/**
* Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection.
* However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use.
*/
aansuon ko palkon pe laaya na kijiye.
dil ki baatein har kisi ko bataya na kijiye...
log mutthi mein namak liye firte hain..
apne har jakhm dikhaya na kijiye!
Aap na hotay to hum kho gaye hotay,
Apni zindagi se ruswa ho gaye hotay,
Yeh to aap ko Good Morning k kehnay k liye uthay hain,
Warna hum to abhi bhi soo rahay hotay.
Aasman se uncha koi nahi,
Sagar se gahra koi nahi,
Yun to mujhko sabhi Pyare hai,
par aapse Pyara koi nahi.
Agar bhoole se bhi kabhi hamari yaad aati ho
Aur tan badan mein ek siharan si daur jati ho
Mere yaar mere dil ke malik, pass chale aana
Agar sooni sooni raten tumhe bahut satati ho,
Ai mere humnashin chal kahin aur chal,
Is chaman mein ab apna guzaara nahin,
Baat hoti gulon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin.
apni har ik saans teri ghulam kar rakhi hai,
logo me ye zindagi badnam kar rakhi hai,
aaina bhi nahi ab to kisi kam ka...
hamne to apni parchhayi bhi sanam tere naam kar rakhi hai.
Dil Ne tere pyaar per majboor mujhe kar diya,
Is jahan ki har khooshi se dhoor mujhe kar diya,
Jis qadar chaha tha dil ne paas tere aane ka, (
Us qadar dunya ne tujh ko dhoor mujh se kar diya.
Jagaaya unhone aisa ke aaj tak so na sakke
Rulaaya unhone aisa ke sabke saamne ro bhi na sakke
Jaane kya baat thi unn mein….
Jabse maana unhe apna tabse kisi ke ho na sake
Mari dosti ka andaza na laga paoge,
khud ko bhool jaoge magar hum ko na bhool paoge,
Ek baar hum se juda ho kar to dekho,
Qasam tumahri hamare bagair jena bhool jaoge
Mehfil main kuch to sunana padta hai,
Gham chupakar muskurana padta hai,
kabhi unke hum bhi the dost,
Aaj kal unhe yaad dilana padta hai.
Rishta banaya hai to nibhayenge,
Har pal aapko hasayenge-satayenge,
Pata hai aapko to fursat nahi yaad karne ki,
Hum hi msg kr-kr ke apni yaad dilayenge.
Yun durr rehkar duriyon ko badhaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khayal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.