/**
* Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection.
* However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use.
*/
sir sultan ka purana marz bekhwaabi (insomnia)
in dinon fir bahar nikal aya tha….
aur
wo apni dehi akhamat-gaah (gramin nivas sthan)
par ruke hue the….aise mauqe par wo tabdili
aabo-hawaa ke bahane seedhe yahin chale aate
the….shaher se koi mulazim bhi saath nahi laate
the….dehi kothi ke mulazim hi unki khidmat
guzaari ke farz anjaam dete the….yahan ke pur sukoon maahol mein unhe puri neend naseeb nahi hoti thi….jo 20 ghanton mein ba-mushkil tamaam
dedh-do ghante ki ghunoodgi (unineendapan) taari
hoti thi….ghunoodgi yun ke ghunoodgi ka ehsaas barkharaar rehta tha….is waqt raat ke 2 baje
the….
aur
neend unki aankhon se koson dur thi….kuch der wo
bedroom mein padhe rahe….
fir
bahar nikal kar porch mein aa khade hue….saamne
baagh andhere mein dooba hua tha….dur se gidadhon ki awaazein aa rahi thi….sardi aaj
zyada nahi thi….
isliye
unhone apne jism ke girdh halki ki shawl lapet
rakhi thi….bekhwaabi (insomnia) ka marz naya
nahi tha….har teen-chaar maah baad ek-aadh hafte
ka daura zaroor padhta tha….wo ek aaram kursi par bait gaye….saamne baagh ke girdh deewarein
to thi….
lekin
faatak nahi lagaya gaya tha….daakhile ke raaste
dono taraf khoobsurat khambe the jin par belein chayi hui thi….mashriqi ghoshe (purvi kone) mein pareendon ke liye unche-unche jungle banaye gaye the….jinme desh-desh ke khoobsurat pareende chachahaya karte the….!
sir sultan ne andhere mein aankhein gadha
di….fiza par wahi manhoos sannata chaya hua
tha….jiss mein jhinguron ki chayein-chayein bhi shaamil thi….kabhi-kabhi dur se gidadhon ki
awaazein bhi aati thi….
achanak
unhe bohath dur kisi gaadi ki head lights ki
chamak dikhayi di….
shayad
koi gaadi sadak se gaaun ki taraf mudhi….wo
chaunk padhe kyun ki koi unke paas aa raha hai….unhone chaukidar ko awaaz di….
jee sahab….saamne baagh ke kisi kone se usne
jawaab diya
dekho….shaher koi yahan aye to use devaan-khane mein le aana….main wahin hu….!
bohath behtar janab….
wo uth kar bedroom mein aye….
aur
yahan ka lamp utha kar devaan-khane ki taraf chal padhe….
thodi der baad unhone kisi gaadi ke engine ki
awaaz suni….
shayad
wo gaadi porch mein aa ruki thi….
fir
chaukidar devaan-khane mein daakhil ho kar bola….koi imran sahab hai….!
oh….sir sultan chakit andaaz mein
bole….bulao….bulao….
fir
wo uth kar thahelne lage….thodi der baad imran apna breifcase uthaye hue devaan-khane mein daakhil hua….
tum kab aye….? unhone garmjoshi se haath milaate
hue pucha aaj hi aya hu….
kya raha….?
fateh….
matlab yeh ke wo rahasamayi aadmi….
adlawa kahe lata tha….italy ki rahasamayi hukumat ka waali….
aur
bohathtar international ghaplon ka baais
(kaaran)….aakhirkaar maara gaya….report ek
hazaar safahaath (pages) par shaamil hai….kisi
waqt itminaan se dekhiyega….main to filhaal aap
se yeh puchne aya hu….ke aap ne meri ghair maujoodgi mein meri shaadi kyun kara di….?
aate hi bakwaas shuru kar di….baitho….baith jao….!
ab to sar par haath rakh kar baithna padhega….
aur
naak par rakhi hui ungli dekhni….
aur
noj sunni padhegi….!
kaisi bakwaas hai….?
15 din se koi “begum x-2” sulaiman ko bore kar rahi hai….!
sawaal hi nahi paida hota….sir sultan kursi se
uth kar bole
baith jaiye….wo mujhe puchti thi….
aur
aaj to maine hi unki call na sirf receive ki balki aap sunane ke liye record bhi kar li….!
jee main bol raha hu….janab-e-aala….imran ki awaaz ayi
tum kahan mar gaye the….? aurat ki awaaz ayi jee zara bathroom tak gaya tha….kisi ne doodh mein pithkari pila di thi….!
bakwaas mat karo….main puch rahi hu ke 15 din se kahan ghayab the….!
jee wo karokaasht kar rakhi hai….fasal kaatne
gaya tha….
fir
sabzi mandi mein tik jana padha….aap kaun hai begum sahiba….?
“begum x-2” arey baapre….!
kya matlab….?
us naam ka ek bada zaalim bomb hua karta tha….pichli jung-e-azeem (world war) mein….!
tumhari bakwaas sunne ke liye phone nahi kiya gaya….
to fir…mere layakh koi khidmath….
sahab ko malaria ho gaya hai….
“alhamdulillah”
kya kaha….
jee kuch nahi….chutthi par jate hi na the kisi tarah….machcharon ka bohath shukriya….!
bakwaas bandh karo….kaam suno….!
jee farmaiye….
kal subaah 3 murghiyan….dhai ser aaloo….
aur
bakre ki ek raan (thigh) bungle par pahuncha dena….!
kya machchar abhi bhi hai….?
kya matlab….?
sahab se to aadhi murghi bhi nahi chalti….!
shut-up….kahe kar silsila cut kar diya
gaya….imran ne tape-recorder ka switch off kar
diya
kya yeh wahi aurat nahi ho sakti….awaaz mujhe jaani pehchani si lag rahi hai….sir sultan ne
bharrayi hui awaaz mein kaha
jee nahi….yeh rushi ki awaaz nahi hai….
suno….jiss tarah mujhe maalum hai ke ek aurat tumhe ba-haisiyath x-2 jaanti hai….usi tarah kisi aur ko bhi ho sakta hai….!
aur jab main 3 murghiyan….
aur
dhai ser aaloo le kar us aurat ke paas pahunchu to picha karne wale maalum karle ke wo aurat
kaun hai….
aur
fir….us aurat ki shaamat aa jayegi….yun bataye ke x-2 kaun hai….ya apna hulia bigaadhwa baithe….!
nateeja nikaalne ke chakkar mein jaldbaazi se kaam na lo….pata nahi kya chakkar hai….tumhare kisi matahath se to phone par guftgu nahi ki….? jee nahi…abhi tak to aisa nahi hua….
call x-2 ke phone par aati rahi hai….? jee nahi….mere niji phone par….!
to iska matlab hua ke jo koi bhi hai filhaal
tumhari hi zaat tak mehdood (simit) hai….x-2 ke khusoosi (vishesh) phone ka number bhi use maalum nahi….!
jee haa….yahi kaha jaa sakta hai….!
zara ek baar fir tape sunao….jane kyun mujhe awaaz jaani pehchani si lag rahi hai….!
imran dobara tape chala diya….
sir sultan ghaur se sunte rahe….
fir
sir hila kar bole….yaad nahi padhta yeh awaaz
kaha suni thi….
baherhaal
ab tum kya karoge….?
murghiyan aur dhai ser aaloo kahin na kahin to jayenge….
tumne is silsile mein rushi se zaroor puch-gaach ki hogi….?
wo shaher hi mein maujood nahi hai….2 maah ke liye germany gayi hai….!
kyun….?
jiss firm mein kaam karti hai uski taraf se bheji gayi hai….!
to fir yeh saamaan kahan jayega….?
kahin na kahin to jana chahiye….
varna
us aurat suraagh kaise milega….! kisi ko pareshani mein na daal dena….!
dekha jayega….shaher ki bohathtar aurton ka dushman hu….!
ab dekho mujhe neend kab aati hai….!
mujhe behadh afsos hai janab….
lekin
aap ke ilm mein laaye baghair koi khadam nahi uthana chahta tha….!
tumne acha kiya….yeh tape recorder mere hi paas
chhod jao….
akhar
mujhe kyun nahi yaad aata ke maine yeh awaaz kahan suni thi….!
isi tape mein suraiya….
aur
kaj begum ki kuch ghazlein bhi dastiyaab (uplabadh) hai….!
mehfooz rahengi….
matlab yeh hai ki zyada be-khwaabi (insomnia) se bachne ke liye….!
tumne sakht uljhan mein daal diya hai….sir sultan ne tape ko rewind karte hue kaha….ek baar
fir wo us aurat ki awaaz sunn rahe the….
aur
imran breifcase se adlawa wali report ki file nikaal raha tha….!
ek baar fir puri guftgu sunne ke baad unhone switch off kar diya….unki aankhein gehri sonch mein doobi hui thi…..
to kya tum isi waqt wapis jaoge….kuch der baad
sir sultan ne pucha
zaahir hai….
varna
subaah murghiyan….
aur
aaloo ka kya banega….imran ne kaha aur file sir
sultan ki taraf badha diya
khanam nasreen shaher ki ek mashoor social worker thi…shaandar kothi mein rahti thi….
aur
usi ke ek hisse mein ek settle home bana kar
rakha tha….jahan ghair gharon ki ladkiyan kadai
silaai ka kaam karti thi….shaher ke daulatmand halkhon mein jaani pehchani shakshiyath ki maalik thi….!
shaher ke bade officers bhi uska khayal rakhte the….
din bhar uski kothi mein khaum ki khidmat hoti
thi….
aur
raat ko har kamra aaish gaah ban jata tha….aaish karne walon mein shaher ke sarmayedar bade
officer….
aur
videshi paryatak sabhi hua karte the….!
kothi mein do-adad sound proof kamre bhi the….yahan sarkash (vidhrohi) hastiyan raah par
laayi jati thi….
masla agar
koi taalimi sanstha ki koi ladki kisi bade sarmayedar ko pasand aa jati to wo seedha khanam nasreen hi ki taraf rookh karta….
khanam us ladki se mil baithti….use social work par ubhaarti is tarah wo uski kothi tak
pahunchti….
aur
fir….wahan se kisi sound proof kamre mein
pahunch jana kya mushkil hota….uske baad to wo
bhi khanam nasreen ke liye ashrafiyon ki thaili
ban kar rahe jati thi….ba-rasookh itni thi ke abhi tak khanoon ki giraft mein nahi aa saki thi….
bahathtar imaandar officeron ki khwaahish thi ke kisi tarah wo apne anjaam ko pahunche….
lekin
unke upar wale humesha aadhe aate the….
under settle home wale hisse mein usne apna daftar bhi bana rakha tha….subaah 10 baje se 1
baje tak daftar mein baithti thi….
aur
3 baje se 5 baje tak raat ke liye kamre book
karti thi….
aur
mataalookh auroton ko phone karti thi….!
aaj use settle home wale office mein baithe zyada der nahi guzaari thi ke ek mulazim daudta
hua aya….
aur
darwaaze ke khareeb ruk gaya….usne teen
murghiyan utha rakhi thi….ek thaile mein aaloo….
aur
bakre ki ek raan (thigh) thi….!
yeh kya hai….? khanam ne hairath se pucha
jee….ek aadmi de gaya hai….
kiss ne bijhwaya hai….?
jee….yeh to nahi bataya….kahne lage begum sahiba ke liye hai….maine pucha bhi tha kahan se laye ho….kahne laga ke begum sahiba jaanti hai….!
bulao use….
jee….wo to chala gaya….
daud kar dekho….
jee….wo to taxi hi mein tha….meri maujoodgi mein
hi chala gaya tha
khanam sonch mein padh gayi….
fir
usne sar jhatak kar kaha….achi baat hai ise kitchen mein pahuncha do….!
wo sonch rahi thi ke koi sahab raat ka khana bhi yahin khana chahte ho….shaam tak maalum ho
jayega….
fir
usne wo waqiye ko zahen se jhatak diya….
dopahar ke khane ke baad wo aaram karna chahti
thi….
lekin
mulazim ne kisi ke aane ki ittela di….majboor uth kar drying-room mein jana padha….!
ghani daadhi moochon wala ek aadmi tha….kheemti
suite mein tha….khase rakh rakhao wala maalum hua tha….sar aur daadhi ke baal betahaasha na bade hote to shakl bhi lagti….!
farmaiye….main aap ki kya khidmath kar sakti hu….?
aap ke ek shanaasa (parichit) ne mujhe yahan bheja hai….10-15 minute wo yahan pahunchega….wo hi batayega ke kya hona hai….!
acha….acha….aap kya piyenge….?
munaseeb to yahi hoga khatoon ke use bhi aa jane di jiye….!
acha….acha….wo hans kar boli….jaisi aap ki marzi
aur
fir….thodi hi der baad khanam ke piche wale
darwaaze se ek aadmi andar daakhil hua….
aur
wo chaunk kar mudhi….aane wale ke haath mein revolver tha….jiss ki naal khanam ki taraf uthi hui thi….!
awaaz na nikle….
varna
goli seene mein pevast ho jayegi….usne ahista se kaha….sound proof kamre ki taraf chalo….!
khanam ki aankhein khauff se fail gayi thi….bade
baalon wala bhi uske paas aa khada hua….usne ahista se kaha….wahi karo jo kaha jaa raha hai….!
m….m….ma….magar….
fikr na karo….sirf thodi si puch-gaach….!
wo to yahin….
nahi….sound proof kamre mein….revolver wale ne
sakht lahje mein kaha
yahan koi sound proof kamra nahi hai….!
dekho….tumne abhi se jhoot bolna shuru kar
diya….bade baalon wale ne narm lahje mein kaha chalo….revolver wala ghurraya
wo unhe aakhirkaar sound proof kamre mein le
aayi….
aur
bade baalon wale ne darwaaza bandh kar diya….usne apna breifcase mez par rakhte hue masheri (bed) ki taraf ishara kiya….baith jao
sawaal to yeh hai ke akhar….
tum koi sawaal nahi karogi….sirf jawaab
dogi….revolver wale ne kaha
main nahi jaanti tum log kaun ho….
yeh aur bhi acha hai khatoon….bade baalon wale
ne shaistagi (vinamrata) se kaha
pucho….kya puchna hai….khanam jhalla kar boli
x-2 kaun hai….?
kaun….?
x-2….
yeh kya balaa hai….main nahi jaanti….!
buri baat hai khatoon….bade baalon wale na
kaha….situation ko samajhne ki koshish
karo….tumhe sound proof kamre mein isiliye laaya gaya hai….zaroorat padhne par torcher bhi kiya jaa sake….!
yaqeenan….tum dono paagal ho gaye ho….main nahi jaanti ke x-2 kya balaa hai….!
revolver wale ne aadhe haath muh par thappad
raseed kiya….
aur
wo hiziyaani andaaz mein cheekhti hui us par jhapat padhi….revolver wale ne revolver patloon
ki jeb mein daala….
aur
use dono haathon se peetne laga….
lambe baalon wale ne darwaaza band kar ke kunji
khufal hi mein rahne di….
aur
fir un dono ki taraf dekhne laga….!
revolver wale ne khanam ka libaas jagah-jagah
faadh diya….
aur
jism ke alag-alag hisson par zor-zor se
chutkiyan leta raha….
aur
khanam jaanwaron ki tarah cheekhti rahi….
fir
thodi der baad use chhod diya….khanam farsh par aundhi padi foot-foot kar roti rahi….!
main tumhe kuchal kar rakh dunga….
varna
batao ke x-2 kaun hai….?
main nahi jaanti….khanam halakh ke bal cheekhi
is baar uske baayein pahlu par thokar padhi….wo bilbila kar uth baithi….
fir
kamar par thokar padhi….
thaher jao….lambe baalon wale ne kaha….fir se
sonchne ka mauqa do….zaahir hai….
agar
na bataya to zinda bhi na rahe sakogi….!
thokaron ne uski halat kharaab kar di thi….aisa maalum ho raha tha jaise khuwwat gawaa baithi
ho….bayaa (left) pahlu daba-daba kar saans lene ki koshish kar rahi thi….aankhein aisi faili hui thi jaise kuch dikhayi hi na de raha ho….!
yeh tumne kya kiya….bade baalon wale ne ghussele
lahje mein kaha
aur
khanam par jhuk padha….
fir….wo isi tarah pahlu dabaye hue bayin (left) taraf ludak gayi….
bade baalon wala use hila-hila kar awaazein deta
raha….
lekin
wo to behiss-o-harkat ho chuki thi….!
tum bilkul gadhe ho….bade baalon wala seedha khada ho kar ghurraya….khatm ho gayi….!
nahi….revolver wale ke halakh se fansi-fansi si
awaaz nikli
chalo….nikal chalo….ahmaq kahin ke….!
safdar us waqt se unka picha kar raha tha….jab
imran murghiyaan aaloo….
aur
bakre ki raan le kar kisi taraf rawaana hua
tha….wo dono imran ka picha karte rahe….
aur
safdar imran ke piche tha….
fir
imran apna kaam kar ke chalta bana….
aur
wo dono khanam ki kothi ke aas-paas mandlate rahe….!
safdar ko unhi se gharz thi….
isliye
wo bhi wahin ruka raha….
fir
wo dono kothi mein daakhil ho gaye the….
fir
safdar unki waapsi ka intezar karta raha….
yeh to zaahir tha ke wo dono is kothi ke
baashinde nahi the….
lehaza
unki waapsi laazmi thi….asal maqsad to un dono ke thikaane ka pata lagana tha….aadhe ghante
baad wo dono bahar aaye….
aur
unke andaaz mein bechaini nazar aayi….
safdar ek baar unka picha karta raha….
lekin
thodi der baad usne mehsoos kiya ke uske piche bhi ek gaadi hai….to kya uska bhi picha ho raha
hai….?
agar
aisa hai to baat kahan bani….pichli gaadi
khareeb hoti jaa rahi thi….wo koi ghair
mataalookh aadmi bhi ho sakta hai….mahez ittefaq se use bhi udhar hi jana ho….jidhar safdar ki
gaadi jaa rahi thi….
achanak
ek zordar dhamaaka hua….safdar ki gaadi uchal
padhi….
fir
usne break lagaya….engine bandh kar ke wo gaadi se utar aya….pichli gaadi pahle hi barabar se nikal chuki thi….!
dhakke de kar usne apni gaadi ko sadak ke niche
utarwaya….khel khatm ho chuka tha….
shayad
pichli gaadi se hone wali beawaaz fire ne yeh
karishma dikhaya….ek tyre dikki mein maujood tha….jack chadaya….tyre badalne mein 22 minute
lag gaye….
aur
wo un dono ka suraagh kho chuka tha….bedili se
gaadi waapsi ke liye modhi….
aur
seedhe imran ke flat ki taraf chala aya….!
imran maujood nahi tha….usne sulaiman se coffee ke liye kaha….
aur
cigaratte sulga kar aaram kursi par baith
gaya….wo sonch raha tha akhar imran kyun….kya wo
x-2 ki shakshiyath se waqif hai….? sir sultan ke alawa shayad hi aur koi x-2 ki shakshiyath se
waqif raha ho….
fir
us na-maalum aurat ne sir sultan hi ko phone
kyun nahi kiya….wo sonchta raha….
aur
cigaratte ke halke-halke kash leta raha….!
dusre kamre mein phone ki ghanti baji….thodi der baad sulaiman ne aa kar kaha….aap ki call hai….!
safdar ne call receive ki….
dusri taraf imran tha….parwaah mat karo
to kya aap bhi the….?
haa….us gaadi ke piche jisse fire kiya gaya tha….
to fir….kaamyaabi hi rahi….
bilkul….unka thikana mere ilm mein aa chuka
hai….
khair….
zaroori baat suno….sir sultan apni dehi kothi
mein ruke hue hai….tum aur khawar unki dekh-
bhaal karoge….unko pata na lage baghair….fauri
rawaana ho jao….
lekin
tum apni gaadi nahi le jaoge….bus se jao….unki
hifazat ke silsile mein tum kisi ko maar daalne ki niyath se bhi fire kar sakte ho….!
ok….aur kuch….?
nahi bas….apni aql bhi istemaal kar sakte ho….!
shukriya….
dusri taraf se silsila cut hone ki awaaz sun kar usne bhi receiver rakh diya….kamre mein wapas
aya to coffee mez par maujood thi….
aur
sulaiman sar jhukaye hue khada tha….!
tumhare to aish honge sahab ki ghair maujoodgi
mein….safdar ne sulaiman ko chedha
nahi sahab….unse magaz-maari ke baghair aish mein bhi mazaa nahi….!
joseph kaha hai….?
apne kamre mein hoga….jab se aya hai har waqt
qayamat….
aur
roz hisaab ki baatein karta rehta hai….!
kabhi sahab ke ghar walon ne bhi puch-gaach ki thi unke baare mein….?
kabhi-kabhi suraiya bee-bee ka phone aata hai….
coffee pi kar safdar uth gaya….khawar ko shayad pahle hi x-2 ki taraf se hidayath (nirdesh) mil chuki thi….wo safdar ke intezar mein hi tha….!
khissa kya hai….? khawar ne sawaal kiya pata nahi….shayad sir sultan khatre mein hai….!
magar….hum rahenge kahan….?
aasmaan ke niche kothi ke aas-paas….safdar ne
kahe kar thandi saans li
bade baalon wala gaadi drive kar raha tha….
dusra aadmi seat par uske khareeb baitha
tha….tum yeh nahi bataoge ke wo kiss tarah
mari….? usne bade baalon wale se kaha
suno….main is muheem ka incharge tha….tum mere nirdesh se aage nikal gaye….!
bas….bekhaabu ho gaya tha….!
mujhe maalum nahi tha ke tum aurton ko takleef
de kar khushi mehsoos karte ho….
varna
main kam-az-kam tumhe na chunta….!
ab to jo kuch hona ho chuka….
lekin tum….
dekho dost….main khwamkhaa apni gardan nahi
faswa sakta….mamuli torcher kaafi faidemand saabeet hua karta….!
badi jaandar aurat thi….mujhe hairath hai ke itni jaldi kaise mar gayi….!
tumhari thokar uske bayein (left) pahlu par
padhi thi….
baherhaal
meri samajhme nahi aata ke report kya du….boss ise pasand nahi karega….!
kya wo rawaangi ke waqt kamre mein maujood tha….?
haa….usne seedhe aadesh jaari kiye the….!
tum hum sab mein hoshiyaar aadmi ho….
agar
chaho to mujhe takleef mein daal sakte ho….!
bade baalon wala kuch na bola….
thodi der baad unki gaadi ek badi imaarath ke compound mein daakhil ho gayi….wo gaadi se utar kar imaarath mein aye….
bade baalon wala uska saath chhod kar upri
manzil ke ek kamre mein daakhil ho
gaya….darwaaza band kar ke apni gardan tedhi
ki….
aur
fir….dono haathon se bade baalon wala make-up utaar diya….wo baalon samet plastic ka chehra
tha….jo chikle ki taraf uske asal chahre se
utarta chala chala gaya….asal chehra daadhi aur
moochein nikal jane ke baad…. bohath bada darauna tha….chapti naak ke niche aadhe gaalon
tak faile hue mote honth bohath khunkhaar lag
rahe the….aankhon ki narmi ghayab ho chuki thi….usne phone ka receiver utha kar mouth-piece
mein kaha….ghauri ko mere kamre mein bhej do….
fir
receiver rakh kar usne cupboard se bottle
nikaali….
aur
use honthon se laga kar khareeb aadhi apne
halakh mein utaar gaya….bottle rakh kar wo darwaaze ko khunkhaar nazron se ghoorne laga….
kuch der baad halki si dastak hui….
aa jao….wo ghurraya
wahi aadmi darwaaza khol kar andar daakhil hua….jiss ki thokar se khanam nasreen khatm ho gayi thi….!
report….usne uski taraf dekhe baghair kaha
wo….wo….report janab….shahed
main tumse report talab kar raha hu….tum bhi uske saath the….!
wo….wo….mar gayi boss
kaise mar gayi….lahja behadh sard tha
wo….wo….janab
puri baat batao….boss dahaada
shahed ne uske dil ke muqaam par thokar maar di thi….
ooh….wo chandh lamhe use khamoshi se dekhta
raha….
fir
saamne wali stool ki taraf ishaara kar ke
bola….baith jao
shukriya….boss….wo kapkapaati hui awaaz mein
bola
thik usi waqt phone ki ghanti baji….
usne aage badh kar receiver utha liya….hello it is mobi sir….dusri taraf se awaaz ayi
yes….
picha karne wali gaadi ka tyre fail kar diya
gaya tha….
lekin
hume shakh hai ke humara bhi picha kiya gaya tha….!
achi baat hai….ab tum idhar na aana….
fir
usne silsila cut kar ke kisi ke number dial
kiye….
aur
mouth-piece mein bola….boss
yes boss….dusri taraf se awaaz ayi
maalum karo imaarath ki nigrani to nahi ki jaa rahi….!
ok boss….
fir silsila cut kar ke wo stool par baithe hue
aadmi ki taraf mudha
aur
uske mote-mote honthon par ek safaak si muskurahat dikhayi di….!
raat ke 11 baje the….imran aaram kursi par lait kar ung raha tha ke phone ki ghanti baji….
dusri taraf se joseph ki awaaz sunayi di….boss
wo imaarath bilkul khaali padhi thi….albatta ek laash thi wahan….tahir sahab ne laash ki tasveer le li hai….!
thik hai….wapas aa jao
bohath acha boss….
reveiver rakh kar imran uth gaya….
aur
baghli hostler utha kar khaande par daala….peet par uski pattiyan ki si thi….aur caot pahenta hua bahar nikal aaya….!
thodi der baad uski two-seater imaarath ki taraf
jaa rahi thi….
shayad
usne waqti taur par us imaarath ko nazar andaaz kar ke ghalthi ki thi….fauri uski nigrani shuru kar deni chahiye thi….!
shaam ke aakhbaraat mein social worker khanam
nasreen ke khatl ki khabar bhi chapi thi….imran ne sar ko jhumbish di jaise uski koshish bekar hui ho….!
imaarath se bohath dur usne gaadi roki….
aur
engine bandh kar ke niche utar aya….ab wo paidal
hi imaarath ki taraf jaa raha tha….sadak chaudi thi….gaaliyon mein andhera tha….zara hi si der
mein wo imaarath ke picha pahunch gaya….
shayad
andar jana chahta tha….udhar kahi darakht the ek
aisa bhi tha jiss par chad kar wo kam-az-kam chath ke khareeb to pahunch hi sakta tha….wo
darakht ke khareeb pahuncha hi tha ke….
achanak
police ki gaadi ka siren sunai dene laga….wo
chup-chaap waapsi ke liye mudh gaya….
shayad
imaarath khaali karne walon mein se kisi ne wahan laash ki maujoodgi ki ittela police ko di
thi….two-seater mein baith kar wo….
fir
apne flat ki taraf chal padha….
yahan sulaiman phone par kisi se uljha hua tha….
imran ne ishaare se pucha kaun hai….
ajee….wahi begum sahiba hai….sulaiman mouth-
piece par haath rakh kar bola….der se dimaagh chaat rahi hai….!
laao receiver mujhe do….imran ne kaha
aur
receiver uske haath se jhapat liya….hello
kaun hai….? dusri taraf se awaaz ayi
wahi muft ka khaadim….farmaiye
tumne wo saamaan bungle par nahi pahunchaya….
jee….pahuncha to diya tha….
kahan pahuncha diya tha….?
bungle par….
kiss ke bungle par….?
kamaal karti hai aap bhi begum sahiba….kya sahab ne aap ko nahi bataya ke phone par is khism ki baatein nahi kiya karte….!
nahi….wo to kayi din se behosh padhe hue hai….!
charas ki bajai mirch powder istemaal kar baithe honge….!
kya bakwaas hai….?
haqeeqat arz kar raha hu….begum sahiba….sahab par kadi nazar rakha karo….!
acha….ek baat to batao….
farmaiye….
us aurat se kab ki dushmani nikaali hai….?
is shaher mein ek bhi aisi aurat ko zinda dekhna pasand nahi karta jaisi wo thi….!
agar….police ko khabar ho jaye to….
mere khilaaf saboot unhe kahan se pahunchega….?
agar….main nashaandehi kar du to….
sahab hosh mein aate hi aap ki khaal utaar
denge….
waise
main sonch raha hu ke khaal utar jaane ke baad aap kaisi lagengi….!
shut-up….ke saath hi silsila cut ho gaya
akhar….yeh hai kaun sasuri….? sulaiman ne imran
ko receiver rakhte hue dekh kar kaha
shakl dekhe baghair kaise kahe sakta hu ke sasuri hai bhi ya nahi….
kisi din punjabi gaaliyan suna dunga….
line dead ho jayegi bay….khabardar aisa mat karna….!
aap nahi mile to mujhe bura-bhala kahne lagti hai….
imran use haath hila kar jane ka ishaara kiya….
aur
coat utaar hi raha tha ke….
fir
phone ki ghanti baji….hello….usne receiver utha
liya
safdar….hum wapas aa gaye hai….sir sultan dehi
kothi se kahi aur chale gaye hai….ho sakta hai shaher hi wapas aye ho….aap tasdeekh (pushti) kar le….!
acha….acha….aur koi khaas baat….?
maine shaam ka akhbaar bhi dekha hai….aakhir us bechaari ne aap ka kya bigaadha tha….?
shut-up….kahe kar imran ne silsila cut kar
diya….
fir
usne sir sultan ke number dial kiye….kya sir sultan maujood hai….?
haa….so rahe hai….aap kaun hai….?
imran….
kya jagaa du….?
nahi….dehi kothi se kab wapas aye….?
shaam ko….
subaah unhe bata dena ke maine khairiyath dariyaaft ki thi….
bohath acha….
receiver rakh kar usne sulaiman ko awaaz di….
thodi der baad wo aya….
abay….raat ka khana….?
subaah ko kha li jiyega….
kya bakta hai….imran use ghoorte hue dahaada
main samjha tha ke un murghiyon mein aap ka bhi hissa hai….
abay….to kya kuch bhi nahi hai….?
sookhi double-roti….
aur
masoor ki patli daal ke alawa aur kuch bhi nahi hai….!
shukar hai….moong se masoor par to aya….chal wahi la….!
laaun kahan se….sookhi double-roti….
aur
masoor ki daal to mere pet mein hai….!
acha….ab main tujhe hi kha jaunga….!
mujhe khayenge to kal kya khayenge….?
haa….yeh to hai….imran masoom si surat bana kar bola….khair dekha jayega….sach-mooch wo bhooka
tha….
fir
usne dobara coat pahena….
aur
darwaaze ke bahar nikal gaya….!
is baar imran ki gaadi tip-top night-club ki
taraf jaa rahi thi….
lekin
thodi hi der baad usne mehsoos kar liye ke uska picha kiya jaa raha hai….!
arey mardoodon….kya bhooka hi maar doge
mujhe….imran badhbadhaya
usne gaadi ek gali mein modh di dusri gaadi bhi
mudh gayi….imran agli sadak par nikal aya….dusri
gaadi ab bhi piche lagi hui thi….puri tarah yaqeen kar lene ke baad ke picha kiya jaa raha
hai usne gaadi ek jagah rokdi….
aur
niche utar kar ek drug-store mein daakhil ho gaya….wahan se usne black-zero ke number dial kiye….
dusri taraf se fauri jawaab mila….
main tip-top night-club jaa raha hu….mere piche bhi koi hai….safdar se kaho ke tip-top pahunche….!
bohath acha janab….
imran ne receiver rakh kar dukaandar ko call ke paise aada kar ke bahar nikal aya….
dusri gaadi shayad aage kahin park ki gayi thi….
imran fir apni gaadi mein jaa baitha engine
start kiya….
aur
gaadi modh kar tip-top ki taraf rawaana ho
gaya….rear-view mein pichli gaadi ki head-lights nazar aa rahi thi….gaadi ki raftaar usne 30 mile
se zyada nahi badhayi thi….ho sakta hai ke picha
karne walon ne use phone karte bhi dekha ho…. lehaza
ab wo aur bhi savdhaan ho jayenge….isse pahle bhi unhe dokhe mein rakh kar unka picha kiya
gaya tha….
aur….shayad….
wo usse waqif bhi ho gaye the….
isliye
wo us imaarath ko chhod bhaage the….imran
sonchta raha
tip-top ke parking stand mein jagah nahi thi…. isliye
use khule hi mein gaadi park karni padhi….iske baad wo tezi se porch ki taraf badh gaya….!
dusri gaadi bhi zara hi der baad compound mein
daakhil hui….
aur
imran hi ki gaadi ke khareeb park kar di gayi….!
porch tak pahunchte-pahunchte imran un dono afraad (log) ko dekh liya….jo us gaadi se utre the….ek aurat thi aur ek mard….!
wo dinning-hall mein daakhil hua….yahan floor
show ho raha tha….
aur….shayad….
chandh hi mezein khaali thi….imran ne aisa mez chuna jahan se wo sadar darwaaze par nazar rakh sakta tha….!
picha karne wale bhi hall mein daakhil ho gaye….
aur
imran ke khareeb do mezein chhod kar teesre par
baith gaye….aurat khaasi haseen thi….desi hi
thi….umar zyada-se-zyada tees saal rahi
hogi….mard mazbooth jism ka tha….ghani
aur
chadi hui moochein uske chahre par shaandar lag rahi thi….bazaahir wo dono imran ki taraf mutawaja (attract) nahi the….!
imran ne waiter ko ishaare se bula kar….chicken soup aur tale (fry) hue jhinghe order kiye….!
un dono ne bhi kuch mangawaya….
aur
fir….baatein karne lag gaye….!
dance ka music buland tha….
aur
mezon ke darmiyaan thirakti hui aurtein kabhi-
kabhi gaane bhi lagti….floor show tip-top ki riwayath ke khilaaf tha….na jane kyun in dinon yeh naya riwaaj shuru ho gaya tha….!
baherhaal….imran khamoshi se soup pita raha….
picha karne walon ki mez par sharaab ki bottle….
aur
glass nazar aye….!
thodi der baad usne safdar ko hall mein daakhil hote dekha….wo darwaaze ke khareeb ruk kar mezon
ka jayeza lene laga….
fir
imran par nazar padhi….
aur
uske khareeb hi ki khaali mez ki taraf badh gaya….!
imran ne picha karne walon ki taraf dekha….wo
uski taraf mutawaja (attract) nahi the….imran ne safdar ki taraf dekh kar un dono ki taraf
ishaara kiya….
aur
safdar ne unke khareeb ki mez par khabza kar liya….usne coffee mangwayi….!
imran ab tale (fry) hue jhingon par haath saaf kar raha tha….yeh uski pasandida dish thi….
ek waiter imran ki mez ke khareeb aa kar bola….aap ki call hai….janab….!
oh acha….shukriya….imran uthta hua bola
counter par pahunch kar usne receiver uthaya….
dusri taraf se black-zero ki awaaz ayi….siddiqui
ne ittela di hai ke aap ki gaadi mein koi gadbadi ki gayi hai….maine siddiqui ko hidayath (nirdesh) ki thi ke safdar ke piche jaye….!
bohath acha jaa rahe ho….
shukriya janab….aap bahar nikal kar siddiqui ki
gaadi istemaal kar sakte hai….mera khayal hai ke
aap ki gaadi mein koi is khism ki gadbadi ki gayi hai ke wo kuch dur chalne ke baad khadi ho jaye….!
main unhe mayoos nahi karunga….
yani aap apni hi gaadi istemaal karenge….?
bilkul….imran receiver rakhte-rakhte ruk kar
kaha….
aur
haa suno….julia ko hidayath (nirdesh) kar do ke mujhse dur hi rahe….!
bohath behatar janab….
receiver rakh kar imran apni mez ki taraf palat aya….waiter ko bula kar coffee mangwayi….
safdar un dono ki taraf mutawaja (attract) tha….!
coffee khatm kar ke imran uth gaya….wo sonch
raha tha ke picha karne walon ki gaadi mein koi
teesra bhi tha jiss ne uski gaadi par haath saaf
kar diya….bahar nikal kar wo apni gaadi ki taraf
badha….
lekin
usne un dono ko bahar nikalte nahi dekha….unki
gaadi mein steering par sach-mooch koi teesra nazar aya….imran ne apne sar ko halke se hilaya….
aur
apni gaadi ka darwaaza khol kar baith
gaya….khankhaniyon se porch ki taraf dekha….un dono ka kahin pata na tha….safdar bhi na dikhayi
diya….aakhirkaar usne gaadi start ki….
aur
sadak par nikal aya….!
picha karne wali gaadi bhi thodi der baad dikhayi di….
imran ne apni gaadi us sadak par daal di jo bandargaah ki taraf jati thi….jald hi veeraana
shuru ho gaya….
aur
ek jagah gaadi ka engine ajeeb tarah ka shor paida kar ke bandh ho gaya….imran ne utar kar
bonet uthaya….
aur
jhuk kar engine ka jayeza lene ki koshish karne laga….
thik usi waqt picha karne wali gaadi bhi khareeb
hi aa ruki….us par se ek aadmi utar kar imran ki taraf badha….saath hi usne haank lagayi….tum revolver ki zad par ho….apne haath upar uthao….!
imran ne dono haath uthaye….wo khareeb aya
bilkul….khaali hu yaar….purse mein teen rupiye 75 paise padhe hue hai….imran ne kaha
khareeb aa kar wo bayein (left) haath se imran ki jebein tatolne laga….
fir
usne haath hostler par rakha hi tha ke….imran ka
dahina (right) khaanda tezi se upar utha….
aur
saath hi revolver wale haath par haath bhi padha….ajnabi to cheekh maar kar sadak par padh gaya….uska revolver imran ke haath mein tha….!
confucius ne kaha tha ke mardon ko langot zaroor baandhni chahiye….imran ne fakeerana shaan se kaha….ab padhe loota karo zameen par….!
wo thodi der tak padha karaahta raha….
fir
bola….darasal main to madad karna chahta tha….!
revolver dikha kar….? imran ne pucha
main kaha tha thoda sa mazaaq bhi sahi….
bada khaufnaak mazaaq tha….acha ab uth kar karo madad….!
wo utha tha….
lekin
puri tarah sambhal bhi nahi paya tha ke imran ne revolver ka dasta uski ghuddi par raseed kar
diya….
aur
wo fir muh ke bal niche chala aya….is baar behosh ho gaya….!
imran ne use utha kar uski gaadi ki pichli seat
par daal diya….ignition mein kunji (key) maujood thi….apni gaadi wahin sadak ke kinaare chhod
di….
aur
humla awar ki gaadi sieko mansion ki taraf le jaa raha tha….!
safdar us waqt tak wahan baitha tha….jab tak ke wo dono uth nahi gaye….
wo dono bahar aye….
aur
faatak par ruk kar idhar-udhar dekhte rahe….unki
gaadi to pahle hi jaa chuki thi….
aur
raat gaye koi khaali taxi milni mushkil thi….
fir
safdar ne dekha ke wo paidal hi airport ki taraf
jaa rahe hai….ab uske liye dushwari thi….ho sakta tha ke unhe raaste mein koi taxi mil
jati….
aur
safdar wahin khada rahe jata….
achanak
usne fir unhe club ki taraf mudhte dekha….
wo sach-mooch palat aye….aurat porch hi mein ruk
gayi….
aur
mard andar chala gaya….!
safdar ne soncha ke shayad wo kisi ko phone kar gaadi talab karne gaya….!
mard jald hi wapas aa gaya….
aur
fir….wo dono porch mein khade haath hila-hila kar guftgu karte rahe….!
safdar apni gaadi mein baitha unhe dekhta
raha….mard shaandar shakshiyath ka maalik
tha….aisa lag raha tha jaise pahle kabhi prize fighter bhi rahe chuka ho….aurat dilkash thi…. aur
uske saath kuch aisi buri bhi nahi lagti thi….
fir
safdar imran ke baare mein sonchne laga….use halaat ka puri tarah pata nahi tha….pata nahi wo
hazrat kahan honge….
aur
kya kar rahe honge….
fir
use khanam nasreen yaad aa gayi….muft mein maari
gayi bechari….imran ne use uske taalookh phone
par guftgu karne se rok diya tha….mumkeen hai
khanam nasreen ka unhi logon se kisi khism ka taalookh raha ho….imran khwaamkha kisi ko nuqsaan nahi pahuncha sakta….!
thodi der baad ek kaali lambi si gaadi compound
mein daakhil hui….
aur
wo dono porch se aage badh aye….!
ek ba-vardi driver gaadi se utar kar unke liye darwaaza khola….
aur
sonch raha tha ke kahin imran se andaaze se
ghalthi to nahi hui….
ya fir….
usi ne uska ishaara ghalath samjha ho….
baherhaal
ab to dekhna hi tha….!
safdar ne picha shuru kar diya….agli gaadi ek
imaarath ke saamne ruki….
aur
sirf aurat utar kar imaarat ki taraf badh
gayi….gaadi fir aage chal di….imaarat aur us jagah ko apne zahen mein utaarte hue safdar gaadi ka picha jaari rakha….!
kuch der baad gaadi hotel inter-continental ke
compound mein daakhil hui….
aur
fir….15 minute ke andar-hi-andar maalum ho gaya ke wo shaksh usi hotel ke kamra number 104 mein
ruka hai….naam bhi maalum ho jata….
lekin
counter clerk ne sahyog nahi kiya….!
safdar ab seiko mansion ka rookh kiya….
kyun ke
report record karni thi….wapsi mein wo us imaarat ke paas ruka jahan aurat utri thi….
teen manzil imaarath thi….aala darje ke flats
the….dilshaad wala naam tha….
fir
wo seiko mansion pahuncha hi tha ke imran ki
maujoodgi ka pata chala….
aur
yeh bhi maalum hua ke wo apne saath kisi behosh
aadmi ko laya tha….jo abhi tak behosh hai….
aur
imran common room mein baith kar uske hosh mein aane ka intezar kar raha hai….wo seedha common room ki taraf chala gaya….
yahan imran ek aaram kursi par baith kar ahista-
ahista chewing-gum kuchal raha tha….ahaa….wo use
dekh kar seedha baithta hua bola….ab mujhe yeh ittela na dena ke wo dono lord aur lady dhaansu fex the….!
jee nahi….aisi koi ittela nahi hai….aurat
dilshaad wala mein gayi….
aur
mard hotel inter-continental ke kamra number 104 mein ruka hua hai….naam nahi maalum ho sake….!
yehi bhi acha hi hua….!
kyun….?
allah ki marzi zyada sonchne ki zaroorat nahi hai….!
aap kisi laaye hai….safdar ne use ghaur se
dekhte hue pucha
is tarah ghaur se na dekha karo….mera dil kisi khadar zanana pan mehsoos karne lagta hai….!
baaton mein udhayein….wo kaun hai….?
yaar hosh mein to naam bataye….paishaani par to naam likhe nahi hote….
fir….safdar apni report record karne chala
gaya….waapsi par maalum hua ke imran jaa chuka
hai….uska khaidi abhi hosh mein nahi aya….subaah hone zyada der nahi thi usne soncha kyun na
baakhi waqt common room mein kisi aaram kursi hi par ung kar guzaare….abhi baitha bhi nahi tha ittela mili ke uski call hai….
dusri taraf se x-2 ki awaaz ayi….dilshaad wala mein use talaash kar ke uski baare mein mukamal maalumat haasil karo….!
bohath behtar janab….
seedhe imran ko report de sakte ho….
bohath behtar….
dusri taraf se silsila cut hone ki awaaz sun kar
usne bhi rakh diya….
fir
common room mein aa kar ungne laga….sabse pahle use yeh maalum karna padha ke wo imaarath ke
kiss flat mein rehti hai….
aur
yeh isi surat mein mumkeen hota jab wo use kisi flat se bahar hote dekh leta….naam to maalum
nahi tha….
to fir….
ab is imaarath ko chhodna padhega….subaah hote
hi wo seiko mansion se nikal khada hua….ek restro mein naashta kar ke dilshaad wala ki taraf rawaana ho gaya….!
bahar ek board par maalikon ke naam….
aur
flat ke number darj the….unme kayi aurtein bhi
thi….
lehaza
is jagah bhi baat na ban saki….iske baad wo
pahli manzil ki raahdari pahuncha wo chaar hi
khadam chala hoga ke seedhoyon par wohi aadmi
dikhai diya jo pichli raat us aurat ke saath tha….wo dusri manzil ki seedhiyon ki taraf mudh gaya tha….safdar palat padha….
wo dusri manzil ke ek flat ke saamne ruk kar
usne call bell ka button dabaya….
aur
darwaaza khulne ka intezar karne laga….!
safdar teesri manzil ki seedhiyon ki taraf badh gaya….teesri manzil ki raahdari mein wo cigarette sulgane ke liye ruka….do-teen kash le
kar wo dusri manzil par aya….
aur
flat ka number dekh kar wo seedhiyon ki taraf
badh gaya….ground flour par pahunch kar wo us
board ke paas aa khada hua….jiss par kirayedaron ke naam likhe hue the….17 number ke flat ke saamne madamme sadia rani likha hua tha….
ab safdar ki car imran ke flat ki taraf jaa rahi thi….wo khaasa magan tha….unexpected taur par jaldi hi kaamyaabi naseeb ho gayi….!
imran naashte ki mez par mila….
shayad
wo din chade tak sota raha….safdar ko dekh kar
usne sulaiman ko awaaz di….
aur
uske liye bhi kuch laane ko kaha….!
nahi….shukriya….main naashta kar chuka hu….!
khair….khair….baitho….shayad uska naam sadia
rani hai….
aur
flat number 17 mein rehti hai….!
safdar ka muh khul gaya….
aur
fir….usne sakhti se daant beench liye….saare josh par thanda paani fir gaya….!