acha….tum khud ko khattai mehfooz samjho….
lekin
yeh abhi munaseeb na hoga ke apne flat mein
jao….uska kiraya adaa kar diya jayega….
aur
mujrimon ke pakde jaane ke baad koshish ki
jayegi ke tumhari embassy wali mulaazimath bahaal ho jaye….!
bahut bahut shukriya janab….aap bahut ache aadmi hai….koi dusra meri baaton par itni jaldi bharosa nahi karta….!
x-2 ba-khabar aadmi hai….!
bade baalon wale lambe chaude aadmi ki launch
mobar ke sahil se lag chuki thi….
lekin
wo zameen par nahi utra….cabin mein baitha kuch sonch raha tha….!
launch par uske aur stroker ke alawa aur koi
nahi tha….usne stroker ko awaaz di….so mat jana….main do-teen ghante baad wapas aa jaunga….!
bahut behtar janab….!
launch maghribi (west) sahil par langar andaaz
thi….yahan aur bhi kayi launch….
aur
machwaaron ki kashtiyan maujood thi….!
wo apni launch se utar kar andhere raaste par
nikal padha….raat ke do baje the….
aur
uske vazni jooton ki awaaz sannate mein dur-dur
tak gunj rahi thi….khareeb aadha mile dur paidal
chalne ke baad wo ek imaarath ke saamne
ruka….jiss ki ek hi khidki mein dhundli roshni
nazar aa rahi thi….wo ahista-ahista aage badha….jeb se kunji (key) nikaal kar ek darwaaze
ka khufal (lock) khola….
aur
andar daakhil ho kar darwaaza bandh kar ke jeb
se pencil torch nikaali….roshni ki patli si
lakeer se sahare wo andhere mein aage badhta raha….kayi darwaazon se guzaar ne ke baad wo seedhiyon ke khareeb pahuncha….18 seedhiyon ne
use upari manzil par le gaye….
aur
fir
ek bandh darwaaze par usne zor se dastak di….!
kaun hai….? andar se gunjili awaaz ayi shahed….!
darwaaza khula….
aur
wo andar daakhil ho gaya….saamne gol mez ke girdh chaar aadmi baithe taash khel rahe the….
aur
paanchve ne darwaaza khola tha….!
boss ke liye buri khabar hai mr.shahed….paanchve
ne kaha
boss ke liye kabhi koi khabar buri nahi hoti….!
baherhaal….pogas ki launch ki khaidi aurat ko koi utha le gaya….be-awaaz fire kar ke usne ek
aadmi ko zakhmi bhi kiya hai….
fir
usne puri kahan dohraadi….!
shahed ki paishani par salutein ubhar ayi….wo
thodi der tak kuch sonchta raha….
fir
bola….launch ko doobo diya jaye….
aur
uske amle (staff) ko pogas sameth yahan rakha
jaye….
aur
agle aadesh tak unhe ek minute ke liye bhi bahar
na jane diya jaye….hatta ke wo kisi aisi jagah bhi na khade ho jahan se unke dekhe jane ke imkaan (sambhavna) ho….!
bahut behtar janab….!
aur ek hafte tak koi launch sahil nahi chhodegi….!
yeh kaise mumkeen hai mr.shahed….wo log bahut bechain hai….!
unse kahe do ke coast-guard chaukanne ho gaye hai….sahil chhodna khatarnaak hoga….!
unme se zyadatar aise bhi hai jin ke paas khane ke paise bhi nahi hai….!
unke kharch apne zimme lo….boss yahi chahta hai….!
hum dushwaari mein padh jayenge mr.shahed….!
boss ka hukm tum tak pahuncha diya….ab tum jano….!
shahed wapsi ke liye mudh gaya….imaarath se
bahar nikal kar darwaaza bandh kar ke uske
khareeb ka dusra darwaaza khola….yeh ek chota
kamra tha jiss ke bich ek motorcycle khadi
thi….motorcycle bahar nikaal kar usne darwaaza
bandh kiya….thodi der baad wo motorcycle par
baith kar mashriqi (east) sahil ki taraf jaa
raha tha….sannate mein motorcycle ke engine ka
shor dur-dur tak fael raha tha….mashriqi (purvi) sahil par pahunchne mein 10, 12 minute lag
gaye….usne motorcycle ek taraf khadi ki….
aur
ek badi kashti ki taraf chal padha….kashti shaandar thi….kashti ke deck par khade hue guard
ne lalkaara….
aur
jawaab mein shahed bola….captain se kaho ke shahed hai….!
wo so rahe hai…..!
jagaa do….emergency….!
guard ne kisi aur ko awaaz de kar shahed ka paighaam sunaya….!
shahed birth par khada raha….
kashti bahut badi thi….
aur
uspar bane hue cabins tadaad mein kayi maalum hoti the….!
thodi der ke baad guard ki awaaz ayi….aap upar
aa sakte hai mr.shahed….
aur
shahed ke upar pahunchne par usne edhiyaan
bajai….
aur
use ek cabin tak laya….!
shahed ne darwaaze par dastak di….!
aa jao….andar se awaaz ayi….
aur
shahed darwaaza khol kar andar pahuncha….saamne
ek lamba aadmi ek aaram kursi par neem daraaz
tha….usne isi tarah lete hue haath aage badha diya….koi khaas baat mr.shahed….?
haa….captain rathore….!
baith jao….!
boss ka khayal hai ke hum ne madhu-makkhi ke chatte ko chedh diya hai….!
main nahi samjha mr.shahed….!
wo log miss tamoti ko humari launch se nikaal le gaye….!
wo kiss tarah….?
shahed ne kahani dohraadi…. aur
use bataya ke isi chakkar mein unka ek behathreen aadmi prince dawood bhi maar diya gaya….!
yeh to bahut buri khabar hai….!
mere boss ne yeh sab kuch tumhare boss ki dosti
ke ehteram (sammaan) mein kiya hai….
varna
wo to sirf apne kaam se kaam rakhta hai….!
ab to us shaksh ko mar jana chahiye mr.shahed
jiss ka naam imran hai….captain rathore ne
kaha….usne italy mein humare gaanje ka business
tabaah kar diya….tumhari charas ka market kharab
kiya….meri samajh se to ab x-2 ka chakkar hi
chhod do….wo khud to kaam karta nahi….dusron se
kaam leta hai….lehaza uske field operators ko
khatm kar dena chahiye….mujhe prince dawood jaise pyare dost ki maut par afsos hai….ab uska waaris kaun hoga….?
uska bada beta….tariq
hum uski dekh-bhaal karenge mr.shahed….apne boss
se kahe dena pareshaani ki koi baat nahi….hum
bhi sheh se bachne ke liye kabhi-kabhi apne behathreen mohre pitwa dete hai….bas ab imran ko
gherne ki koshish ki jaye….
fir
usne almaari se sharaab ki bottle….
aur
glass nikaale….
aur
dono pine baith gaye….!
to fir ab kya khayal hai….? rathore ne kuch der baad pucha
bas ab use gher kar khatm kiye dete hai….!
mera boss uske naam se bhadak uthta hai….rathore bola
yahi haal mere boss ka hai….shahed ne lambi
saans le kar kaha….mushkil yeh hai ke imran
sharaab….
aur
aurat ka rasiya nahi hai….
varna
kabhi ka maar liya gaya hota….!
aise log dukhiyaron ki madad zaroor karte
hai….rathore bola
tum kya kehna chahte ho….?
kisi dukhiyari ladki ko uske saamne kar diya jaye….!
oooh….yeh baat to hai….
fir
jaise hi wo uski madad ke liye maidaan mein ayega hum use maar denge….!
imran tamoti ko seiko mansion le aya….
aur
medical section mein uska muaaina kiya gaya….
lekin
khoon mein us mahlol (solution) ka suraagh nahi mil saka jo uske baazu mein inject kiya jata
raha tha….
baherhaal
ab uski aankhon mein zehni pareshaani zaahir
nahi hoti thi…. fir
jab imran apni asal shakl mein uske saamne aya to wo foot-foot kar rone lag gayi….!
fikr na karo….imran uska shaana thapak kar bola….sab thik ho jayega….main tumhari kahani sun chuka hu….!
isme zarra barabar bhi jhoot nahi hai….!
mujhe yaqeen hai….pareshan hone ki zaroorat
nahi….
fir
uske liye kahin se phone call ayi….
aur
wo us kamre se nikal kar operation room mein aya….!
dusri taraf se black-zero ki awaaz ayi….aap ne
nadar chandhwala se mataalookh maalumaat haasil
ke hidayath (nirdesh) diye the….wo buniyaadi
taur gadhol district ke kazbaa chandhla ka
bashinda hai….uske baap ne mazhab tabdil kar ke
yahan ki shahriyath (nagarikta) ikhtiyaar kar
li….wo ek daulatmand exporter hai….kayi launch
yahan se khalij ki riyasaton tak chalti hai….shakh hai ke smuggling bhi karta hai….waise uske khilaaf koi pokhta saboot nahi mil saka….!
thik hai….uski nakhl-o-harkath par nazar rakhi jaye…..!
bahut behtar janab….dusri taraf se awaaz ayi….
aur
imran ne phone ka silsila cut kar
diya….operation room se jana hi chahta tha ke ek operator ne use dusri call ki ittela di….!
is baar line par dusri taraf sir sultan
the….tumhe maalum hoga ke prince dawood ki laash continental ke ek kamre mein mila hai….!
jee haa….imran bola
lady dawood ne is silsile mein mujhse madad talab ki hai….!
bhala aap kya kar sakenge….?
tum to kar sakoge….sir sultan ke lahje mein jhunjhulahath thi
kya aap ko maalum hai ki prince dawood bhi is khisse mein shaamil tha….!
kiss khisse mein….?
wahi begum x-2 wala….!
pata nahi tum kahan ki haank rahe ho….!
yaqeen ki jiye….use raaz khulne ke darr se khatl
kiya gaya hai….
shayad
wo jaanta tha ke asal mujrim kaun hai….!
tumhe shayad maalum na hoga uska baap shahensha khan mere khaas doston mein se tha….!
oh….to isliye lady dawood ne aap se darkhwaast ki hai….!
yahi baat hai….!
achi baat hai….main kisi ko dariyaaft haal ke liye bhej raha hu….!
kuch na kuch to hona hi chahiye….jise bhi bhejo samjha dena ke puch-gaach ke silsile mein mera hawaala zaroor de….!
bahut behtar janab….!
dusri taraf se silsila cut hone ki awaaz sun kar
usne bhi receiver rakh diya….
fir usne safdar ko bula kar is kaam se taalookh
khaas hidayathein (nirdesh) di….
aur
prince dawood ke jazeere (island) ki taraf rawana kar diya….!
in dino imran seiko mansion tak hi mehdood
(simith) ho kar rahe gaya tha….
aur
make-up ke baghair bahar nahi nikalta tha….!
5 baje shaam ko usne fir black-zero ki call receive ki….
wo kahe raha tha….safdar civil hospital ke emergency ward mein behosh padha hai….uske saare
jism se khoon ris raha hai….
shayad
use barhana (nanga) kar ke chamde ke chabook se pita gaya tha….wo bandargaah ke ilaaqe mein behosh padha mila tha….!
khabar achi nahi hai….tum sab civil hospital ke
aas-paas raho….main pahunch raha hu….uski
aankhon mein gehri chinta ke saaye the….usne sir sultan se contact kar ke safdar ki haalath se aagha kiya….!
hairath hai….sir sultan ki awaaz ayi….aisi surat
mein yaqeen ke saath nahi kaha jaa sakta ke wo jazeere (island) tak pahunch bhi saka tha ya nahi….!
yaqeenan pahuncha hoga….
aur
waapsi mein wo log wahin se uske piche lag gaye honge….!
thik kahte ho….
varna
unhe kaise maalum hota ke wo kaun hai….achi baat
hai….main dawood ki biwi se phone par guftgu kar ke tumhe abhi aagha karta hu….operation room hi mein maujood raho….!
bahut behtar….imran receiver rakh diya…. ab uski aankhon jhunjhulahath ke asaar the….!
thodi der baad sir sultan ki call ayi….tumhara khayal durust nikla….wo kahe rahe the….safdar
wahan pahuncha….
aur
usne mere hawaale se dawood ki biwi se puchgaach ki….!
acha….to ab aap fauri apne personal assisstant ko civil hospital bhejiye taaki wo safdar ki
dekh-bhaal kar sake….
darasal
yeh jaal mere liye bichaya gaya hai….
aur
haa….shaher ke alag-alag hisson se laashein
uthwane ki zimmedari aap ki hogi….imran ne dusri taraf se aage kuch sune baghair receiver cradle
par patak diya….
fir
wo make-up mein bahar nikla….
aur
civil hospital ki taraf rawana ho gaya….!
safdar abhi tak behosh tha….sir sultan ka personal assisstant uske strecher ke khareeb
maujood tha….
aur
use wahan se special ward mein shift karne ke intezaam ho rahe the….yahan khaasi bheed thi….
lehaza
yeh andaaza karna mushkil tha ke behosh safdar
nigrani karne wale kitne hai….khud imran ke matahath imaarath ke irdh-girdh maujood the….!
safdar special ward ke ek aaram daah kamre mein
pahuncha diya gaya….
aur
use hosh mein laani koshish ki jaane lagi….!
imran kamre ke bahar hi thahelta raha….raahdaari mein wo tanha nahi tha….kayi aadmi aur bhi the….!
sir sultan ka assisstant kamre mein tha….thodi
der baad wo bahar nikla….
aur
sadar darwaaze ki taraf chal padha….uske piche do aadmi aur bhi the….assisstant apni gaadi mein jaa baitha….wo khud drive kar raha tha….!
uske piche chalne wale aadmi bhi ek gaadi mein
baith gaye….assisstant ki gaadi harkath mein aate hi unki gaadi ka engine bhi start ho gaya….!
imran ki gaadi un dono ki gaadi ke piche thi….usne itna faasla barqaraar rakha tha ke picha karne ka shakh na ho sake….!
assisstant shayad model colony mein rehta
tha….isliye use ek veeran raaste se guzarna padh raha tha….
achanak
uska picha karne wali gaadi ki raftaar tez ho
gayi….
shayad
wo usse aage nikal jana chahte the….
fir
imran ne dekha ke aage nikal kar wo sadak par
tirchi hui….
aur
achanak ruk gayi….!
assisstant ke break ki awaaz sannate mein gunj uthi….wo agli gaadi se shayad sirf ek foot ke faasle par ruki….!
agli gaadi se dono aadmi utar kar assisstant ki gaadi ke khareeb aye….!
imran usi raftaar se gaadi chalata raha….jisse shuruat ki thi….!
un dono ne assisstant ki gaadi ka darwaaza
khola….
aur
use zabardasti niche utaar rahe the….!
imran ne accelerator par dabau dala….
aur
saath hi jeb se dart gun bhi nikaal li….!
un dono mein se ek uchal kar sadak ke niche na
utar jata to imran ki gaadi ki takkar zaroor lag
gayi hoti….dusre ka haath jeb ki taraf gaya hi tha ke imran ki dart gun se fire hua….wo
ladhkhada utha….
aur
muh ke bal sadak par gir gaya….pahla aadmi apni gaadi ki taraf bhaaga….
lekin
uska bhi wahi anjaam hua….jo dusre ka hua tha….!
imran dart gun jeb mein rakhta hua gaadi se niche utar aya….!
t….tt….tu….tum kaun ho…..? assisstant haklaya
chup-chaap gaadi mein baitho….
aur
chalte firte nazar aao….!
usne be-basi se agli gaadi ki taraf dekha….ispar imran ne kaha….apni gaadi back kar ke sadak ke
niche utaaro….
aur
aage badh jao….sir sultan se kahe dena ke khel shuru ho gaya hai….!
lekin….main to police ko ittela dunga….!
jaldi karo….imran aankhein nikaal kar ghurraya
assisstant ne baukhlaye hue andaaz mein taamil ki….!
uske chale jane ke baad imran ne un dono behosh
aadmiyon ko utha kar apni wagon ki pichle hisse
mein daala….
aur
ab seiko mansion ki taraf rawana ho gaya….un dono ki gaadi usi position mein khadi rahne di jaisi roki gayi thi….!
wo dono ek pillar se bandhe the….
aur
imran ke haath mein chamde ka chabook tha….unke jism ka upari hissa barhana (nanga) kar diye gaye tha….!
kyun doston….? imran chidane ke se andaaz mein bola….kya tum ne uske zakhmon ki ginti ki thi….?
hum kuch nahi jaante….hum se kaha gaya tha ke jo koi bhi use dekhne ke liye aye use utha le jane
ki koshish karo….
shayad….
chabook uske seene par padha….wo bilbila utha
kiss ke liye kaam karte ho….imran ne dusre par
haath raseed karte hue pucha boss ke liye….!
boss kaun hai….?
koi nahi jaanta….shahed naami aadmi uske liye hum se kaam leta hai….!
kahan rehta hai….?