Update-12 Zulmaat Ka Devta:
Achanak us ne muskura kar kaha "Tum bekaar pareshan ho rahe ho....agar main ne ishara bhi kar diya hota to wo tumhen is haal me bhi zinda nahin chhodte. Kheme ke bhitar ek rifle maujood hai. Kuchh rounds bhi hain. Moren zid pe tha ki tumhen goli maar de magar main ne rok diya."
"Is liye main tommy gun tumhare hawaale kar dun?" Safdar muskuraya.
"Ohh....tum shayad jhoot samajhte ho." Monica ne jhalla kar kaha aur phir Moren ko aawaz de kar kaha ki wo rifle le kar baahar aaye.
Moren ne der nahin lagaayi. Sach much us ke hath me rifle tha. Monica ne usay kaha ki wo ek hawai fire kar ke dikhaye. Safdar itna murkh nahin tha ki hawai fire ka scene dekne keliye poora dhyan udhar laga deta. Usay yakeen tha ki Moren usi par fire karega.
Magar aisa nahin hua. Wo sach much hawai fire hi tha. Fire karne ke baad rifle ki naal jhuka di gayi.
Thik tabhi dusre kheme se Josef kio aawaz aayi...."Mr Safdar....hoshiyar.....hoshiyar.....main gorillon ki aawazen sun raha hun." "Gorille....!" Moren uchhal pada. Aur Safdar ne tommy gun Monica ki taraf badha di.
"Main ne kisi tarah ki aawaz nahin suni." Monica boli.
Safdar ne Josef ko aawaz di aur wo kheme se nikal kar daudta hua unki taraf aaya.
"Gorille....gorille...." wo haanfta hua bola.
"Tum ne kab se nahin pi?" Safdar ne puchha.
"Ohh.....main galat nahin kah raha.
"Ham ne to kisi kism ki aawaz nahin suni." Monica boli.
"Abhi wo bahut door hain....ohh....wo dekho.....sunaa...?"
Hawa ke jhonke ke sath halke se shor ki aawaz aayi. Monica Safdar ki tarafb dekhne lagi. "Main nahin samajh sakta." Safdar ne kandhe hilaaye :dased: "Lekin isay jangalon ka tajurba hai." "Agar wo gorille nahin hon to mujh par aasmani balaayen giren...." Josef jhunjlaa gaya. "Phir hamen kya karna chaahiye...?" Moren ne puchha.
"Bas hoshiyar raho. Shayad un ka rukh isi taraf ho jaaye."
Phir badi jaldi me hathiyar distribute kiya gaya aur wo sab is nayi musibat ke liye taiyar ho gaye.
Aawazen kabhi door ki lagti aur kabhi kareeb ki. Josef disha tai karne me kamyab ho gaya tha.
Jahaan unhone kheme gaade the wahaan se lagbhag 200-250 meter ki doori par ek sukha naala thaaur us ke baad hi se chadhaayi shuru ho gayi thi aur jangal ghana hota chala gaya tha.
Wo khemon ke aas paas phail gaye. Daisy buri tarah bilak rahi thi. Monica khamosh thi. Hont bhinche huye the lekin chehre se dar zaahir nahin ho raha tha.
Josef tommy gun le kar ek ped par chadh gaya tha. Achanak us ne jangal ki taraf firing shuru kar di. Lekin dusre hi pal party ka ek aadmi cheekh maar kar dher ho gaya.
"Cover....cover...." Safdar cheekha. Lekin jitni der me wo sambhalte ek aur gira. Phir to bhagdar mach gayi.....aur Safdar ne cheekh kar kaha..."Murkhon.....udhar se bhi koi firing kar raha hai."
Magar kon sunta. Wo sab dusri taraf dhalaan me utarte chale gaye. Josef ne ped par se firing rok di thi.
Moren bhi bhaag nikla tha. Kewal haam aur Monica wahaan rah gaye the. Safdar ab bhi usi taraf firing kar raha tha jidhar se aayi huyi goliyon ne party ke 2 logon ko thikaane laga diya tha.
"Wo kon ho sakta hai...?" Monica barbadaayi.
Itne me safdar ne Josef ko utarte huye dekha. Wo bade aaram se niche aaya aur unke paas aa kar bola...."Wo koi bhi raha ho.....mai ne usay maar liya hai."
"Magar kon?.....Yahaan....iss weerane me?" Monica hairat se aankhen phaad kar boli.
"Pata nahin..." Josef dusri taraf hath utha kar bola "Udhar jhaadiyon me koi chiz hilti huyi dikhayi di thi. Main samjha shayad gorille ab chup chaap aage badh rahe hain.....magar.....ohh....ye dono......"
Wo badi tezi se un dono ki taraf jhapta tha jo ab shayad thande ho chuke the. Us ne jhuk kar unhen dekha aur phir sidhe ho kar hathon se seene par cross banaya.
"Ye bahut bura hua...." Us ne kuchh der baad bharrayi huyi aawaz me kaha....."Ham me se do kam ho gaye." Phir Haam se bola..."Apne aadmiyon ko samjhaao. Ye jangal hai. Agar isi tarah bad-hawaas ho kar bhaagte rahe to ek bhi zinda na bachega." "Aakhir wo kon ho sakta hai?" Monica naale ke paar waali jhaadiyon ko ghoorti huyi boli.
"Jaao....apne aadmiyon ko dekho.....kahin baukhlaahat me wo samundar me hi chhalaang lagana na shuru kar den." "Un ke liye yahi achha hoga." Haam ne bura sa muh bana kar kaha. "Jaao....ham idhar dekhte hain." Haam dusri taraf mud gaya.
Tum yahin ruko Monica ke paas." safdar ne Josef se kaha "Main udhar jaa raha hun."
"Thanks.....main apni hifazat khud kar sakti hun. Waise main bhi chal rahi hun tumhare sath."
Wo teeno naale me utar gaye. Lekin dusri taraf pahuchne ke liye unhen kuchh door naale hi me chalna pada. Naala kaafi gahra tha. Agar sookha na hota to wo dusri taraf pahuch hi nahin sakte. Kyonki us ki chaudaayi bhi 10 feet se kam nahin thi.
Jhaadiyon ke paas pahucnh kar wo ruk gaye. Chaaron taraf sannaata tha.
"Yahaan....iss jagah....main ne yahan koi chiz dekhi thi." Josef ne jhadiyon ki taraf ishara kiya.
Phir safdar ne door tak jhadiyaan chhaan maari lekin na to koi lash dikhayi diya aur na ye pata chal saka ki yahaan kon chhupa hua raha hoga.
"Ohh...." Safdar chaunk kar bola. "Kahin ham dhoka to nahin kha rahe?" "Kya matlab?" Monica uchhal kar pichhe hat'ti huyi bechaini se puchhi.
"Waapas chalo...." Safdar naale ki taraf daudta hua bola. Monica aur Josef bhi us ke pichhe bhaag rahe the. Naala paar kar ke Safdar ruk gaya. Wo us kheme ko ghoor raha tha jis me kuchh der pahle Haam aur us ke sathi ko rok rakha tha.
"Kya baat hai?" Monica ne dhire se puchha.
"Koi kheme ke bhitar gaya hai.....lekin wo hamaare sathiyon me se nahin tha....kyon ki us ke sharir par kapdon ke cheethde jhool rahe the."
"Tum log yahin ruko.....main dekhta hun." Josef aage badhta hua bola.
Wo tommy gun sambhaale huye bahut sawadhani se aage badhne laga. Safdar aur Monica wahin khade rahe.
Kheme ke darwaze ka parda gira hua tha.
Jaise hi Josef kareeb pahuncha andar se aawaz aayi...."Khabardar.....agar koi andar aaya to goli maar doonga." Sentence English me kaha gaya tha aur aawaz se adhik wo kisi darinde ki gurraahat lag rahi thi.
"Bhaagh jaao..." Phir kaha gaya. Aisa lag raha tha ki bolne waala jaldi jaldi gale se kuchh utaar raha ho."
Safdar aur Monica dhire dhire kareeb aa gaye the. Unhon ne bhitar se bolne waale ki aawaz suni. Safdar ne Josef ko ishara kiya ki wo yahin thahre aur khud panjon ke bal kheme ke back side aaya. Dusre hi pal wo seene ke bal zameen par let gaya. Kheme ka nichla parda upar uthane me usay kathinaayi nahin huyi. Us ne saaf dekha. Uski pith Safdar ki taraf thi. Wo ghutnon ke bal baitha jaldi jaldi kuchh kha raha tha. Kareeb hi rifle padi huyi thi.
Wo khane me itna dhyan magan tha ki kapdon ki sarsaraahat bhi nahin sun saka.
Achanak safdar ne us par chhalaang lagayi. Aur wo kisi katkhanne kutte ki tarah gurra kar palat pada. Agar Safdar ne us ki naak par ghoonsa nahin de maara hota to hafton apne daayen kandhe ko rona padta. Phate-haal ajnabi ne aise hi khunkhaar dhang se uske kandhe par muhh maara tha.
(Jaari)