/** * Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection. * However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use. */

एक अनोखा बंधन compleet

User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: Fri Oct 10, 2014 4:39 am

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

ज़रीना ने जब आँखे खोली तो वो चोंक गयी. उसे समझ नही आया कि ये खवाब है या हक़ीक़त. आदित्य बिल्कुल उसके सामने खड़ा था हाथ जोड़ कर आँखे बंद किए हुवे. उसे कुछ समझ नही आ रहा था कि वो क्या करे.

आदित्य ने जब आँखे खोली तो ज़रीना की आँखे टपक रही थी. “तुम्हारा आदित्य तुम्हारे सामने है ज़रीना. जो सज़ा देना चाहो दे दो.”

“क्यों किया तुमने ऐसा आदित्य क्यों किया. क्या कोई करता है ऐसा जैसा तुमने किया मेरे साथ” ज़रीना फूट-फूट कर रोने लगी.

आदित्य ने ज़रीना का हाथ पकड़ा और बोला, “आओ एक तरफ चलते हैं. सुबह का वक्त है काफ़ी लोग आ रहे हैं मंदिर में.”

“मेरा हाथ छ्चोड़ो तुम. नही करनी है कोई भी बात तुमसे.” ज़रीना आदित्य का हाथ झटक कर वाहा से भाग गयी और मंदिर की सीढ़ियाँ उतर कर मंदिर के सामने बने एक पेड़ का सहारा ले कर खड़ी हो गयी. सूबक रही थी बुरी तरह.

आदित्य भी तुरंत आ गया उसके पीछे और उसके कंधे पर हाथ रख कर बोला, “क्या बिल्कुल माफ़ नही करोगी अपने आदित्य को.”

“माफ़ तो करना ही पड़ेगा तुम्हे. कोई भी चारा नही है मेरे पास. इसी बात का तो फ़ायडा उठाया तुमने.”

“बहुत गुस्से में हो...”

“गुस्सा नही आएगा क्या?”

“अछा एक काम करो…देखो सामने एक बड़ा पत्थर पड़ा है. उठाओ और दे मारो मेरे सर पर. जैसे घर पर गमला मारा था वैसे ही मारो”

“मैं मार भी सकती हूँ अभी. तुम्हे पता नही कि क्या कुछ सहा है मैने तुम्हारे पीछे. सब कुछ सहा सिर्फ़ तुम्हारे लिए. और तुम बिना बताए ना जाने कहा चले गये.”

“तुम्हे क्या लगता है कि मैं बेवजह तुम्हे अकेला छ्चोड़ कर कही चला जाउन्गा.”

“हां मानती हूँ कि कोई वजह तो ज़रूर रही होगी. पर क्या इतनी बड़ी वजह थी कि तुम एक साल से गायब हो. कोई भी नही जानता था कि तुम कहा चले गये.”

“मैं कोमा में था ज़रीना.”

“क्या कोमा में!” ज़रीना हैरान रह गयी और मूड कर आदित्य की तरफ देखा. उसे आदित्य की आँखो में आँसू दीखाई दिए.

“हां मैं कोमा में था. वरना तो कोई भी ताक़त मुझे तुमसे दूर नही रख सकती थी.”

ज़रीना लिपट गयी आदित्य से और बोली, “कैसे हुवा ये सब आदित्य. किसने किया.”

“कुछ लोग तुम्हारे बारे में भला बुरा कह रहे थे. सुना नही गया मुझसे और मैं उन लोगो से भिड़ गया.” आदित्य ने ज़रीना को पूरी बात बताई.

“बस होश आते ही निकल पड़ा मैं तुम्हारी तलाश में. देखो मसूरी की हसीन वादियों में छुपी बैठी थी मेरी ज़रीना.”

“आदित्य दुबारा मत करना ऐसी लड़ाई किसी से. किसी के बोलने से क्या हो जाता है. देखो कितना तदपि हूँ मैं तुम्हारे लिए. अगर मैं तड़प-तड़प कर मर जाती तो. फिर तुम क्या करते.”

“चुप रहो…ऐसा नही बोलते. वैसे अछा लगा तुम्हे मंदिर में देख कर. मैं भी तुम्हारी मस्ज़िद जाउन्गा.”

“अगर पता होता कि मंदिर में फरियाद करने से तुम मिल जाओगे तो कब की चली आती यहा. कुछ दिन पहले अचानक ही ख्याल आया मंदिर जाने का. पर डर रही थी की मंदिर से कोई निकाल ना दे. मुझे पता भी नही था कि मंदिर में जा कर करना क्या है. मगर आज हिम्मत करके आ ही गयी. और देखो तुम मिल गये मंदिर में.”

“किसी इंसान के चेहरे पर नही लिखा होता कि वो किस धरम का है. भगवान का मंदिर हर किसी के लिए है.” आदित्य ने कहा

आदित्य ने अपनी जेब से एक चाबी निकाली और ज़रीना के हाथ में रख दी.

“ये क्या है आदित्य?”

“उसी मनहूस ताले की चाबी है जिसके कारण तुम अपने ही घर में नही घुस पाई. आओ घर चलते हैं ज़रीना. अपने घर चलते हैं. वो घर तड़प रहा है तुम्हारे लिए. अपने हाथ से खोलना उस मनहूस ताले को.”

ज़रीना ने अपनी आँखो के आँसू पोंछे और बोली, “थोड़ा सा वक्त दो मुझे बस. बच्चो से मिल लूँ एक बार. अचानक उनसे मिले बिना चली गयी तो खूब हल्ला करेंगे. संभाले नही संभलेंगे किसी से.”

“ठीक है तुम मिल आओ. मैं प्लेन की टिकेट बुक करा लेता हूँ.”

“वाउ…क्या हम प्लेन से जाएँगे.” ज़रीना झूम उठी. उसने कभी प्लेन से यात्रा नही की थी.

“हां बिल्कुल. तुम्हारे चक्कर में प्लेन में ही घूम रहा हूँ आजकल. कब तक आ सकती हो फ्री हो कर.”

“बस 2 घंटे दो मुझे…मैं यही आ जाउन्गि मंदिर में फिर हम साथ चलेंगे.”

“वैसे यही घूमते हम एक साथ. मगर अभी बस तुम्हारे साथ घर जा कर ढेर सारी बाते करने का मन है. फिर कभी आएँगे मसूरी में.”

“हां वैसे भी अभी यहा रहमान चाचा है साथ में. उन्होने देख लिया तो तूफान मचा देंगे. अभी यहा से चलते हैं. हमारा घर ही हमारे लिए मसूरी है…है ना आदित्य.”

“बिल्कुल मेरी जान…बिल्कुल”

“तुम्हारी जान बन गयी मैं अब?”

“और नही तो क्या. तुम्हारा प्यार ना होता तो शायद कभी नही उठ पाता कोमा से. तुम्हारे प्यार ने ही मुझे गहरी नींद से जगाया है. वरना तो कोमा में बरसो पड़े रहते हैं लोग.”

एक लंबी जुदाई के बाद जब दो प्रेमी मिलते हैं तो उन्हे अपना प्यार पहले से भी और ज़्यादा गहरा महसूस होता है. जुदाई प्रेमियों को अक्सर उनके प्यार की गहराई दीखा देती है. ऐसा क्यों होता है शायद कोई नही जानता हां पर अक्सर ऐसा होता ज़रूर है.

आदित्य और ज़रीना जुदाई में इतने तडपे थे कि उन्हे उनका प्यार समुंदर से भी ज़्यादा गहरा लग रहा था. उन दोनो के पाँव नही टिक रहे थे ज़मीन पर. होता है अक्सर ऐसा भी. प्यार इंसान को हवा में उड़ा देता है, पाँव ज़मीन पर नही टिक पाते फिर उसके.

ज़रीना वापिस पहुँची बच्चो से मिलने तो रशिदा उसका हाथ पकड़ कर एक तरफ ले गयी.

"आज बहुत रोनक है तेरे चेहरे पे?" रशिदा ने कहा.

"मेरा आदित्य, मेरे पास वापिस आ गया है. मेरी जींदगी का सबसे बड़ा दिन है आज."

"वैसे वो था कहा इतने दिन"

"आदित्य कोमा में था रशिदा और मैं बदनसीब ऐसे वक्त में उसके पास नही थी." ज़रीना उसे पूरी कहानी सुनाती है.

"ओह...कितना बुरा हुवा था उसके साथ"

"हां और मुझ अभागी को पता भी नही था" ज़रीना की आँखे नम हो गयी बोलते हुवे.

"अब क्या करने का इरादा है तुम दोनो का."

"हम साथ रहेंगे अब बस. रशिदा बस मैं बच्चो से मिलने आई हूँ. 2 घंटे बाद मुझे वापिस पहुँचना है. हम अपने घर जा रहे हैं रशिदा. वही घर जहा मैं रोज अपनी चिट्ठियाँ डाल कर आती थी."

"रहमान चाचा को क्या कहेंगे ज़रीना. सुबह से कयि बार पूछ चुके हैं तुम्हारे बारे में.

"मेरी मदद करो रशिदा. मुझे हर हाल में 2 घंटे में आदित्य से मिलना है."

"बिना शादी के ही साथ जा रही हो आदित्य के?"

ज़रीना मुश्कुराइ और बोली," उसका साथ ही मेरी जींदगी है

रशिदा. शादी भी कर लेंगे हम. पहले हम घर जाएँगे फिर तैय करेंगे कि आगे क्या करना है."

"चल तू ज़्यादा देर मत कर बच्चो से मिल और चुपचाप निकल जा. मैं रहमान चाचा को संभाल लूँगी."

आदित्य ने एक एजेंट से देल्ही से वडोदरा की टिकेट बुक करवा ली. अगले दिन सुबह 10 बजे की टिकेट मिली. मसूरी से देल्ही जाने के लिए उसने टॅक्सी का इंटेज़ाम कर लिया. सारे अरेंज्मेंट करने के बाद ठीक 2 घंटे बाद वो मंदिर पहुँच गया.

क्रमशः...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: Fri Oct 10, 2014 4:39 am

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

Ek Anokha Bandhan--14

gataank se aage.....................

Naha dho kar saade 6 baje tak taiyaar bhi ho gaya aur nikal pada hotel se. ushne ek taxi pakdi library point se aur nikal pada kempty falls ki taraf. Ushke nazdik hi ek kasbe mein ruki thi zarina.

7 baje pahunch gaya vo ush jagah par. Bachcho ke shor se ushke dil ko tassalli mili ki vo sahi jagah pahunch gaya hai. bachcho ki awaaj gunj rahi thi har taraf. Awaaj ki taraf ushke paanv kheenche chale gaye. Ek bahut bada ghar tha, jishke baahar bahut saare bachche khel rahe the.

Ek bujurg baitha tha kursi beechaye aur 2 ladkiyan bachcho ko sambhaalne ki koshis kar rahi thi. ek ka naam rashida tha aur dusri ka naam anjum tha. bachche apne swabhaav ke anusaar idhar udhar bhaag rahe the. Aditya ko zarina kahi nazar nahi aa rahi thi. aditya har taraf ghur-ghur kar dekh raha tha.

rashida ki nazar aditya par padi to vo ushke paas aayi “kya kaam hai aapko. Kab se dekh rahi hun ghur-ghur kar dekhe ja rahe hain. Bachcho ko agva karne ka iraada hai kya aapka.”

“nahi aap mujhe galat samajh rahe hain. Main darasal zarina ko dhund raha tha. kaha hai vo”

“zarina ko dhund rahe the ? kyon dhund rahe the zarina ko. Kya kaam hai ush se.”

“mera naam aditya hai aur main gujrat se aaya hun. Please jaldi se ushe bula dijiye”

“tum aditya ho?”

“haan kyon? Aapko koyi shak hai.”

“nahi…hairaan hun aapko dekh kar. Zarina ko bahut tadpaaya aapne.”

“kya aap zarina ko bula sakti hain.”

“dheere bolo. Yaha kishi aur ko zarina aur tumhaare baare mein nahi pata. Mandir gayi hai vo aaj. Kuch dino se soch rahi thi jaane ko. Kah rahi thi ki mandir mein bhi fariyaad laga du aditya ke liye. Kya pata vo aa jaaye vaapis mere paas.”

“kaha hai ye mandir.”

“paas mein hi hai. aap shaayad dusre raaste se aaye hain varna zarina raaste mein hi mil jaati aapko. bas abhi thodi der pahle hi nikli thi zarina. Thodi der pahle aate to mil hi jaati aapko.”

“rashida kaun hai ye” unko ush bujurg ki awaaj aayi jo kursi par baitha tha. ushka naam rahmaan tha.

“jaao tum ab. Zarina se baahar mandir mein hi mil lo. Rahmaan chacha ko pata chala to toofan macha denge.”

“thank you very much. Main nikalta hun.”

aditya mandir ki taraf dauda. Raasta samajh nahi aa raha tha ushe. Logo se puchta-puchta pahunch hi gaya mandir. Bhole naath ka mandir tha vo. Jab aditya vaha pahuncha to zarina seedhiyan chadh rahi thi mandir ki. Aditya dekhte hi jhum utha zarina ko. Ish kadar khus huva ki ek aadmi se takra gaya. “oh sorry bhai…maaf karna.”

“kya maaf karna dekh kar chala karo yaar, mera parsaad gira diya.”

“maaf karna bhai…magar parsaad bekaar nahi jaayega. Cheentiyan kha lengi ushe aur ishka punya aapko hi milega.”

“haan theek hai theek hai jyada lecture mat do mujhe.”

Vo aadmi badbadata huva aage badh gaya. Aditya fauran mandir ki seedhiyon ki taraf dauda. Seedhiyan chadh kar vo upar aaya to dekha ki zarina kuch asmanjas mein hai. vo idhar udhar dekh rahi thi ki kya kare. Pahli baar mandir aayi thi vo. Kaise jaan sakti thi ki mandir mein ja kar karna kya kya hota hai. ek lady ne jab mandir ki ghanti bajaayi to ushne bhi ushki dekha dekhi mandir ki ghanti baja di.

Aditya ye sab dekh kar peeche hi ruk gaya. Zarina ko dekh kar madham-madham muskura raha tha. zarina bas ush lady ko dekh kar sab kar rahi thi jishko dekh kar ushne ghanti bajaayi thi. jab vo lady bhagvaan ke aage haath jod kar aankh meech kar khadi huyi to zarina bhi ye dekh kar aankh meech kar haath jod kar khadi ho gayi. Aditya ye sab dekh kar lotpot ho raha tha. mandir ka pujaari bhi zarina ko dekh kar mushkura raha tha. samajh gaya tha vo bhi ki ye ladki pahli baar mandir aayi hai.

Magar jab zarina ne aankhe meechi to ushe pata tha ki kya karna hai. ushne man hi man mein kaha, “hey bhagvaan. Mujhe nahin pata ki aapki puja kaise ki jaati hai. kuch bhi nahi jaanti hun aapke baare mein. Kuch nahi pata ki kaise duva karun aditya ke liye aapke saamne. Yaha bas ek fariyaad le kar aayi hun. Apne allaah ko bhi ye fariyaad kar chuki hun par abhi tak kuch haasil nahi huva. Socha ki aapke aage bhi fariyaad kar dun. Aap to aditya ke bhagvaan ho. Vo aapko maanta hai. bahut pyar karti hun main aditya se. vo bhi mujhe bahut pyar karta hai. ek choti si ladaayi huyi thi hamaari aur ushke baad hum mil nahi paaye aaj tak. Aditya ka kuch pata bhi nahi chal raha hai ki vo hai kaha. Agar aap ushke baare mein jaante hain to please ushe bhej dijiye mere paas. Mere liye aditya ke bina jeena mushkil hai. sach kah rahi hun bhagvaan agar aditya nahi aaya to main mar jaaungi. Aur ilzaam mere allaah par bhi aayega aur aap par bhi aayega. Hum kyon juda hain samajh nahi aata jabki bahut pyar karte hain hum dono. Kuch kijiyega hamaare liye bhagvaan. Please….”

Zarina ne jab aankhe kholi to vo chonk gayi. Ushe samajh nahi aaya ki ye khawaab hai ya haqeeqat. Aditya bilkul ushke saamne khada tha haath jod kar aankhe band kiye huve. Ushe kuch samajh nahi aa raha tha ki vo kya kare.

Aditya ne jab aankhe kholi to zarina ki aankhe tapak rahi thi. “tumhaara aditya tumhaare saamne hai zarina. Jo saja dena chaaho de do.”

“kyon kiya tumne aisa aditya kyon kiya. Kya koyi karta hai aisa jaisa tumne kiya mere saath” zarina phoot-phoot kar rone lagi.

Aditya ne zarina ka haath pakda aur bola, “aao ek taraf chalte hain. Subah ka vakt hai kaafi log aa rahe hain mandir mein.”

“mera haath chhodo tum. Nahi karni hai koyi bhi baat tumse.” Zarina aditya ka haath jhatak kar vaha se bhaag gayi aur mandir ki seedhiyan utar kar mandir ke saamne bane ek ped ka sahaara le kar khadi ho gayi. Subak rahi thi buri tarah.

Aditya bhi turant aa gaya ushke peeche aur ushke kandhe par haath rakh kar bola, “kya bilkul maaf nahi karogi apne aditya ko.”

“maaf to karna hi padega tumhe. Koyi bhi chaara nahi hai mere paas. Ishi baat ka to faayda uthaaya tumne.”

“bahut gusse mein ho...”

“gussa nahi aayega kya?”

“acha ek kaam karo…dekho saamne ek bada pathar pada hai. uthaao aur de maaro mere sar par. Jaise ghar par gamla maara tha vaise hi maaro”

“main maar bhi sakti hun abhi. Tumhe pata nahi ki kya kuch saha hai maine tumhaare peeche. Sab kuch saha sirf tumhaare liye. Aur tum bina bataaye na jaane kaha chale gaye.”

“tumhe kya lagta hai ki main bevajah tumhe akela chhod kar kahi chala jaaunga.”

“haan maanti hun ki koyi vajah to jaroor rahi hogi. Par kya itni badi vajah thi ki tum ek saal se gaayab ho. Koyi bhi nahi jaanta tha ki tum kaha chale gaye.”

“main coma mein tha zarina.”

“kya coma mein!” zarina hairaan rah gayi aur mud kar aditya ki taraf dekha. Ushe aditya ki aankho mein aansu deekhayi diye.

“haan main coma mein tha. varna to koyi bhi taakat mujhe tumse dur nahi rakh sakti thi.”

Zarina lipat gayi aditya se aur boli, “kaise huva ye sab aditya. Kishne kiya.”

“kuch log tumhaare baare mein bhala bura kah rahe the. Shuna nahi gaya mujhse aur main un logo se bhid gaya.” Aditya ne zarina ko puri baat bataayi.

“bas hosh aate hi nikal pada main tumhaari talaash mein. Dekho mussoorie ki hasin vaadiyon mein chupi baithi thi meri zarina.”

“aditya dubara mat karna aisi ladaayi kishi se. kishi ke bolne se kya ho jaata hai. dekho kitna tadpi hun main tumhaare liye. Agar main tadap-tadap kar mar jaati to. Phir tum kya karte.”

“chup raho…aisa nahi bolte. Vaise acha laga tumhe mandir mein dekh kar. Main bhi tumhaari maszid jaaunga.”

“agar pata hota ki mandir mein fariyaad karne se tum mil jaaoge to kab ki chali aati yaha. Kuch din pahle achaanak hi khyaal aaya mandir jaane ka. Par dar rahi thi ki mandir se koyi nikaal na de. Mujhe pata bhi nahi tha ki mandir mein ja kar karna kya hai. magar aaj himmat karke aa hi gayi. Aur dekho tum mil gaye mandir mein.”

“kishi insaan ke chehre par nahi likha hota ki vo kish dharam ka hai. bhagvaan ka mandir har kishi ke liye hai.” aditya ne kaha

Aditya ne apni jeb se ek chaabi nikaali aur zarina ke haath mein rakh di.

“ye kya hai aditya?”

“ushi manhus taale ki chaabi hai jishke kaaran tum apne hi ghar mein nahi ghuss paayi. Aao ghar chalte hain zarina. Apne ghar chalte hain. Vo ghar tadap raha hai tumhaare liye. Apne haath se kholna ush manhus taale ko.”

Zarina ne apni aankho ke aansu ponche aur boli, “thoda sa vakt do mujhe bas. Bachcho se mil lun ek baar. Achaanak unse mile bina chali gayi to khub halla karenge. Sambhaale nahi sambhlenge kishi se.”

“theek hai tum mil aao. Main plane ki ticket book kara leta hun.”

“wow…kya hum plane se jaayenge.” Zarina jhum uthi. Ushne kabhi plane se jouney nahi ki thi.

“haan bilkul. Tumhaare chakkar mein plane mein hi ghum raha hun aajkal. Kab tak aa sakti ho free ho kar.”

“bas 2 ghante do mujhe…main yahi aa jaaungi mandir mein phir hum saath chalenge.”

“vaise yahi ghumte hum ek saath. Magar abhi bas tumhaare saath ghar ja kar dher saari baate karne ka man hai. phir kabhi aayenge mussoorie mein.”

“haan vaise bhi abhi yaha rahmaan chacha hai saath mein. Unhone dekh liya to toofan macha denge. Abhi yaha se chalte hain. Hamaara ghar hi hamaare liye mussoorie hai…hai na aditya.”

“bilkul meri jaan…bilkul”

“tumhaari jaan ban gayi main ab?”

“aur nahi to kya. Tumhaara pyar na hota to shaayad kabhi nahi uth paata coma se. tumhaare pyar ne hi mujhe gahri neend se jagaaya hai. varna to coma mein barso pade rahte hain log.”

Ek lambi judaayi ke baad jab do premi milte hain to unhe apna pyar pahle se bhi aur jyada gahra mahsus hota hai. Judaayi premiyon ko aksar unke pyar ki gahraayi deekha deti hai. Aisa kyon hota hai shaayad koyi nahi jaanta haan par aksar aisa hota jaroor hai.

Aditya aur zarina judaayi mein itne tadpe the ki unhe unka pyar samunder se bhi jyada gahra lag raha tha. Un dono ke paanv nahi tik rahe the zamin par. Hota hai aksar aisa bhi. Pyar insaan ko hawa mein uda deta hai, paanv jamin par nahi tik paate phir ushke.

Zarina vaapis pahunchi bachcho se milne to rashida ushka haath pakad kar ek taraf le gayi.

"aaj bahut ronak hai tere chehre pe?" rashida ne kaha.

"mera aditya, mere paas vaapis aa gaya hai. Meri jeendagi ka sabse bada din hai aaj."

"vaise vo tha kaha itne din"

"aditya coma mein tha rashida aur main badnasib aise vakt mein ushke paas nahi thi." zarina ushe puri kahaani shunaati hai.

"oh...kitna bura huva tha ushke saath"

"haan aur mujh abhaagi ko pata bhi nahi tha" zarina ki aankhe nam ho gayi bolte huve.

"ab kya karne ka iraada hai tum dono ka."

"hum saath rahenge ab bas. Rashida bas main bachcho se milne aayi hun. 2 ghante baad mujhe vaapis pahunchna hai. Hum apne ghar ja rahe hain rashida. Vahi ghar jaha main roj apni cheethiyan daal kar aati thi."

"rahmaan chacha ko kya kahenge zarina. Subah se kayi baar puch chuke hain tumhaare baare mein.

"meri madad karo rashida. Mujhe har haal mein 2 ghante mein aditya se milna hai."

"Bina shaadi ke hi saath ja rahi ho aditya ke?"

Zarina mushkuraayi aur boli," ushka saath hi meri jeendagi hai

Rashida. Shaadi bhi kar lenge hum. Pahle hum ghar jaayenge phir taiy karenge ki aage kya karna hai."

"chal tu jyada der mat kar bachcho se mil aur chupchaap nikal ja. Main rahmaan chacha ko sambhaal lungi."

Aditya ne ek agent se delhi se vadodara ki ticket book karva li. Agle din subah 10 baje ki ticket mili. Mussoorie se delhi jaane ke liye ushne taxi ka intezaam kar liya. Saare arrangement karne ke baad theek 2 ghante baad vo mandir pahunch gaya.

kramashah...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: Fri Oct 10, 2014 4:39 am

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

एक अनोखा बंधन--15

गतान्क से आगे.....................

आदित्य थोड़ा पहले पहुँच गया. वो मंदिर के बाहर उसी पेड़ से कंधा लगा कर खड़ा हो गया जहा वो 2 घंटे पहले ज़रीना के साथ खड़ा था.

जब उसने ज़रीना को आते देखा तो एक प्यार सी हँसी बिखर गयी उसके होंटो पे. उसकी निगाहे बस ज़रीना पर ही फिक्स हो गयी.

ज़रीना आदित्य को अपनी तरफ एक-तक देखते हुवे शर्मा गयी. नज़रे झुकानी पड़ गयी उसे आदित्य के कारण. जब वो पास आई तो आदित्य से बोली, "ऐसे क्यों देख रहे थे मुझे"

"क्यों क्या मैं अपनी जान को देख नही सकता?"

"देख सकते हो पर टकटकी लगा कर देखता है क्या कोई." ज़रीना ने कहा.

"मैं तो अपनी ज़रीना को ऐसे ही देखूँगा" आदित्य ने कहा.

"इस बॅग में क्या है?" ज़रीना की नज़र आदित्य की पीठ पर टँगे बॅग पर गयी.

"है कुछ समान. हाथ आगे करो"

"क्यों क्या बात है. और तुमने क्या छुपा रखा है अपने हाथ में पीछे"

"हाथ करो ना आगे ज़रीना प्लीज़"

"अछा लो बाबा" ज़रीना ने हाथ आगे कर दिए.

आदित्य ने एक पॉलितेन बॅग ज़रीना के हाथ पर रख दिया.

"क्या है ये?"

"खोल कर देखो" आदित्य ने मुश्कूराते हुवे कहा.

"वाउ जीन्स...तुम मेरे लिए जीन्स लाए." ज़रीना की आँखे चमक उठी.

"हां, पसंद है ना तुम्हे बहुत. यही पहन कर चलना"

"लेकिन इसके उपर क्या पहनूँगी मैं."

"उसका भी इंटेज़ाम है." आदित्य ने अपनी पीठ से बॅग उतारा और उसे खोल कर एक ब्लू कलर का टॉप ज़रीना को थमा दिया.

"वाउ...तुम्हारी चाय्स तो बहुत अछी है."

"जीन्स मुंबई में खरीदी थी. टॉप यही से लिया." आदित्य ने कहा.

"पर पहनूँगी कहा ये कपड़े. कोई जगह तो होनी चाहिए."

"ओह...इस बात पर ध्यान नही दिया मैने. जीश होटेल में रुका था वाहा से चेक आउट भी कर लिया."

"चलो कोई बात नही. मुझे जल्दी ले चलो घर. मैं तड़प रही हूँ उस ताले को खोलने के लिए."

"यहा से हम देल्ही जाएँगे. एक टॅक्सी बुक करा ली है. रात देल्ही में उसी होटेल में रुकेंगे जहा पीछले साल रुके थे. कल सुबह 10 बजे की फ्लाइट है."

"ह्म्म ठीक है."

"चलें मेरी जान. लेट हो रहे हैं"

"हां चलो...पर टॅक्सी कहा है."

"टॅक्सी थोड़ी दूर खड़ी है. यहा तक नही आ सकती थी. आओ चलें." आदित्य ने ज़रीना का हाथ थाम लिया.

"मेरा हाथ क्यों पकड़ लिया. छ्चोड़ो कोई देख लेगा." ज़रीना ने कहा.

"देख लेने दो. अपनी जान का हाथ थामा है किसी गैर का नही."

"एक बात शन लो. ये जीन्स उस जीन्स के बदले में है जो तुमने मेरे उपर कीचड़ उछाल कर गंदी कर दी थी. अभी बस हिसाब बराबर हुवा है."

"पता है मुझे. उस दिन के कारण जीन्स ड्यू थी मुझ पर. तुम कहोगी तो हमारी फॅक्टरी में सिर्फ़ तुम्हारे लिए जीन्स बनेगी."

"अछा" ज़रीना ने हंसते हुवे पूछा.

"हां." आदित्य ने भी हंसते हुवे कहा.

कुछ ही देर में वो टॅक्सी तक पहुँच गये और बैठ गये एक दूसरे के साथ.

"ज़रीना एक ज़रूरी बात थी. कब से दिमाग़ में घूम रही है. पर तुमसे बाते करते हुवे इतना खो जाता हूँ कि वो बात ध्यान से निकल जाती है."

"बोलो आदित्य."

"मैं कोमा से उठ कर तुम्हारी मौसी के घर गया तो उन्होने बताया कि तुम गायब हो. एमरान का भी कुछ आता पता नही किसी को. क्या बताओगि मुझे कि क्या हुवा था उस दिन. और एमरान कहा है?"

"आदित्य घर चल कर बात करें" ज़रीना ने कहा.

आदित्य समझ गया कि ज़रीना ड्राइवर के सामने बात नही करना चाहती.

टॅक्सी प्यार में डूबे दो दीवानो को लिए देल्ही की ओर बढ़ रही थी. रास्ते में एक ढाबा दीखाई दिया तो आदित्य ने ड्राइवर से कहा," भैया रोक दो इस ढाबे पर."

ड्राइवर ने ढाबे पर कार रोक दी.

"आओ ज़रीना कुछ खा लेते हैं."

"हां बिल्कुल...मुझे बहुत भूक लगी है."

बैठ गये एक टेबल पर आदित्य और ज़रीना.

"चिकन कढ़ाई खाएँगे आज हम दोनो."

"क्या पागल हो गये हो तुम. मैं नही खाउन्गि. मैने लिखा था ना तुम्हे कि मैने नोन-वेज छ्चोड़ दिया है"

"हां तो मैने भी तो बताया था कि मैने नोन-वेज शुरू कर दिया है."

"आदित्य प्लीज़. कोई ज़रूरत नही है तुम्हे ये सब करने की. अब खाने के उपर कोई बहस नही चाहती मैं. उस दिन की लड़ाई के बाद आज मिले हैं हम. कुछ सीखना चाहिए हमें इन बातो से."

"मज़ाक कर रहा हूँ जान.हां अब हम इस बात पर लड़ाई नही करेंगे. अछा तुम ऑर्डर दो."

ज़रीना ने मिक्स वेज और दाल मखनि ऑर्डर कर दी.
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: Fri Oct 10, 2014 4:39 am

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

"ज़रीना जब तक खाना आए तब तक तुम मेरे सवाल का जवाब दे सकती हो."

ज़रीना ने आस पास नज़र दौड़ाई.

"चिंता मत करो कोई नही सुनेगा हमारी बातें." आदित्य ने कहा.

"सुनो फिर" ज़रीना ने कहा.

ज़रीना के शब्दो में:-

"मैं मौसी के घर से निकल कर छुपते-छुपाते रेलवे पहुँच गयी. मुझे बहुत डर लग रहा था. मुझे एमरान का डर था. जब ट्रेन आई तो चुपचाप चढ़ गयी मैं. मुझे लगा ख़तरा टल गया है. मैं टाय्लेट करने के लिए उठी. सोचा फ्रेश हो कर आराम से सो जाउन्गि अपनी सीट पर. लेकिन जब मैं टाय्लेट पहुँची तो मेरे होश उड़ गये. एमरान खड़ा था वाहा. वो शायद दूसरे डिब्बे से आया था. मुझे देखते ही वो आग बाबूला हो गया.

"मेरी मुहब्बत को भुला कर उस काफ़िर के साथ ब्याह रचाने का प्लान है तेरा हा. तुझे जींदा नही छ्चोड़ूँगा मैं. देखता हूँ कैसे जाती है तू उस काफ़िर के पास."

उसने मेरा गला दबोच लिया आदित्य. मेरा दम घुटने लगा था. मेरी आँखो के आगे अंधेरा छाने लगा था. बिल्कुल दरवाजे के पास ही दबोच रखा था उसने मुझे. मगर आदित्य मुझे उसके हाथो मरना मंजूर नही था. मेरी जींदगी पर तो तुम्हारा हक़ है ना आदित्य.

मैने पूरा ज़ोर लगा कर उसे पीछे ढकैला. किसी को कुछ नही पता था कि वाहा क्या हो रहा है. मैं अकेली जूझ रही थी उस से.

मैने उसे पूरा ज़ोर लगा कर इतनी ज़ोर से धक्का दिया कि वो लूड़क गया और वो संभाल नही पाया. केले का छिलका पड़ा था वाहा उस पर शायद पाँव पड़ गया था उसका. वो…वो…ट्रेन से बाहर फिसल गया आदित्य. मैं बस देखती रही. सब कुछ इतना अचानक हुवा कि मैं कुछ भी नही कर पाई. जब तक मैं आगे बढ़ कर उसे संभालने की कोशिस करती तब तक वो ट्रेन से नीचे गिर चुक्का था. ट्रेन फुल स्पीड पर थी. मुझे नही पता कि क्या हुवा होगा एमरान का. शायद…शायद वो…” ज़रीना सूबक पड़ी.

“बस….बस…जो हुवा उसके लिए खुद को दोषी मत मानो. सब होनी का खेल है.”

“पर मैने उसे धक्का दिया था आदित्य.”

“तुम अपने आप को बचा रही थी. तुम्हारी जगह कोई भी होता तो ऐसा ही करता. हां मुझे भी दुख है एमरान के लिए. उसकी बहन से मिल कर आया था मैं. उसका घर बिखर गया है.”

“मैं कातिल तो नही हूँ ना?”

“पागल हो क्या. किसी और को तो नही बताई तुमने ये बात”

“नही बस आज तुम्हे बताई है. इस बात के कारण मैने मौसी को भी कोई खत नही लिखा. डर था कि कही मुझे खूनी ना करार दिया जाए.”

“भूल जाओ सब कुछ. जो होना था सो हो गया. लो खाना आ गया. आँसू पोंछ लो अपने और खाने का आनंद लो. भगवान सब भली करेंगे. वैसे तुम यहा जीन्स पहन सकती हो. लॅडीस टाय्लेट में जाओ और चेंज करके बाहर आ जाओ.”

"देखती हूँ. पहले खाना खा लूँ."

आदित्य को सब कुछ बता कर ज़रीना का मन हल्का हो गया. मगर वो अंदर ही अंदर इस बात से परेशान हो रही थी कि उसके कारण एमरान का परिवार बिखर गया.

“ज़रीना खाना ठंडा हो रहा है, छ्चोड़ो भी अब, जो होना था सो हो गया. मुझे भी दुख है…पर अब हम कर भी क्या सकते हैं.”

“मेरे कारण एमरान के घर में तबाही आ गयी. मैं पूरा साल इस बात को लेकर परेशान रही हूँ कि मेरे कारण एमरान ट्रेन से नीचे गिर गया. अब जब तुमने बताया कि एमरान गायब है उसी दिन से तो अब तो ये पक्का ही है कि वो अब इस दुनिया में नही है. मैने उसे मार दिया आदित्य. ये ठीक नही हुवा.”

“बहुत कुछ हुवा हम दोनो के साथ ज़रीना जो की ठीक नही था. मेरे पेरेंट्स गोधरा कार्नेज में मारे गये, क्या वो ठीक था. उसके बाद दंगे भड़क गये और तुमने अपने पेरेंट्स और छोटी बहन को खो दिया..क्या वो सब ठीक था.”

“वो सब तो ठीक है पर..”

“क्या पर, हम दोनो का प्यार हुवा और फिर हम छोटी सी बात पर लड़ कर जुदा हो गये…क्या वो सब ठीक था.”

“तुम नही समझ सकते आदित्य, मेरी आँखो के सामने गिरा था वो ट्रेन से नीचे और मैं कुछ भी नही कर पाई थी.”

“तो कर लेती कुछ…बचा लेती उसे…वो तुम्हारा शुक्रिया नही करता बल्कि तुम्हे मार देता. उसकी इंटेन्षन बिल्कुल ठीक नही थी. हां मैं मानता हूँ कि जो भी हुवा ग़लत हुवा. पर उस वक्त तुम कर भी क्या सकती थी. अपनी जान बचाने के लिए तुमने उसे धक्का दिया. तुम्हारी जगह कोई भी होता तो वो ऐसा ही करता. अब वो फिसल गया ट्रेन से तो इसमें तुम्हारी ग़लती नही है.”

“अछा छ्चोड़ो आदित्य चलो खाना खाते हैं…सच में ठंडा हो रहा है खाना.” ज़रीना ने मुश्कूराते हुवे कहा.

“आ गयी याद खाने की अब…” आदित्य भी मुश्कुरा दिया.

“हां चलो जल्दी खाते हैं. मेरे ख्याल से काफ़ी लंबा सफ़र बाकी है अभी.”

“हां अभी तो सारा ही सफ़र बाकी है. लेकिन खाना आराम से खाते हैं.” आदित्य ने कहा.

क्रमशः...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: Fri Oct 10, 2014 4:39 am

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

Ek Anokha Bandhan--15

gataank se aage.....................

Aditya thoda pahle pahunch gaya. Vo mandir ke baahar ushi ped se kandha laga kar khada ho gaya jaha vo 2 ghante pahle zarina ke saath khada tha.

Jab ushne zarina ko aate dekha to ek pyar si hansi bikhar gayi ushke honto pe. Ushki nigaahe bas zarina par hi fix ho gayi.

Zarina aditya ko apni taraf ek-tak dekhte huve sharma gayi. Nazre jhukaani pad gayi ushe aditya ke kaaran. Jab vo paas aayi to aditya se boli, "aise kyon dekh rahe the mujhe"

"kyon kya main apni jaan ko dekh nahi sakta?"

"dekh sakte ho par taktaki laga kar dekhta hai kya koyi." zarina ne kaha.

"main to apni zarina ko aise hi dekhunga" aditya ne kaha.

"ish bag mein kya hai?" zarina ki nazar aditya ki peeth par tange bag par gayi.

"hai kuch samaan. Haath aage karo"

"kyon kya baat hai. Aur tumne kya chupa rakha hai apne haath mein peeche"

"haath karo na aage zarina please"

"acha lo baba" zarina ne haath aage kar diye.

Aditya ne ek polythene bag zarina ke haath par rakh diya.

"kya hai ye?"

"khol kar dekho" aditya ne mushkuraate huve kaha.

"wow jeans...tum mere liye jeans laaye." zarina ki aankhe chamak uthi.

"haan, pasand hai na tumhe bahut. Yahi pahan kar chalna"

"lekin ishke upar kya pahnungi main."

"ushka bhi intezaam hai." aditya ne apni peeth se bag utaara aur ushe khol kar ek blue color ka top zarina ko thama diya.

"wow...tumhaari choice to bahut achi hai."

"jeans mumbai mein kharidi thi. Top yahi se liya." aditya ne kaha.

"par pahnungi kaha ye kapde. Koyi jagah to honi chaahiye."

"oh...ish baat par dhyaan nahi diya maine. Jish hotel mein ruka tha vaha se check out bhi kar liya."

"chalo koyi baat nahi. Mujhe jaldi le chalo ghar. Main tadap rahi hun ush taale ko kholne ke liye."

"yaha se hum delhi jaayenge. Ek taxi book kara li hai. Raat delhi mein ushi hotel mein rukenge jaha peechle saal ruke the. Kal subah 10 baje ki flight hai."

"hmm theek hai."

"chalein meri jaan. Late ho rahe hain"

"haan chalo...par taxi kaha hai."

"taxi thodi dur khadi hai. Yaha tak nahi aa sakti thi. Aao chalein." aditya ne zarina ka haath thaam liya.

"mera haath kyon pakad liya. Chhodo koyi dekh lega." zarina ne kaha.

"dekh lene do. Apni jaan ka haath thama hai kisi gair ka nahi."

"ek baat shun lo. Ye jeans ush jeans ke badle mein hai jo tumne mere upar kichad uchaal kar gandi kar di thi. Abhi bas hisaab baraabar huva hai."

"pata hai mujhe. Ush din ke kaaran jeans due thi mujh par. Tum kahogi to hamaari factory mein sirf tumhaare liye jeans banegi."

"acha" zarina ne hanste huve pucha.

"haan." aditya ne bhi hanste huve kaha.

Kuch hi der mein vo taxi tak pahunch gaye aur baith gaye ek dusre ke saath.

"zarina ek jaroori baat thi. Kab se deemag mein ghum rahi hai. Par tumse baate karte huve itna kho jaata hun ki vo baat dhyaan se nikal jaati hai."

"bolo aditya."

"main coma se uth kar tumhaari mausi ke ghar gaya to unhone bataaya ki tum gaayab ho. Emran ka bhi kuch ata pata nahi kishi ko. Kya bataaogi mujhe ki kya huva tha ush din. Aur emran kaha hai?"

"aditya ghar chal kar baat karein" zarina ne kaha.

Aditya samajh gaya ki zarina driver ke saamne baat nahi karna chaahti.

Taxi pyar mein dube do deewano ko liye delhi ki aur badh rahi thi. Raaste mein ek dhabba deekhayi diya to aditya ne driver se kaha," bhaiya rok do ish bhabbe par."

Driver ne dhabbe par car rok di.

"aao zarina kuch kha lete hain."

"haan bilkul...mujhe bahut bhuk lagi hai."

Baith gaye ek table par aditya aur zarina.

"chicken kadhaayi khaayenge aaj hum dono."

"kya paagal ho gaye ho tum. Main nahi khaaungi. Maine likha tha na tumhe ki maine non-veg chhod diya hai"

"haan to maine bhi to bataaya tha ki maine non-veg shuru kar diya hai."

"aditya please. Koyi jaroorat nahi hai tumhe ye sab karne ki. Ab khaane ke upar koyi bahas nahi chaahti main. Ush din ki ladaayi ke baad aaj mile hain hum. Kuch seekhna chaahiye hamein in baataon se."

"majaak kar raha hun jaan.Haan ab hum ish baat par ladaayi nahi karenge. Acha tum order do."

Zarina ne mix veg aur daal makhni order kar di.

"zarina jab tak khana aaye tab tak tum mere swaal ka jawaab de sakti ho."

Zarina ne aas paas nazar daudaayi.

"chinta mat karo koyi nahi shunega hamaari baatein." aditya ne kaha.

"shuno phir" zarina ne kaha.

Zarina ke shabdo mein:-

"main mausi ke ghar se nikal kar chupte-chupaate railway pahunch gayi. Mujhe bahut dar lag raha tha. Mujhe emran ka dar tha. Jab train aayi to chupchaap chadh gayi main. Mujhe laga khatra tal gaya hai. Main toilet karne ke liye uthi. Socha fresh ho kar araam se sho jaaungi apni seat par. Lekin jab main toilet pahunchi to mere hosh ud gaye. Emran khada tha vaha. Vo shaayad dusre dibbe se aaya tha. Mujhe dekhte hi vo aag babula ho gaya.

"meri muhabat ko bhula kar ush kaafir ke saath byaah rachaane ka plan hai tera huh. Tujhe jeenda nahi chhodunga main. Dekhta hun kaise jaati hai tu ush kaafir ke paas."

Ushne mera gala daboch liya aditya. Mera dam ghutne laga tha. Meri Aankho ke aage andhera chaane laga tha. Bilkul darvaaje ke paas hi daboch rakha tha ushne mujhe. Magar aditya mujhe ushke haatho marna manjoor nahi tha. Meri jeendagi par to tumhaara haq hai na aditya.

maine pura jor laga kar ushe peeche dhakaila. Kishi ko kuch nahi pata tha ki vaha kya ho raha hai. Main akeli jhunj rahi thi ush se.

Maine ushe pura jor laga kar itni jor se dhakka diya ki vo ludak gaya aur vo sambhal nahi paaya. kele ka chilka pada tha vaha ush par shaayad paanv pad gaya tha ushka. Vo…vo…train se baahar phisal gaya aditya. Main bas dekhti rahi. sab kuch itna achaanak huva ki main kuch bhi nahi kar paayi. Jab tak main aage badh kar ushe sambhaalne ki koshis karti tab tak vo train se neeche gir chukka tha. train full speed par thi. mujhe nahi pata ki kya huva hoga emran ka. Shaayad…shaayad vo…” zarina subak padi.

“bas….bas…jo huva ushke liye khud ko doshi mat maano. Sab honi ka khel hai.”

“par maine ushe dhakka diya tha aditya.”

“tum apne aap ko bacha rahi thi. tumhaari jagah koyi bhi hota to aisa hi karta. Haan mujhe bhi dukh hai emran ke liye. ushki bahan se mil kar aaya tha main. Ushka ghar bikhar gaya hai.”

“main kaatil to nahi hun na?”

“paagal ho kya. Kishi aur ko to nahi bataayi tumne ye baat”

“nahi bas aaj tumhe bataayi hai. ish baat ke kaaran maine mausi ko bhi koyi khatt nahi likha. Dar tha ki kahi mujhe khuni na karaar diya jaaye.”

“bhool jaao sab kuch. Jo hona tha so ho gaya. Lo khana aa gaya. Aansu ponch lo apne aur khane ka aanand lo. Bhagvaan sab bhali karenge. vaise tum yaha jeans pahan sakti ho. ladies toilet mein jaao aur change karke baahar aa jaao.”

"dekhti hun. pahle khana kha lun."

Aditya ko sab kuch bata kar zarina ka man halka ho gaya. magar vo ander hi ander ish baat se pareshaan ho rahi thi ki ushke kaaran emran ka parivaar bikhar gaya.

“zarina khaana thanda ho raha hai, chhodo bhi ab, jo hona tha so ho gaya. mujhe bhi dukh hai…par ab hum kar bhi kya sakte hain.”

“mere kaaran emran ke ghar mein tabaahi aa gayi. Main pura saal ish baat ko lekar pareshaan rahi hun ki mere kaaran emran train se neeche gir gaya. ab jab tumne bataaya ki emran gayab hai ushi din se to ab to ye pakka hi hai ki vo ab ish duniya mein nahi hai. maine ushe maar diya aditya. Ye theek nahi huva.”

“bahut kuch huva hum dono ke saath zarina jo ki theek nahi tha. mere parents godhra carnage mein maare gaye, kya vo theek tha. ushke baad dange bhadak gaye aur tumne apne parents aur choti bahan ko kho diya..kya vo sab theek tha.”

“vo sab to theek hai par..”

“kya par, hum dono ka pyar huva aur phir hum choti si baat par lad kar juda ho gaye…kya vo sab theek tha.”

“tum nahi samajh sakte aditya, meri aankho ke saamne gira tha vo train se neeche aur main kuch bhi nahi kar paayi thi.”

“to kar leti kuch…bacha leti ushe…vo tumhaara shukriya nahi karta balki tumhe maar deta. Ushki intention bilkul theek nahi thi. haan main maanta hun ki jo bhi huva galat huva. Par ush vakt tum kar bhi kya sakti thi. apni jaan bachaane ke liye tumne ushe dhakka diya. Tumhaari jagah koyi bhi hota to vo aisa hi karta. Ab vo phisal gaya train se to ishmein tumhaari galti nahi hai.”

“acha chhodo aditya chalo khaana khaate hain…sach mein thanda ho raha hai khaana.” Zarina ne mushkuraate huve kaha.

“aa gayi yaad khaane ki ab…” aditya bhi mushkura diya.

“haan chalo jaldi khaate hain. Mere khyaal se kaafi lamba safar baaki hai abhi.”

“haan abhi to saara hi safar baaki hai. lekin khaana araam se khaate hain.” Aditya ne kaha.

kramashah...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma

Return to “Hindi ( हिन्दी )”