun. Aur dafan kiye huye khazaane ki talash me yahaan aaya tha. Aath aadmiyon ki party thi. Main nahin jaanta ki baaki saat par kya beeti. Waise main to nikal bhaagne me kamyaab ho gaya tha." "Kahaan se?"
"Ye na puchho. Tum vishwaas nahin karogi. Kyonki civilized duniya se aayi ho jahaan andh-vishwaas dhire dhire scientific development ki bhent chadhti jaa rahi hai. Magar mujh se puchho. Maine bade bade aashcharya-janak drishya (Wonderful scenes) dekhe hain. Agar ab koi mujh se kahe ki shaitaan aur bhoot kewal bhram hain to main us ka khoon pi jaaunga." "Tum badi ajeeb baaten kar rahe ho." Monica ne hairat se palken jhapkaayin.
"Thik hai tum yakeen nahin karogi." Ajnabi ne sar hila kar kaha.
"Nahin tum apna bayan jaari rakho. Mujhe bhooton me bahut aastha hai." Safdar muskuraya.
"nn.....nahin Mr Safdar...." Josef haklaaya. "Aisi baaten na karo. Agar tumhen bhooton me vishwaas hai to ham kyon jahanum me jaayen."
"Kya tum vishwaas kar loge ki khunkhaar jangaliyon ki dharmik leader ek gori nasl ki aurat hai.....jo kahti hai ki main aasman se utri hun. Jo angrezi, german, french aur italian bhashayen farrate se bol sakti hai aur jangaliyon se unhin ki bhasha me baat karti hai."
"Is ka jug dubaara bhar do." Moren ne hans kar kaha "Taaki ye hamen is se bhi adhik rochak kahani suna sake.....kyon dost?" "Go to hell......khud bhugtoge."
"Tum yahaan aaye kaise the? Pahle ye bataao. Saaf hai ki is ke liye tumhen gupt roop se ek bade boat ka bandobast karna pada hoga....phir wo boat kahaan gaya?"
"Us ke parkhache udd gaye the aur wo doob gaya tha. Iss ghatna ko bhi tum kahani hi samjhoge." Ajnabi haanfta hua bola aur Monica ki taraf dekhne laga.
"Tum log kuchh der ke liye apna apna muh band ho rakho to achha hai. Monica ne kaha. Koi kuchh na bola. Moren ne bura sa muh bana kar kaha "Tum time kill karna chaahti ho.....karo."
Phir wo kheme se baahar chala gaya. Monica ne ajnabi se kaha "Main tumhari baaten dhyaan se sun rahi hun," Us ne Josef ko ishara kiya ki wo us ke jug me thodi aur daal de.
Ajnabi bola..."Ham kinaare par utre the. Hamara chhota sa khema lagaya gaya tha. Boat ka langar daal diya gaya tha. Kuchh raat beetne par ek bada sa chamkdar gola paani ki satah par ubhra.....aur boat se takra kar us ke parkhache uda diya." "Chamakdaar gola....! Bhala wo kitna bada raha hoga?" Haam ne mazaak udaane waale dhang se puchha.
"Us ka diameter 8-10 feet zaroor raha hoga. Phir wo aasman me uncha uth gaya tha."
"My God...." Haam ne kaha aur Safdar ke siwa sab hans pade. Wo badi gambhirta se us ki kahani sun raha tha. Monica ke honton par halki muskaan thi.
"Ohh." Ajnabi daant pees kar bola...."Go to hell....mat yakeen karo. Main jaanta hun ki tum abhi mujhe maar daaloge. Kyon ki mere hathon tumhare do aadmi maare gaye hain."
"Ye zaroori nahin hai." Dafdar ne sanjidagi se kaha. Agar main tumhen maarna chaahta to usi time gala ghont deta jab hamla kiya tha."
"Haan....tum aisa kar sakte ho....tum taakatwar ho. Lekin mujhe bataao. Main jhoot kyon bolunga?"
"Haha...." Haam ne thahaaka lagaya. "Haha....tum waapas jaana chaahte ho....aur hamen dara kar hamaare hi sath waapas jaane ke chakkar me ho."
"Is ke baad bhi main tumhari kahani sunna chaahunga." Safdar ne ajnabi se kaha.
Haam ne bura sa muh bana kar jeb se cigar nikaal kar jalane laga.
Ajnabi ne Monica ki taraf dekh kar kaha "Lekin tum auraten yahaan kya karogi. Tumhen yahaan aane ka mashwira kis ne diya tha. aaha....shayad tum me koi tajurba-kaar aadmi maujood hai. Aisa aadmi jo kabhi yahaan se bach nikla ho." "Ham me koi aisa aadmi nahin hai." Safdar bola.
"Nahin hai ti tum us kabeele ke baare me zaroor jaante hoge jo gori auraton ka gosht badi chaav se khaate hain." "Nahinnnn...." Daisy cheekh padi,
Ajnabi hans pada lekin uski hansi me bedardi thi. Wo thodi der tak hansta raha phir bola...."Agar hamaare sath bhi koi aurat hoti to wo jangali hamen hamaari manzil tak pahuncha dete."
"Main nahin samjha." Safdar us ki aankhon me dekhta hua bola.
"Yahaan se kewal 5-6 kilometer ki doori par wo kabeela basa hua hai. Chunki log pahle bhi khazaanon ki talash me aate rahe hain. Isliye unhen pata chal gaya hai ki un ke aane ka maksad kya hota hai. Ab wo aane waalon ko pakadte hain aur ishaaron me kahte hain ki apni hi jaisi koi safed nasl ki aurat laao.....tab aage jaane denge." "Khamosh raho.....auraton ko mat daraao." Haam gurraya.
"Ohh.....to kya tum hi in auraton ko laaye ho?"
"Bakwaas mat karo. Main kahta hun aakhir iski be sar pair ki kahani sunne se kya faida?"
"Hamaare liye aisi jaankariyan zaroori hain." Monica ne shushk swar me kaha. "Tumhen uljhan thi na ki aakhir Daisy ke laane ka kya maksad tha. Dekho Moren kahaan gaya?"
Haam kuchh sochta hua kheme se nikal gaya, Monica ne ajnabi se apna bayan aage badhane ko kaha,
"Main tumhen ye bata raha tha ki wo log kewal auraton ke liye aadam-khor hain. Mardon ka gosht nahin khaate. Ho sakta hai pahle kewal kaali araton ko khaate rahe hon....phir kabhi safed aurat hath lag gayi ho." "To Tumhare sath bhi koi aurat thi?" Safdar ne puchha.
"Nahin thin isi liye to hamare upar tabaahi aayi." Ajnabi ne kaha, "Un se muthbher huyi....aur unhone hamen aage nahin badhne diya. Hamaare nakshe ke mutabik raasta udhar se hi tha. Hamen zabardasti kinaare ki taraf dhakel diya gaya ki ham apne sath auraten laayen tab wo hamen na kewal aage badhne denge balki wahaan tak pahunchane ki bhi koshish karenge jahaan khazaane dafan hain."
"Bada vichitra kabeela hai." Monica ne kaha. Uski aankhon se avishwaas saaf jhalak raha tha.
"Hamara boat to pahle hi tabaah ho chuka tha isliye waapasi ka sawaal hi nahin tha. Ab iske siwa chaara hi kya tha ki idhar udhar bhatakte phiren."
"Tum ne un ka mukabala nahin kiya?" Safdar ne puchha.
"Iski kalpana hi bhayanak tha. Aath logon ki bisaat hi kya thi. Wo hamen chaaron taraf se gher kar maar daalte. Tumhen iss jangal ka andaza nahin hai. Kuchh aage badhoge tab pata chalega. Sirf 5 jangali tum sab ke liye kaafi honge. Halaaki tumhare paas tomy guns bhi hain. Tumhen pata hi na chalega ki wo kab aaye aur kidhar se aaye. bet ke zahreele teer tumhare chahron par padenge aur tum girte hi thande ho jaaoge."
"Inhin jangaliyon ka dharmil guru koi safed aurat hai?" Monica ne puchha.
"Nahin wo dusra kabeela hai. Ham jangal me bhatakte phir rahe the ki achanak ham par hamla hua aur hamen pakad liya gaya. Har aadmi se do teen chimat gaye the. Hamlawar jangali hi the. Pahle to ham yahi samjhe ki wo wahi aadam-khor honge.....lekin........."
Ohh.....ye shor kaisa....?" Achanak Monica hath utha kar boli. Ajnabi bhi khamosh ho kar sunne laga.
Daudte huye kadmon ki aawazen safdar bhi sun raha tha. Wo jhapat kar kheme se baahar nikla.
Moren daudta hua usi taraf aa raha tha. Aisa lag raha tha jaise kisi darinde ne pichha kiya ho.
"Ham tabaah ho gaye......tabaah ho gaye....." Safdar ko dekh kar us ne cheekhna shuru kar diya. Monica aur dusre log bhi kheme se baahar aa gaye.
"Boat tabaah ho gaya...." Wo kareeb pahunch kar cheekha.
(Jaari)
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: Thu Dec 18, 2014 6:39 am

Re: Zulmaat Ka Devta -ibne safi

Post by Jemsbond »

Update-15 Zulmaat Ka Devta:

"Boat tabaah ho gaya...." Wo kareeb pahunch kar cheekha.
(Aage.......)
Phir sabhi ek hi sath kuchh na kuchh bolne lage the.
Moren haanfta hua kah raha tha "Maar daalo iss suwar ko maar daalo. Ye kisi prakar ki saazish hai......pata nahin wo kon hai.....kahaan gaya hai."
"Hosh me aao....boat kaise tabaah ho gaya?" Monica ne kathore swar me puchha.
"Boat idhar hi aa raha tha ki tabhi ek chamakdaar gola satah par ubhra aur us se takraa gaya. Boat ke parkhache ud gaye. Main kahta hun isay maar daalo."
Safdar bhi is suchna par baukhlaa gaya. Phir thik usi samay ek fire hua aur ajnabi gir kar tadapne laga. Wo kheme ke darwaze ke paas hi khada tha.
Safdar ne Moren ke khaas sathiyon me se ek ke hath me revolver dekha. Magar ab usay itna hosh kahan tha ki is baare me puchhta. Wo to betahaasha saahil ki taraf daudta jaa raha tha......aur us ke pichhe Josef bhi bhaag raha tha.
Phir uske dimaag me aaya ki kahin ye Moren ki chaal na ho. Us ne pahle bhi to koshish ki thi ki ajnabi ko maar daale. Us ne mud kar dekha. Sabhi bhaage chale aa rahe the. Safdar ruk gaya.
Nazdik pahunch kar Moren ne ek taraf ishara karte huye kahaa...."Wahaan...." "Kya saboot hai tumhare paas?" Safdar ne tez swar me puchha.
"Kya main jhoot bol raha hun?"
"Ohh....khatam karo." Monica hath utha kar boli...."Boat par kon tha?"
"Main ne nahin dekha. Bas boat ke tukde udte dekhe the. Ab kya hoga......locket bhi gaya." "Lekin locket waali to maujood hai......talash karo un aadam-khoron ko." "Kya matlab?" Moren usay ghoorta hua bola.
"Ohh boss....." Moren ke ek khaas sathi ne kaha "Us ajnabi ne aise aadam-khoron ki kahani sunaayi thi jo gori auraton ka gosht bade chaav se khate hain."
Daisy bhi wahin par thi lekin usay dekh kar lagta tha jaise us ke shareer se saara khoon choos liya gaya ho. "Moren Safdar ko ghoorta raha.....phir daant pees kar bola..."Tum log pata nahin kya chaahte ho." "Moren....!! Khud ko kaabu me rakho." Monica ne hukm dene waale lahje me kaha.
"Magar bataao.....ab kya hoga. Ham waapas bhi to nahin jaa sakte. Aur ye sab kuchh tumhare sathi ke kaaran hua." "Main tumhen bata chuki hun ki wo us raaste ki talash me tha jahaan se safar start karna hai." "Aur safar start ho gaya..." Moren ne paagalon ki tarah hans kar kaha.
"Mujhe vishwaas nahin ki boat tabaah ho gaya hoga." Safdar bola.
"Tum paagal ho gaya ho. Main jhoot kyon bolunga."
"Tum baahar kyon chale gaye the?"
"Us ki bakwaas nahin sunna chaahta tha."
"Halaaki ab usi ki ek bakwaas ko duhraa rahe ho. Aakhir iska maksad kya tha?"
"Main tumhari kisi baat ka jawaab nahin dena chaahta. Monica ab tum kewal isi shart par zinda rah sakti ho ki main in donon aadmiyon ko maar daalun."
Thik usi samay Josef ki pants ki jeb se ek fire hua aur Moren pet par hath rakhe huye dher ho gaya.
Dusre hi pal revolver uski jeb se baahar nikal aaya aur ab wo Moren ke un donon khaas sathiyon ko cover kar raha tha jo kisi tarah bhi us ka sath de sakte the.
Koi kuchh na bola. Sab stabdh ho kar khade the. Achanak Haam chillaaya...."Moren jhoota tha.....wo raha boat."
Baayen taraf bahut doori par dhuwaan sa dikhayi de raha tha. Phir kuchh hi der baad chimni ka upari bhaag dikhayi diya. Moren thanda ho chuka tha.
"Ham nirdosh hain madam....." Moren ke sathiyon me se ek ne bharrayi huyi aawaz me kaha.
"Lekin us ka maksad kya tha?" Monica barbadaayi.
"Maksad phir dekh lena." Josef gurraaya. "Pahle ye bataao ki in donon ka kya karun?"
Wo donon phir girgidaane lage. Josef ab bhi unki taraf revolver taane huye tha......aur unke hath upar uthe huye the.
"Abhi kewal inke hath baandh do."
"Ham waada karte hain madam......dekhiye ham ne to kuchh nahin kiya."
"Tum ne ajnabi par goli chalayi thi."
"Ham samjhe the ki boat sach much tabaah ho gaya. Ham iske liye zimmedar nahin hain. Ham nahin jaante ki Moren ne ye jhoot kyon bola tha."
"Moren hamen zinda nahin dekhna chaahta tha. Us ne chaaha tha ki tum sab ko mere sathi par is liye gussa aaye ki boat le gaya tha.......aur ham par toot pado. Us ne shayad yahi socha tha ki boat ki tabaahi ka sun kar tum log paagal ho jaaoge aur is pagalpan ka result ye hoga ki ham Monica samet maar daale jaayenge. Is ke baad wo Haam ko bhi khatam kar deta. Aur jab hamara sathi aata to us ka bhi yahi anjaam kar deta. Moren kaise bardasht karta ki locket kisi dusre ke kabze me rahe. Aur ye bechari Daisy to aadam-khoron ke liye laayi hi gayi thi."
"Khuda ke liye waapas chalo. Ye sab kya pagalpan hai." Daisy kaanpti huyi boli.
Koi kuchh na bola. Moren ke donon sathiyon ke hath baandhe jaa rahe the. Ab boat poori tarah saamne aa gaya tha. Magar ab bhi doori bahut thi.
"Pahle hi step par kitni kathinaaiyon ka saamna karna pada hai." Haam dhire se bola.
"Kya tumhen iska pahle se anuman nahin tha?" Monica ne shusk (dry) swar me kaha.
"Pata to tha lekin ye nahin samjha tha ki ham aapas me hi katne marne lagenge."
"Insaniyat se girne ka yahi parinaam hota hai." Safdar bola "Tum log un aadam-khoron se bhi gaye guzre ho."
"Mere farishton ko bhi pata nahin tha.....warna main kabhi is par taiyar nahin hota ki ladki ko bhi sath laaya jaaye. Kisi na kisi tarah locket wahin haasil kar liya jaata. Ab to meri bhi yahi ichha hai ki ham waapas chalen." "Ye na-mumkin hai." Monica ne kathore swar me kaha.
"Ohh.....tum ek aurat ho kar aisa kah rahi ho....!!!" Daisy ghighiyaayi. "Kya tum bhi mujhe un aadam-khoron ke hawaale kar dogi?"
"Mere jeete ji ye asambhav hai. Ham har haal me tumhari raksha karenge."
"Tumhen aadam-khoron se bhay nahin lagta?"
"Meri zindagi hi aadam khoron me beeti hai." Monica ne laparwaahi se kaha.
Wo sab boat ki taraf dekh rahe the. Achanak unhon ne strocker ki aawaz suni....."Chalo....jaldi karo.....wo khatre me hai......aao....daudo......"
"Ye kya musibat hai...." Monica daant pees kar boli. "Samajh me nahin aata kya ho raha hai."
Boat kinaare se aa laga tha. Unhon ne strocker ko dekha jo donon hath uthaye huye cheekh raha tha "Aao chalo.....wo khatre me hai." Josef pahle hi daud kar boat ke paas pahunch gaya tha.
"Kya baat hai......jaldi bataao." Wo boat par chhalaang lagata hua bola.
"Wo raasta talash karta hua upar gaya tha. Main boat hi me tha. Kuchh der baad main ne tomy gun ki fieron ki aawaz suni.....saikadon aadmiyon ki cheekhen."
"Kitni door gaye the?"
"5 ya 6 kilometer."
Baaki log bhi nikat aa gaye the. Strocker unhen bata raha tha ki Imran ne wo jagah khoj li hai jahaan se safar start karna tha. Us ne locket ke papers ka bhi refrence diya.
"Ab hamen kya karna chaahiye?" Monica ne safdar se puchha.
"Bahut der kar rahe ho tum log." Safdar bola "Hamen wahaan jaldi pahunchna chaahiye. Haam.....tum yahin ruko.....main tumhare teen aadmi le jaa raha hun. Khemon ki hifazat bhi zaroori hai." "Main bhi sath chalungi." Monica boli.
"Ye namumkin hai Lady Monica. Ab to kisi par bharosa kiya hi nahin jaa sakta. Kya pata ham baaki log yahin rah jaayen.
Nahin.....boat isi shart par jaayega ki tum yahin ruko."
"Thik hai...." Safdar ne bhi haam ka samarthan kiya. "Tum yahin ruko. Halaat aise saamne aaye hain ki Haam ka asantusht hona natural hai."
Monica khamosh rahi. Us ne is baat ka virodh nahin kiya. Kheme se wo tomy gun bhi aa gayi jise kuchh der pahle Josef istemaal kar raha tha. Safdar ne Haam ke sathiyon me se 3 ko chuna aur boat phir usi taraf chal pada jidhar se aaya tha. ***
(Jaari)
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: Thu Dec 18, 2014 6:39 am

Re: Zulmaat Ka Devta -ibne safi

Post by Jemsbond »

Update-16 Zulmaat Ka Devta:
Wo sab badi sawadhani se upar pahunche. Josef vishesh roop se kisi shikari kutte ki tarah chaukanna tha. Tomy gun bhi usi ke paas thi.
"Yahaan to sannaata hai Mr Safdar." Wo bharrayi huyi aawaz me bola.
Safdar bhi charon taraf dekh raha tha.
"Wo kah raha tha ki us ne fieron ki aawazen suni thin. Cheekhen suni thin. Lekin mujhe to yahaan koi asadhaaran baat dikhayi nahin de rahi." Josef bola.
"Asadharan.......matlab?"
"Ohh.....ye jangal hai Mr Safdar.....yahaan jo kuchh bhi hota hai.....apne pichhe apna nishan chhod jaata hai. Main kaise samjhaaun......samajh sakta hun lekin samjha nahin sakta. Mera daawa hai ki pichhle 3 din se yahaan kuchh bhi nahin hua." "Ohho.....to kya phir dhoka....?"
"Thahro..." Us ne hath utha kar kaha aur anthune sikod kar 2-3 gahri gahri saansen lin.....phir bola "Fiering beshak huyi hai." "Tumahara dimag to nahin kharab ho gaya." Safdar jhalla gaya. "Kabhi kahte ho ki kuchh bhi nahin hua aur kabhi fieron ki baaten karte ho."
"Meri samajh se ab tum donon ladna shuru kar doge." ek jhaadi se aawaz aayi aur wo uchhal pade. Aawaz Imran ke alawa aur kisi ki nahin ho sakti thi.
Jhaadiyaan hata kar wo saamne aa gaya.
"Kya hua.....kya baat thi boss?" Josef kahta hua us ki taraf jhapta.
"Tumhare liye sharab ka jharna khoj raha tha.....achanak usi samay khayal aaya ki agar yahaan ek 'coffee house' khol diya jaaye to kaisa rahega?"
"Imran sahab.....halaat bahut kharab ho chuke hain....is liye hosh ki baaten kijiye." Safdar bola.
"Ohh...haan....teen chaar the....main ne unhen maar kar paani me phenk diya tha."
"Kon the?"
"Hunhh....bahut un-mannered the. Apna naam aur pata bataaye bina hi mar gaye." Imran ne bura sa muh bana kar kaha phir Haam ke sathiyon se bola..."Tum log jaao aur unhen yahin le aao. Hamara safar yahin se start hoga. Baaki sab thik hai." Wo khade hairat se palken jhapka rahe the.
"Kya tum ne suna nahin.....? Jaao....! Aur tum donon yahin thahro."
Safdar ki aankhon me uljhan ke bhaav the lekin wo kuchh bola nahin. Haam ke sathi dhalaan me utar gaye.
"Moren ka rawaiya kaisa raha?" Imran ne puchha.
"Main ne usay maar daala." Josef bola.....aur Imran usay ghoorne laga. Shayad Josef usay Moren ki kahani sunaane keliye phahle se hi vyakul tha. Un donon ne jaldi jaldi usay saare halaat ki jankaari di. Imran thodi der tak kuchh sochta raha phir bola....."Ye to kuchh ghanton ki nahin....poore ek mahina ki report lagti hai. Kaash.....wo ajnabi is tarah na maara gaya hota." "Iske liye bhi aap hi zimmedar hain." Safdar ne bura sa muh bana kar kaha "Aakhir is tarah bhaagne ki kya zaroorat thi."
"Is ke kayi kaaran the. Main un logon ka test liye bina aage nahin badh sakta tha. Mujhe ye pata karna tha ki kon kis had tak Monica ka sath de sakta hai. Dusra kaaran chunki unke dimag me yahi baithana tha ki safar locket me paaye jaane waale nakshe ke anusaar hi kiya jaa raha hai.....is liye ye zaroori samjha ki kam se kam wo jagah to pahle hi khoj liya jaaye jahaan se hamen safar karna hai. Un sab ki maujoodagi me wo papers nikaale nahin jaa sakte the jo Monica ke naukar se haasil kiye gaye the." "Thik hai.....mai ne Monica ko yahi samjhane ki koshish ki thi. Wo khud bhi paagal ho gayi thi aap ke is tarah bhaag aane par. Phir agar main aur Josef thoda sa bhi chook gaye hote to hamaara anjaam bhayanak ho sakta tha. Ham ne unke hosh me aane se pahle hathiyaron par kabza kar liya tha."
"Yahi kaaran hai ki X2 tumhen dusro par tumhen value deta hai." Imran ne dhire se kaha.
"Magar yahaan aap par kis ne hamla kiya tha?" Safdar ne puchha.
"Dimag chal gaya tha mera.....pata nahin is island ke climate kaisi hai. Baat baat par paagal ho jaane ka dil karta hai. Wo samne ped dekh rahe ho na......bas aisa laga ki kambakht ne mujhe aankh bhi maari ho aur muhh bhi chidhaaya ho.....bas aa gaya gussa aur kar daali firings.....us ke tane par tum goliyon ke banaaye huye bahut se nishaan dekh sakte ho."
"Magar strocker ne hazaaron aadmiyon ki cheekhen bhi suni thin."
"Kya bataya us ne? Jab mujhe gussa aata hai to kanth se ek sath laakhon tarah ki aawazen nikalti hain."
"Hmmm...." Safdar ne hont bhinch kar lambi saans li aur phir krodh bhare swar me bola...."Is ka matlab?"
"Yahi ki aankh maarne se bematlab ladaayi jhagda shuru ho jaata hai." "iss ped se kisi ne aankh maari thi?" Josef ne hairat bhare swar me puchha.
"Haayenn.....zyada pi gaye ho kya? Abbe....ped ne hi aankh maari thi."
Josef ne daant nikaal diye. Phir gambhirta se bola..."Boss...jangal me yahaan firings se bachne ki koshish karo. Aawaz door door tak phailti hai. Wo aadmi jo maar daala gaya......bata raha tha ki ye island aabad hai....matlab yahaan jangali log rahte hain......aadam-khoron ki bastiyaan hain."
"Aurat-khoron ki bastiyaan." Imran ne correction ki "Tum kahaan ke aise gulfaam ho ki tumhen bhoon kar kha jaayenge?" "aakhir ye sab kya tha.....aap bataate kyon nahin?" Safdar phir jhalla gaya. "Yahaan aap ko sawadhan rahna padega. Gambhirta apnaaiye."
"Main nahin chaahta tha ki khud hi un logon ko raah mil jaane ki suchna dun. Iske liye strocker hi sahi tha. Aur sab se bada kaaran ye ki main har ek ko perfect dekhna chaahta hun. Main ne mahsoos kiya hai ki iss taapu ka climate aadmi ko sust bana raha hai aur har samay unghne rahne me madad deta hai."
"Wo to sab thik hai boss.....lekin isay likh lo ki firings ki aawazen hamen kisi badi musibat me daal dengi. Udhar bhi kaafi firings ho chuki hain."
Achanak us ne khamosh ho kar jhurjhuri si li aur kisi shikaari kutte ki tarah chaaron taraf dekhne laga. Safdar ne us ki aankhon me kisi prakar ka badalaav mahsoos kiya tha jiska jaldi me koi arth nahin laga sakta tha. "Boss." Josef dhire se bola "Main aas paas kisi aur ka bhi hona mahsoos kar raha hun." "Ho sakta hai." Imran ne laparwaahi se kandhe hilaaye.
Safdar soch raha tha ki shayad is baar Imran ke sitaare hi gardish me aa gaye hain.
"Wo dekho." Achanak Josef ek taraf hath utha kar cheekha....aur Safdar us kaali si chiz ki halki si jhalak hi dekh saka.....jo bijli ki si tezi me baayen taraf waali jhaadiyon me gayab ho gayi thi.
Imran ne bade hi masoom dhang se tomy gun Josef ko pakda di aur khud kandhe se latke huye chamde ke bag se ek mouth organ nikaal kar bajaana shuru kar diya.
Safdar ki samajh me nahin aa raha tha ki wo kya kare.
Josef ab bhi unhin jhaadiyon ko ghoore ja raha tha aur tomy gun ko bhi is position me le aaya tha ki kisi pal bhi nishaane par firing kar sake.
"Imran sahab....main paagal ho jaaunga." Safdar gurraaya. "Khatm kijiye...."
Imran ne mouth irgan honton se hataate huye kaha "Adhik buddhimaani dikhane ki koshish mat karo.....warna doob hi jaaoge." "In jhaadiyon me kya hai?"
"Ek aise natural surang ka muh jo meelon tak phaili huyi hai aur wahi hai asli raasta."
"Main ne bhi ek kaali si chiz wahaan dekhi thi."
"Un kaali si chizon ki ginti dedh sau se kam na hogi."
"Kya matlab?"
"Dedh sau kaale habshi nang dhadang jangali."
"Aur aap khade mauth organ baja rahe hain."
"Tablaa bajaana chaahiye tha mujhe......magar kahaan se laaun?" Imran ne nirash swar me kaha....phir jaldi se bola. "Khabardar Josef fire mat karna."
"Wo nahin karega to main shuru kar dunga." Safdar ki jhallaahat badh gayi.
"Bekaar hai......iss ped ke tane ko dekho."
"Kya dekhun. Haan goliyon ke nishan dekh raha hun.....phir?"
"Saari goliyaan usi par padi thin.....un ka baal bhi baanka nahin hua."
"Kya matlab?"
"Unka leader ek safed aadmi hai.....lekin usne bhi langot hi laga rakhi hai. Us ne mujh se kaha tha ki tum Zulmaat ke Davta ke pujaariyon ka khoon nahin baha sakoge. Vishwaas nahin ho to fire kar ke dekho. Wo un logon se door khada tha. Main ne gun sidhi ki. Iss dhang se firing start ki ki ek hi round me sabon ke liye kaafi ho. Lekin un me se ek bhi na gira. Aur saari goliyaan un se katraa kar us ped me jaa lagin."
"Aap ne kisi jaaduyi kahani ka sapna to nahin dekha hai?" Safdar hans pada.
"Achhi baat hai......Josef.....firing start kar do us jhaadi par." Imran ne kaha.
Josef pahle to hichkichaya......phir sambhal kar goliyaan barsaane laga. "Dekho...!" Imran ne ped ki taraf ishara kiya. "Wo dekho." Ped ka tanaa chhalni hua jaa raha tha.
"Stop it." Imran hath utha kar unchi aawaz me bola. "Tumhen Devta ki badaaii ko sweekar karna hi padega."
Josef firing band kar ke buri tarah kaanpne laga. Achanak jhaadiyon se aawaz aayi "Ye bhi sambhav hai ki goliyaan palat kar khud tumhare hi seenon me jaa paden."
Ye baat saaf suthri english me boli gayi thi.....aur lahja bhi angrezon jaisa hi tha.
"Nahin.....nahin....." Imran jaldi se bola. "Aisa hargiz nahin hona chaahiye. Main to in donon ko vishwaas dilana chaahta tha.
Mere sathi bhi bahut jaldi yahaan pahunch jaayenge."
Safdar stabdh sa khada tha aur Josef ka to dam hi nikla jaa raha tha.
"mm.....main ne to bhooton aur dusht-aatmaaon ki parchhaaiyaan ppahle hi dekh li thi." Wo kaanpta hua bola. (Jaari)
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************

Return to “Hindi ( हिन्दी )”