/**
* Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection.
* However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use.
*/
Kajal "tere kahne ka kya matlb hai ye mai achhi trah se samjhti hu tu mujhe mat samjha. mai janti hu ki tu mujhe kuchh bhi nhi samjhta agar samjhta na aisi bate nhi krta mai hi pagal hu jo terliye apne friend ko naraj krke yanha tere liye ayi hu"
Rishu. "mujhe galat mat samjh tu to janti hai ki ek tu hi to hai jisase mai apne dil ki koi bhi baat bina kisi sankoch ke tujhse kah pata hu agar tu bhi naraj ho gyi to mai kiske sahare jiunga"
Kajal. "teri yahi aadat mujhe achhi nhi lagti hai pahle to tu aisi bate krata hai jisase ki dil dukhta hai phir baad me mafi magne lagta hai tu janta hai ki mai tujhse kabhi naraj nhi ho isi baat ka tu fayada uthata hai jaa is baar mai teri baat nhi manungi"
Rishu. "achha chal is baar tu mujhe maaf kr de iske badle me tu jo bolegi vo mai tujhe dunga ye pakka vada hai mera"
Kajal. " soch le iske badle mai kuchh bhi mang sakti hu tu mujhe mana bhi nhi kar payega"
Rishu. " tujhe agar meri baat pr vishwash nhi hai mai teri kasam kha ke kahta hu ki
Abhi Rishu age kuxhh bolta isase pahle hi kajal use rokati hue bolti hai ki
Kajal." tu meri kasam mat khaa mai nhi chahti ki tu vo kam kre jo tu kr na sake"
Rishu. "aisi kya chij chahiye tujhe jo mai nhi de sakta"
Kajal. "maang lungi usase pahle to tu uth or hath dho kr aa ham khana kha lete hai mujhe bhut jor ki bhukh lagi hui hai"
Rishu. "mai khana to kha lunga pr tujhe meri ek baat manani hogi"
Kajal. " bol na tujhe koi baat bolne ke liye itna kabse sochna pad rha hai vo bhi mujhse bolne ke liye"
Rishu. "Mai aaj khana tabhi khaunga jab tu mujhe apne hatho se khana khilaogi"
Kajal. "tu is baat ke liye itna sankoch kr rha tha tu bhai hai mera maine tujhe dil se apna bhai mana hai tujhe yah baat bolne ke liye sochna nhi chahiye tha lagta hai tune mujhe apna bahen nhi mana hai"
Rishu. "nhi pagal aisi baat nhi hai mai to bas isliye bol rha tha kahi tu busy na ho mere kahne ka vo matlb kahi nahi tha"
Kajal " chal thik hai is baar to mai tujhe maaf kr deti hu aage se is baat ka khayal rakhna chal ab uth or ja hath dho ke aa ja tb tk mai khana lagti hu"
Iske baad Rishu vha se bathroom ki traf chala jata hai or kajal khnaa nikalne lagti hai nikalna kya tha bas dhaki hui thali hata kr niche rakh di or Rishu ka intjaar karne lagi. Kuchh der intjaar karne ke Rishu aata hai to kajal use khana khilane lagti hai or Rishu kajal ko khilata hai isi trah dono ek dusre ka khana kahtam krte hai khana khane ke baad jab kajal ki najar Rishu ki tarf jati hai to vo dekhti hai Rishu ki ankho se anshru bah rahe the Kajal yah dekh kar pareshaan hojati hai or puchhti hai ki
Kajal " kya hua hai tu ro ku rha hai"
Rishu. " nhi mai ro kha rha hu tu bhi kya bolti rahti hai"
Kajal. " achha agar tu ro nhi rha hai to teri ankho me anshu ku hai"
Rishu. "are yar vo ankho me kachra chala gya tha isliye ankho se pani girne laga'
Kajal. " tujhe kya mai pagal dhikhati hu jo tu mujhe kuchh bhi kahega or mai maan lungi ab sach sach bol varan mujhse bura or koi nhi hoga "
Rishu. " kuchh nhi yaar bas sonu didi ki yaad aa gyi vo bhi isitrah mujhe apne hatho se khana khilati thi par pata nhi ku ab vo mujhse baat krna to dur mujhe dekhna bhi pasnd nhi karti hai bas unki yaad aa gyi isliye ankho se anshu nikal aye"
Kajal. " bol agar tu kahe to mai tere baare me didi se bate kar sakti hu or unahe mannane ki koshish bhi karungi"
Rishu. "nhi mai nahi chahata ki vo kisi bhi baat ko lekr pareshan ho or vo bina dil se maaf kiye hi mere paas aye or tu ye sab chhod yah bata ki tujhe kya chahiye bol"
Kajal. "kya sach me mai jo bolungi vo tu mujhe dega"
Rishu. " haa agar vo mere bas me raha to mai jarur dunga lekin tu kuchh aisa mat mang lena ki jo meri pahuch se baher ho"
Kajal. " nhi agar tu chahe to pura kar sakta hai"
Rishu. "ab bol bhi de kitna bhav khati haj tu"
Kajal. " mujhe vo jo tere gale me padi hui locket wali mala hai bas vahi chahiye"
Rishu. " tu ye janti hai ki mai ye kisi ko bhi nhi de sakta ye kisi ki aakhiri nishani hai jo mere paas hai or ab to bas isi ka sahara hai jiske karn vo mujhe pahchan sakti hai or mai use kunki ye adha locket mere paas hai adha uske paas"
Kajal. " tum itna vishwash ke sath kaise kah sakte ho ki vo ladki vahi hogi jisase tu bachapan se payar krta hai ye bhi to ho sakta hai iska kuchh or piss market me ho or usme ki adhe bhag kisi ladki ke paas ho or vo tujhe mil jaye."
Rishu. "ho sakta hai tu jo kah rahi ho vo sach ho pr phir bhi iski sabse badi khashiyat yah hai ki yah tabhi khulega jab iska adha bhag isme joda jayega kisi or ke adhe bhag ke sarh fit to ho jayega pr khulega nhi samjhi"
Kajal. " achha bhai ek baat or hai agar tu bura na mane to mai puchh sakti hu"
Rishu. "ha puchh na mai mana krunga tb bhi tu kon sa manane wali hi"
Kajal. " bhai tu kabadi ka dhandha krta hai jo apne room me is trah ka kachra bhar rakha hai"
Rishu. " tu bhi pagal hai puri tujhe ye sab kachra dikhai de rha hai isme kai chij aisi hai jispr maine kai mahino ko din raat ek kr diya hai"
Kajal " mujhe iske baare janana bhi nhi hai ab mai jaa rhi hu maa mera wet kr rhi hogi ab hame ghar bhi jana hai"
Rishu. "ok jaa lekin ek baat batati jaa kal se college ja rhi hai tu to mai bhi chalta hu"
Kajal. "mai soch rahi thi ki abhi kuchh din ruk kr chalte hai varna sinior log raigig ke naam pr pareshan kr denge"
Rishu. " chal thik hai tu mat jaa mai to jaunga ghar pr baith kr bor hi hounga isasse achha kuchh najara dekhne ko mil jaye'
Kajal " achha bachu tujhe najara dekhna hai lagta hai didi se bolna padega ki ladka bigad rha hai"
Rishu. " tu har baat me didi ko ku lati hai jaa mai tujhse baat nhi karta"
Kajal. "achha thik hai naraj mat ho mai kisi se nahi kahti hu or agar koi pasnd aa gyi to mai teri help bhi kar dungi"
Itna bol kr haste hue jaane ke liye mudti hai to dekhati hai ki darwaje pr pooja or rani dono khadi ho kr usnki bate sun rhi thi