/** * Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection. * However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use. */

चमत्कारी

Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: Fri Mar 31, 2017 2:31 pm

चमत्कारी UPDATE * 60

Post by Fan of RSS »

UPDATE * 60

Mai—kyo apnana hoga…ek to tum sab ne mere sath cheating ki aur ab jabardasti apni is pahalwan ladki ko mere gale me phansi ka fanda bana rahe ho

Ladki (agni)—to theek hai..mera antim sanskar hi kar dijiye ab…mai isi waqt apne pran tyagne ko taiyar hu

Mai (mann me)—maine kitni baar socha ki beta kisi ka kalyan mat kar…ye jamana ulta hai...mere sath hi aksar aisa kyo hota hai...kisi ka kalyan karne ke badle me dhan daulat milti hai aur mujhe har baar ek ladki....maa to mujhe ghar me hi ghusne nahi degi..aur sona aur margret se kya kahunga... ?..mai yaha se chup chap adrishya hoke khisak leta hu..yahi theek rahega

Ab aage………..

Mai ye soch kar turant hi vaha se adrishya hokar apni jagah par aa gaya…..jaha margret jaag chuki thi aur khatra se mere baare me puch tachh karne me lagi huyi thi….mujhe dekhte hi bhag kar mere paas aa gayi

Margret—kaha gaye the……? Agar yaha mujhe kuch ho jata to…..?

Mai—mera dimag kharab mat kar…..pahle se vaise hi bahut kharab hai....chup chap so ja...

Margret—mai tumhari biwi hu ...mujhe janne ka poora haq hai

Mai—biwi bani nahi ho abhi samjhi....aur tumhe kya hona hai.....jo hoga vo mera hoga

Margret—to maine kab kaha ki kisi dusre ka hoga...ye to common sense ki baat hai...ki jab biwi tumhari banugi to bachcha bhi to tumhara hi hoga na....buddhu kahi ka

Mai (shock)—bachchaaaaaa..... ?...(mann me) arey baap re ye to abhi se bachche ka sochne lagi….lagta hai ye sab mil ke mujhe nipta dengi

Margret—ab jaldi se batao..kaha gaye the..... ?

Mai—agni ke paas.....tumhe bhi jana hai

Margret—na....na...mujhe aag se bahut darr lagta hai

Mai—ab mera bheja mat kha.....mujhe thodi der so lene de

Mai chup chap ankhe band kar ke let gaya.....raat bhar ka thaka hua tha jisse jaldi hi need ki agosh me chala gaya... shaam ko sona ke uthane se meri need tooti...

Tab tak sabhi bachche bhi uth chuke the.....sona aur margret unhe khana khila rahi thi.....ye dekh kar mann ko kuch santosh hua ki chalo kahi to in dono ne koi sarahniya kaam kiya warna baki samay to mere liye hi ek na ek nayi musibat khadi karti rahti hain

Chitra—mujhe bhi bhookh lagi hai.....tumhi bata do kis ko khau...... ?

Mai—whattt.... ? kisko khau matlab....pagal ho gayi ho....sochna bhi mat aisa vaisa

Chitra—tabhi to tumse puch rahi hu.....jaise tum in dono ke hone wale pati ho vaise mere bhi ho....ye dono har kaam tumse puch ke karti hain isliye maine bhi pucha nahi to ab in dono ko hi kha leti tumhare aane tak

Mai—tumhara dimag to kharab nahi ho gaya...jo baar baar pati pati ki rat lagaye baithi ho.....pati na hua bazar me thok me bikne wali cheez ho gayi.....jisko dekho vahi pati pati ki mala jap raha hai

Sona—kya hua....yaha akele me kis par chilla rahe ho..... ?

Mai—apne aap par....kyo nahi chilla sakta khud par bhi.... ?

Sona—tum kyo taklif le rahe ho...mujhe kah dete to ye kaam mai kar deti

Mai—chal bhag tu bhi yaha se

Budhiya—beta aage kab chalna hai..... ?

Mai—raste me koi khatra to nahi hai..... ?

Budhiya—pahle to nahi tha....

Mai—theek hai…agar sab bachcho ne kha pi liya ho to hum abhi aage chalna shuru karenge

Sona—ok..sab ready hain

Mai—theek hai….chalo

Hum is baar bilkul fresh ho gaye the jisse jaldi hi rawana ho liye apne gantavya sthan ki oor….khatra ne sabhi ke liye ek gadi ka intazam kar diya tha jisse kisi ko paidal bhi nahi chalna pada….raste me chalte huye jab hum bahut door nikal aaye to mujhe vaha kuch gaon dikhayi diye to maine khatra ko vaha rukne ko kaha

Hum jaise hi gaon me pahuche to sabhi gaon wale hamari gadi ko dekh kar bhagte huye paas me aa gaye…shayad un logo ne apni life me aisi gadi pahli baar dekhi thi kyon ki unke dekhne se to yahi pratit ho raha tha

Mai—kya aap log mujhe batayenge ki ye utha patak gaon yaha se kitni dur hai……?

Ek admi—babu....yahi hai utha patak gaon....kaho kiske ghar jana hai.... ?

Mai—hame kisi ke ghar nahi jana hai bhai....aur kya aap mujhe batayenge ki is gon me daal aur nikaal gaon ke log bhi rahte hain kya....... ?

Daal aur nikaal gaon ka naam sunte hi jaise sab ko saamp soongh gaya....sab ke sab aise vaha se bhage jaise gadhe ke sar se seeng...

Mai—arey bhai meri baat ka jawab to dete jaoooooo

Sab (bhagte huye)—bhago jaldi se…..shaitan ne hame khoj liya…vo yaha bhi aa gaya…..sab ko maar dega….bhago jaldi se

Mai unhe chilla chilla kar awaz lagata raha lekin koi meri baat tak sunne ko taiyar nahi tha…..vo sab itna jyada darr jayenge un gaon ka naam sunte hi mujhe bilkul bhi andesha nahi tha

Mai chalte huye gaon ke beech me aa gaya….gaon me lagbhag 1000 ke aas paas ghar dikh rahe the…maine jakar har ek ke ghar ke darwaje ki kundi khat khatane laga

Magar kisi ki chu tak karne ki awaz nahi aa rahi thi…..poora gaon hi pal bhar me sun san dikhayi dene laga….sab apne apne gharo me chhup ke baith gaye the

Margret—kya hua ye sab bhag kyo gaye…..?

Mai—lagta hai tumhe dekh liya hoga….

Margret—kya kaha.... ?

Mai—kuch nahi

Sona—ab kya karenge hum.... ?

Mai abhi kuch bolne hi ja raha tha ki tabhi mujhe apni taraf do char log aate huye dikhe...jo age me kafi vriddh the...meri taraf aakar vo kuch duri par hi ruk gaye

Ek buddha—ab kyo hamare bachcho ke piche pade ho.... ? sab ko to tum logo ne maar kha liya…do char bache hain kam se kam unhe to jinda rahne do…chaho to mujhe khakar apni bhookh mita lo

Mai—dekhiye baba…lagta hai apko koi galat fahmi huyi hai….mujhe to yahi samajh nahi aaya ki sab yaha se bhag kyo gaye….?

Buddha—kyon ki tum shaitan ho ya phir uska hi koi numainda…jo hamare nanhe bachcho ki jaan ke dushman ban gaye ho

Mai—mai aap logo ka dushman nahi balki dost hu

Buddha—chup raho....apni gandi juban se khud ko hamara dost mat kaho.....hamare hi bachcho ka khoon chus kar apne aap ko hamara dost kahte ho

Budhiya (beech me jor se)—lakkhaaaaaaa......apni juban ko lagam do...tum jante bhi ho ki tum kise aur kya kah rahe ho..... ?

Buddha (chounk kar)—dhaniyaaaaa....tum aur inke sath..... ? lagta hai tumhe bhi in logo ne apne jadu se vash me kar liya hai

Budhiya—mujhe kisi ne vash me nahi kiya hai......tum jise bhala bura kah rahe ho ussi devta ne apni jaan ki parwah kiye bina tumhare bachcho ko us shaitan ke changul se chhudane ke liye mout se bhi lad gaya lekin phir bhi bachcho par aanch tak nahi aane di...aur tum log usse hi apshabd kah kar uske is balidan ka apman kar rahe ho

Sab (shocked)—kyaaaa hamare bachche .... ?…kaha hain hamare bachche….?

Maine sona ki oor dekha to vo mera ishara samajh kar un bachcho ko gadi nikaal kar bahar le aayi…ek bachcha unme se us buddhe ka pota tha jo dekhte hi bhag kar uske gale se lag gaya

Un charo ki ankho se anshu nikal aaye aur sab bhagte huye poore gaon me dhindhora peet aaye is baat ka… phir kya tha agle hi pal vaha kohram mach gaya

Un bachcho ke parijan..khas kar unki maaon ki halat dekh kar mujhe bhi mummy ki yaad aa gayi….vo sab ek dam pagal si hokar girte padte bhagti huyi aakar apne apne bachcho ko kaleje se lagakar jor jor se rone lagi…vo chhote chhote bachche bhi itni bheed me doud kar apni apni maa ko pahchan kar unke gale se lipat gaye

Bada hi hriday vidarak darun drishya umad aaya tha vaha par….koi patthar dil insan bhi agar us samay un maa beto ka milan is prakar dekh leta to nishchit hi uska hriday bhi avashya hi pighal jata….kisi ne sach hi kaha hai

Mohabbat ko kisi juban ki jarurat nahi hoti,
Ye to ek ehsaas hai jo khud ba khud mahsus ho jayega
Yakin na ho to mele ki bheed me khada kar do kisi chhote se masum bachche ko
Hazaro ki bheed me bhi vo apni maa ko pahchan jayega

Bahut der tak unka rona dhona chalta raha….hum sab ke hriday ye drishya dekh kar bhavuk ho gaye the… maine un maa beto ke milan ke beech me kuch bhi bolna theek nahi samjha

Jab unka rona dhona kuch kam hua to sab ka dhyan hamari oor gaya….sab mere pairo me lotne lage aur dhanyavad karne lage

Mai—aap log mere pair chhodiye

Ek—nahi aap hamare bachcho ki zindagi me farishta ban kar aaye ho…hum sab poori zindagi apki gulami kare to bhi ye karz nahi utar sakte

Dusra—aapne hame nayi zindgi di hai

Mai—maine jo bhi kiya vo mera farz tha.....ab aap log mujhe ijajat de

Tisra—nahi hum apko aise nahi jane denge....aap ko aaj yaha rukna hi hoga

Ek aurat—ek maa ki vinti man kar ruk jaiye….mai apke hath jodti hu

Mai—theek hai…mai aaj rukne ko taiyar hu...lekin mujhe kal subah jana hoga

Aurat—jaisi apki ichchha …kintu aaj apko rukna hi hoga

Main unki baat nahi taal saka....un logo ne hamare baithne ke liye apne gharo se khatiya le aaye….sharbat aur nasta me phal vagairah aur kuch pakwan jo bhi tha lekar aa gaye

Nasta aur pakwan behad swadishta tha….margret aur sona sab ko poori story un aurato ke beech baith kar suna rahi thi…maine abhi kuch hi pakwan khaye honge ki kisi ne mujhe kisi ne pani pakdaya…mujhe uski awaz kuch jani pahchani lagi to maine uski taraf nazare utha kedekha

Use dekhte hi mere gale ke andar ja raha pakwan beech me hi phans gaya….joro se hichki aane lagi aur main hichki lete huye phir se apni kismat ko kosne laga
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: Fri Mar 31, 2017 2:31 pm

चमत्कारी UPDATE * 61

Post by Fan of RSS »

UPDATE * 61

Main unki baat nahi taal saka....un logo ne hamare baithne ke liye apne gharo se khatiya le aaye….sharbat aur nasta me phal vagairah aur kuch pakwan jo bhi tha lekar aa gaye

Nasta aur pakwan behad swadishta tha….margret aur sona sab ko poori story un aurato ke beech baith kar suna rahi thi…maine abhi kuch hi pakwan khaye honge ki kisi ne mujhe kisi ne pani pakdaya…mujhe uski awaz kuch jani pahchani lagi to maine uski taraf nazare utha kedekha

Use dekhte hi mere gale ke andar ja raha pakwan beech me hi phans gaya….joro se hichki aane lagi aur main hichki lete huye phir se apni kismat ko kosne laga

Ab aage………

Maine us jani pahchani awaz wale chehre ko dekhte hi bhauchakka rah gaya….kyon ki mujhe pani dene wali aur koi nahi balki vahi ladki agni thi jisse pichha chhudane ke liye bach kar mai jungle se bhag gaya tha

Magar mujhe kya pata tha ki vo mujhe yaha aane par bhi mil jayegi…mai ab apni kismat ko siway kosne ke aur kar bhi kya sakta tha

Mai (mann me)—ye yaha kya kar rahi hai…..? kahi ye iska hi to gaon nahi hai.... ? ya sirf bachcho ki khabar sun kar yaha akasmat aa gayi ho….? Jo bhi ho isne apni nazare niche jhuka rakhi hain…ho sakta hai ki shayad isne abhi mujhe dekha na ho…..mujhe is mouke ka fayda uthana chahiye……mai yaha se fauran gayab ho jata hu….ha..yahi theek rahega…mai gayab ho jata hu

Bas ye khyal mann me aate hi main turant vaha se uth kar doud laga diya aur jakar gadi ke andar ghus gaya....mere aise achanak vaha se uth kar jane se sabhi hairan rah gaye

Sona—ye adi ko kya hua…bhag kyo gaya….?

Margret—chal chalkar dekhte hain….nahi to kahi akele kisi naye mission par na bhag jaye wo hame yaha chhedkar….?

Sona—ha..chal dekhte hain

Ek ladka—ye to vahi hain jinhone aaj agni ko akhade me haraya tha…

Sab—kyaaaa….?

Ye sunte hi agni ne choun kar turant apni nigahe upar kar li…..aur pani ka bartan vahi rakh kar gadi ki taraf bhagne lagi aur uske piche piche baki gaon wale bhi

Main sab ko apni taraf bhagte dekh hairan aur pareshan dono gaya…..samajh me nahi aa raha tha ki kya karu to main vaha se adrishya hone laga magar haye re meri buri kismat lakh koshish karne ke bavjud bhimai gayab nahi ho pa raha tha

Mai ab pareshan ho gaya…vo sab mere bilkul najdik aa chuke the….koi aur tarika na sujhte dekh main gadi ki seat ke niche jaldi se ghus gaya

Tab tak sabhi gadi ke paas aa gaye….gate khol kar andar taaka jhaki karne lage….magar main unhe nazar nahi aaya…to agni mayus ho gayi

Margret—lagta hai adi phir se kisi mission par bina bataye chala gaya

Sona—mujhe bhi yahi lagta hai

Mai (ye sun khush hoke mann me)—hihihi....lagta hai in logo ne mujhe nahi dekha....aaj to bach gaya...nahi to is shakti ne to meri aisi taisi kara hi di thi

Vahi ladka—mujhe abhi gadi me seat ke niche kuch dikha......shayad koi chhupa hai vaha

Mai (mann me)—mc..teri gaand me bade bade kide pade..bhsdk...hath pair dhoke mere piche hi pad gaya ye to...pata nahi kis janam ka badla le raha hai.....sale bahar aake teri gaand me vimal bhar ke kisi mote dande se aisa kutunga ki hamesha bathroom karte samay tere muh se bas ‘’Bolo Juban Kesari’’ hi niklega

Us ladke ki baat sun kar sona aur margret turant seat ke niche dekhne lagi jaha main chhupa hua tha.....mujhe vaha ghuse dekh kar dono apni ankhe badi badi karke mujhe ghurne lagi

Sona—adi...yaha kya kar rahe ho….? Chalo bahar aao

Margret—jaldi bahar aao

Mai (mann me)—maine chitra ko in dono ka khoon pine se roka kar khud apne hi pair me kulhadi maar li…. Hamesha bachane ki jagah ulta mujhe musibat me phasa deti hain ye dono

Margret—adi bahar niklo jaldi se

Budhiya—beta kya hua tum aise bhag kar vaha kyo chhup gaye..... ?

Mai (jhuth)—nahi...nahi..mai chhupa nahi tha....achanak mujhe yaad aaya ki maine neela patthar kaha gira diya bas vahi khoj raha tha

Main ab kuch nahi kar sakta tha to bahar nikal aaya chup chap…sab mujhe hi dekhe ja rahe the….magar tabhi agni bhag kar mere pairo me lipat gayi

Agni—aap mujhse bhag rahe hain…akhir kyo….?..meri galti kya hai…agar main apko pasand nahi to mujhe jaan se maar dijiye

Sona (shock)—ye pair chhod adi ka….aur ye kya ulta sidha bakwas kiye ja rahi hai….?

Margret—chhod jaldi se….vo mere pati hain…

Sona—mere bhi

Agni—vo mere bhi pati hain

Sona/margret (shocked)—kyaaaaa…..?

Sona (gusse me)—adiiii….tumne iske sath aate hi apna muh kala kar liya ….?

Mai—aisa kuch nahi hai…ye sab jhuth hai…mai to is ladki ko janta tak nahi

Vahi ladka—ye vahi ladki hai jise aapne aaj swayamvar me jeeta tha

Mai (mann me)—tujhe beech me bolna jaruri hai kya….?

Margret—(hairan) swayamvar…..?

Sona—kaisa swayamvar…..?

Agni ka baap—mai batata hu beti…

Dono—ha..ha batao...sach kya hai... ?

Agni ka baap—mera naam kanchuki hai...mai is ladki (agni) ka pita hu.....vivah ke kayi varsh pashchat bhi jab hamare koi santan nahi huyi to hum bahut nirash ho gaye the...ek baar ek mahatma yaha kuch samay ke liye ruke to maine apni patni ke sath unhe apni dukh bhari kahani sunayi

To unhone meri baat sunne ke baad kuch der tak apni ankhe band kar ke kuch dekhte rahe phir unhone kaha

Mahatma—tum dono ke bhagya me santan sukh nahi hai….kintu tumhe nirash hone ki koi awashyakta nahi hai… mai santan yagya kar ke tumhe santan sukh dilwa sakta hu

Unki baat sun kar hame apaar harsh hua…hamne turant yagya ke liye ha kar di……uske agle din un mahatma ne yagya karna aarambh kiya

Poora din yagya karne ke baad yagya ke agni kund se ek chhoti bachchi nikal ke bahar aayi….jise mahatma ne hamare hatho me dete huye kaha

Mahatma—aaj se yahi tumhari santan hai…kyon ki ye yagya ke agni kund se uttapann huyi hai isliye is kanya ka naam agni hoga….yah param tejashwini aur veerangana hogi….kintu

Kanchuki—kintu kya mahatma ji…?

Mahatma—agni se paida hone ke karan iske andar kroadh atyadhik hoga….kroadh had se jyada ho jane par ye bekabu ho jayegi…us samay kisi ko bhi apni kroadhagni se jala kar raakh kar sakti hai

Kanchuki—kya iska koi upay nahi hai….?

Mahatma—kewal iska pati hi isko kabu me kar sakta hai….lekin iska vivah uske sath hi hona sambhav hai jo isse bhi adhik veer ho

Agni ki maa—ye hame pata kaise chalega ki koun jyada veer hai….?

Mahatma—yumhare gaon ka vivah ka jo rivaz hai uske dwara hi malum chal jayega…..iske vivah ke akhade ke swayamvar me jo isko parajit kar dega vahi iska pati hoga aur isse adhik veer bhi hoga

Agni dhire dhire badi hone lagi….hum hamesha use ladayi jhagde se dur hi rakhte the…lekin jab kabhi bhi usko gussa jyada aa jata to jungle me aag lag jati thi….aadha jungle to iske gusse ki vajah se khakh ho gaya

Aaj agni ke vivah ka swayamvar chal raha tha…..jab un ladko me se koi nahi jeet paya to un logo niyam ka ullanghan kar ke ek sath agni se bhid gaye tabhi aap aa gaye aur ek pal me hi agni ko hara diya aapne.... ab aap hi meri beti agni ke pati hain

Margret—achcha ab samjhi….. tabhi tum dophar me hame akela sote huye chhod kar yaha swayamvar jeetne chup chap bhag aaye the….?

Sona (ghurte huye)—hum dono se mann nahi bharta kya tumhara jo abhi bhi biwi kam pad rahi hain….?

Mai—ye sarasar cheating hai….mai ise shadi nahi maan sakta….

Kanchuki—beta ye koi dagabazi nahi hai....balki yahi satya hai ki agni ab apki patni ban chuki hai

Mai—aise kaise koi bhi meri patni ban jayegi....agar iska swayamvar ho raha tha to vaha koi board me likha hua kyo nahi tha ki agni swayamvar samaroh.....ye cheating nahi to kya hai.... ? hamare yaha shadi hoti hai to barat nikalti hai band baje ke sath...charo taraf sajawat hoti hai...har jagah ladki aur ladke ka naam likha hota hai cards aur banner par...

Margret—ha..ye to sahi baat hai

Mai—mai to bas is jungle me bheesan aag lagi huyi thi usko bujhane aaya tha….lekin loutne time jab maine dekha ki ye ladki ek ladke ki gardan pakde huye hai…to maine us ladke ko bachane ke liye isko dhakka diya tha….ab sab batao ye shadi kaise huyi..kab huyi…..?

Ek buddha—hamare yaha to isi tarah se shadi hoti hai beta…aur ek baar jo kisi ladki ko swayamvar me jeet leta hai vahi uska pati hota hai

Vahi ladka—haan…aur agar us ladke ne ladki ko aswikar kar diya to us ladki ko turant hi atma hatya karni hoti hai…yahi hamare gaon ka niyam hai

Kanchuki—beta meri beti ko apna lo….nahi to usko bhi aaj atma hatya karni padegi

Margret (gusse me)—aise kaise swikar kar le usko apni patni……

Sona—adi sahi bol raha hai....hum dono hain uski patni

Ye sun kar chitra ne ek baar phir se dono ko utha kar vahi patak diya....shayad usko hum dono sun kar gussa aa gaya tha

Dono (karahte huye)—adii...hame is chudail se bachao...

Agni (rote huye)—agar aap mujhe apnana nahi chahte to theek hai...meri chita ko aag to kam se kam jarur de dena

Ye kah kar vo tezi se bhagi vaha se rote huye apne ghar ki taraf...mai to use dekhte hi dang rah gaya...ki kaisa system hai is gaon ka....margret aur sona mujhe ulahna dene me lagi huyi thi jaise maine sab jaan bujh kar ye sab kiya ho

Mai—ab agar ek shabd bhi muh se nikla na to tum dono ko bhi hamesha ke liye chhod dunga...samajh aaya.. tum dono ko bhi mai apni biwi nahi samajhta

Dono—nahi..nahi...hum ab kuch nahi bolenge...aisa mat karna

Abhi usko gaye huye kuch hi der huye honge ki vahi ladka bhagta hua aaya aur kahne laga ki agni ne apne hath ki nas kaat li hai...uski halat bahut najuk hai

Hum turant bhag kar vaha pahuche...jaha agni niche besudh padi huyi thi...uske dono hatho se khoon bah raha tha...maine sab ko vaha se hata kar apni power se khoon ka bahav roka...

Dhire dhire uska jakhma bharne laga....mere paas ab koi aur chara nahi bacha tha......hosh me aate hi jab usne apne apko meri god me dekha to rote huye mujhse lipat gayi

Mai—ab ye rona band karo....lekin ye yaad rakhna ki tum akele meri biwi nahi ho....aur bhi hain meri jindagi me

Agni—mujhe koi aitaraz nahi hai

Mai—theek hai to phir chalne ki taiyari karo

Humne ghar jane ka faisla kar liya...lekin mujhe kya pata tha ki ghar me ek nayi musibat mera intazar pahle se hi kar rahi hai
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: Fri Mar 31, 2017 2:31 pm

चमत्कारी UPDATE * 62

Post by Fan of RSS »

UPDATE * 62

Raat me hum sab usi gaon me ruke...logo ke bahut aagrah karne par...raat me vaha utsav jaisa mahaul ban gaya tha...sona aur margret ko bhi maine agni ke liye samjha diya tha...lekin kutte ki puchh kabhi sidhi huyi hai kya... theek vaisa hi inka tha ek aurat apni soutan ko asani se accept nahi karti

Mai—ye gaon ka naam utha patak kyo hai.... ?

Ek admi—kyon ki yaha har baat ka faisla utha patak se hi hota hai...chahe vo vivah ka ho ya phir koi aur masla

Sona—ajib niyam hain yaha ke aur bade vichitra naam vale gaon dekhne ko mil rahe hain

Agni ka baap—beta hum tumhare bahut abhari hain...tumne is gaon ke logo ko ek naya jeevan diya hai..ye upkar hum kabhi nahi bhula sakte

Mai—ye koi upkar nahi hai...ye mera farz tha jo maine poora kiya hai

Agni ki maa—beta meri beti ka khyal rakhna....uska gussa ab tum hi kabu kar sakte ho....bade nazo se pala hai maine agni ko

Mai—aap nishchint rahe....

Margret—ha...aap chinta na kare....ab inki teen biwi ho gayi.....aaaaaaaahhhhh...adiiiii

Hua ye ki margret ne jaise hi teen biwi kaha to chitra ne use utha ke jamin me patak diya....maine use uthaya jakar aur chitra ko piche kiya

Margret—adi is chudail....nahi nahi....chudail nahi...kya pata chudail kahne par phir patak de....main to aise hi mar jaungi iske baar baar patakne se hi....adi tum chitra ko samjhao na...aisa na kare

Raat me kafi der tak jagne ke baad hum sabhi so gaye....sone se pahle maine chitra ko kah diya tha ki hamare sone ke baad kisi ko nipta mat dena

Subah meri need jaldi khul gayi to main jungle ke andar jakar dhyan me baith gaya...aur dhyan me hi gurudev ka ahvahan karne laga….thodi der me jaise hi mai dhyan me magn hua to gurudev ne mujhe dhyan mudra me darshan diye

Gurudev—mujhe kaise yaad kiya aaj putra

Mai—pranam gurudev

Gurudev—sada kalyan ho

Mai—vo to jab se shaktiya mili hain tab se ho hi raha hai

Gurudev—inse nirash mat ho putra

Mai—to kya karu gurudev…pahle to jinda log meri patni banne ke liye piche aati thi ab to murde bhi khwab dekhne lage hain…kuch din baad kutte billi bhi na line me lag jaye….ab bhi isko kalyan hona kahenge aap….?

Gurudev—hahaha….tum nirash na ho…sab theek ho jayega…..vaise tumne mujhe kyo yaad kiya tha putra

Mai—gurudev mai chitra ko chudail yoni se mukti dilana chahta hu….usi sandarbh me puchhne ke liye apko yaad kiya hai maine

Gurudev—ye to bahut hi achchha socha hai tumne…..kintu kisi bhi kaam ko karne se pahle uska itihas janna avashyak hota hai putra

Mai—mujhe uska itihas kaha se milega gurudev….?

Gurudev—usi gaon se…jaha se chitra tumhe mili hai….kintu uski mukti me abhi samay hai

Mai—mai samjha nahi gurudev….kaise hogi uski mukti

Gurudev—uski mukti ke liye tumhare rakta ki kuch boonde kafi hain....tumhe uski ashthiyo par apna khoon girana hoga usse hi chitra ki mukti hogi

Mai—iska matlab mujhe pahle vo jagah khojni hogi jaha usko dafnaya gaya hai

Gurudev—ha...kintu ye kaam itna asan nahi hai....ye kafi jiddi aur bigdi huyi ruh hai.....itni shighrata se tumhara pichha nahi chhodegi khas kar jabki uske dil me tumhari biwi banne ki khwahish janam le chuki hai

Mai—to ab aap hi mujhe sahi rasta dikhaye gurudev ki mai kya karu..... ?

Gurudev—agle mahine ki amavashya ko usi gaon me jakar uski ashthiya talash karna aur phir unke upar apne khoon ki kuch boonde gira dena...isse vo chahe ya na chahe use mukta hona hi padega tatpashchat uska daah sanskar kar dena

Mai—theek hai gurudev

Gurudev—kintu is baat ka khyal rakhna putra...ki ye sab bahut hi mushkil aur jokhim bhara kaam bhi ho sakta hai tumhare marg me bahut si rukawate ayengi..tumhe un par vijay pana hoga aur sabse pahle vaha ka itihas janna hoga vo bhi usi din madhya ratri tak

Mai—jaisi apki agya gurudev

Gurudev—tumhara kalyan ho

Gurudev ke antardhyan hote hi mai bhi dhyan se bahar aa gaya....aur sab ke pass lout aaya...jaha sabhi mujhe hi talash karne nikalne wale the

Sona—kaha chale gaye the....pata hai hum kitna pareshan ho gaye the.... ?

Mai—kahi nahi tahalne gaya tha

Khatra—hame kab nikalna hai yaha se malik

Mai—arey yaar ek to tum mujhe ye malik na kaha karo..samjhe

Khatra—jaisa aap kahe

Hum sab fresh hone aur nasta karne ke baad chalne ke liye ready ho gaye....poore gaon wale vahi jamghat lagakar hame ghere khade the…maine sabhi se ijajat li aur vaha se adrishya hokar sidhe apni jagah par aa gaya jaha maine car ko chhupa rakha tha

Mai—sona....tum agni ka parichay ghar me mummy se apni bahan ke roop me karwana

Sona—mai kyu karwau…..mai to mummy ji se sab bata dungi ki ye apki nayi bahu hai

Mai—chal utar car se niche…bhag tu bhi

Sona—kyu.... ?

Mai—mummy mujhe ghar me ghusne bhi nahi dengi samjhi....vo teri baat manti hain..aaya kuch samajh me ki nahi..

Sona—theek hai...bol dungi...

Margret—aur iska khatra ke liye kya bologe….ise bhi isi poonchh ka bhai bana do..hihihihi

Sona—utha ke niche phek dungi tujhe…

Mai—shant….vo mera dost ban ke rahega

Khatra—ye aap kya kah rahe hain malik…? Mai to apka gulam hu

Mai—mujhe gulam nahi chahiye…dost ban ke rahna hai to theek warna tum bhi jao yaha se

Khatra—lekin akele me mai apko malik hi kahunga

Mai—ok

Sona—raj tilak ka bhi samay aa gaya hai...

Mai—chalenge...pahle ghar ka haal to dekh lu

Agni—kiska raj tilak hona hai….?

Sona—hamare patidev ka….ab ye pari lok ke maharaj hain

Agni—kyaaa…? Sach me…?

Margret—nahi to kya jhuth me

Agni—kya mai bhi jaungi vaha….?

Mai--haan

Aise hi baate karte huye hum ghar pahuch gaye….jaise hi darwaje par pahuche to mere pair vahi par jam ke rah gaye kisi ko dekhte hi

Mai (shocked)—shree didi....? yahan kaise…..?....ab mera kya hoga bhagwan ‼ ?
koushal
Pro Member
Posts: 3027
Joined: Mon Jun 13, 2016 12:46 pm

Re: चमत्कारी

Post by koushal »

Awesome Update ....
rajan
Expert Member
Posts: 3483
Joined: Sat Aug 18, 2018 5:40 pm

Re: चमत्कारी

Post by rajan »

बढ़िया अपडेट के लिए बहुत बहुत धन्यवाद

अगले अपडेट का इंतज़ार रहेगा

(^^-1rs2) 😘 😓 😱

Return to “Hindi ( हिन्दी )”