rani aaj bhi teddy bear ko main samaj kar pyar karti hai,
main rani ke pass gaya aur uske teddy bear ko hata diya,
aur uska hath upar karke uske baju me main let gaya aur uska hath mere upar rakh diya,
rani ki taraf se koi reaction nahi mila,
par rani ne muze teddy bear samaj kar apne gale laga liya,
aur muze pyar karne lagi,
maine rani ke gaal par kiss kiya to rani ko laga ki main sapne me usko pyar kar raha hu is liye usne muze se bat ki,
rani- "Avi vaha kiss mat karo"
main ne bhi bat ki rani se,
Avi- "rani tum bhi kiss karo"
rani shayad aadhi neend me thi jis se usko hosh nahi tha,
rani ne muze kiss kiya,
rani- "ab tum bhi karo"
rani ne kaha ho aur main ne nahi kiya ye ho nahi sakta,
main ne bhi ek lamba kiss kiya,
rani bhi mera pura sath de rahu thi,
kiss karne me main puri tarah se kho gaya,
aur is bich kuchh dhyan hi nahi raha aur rani ki neend khul gayi,
aur rani ne kiss karna band kiya,
aur bed se uth kar khadi ho gayi,
rani- "tum, tum yaha kaise aa gaye"?
Avi- "kyu main nahi aa sakta yaha par"?
rani- "mera matlab tha ki tum kab aaye"
Avi- "jab tum muze sapna samaj kar pyar se kiss kar rahi thi"
rani- "tumne muze uthaya kyu nahi"?
Avi- "kyu uthata, itne sweet kiss nahi milte muze"
rani- "tum bahot gande ho"
Avi- "sab kuchh tumne kiya aur muze ganda bol rahi ho, pata hai kaha kaha kiss kiya"
rani- "kaha kaha"?
Avi- "main bataunga to tum fir se muze ganda kahogi" (rani ko tang karne me maza aa raha tha )
rani- "maine kuchh kiya hi nahi to kya bataaoge"
Avi- "sach me tumhne muze"
rani- "tum bahot gande ho, main tumse kabhi bat nahi karungi"
aur rani bed par let kar apna chehara pillow me chhupa diya,
Avi- "rani"
rani- "muze nahi karni tumse bat"
Avi- "main mazak kar raha tha, bas tumhne muze ek kiss kiya tha"
rani- "tum zut bol rahe ho"
Avi- "jab zut bola tab sach maan liya aur ab sach kah raha hu to zut samaj rahi ho"
rani- "fir bhi tumse bat nahi karungi"
Avi- "kyu" ?
rani- "kal tumne bat nahi ki aaj main nahi karungi"
Avi- "achha meri rani ko gussa aaya hai"?
rani- "kuchh bhi kaho, main tumse bat nahi karungi"
Avi- "main yaha itni subah tumse milne aaya hu taki tumhe surprized du aur tum ho ki, jau main"?
rani- "muze tumse bat nahi karni"
Avi- "thik hai main chalta hu"
aur rani ke kuchh kahne se pahale main vaha se gayab ho gaya,
rani ko laga ki main mazak kar raha hu par main sach me vaha se chala gaya,
rani ne pillow se apna chehara nikaal kar dekha to main room me nahi tha,
rani chahti thi ki wo ruthe aur main usko mana lu,
par main vaha se gayab ho gaya,
rani bed se kahdi ho gayi aur bhag kar room se bahar aa gayi,
par hall me bhi main nahi tha,
rani- "mummy Avi kaha hai"?
Rani ki mummy- "wo to tere room me gaya tha tuze uthane"
rani- "ye kya kar diya main ne"
aur rani bahar aa gayi ghar se, ghar ke bahar meri bike nahi thi,
rani- "Avi sach me chala gaya, uski bike bhi nahi hai"
Rani ki mummy- "Avi kaha gaya, wo tume ghumane le jane aaya tha"
rani- "kya, main ne ye kya kiya"
Rani ki mummy- "kyu kya hua"?
rani- "main ne gussae me Avi ko chale jane ko kaha"
Rani ki mummy- "tum bhi na kuchh soch ke bola karo ab bhugto"
Rani- "mummy main kya karu, kal Avi ne call nahi kiya to muze gussa aa gaya aur maine, Avi ne kitna achha plan banaya hoga, itni subah muzse milne aaya qur maine kya kiya"
Rani ki mummy- "Avi kal busy tha jis se usne call nahi kiya aur aaj pura din tumhare sath bitane ka plan tha"
rani- "ye main ne kya kiya"?
aur rani rone lagi,
Rani ki mummy- "ek kaam kar, phone kar"
rani- "phone, haa phone karti hu"
aur rani ne mere mobile par call kiya,
par main ne call cut kiya,
rani- "phone cut kar diya"
aur rani jor se rone lagi,
Rani ki mummy- "itni badi ho gayi aur bachho jaise ro rahi hai"
rani- "main ne ye kya kar diya"
Rani ki mummy- "ab rona band kar, tuze rota hua main nahi dekh sakti Avi bahar aa javo"
aur main rasoi ghar se bahar aa gaya,
rani muze dekhte hi bhag kar mere pass aa gayi,
aur muze gale laga liya,
rani- "tum..!
Avi- "subah subah tum rote huye achhi nahi dikhti"
rani- "to rulate kyu ho"?
Avi- "kya karu tumhara pyar dekhna tha"
rani- "tum bahot gande ho"
Rani ki mummy- "Avi aisa nahi chalega tum rani ko rulaoge to achha nahi hoga"
Avi- "aunty ye rona nahi ye pyar hai, haina rani"
rani- "tumhe to, bas rulane me maza aata hai"
Avi- "pyar bhi to utna hi karta hu, chalo ab tayyar ho jav hame ghumne jana hai"
rani- "kaha ja rahe hai"?
Avi- "surprise hai"
Rani ki mummy- "rani fresh ho jav nasta tayyar hai"
Avi- "aunty mere liye nasta laga dijiye"
aur rani fresh hone chali gayi aur main aunty ke sath nasta karte huye bate karne laga,
aunty ne muze bataya ki mumbai ke plan ke bareme,
aur aunty ka transfer jaldi ho jayenga,
aunty ne sab set karke rakha tha kyu ki rani ne pahale aunty ko bataya tha ki usko mumbai me padhai karni hai,
aunty se bat karne tak rani tayyar ho gayi,
rani ko jab dekha to khul kar tarif karu aisa lagta tha,
rani tayyar hote hi ham thodi der bate karte rahe,
rani ne muze mumbai ki bate batai jo komal ne batai thi,
dono ne muze bahot miss kiya,
rani ne bhi vahi kaha ki beach pe mere sath pyar karne ka dil kar raha tha rani ka,
bate to kabhi khatam hi nahi hoti,
main ne rani ko apne sath chalne ko kaha,
aunty ne lunch pack karke diya aur rani ko bataya ki gussa mat kiya karo,
ghar se bahar nikalte hi rani ka pahala sawal tha ki bike kaha hai,
ham bike se nahi car se jane vale the,
ye sunte rani hasne lagi aur fir ham car me baith kar ghumne chale gaye.