/** * Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection. * However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use. */

Kagaz Ki Kashti (Ek Prem Kahani)

Masoom
Pro Member
Posts: 3101
Joined: Sat Apr 01, 2017 11:48 am

Re: Kagaz Ki Kashti (Ek Prem Kahani)

Post by Masoom »

Update-11

thodi deer baad vidya dubara se apne bhaiye ke paas aati hain.....raghu is waqt wahin apne charpayi par leta hua tha......vidya ek baar fir se raghu ko dekhkar muskura padti hain....

vidya- kya baat hain bhaiya......aaj se pehle maine aapko kabhi itna bechain nahin dekha.....zaroor kuch to khaas baat hain.....batawo na mujhe....bhala aab mujhe kaisa sharmana.......

raghu- ye tu kya keh rahi hain vidya.....main theek hoon......mujhe kuch nahin hua hain.....wo to bus aise hi neend nahin aa rahi.....

vidya jhat se raghu ke kareeb aati hain aur neechay wahin farsh par baith jati hain......wo jhat se raghu ka haath apne haathon mein tham leti hain......vidya ki ye harkat se raghu hairat se uski ore dekhney lagta hain......

vidya- jo khoon aapki ragon mein daud raha hain wahin khoon meri ragon mein bhi hai bhaiya.......aap bhale hi laakh mujhse chupana chahein magar ye aapki aankhein mujhe sab kuch bayan kar rahi hain......main ye baat aapse daave se kahti hoon ki aapko aaj kisi se pyaar ho gaya hain kyon ki aaj se pehle maine aapko itna bechain kabhi nahin dekha........yehi baat hain na bhaiya......

vidya ki baateion se raghu jhat se apni nazarein dusari ore fer leta hain- nahin vidya ye sach nahin hain.......tu bhi kuch bhi aise hi bolti hain....

vidya- to yehi baat meri aankhon mein kehkar boliye.....mujhe aapki baateion par vishwaas ho jayega......

raghu wain apne bister se uth kar baith jata hain- ye sach nahin hain vidya........tu jaa apne kamrey mein raat bahut ho gayi hain.....aur tujhe subeh school bhi to jana hain.....

vidya- aap baat ko mat badahiye bhaiya.......jo main pooch rahi hoon kya wo sach hain......agar haan to wo kaun hai jo aapka dil le gayi.....

raghu- tu bhi na vidya......bhala ye sab baatein tu mujhe kaise pooch bhi sakti hai......

vidya- mujhe aapka jawab chahiye bhaiya.....haan ya naa.....

raghu kuch deer tak sochta hain fir apna garden haan mein jhuka deta hain....ye dekhkar vidya ke chehrey par ek pyari si muskaan aa jati hain.....wo jhat se raghu ka haath apne haathon mein leti hain aur ussey poochney lagti hain....

vidya- main janti thi ki aapko bhi ye ishq ka rog lag gaya hain......aab itna sab kuch bata hi chukey ho to ye bhi bata do ki mere hone wali bhabhi kaun hain.....kaisi hain....

raghu- nahin ye main tujhe kabhi nahin bata sakta.....tu bhi bahut badmash ho gayi hain......chal chup chaap apne kamrey mein jakar so ja.....

vidya bura sa mooh banati hain- bata bhi do na bhaiya.....agar aapne mujhe nahin bataya to aaj ki raat mujhe neend nahin aane wali......aap chahtey ho kya ki main raat bhar jaag kar katun.......

raghu batana to nahin chahta tha magar vidya ke baar baar zidd ke wajah se wo bol padta hain- tu usey aachey se janti hai vidya.....wo teri saheli rashi hi hain jisney tere bhaiya ka dil aur chain sab ek pal mein le gayi..........

vidya ko aab bhi vishwaas nahin ho raha tha ki raghu jo ussey keh raha hain wo sab sach hain......wo bus chup chaap apne bhaiya ko ek tuk dekh rahi thi......

vidya- bhaiya.....aapko maloom bhi hain ki aap kya kar rahein hain.....bhala rashi se aap kaise pyaar kar saktey hain......wo itne bade mehlon ki rani aur hum ek mamooli insaan.....aapko kya lagta hain ki kya rashi aapse shadi karegi.....kabhi nahin......aur agar aisa ho bhi gaya to wo yahan ek pal bhi reh nahin payegi......aur hum usey de bhi kya saktey hain....

raghu- lekin vidya maine bhi to usey bahut samjhaya magar usney meri ek na suni.......wo to mano mere liye pagal ho gai hain......aab tu hi bata main kya karun....

vidya- bhaiya aap chote thakur ko aachey se nahin jante......wo bahut kamina insaan hain agar usey zara bhi is bare mein pata laga wo tumhein jaan se maar dega......uska khauff yahan sabke dilon mein hain.....wo aapko kabhi zinda nahin chodega.....aap mere khatir rashi se door rahiye.......is pyaar mein aapko sirf takleef aur rushwayi hi milegi......aur isey duniya kabhi bhi manney ko razi nahin hogi.......aur bhaiya agar aapko kuch ho gaya to main bhi aapke bagair jee nahin pawongi.....aur kaun hain aapke siwa mera is duniya mein......main aapke samney apni haath jodti hoon bhaiya ki aap raashi ko hamesha hamesha ke liye bhool jaiye.....us pari ka khwaab hum gareebon ke bus mein nahin......main aapko kisi bhi haal mein nahin kho sakti.....

aur vidya apne bhaiye ke haathon par apna sir rakhkar wahin foot foot kar ro padti hain.......raghu ke aankhon mein bhi aansoon aa gaye they wo bhi apna ek haath vidya ke sir par bade pyaar se ferta hain.......

raghu- bus itni si baat.....arey meri behan ke liye to main hanstey hanstey apni jaan bhi de sakta hoon....fir ye pyaar kya cheez hain......mujhe sab manzoor hain magar teri aankon mein aansoon nahin.......bus aab chup ho ja aur jakar so jaa raat bahut ho gayi mujhe subeh kaam par bhi jana hain......

vidya ke jaate hi ek baar raghu fir se pareshan ho jata hain magar usey bhi vidya ki baat sahi lagti hain.....wo ye sab tay kar liya tha ki wo kal subeh jakar rashi ko saaf saaf mana kar dega......

dusare din idher rashi roz ki tarah apne chat par bade hi bechaini se raghu ke aane ka intezaar kar rahi thi.......wo aaj bahut khus thi........usney raat mein na jane kitne sapney dekh dale they.......magar shayad sapney sach hote to baat hi kuch aur thi........

thodi deer baad usey raghu aata dikhayi deta hain.....wo wahin chaat se khadi hokar raghu ko dekh rahi thi.......raghu ander haveli mein aata hain magar ek bhi baar wo apni garden upar nahin utatha......rashi ki bekarai badhti hi jaa rahi thi ek taraf usey raghu par bhi gussa aa raha tha.....

rashi ka jab sabra toot jata hain wo jhat se gussey se raghu ke pass jati hain wahin thodi door par uske bhaiye bhi khadey they.....wo jhat se apne badhtey kadam rok leti hain aur wahin dheere se apne bhaiye ko ek nazar dekhti hain......pratap usey hi dekh raha tha.......

pratap- kya hua rashi......tu yahan naukaron ke beech kya kar rahi hain......koi kaam tha to mujhe bula leti.......yahan neechay aane ki kya zaroorat thi......

rashi- wo bhaiya......bus aise hi.....socha thodi neechay ghoom fir loon.......

pratap ek nazar ghoor kar usey dekhta hain fir wo rashi ke paas aata hain...pratap ko apne paas aise aata hua dekhkar rashi durr se seham jati hain......usey durr tha ki kahin uske bhaiya ko shak na ho jaye.....warna ye baat uske bhaiya ko pata lag jati ki wo raghu se pyaar karti hain to pata nahin wo kaun sa naya toofan khada kartey........

pratap uske ek dum kareeb aata hain aur wahin rashi ki aankhon mein dekhney lagta hain....rashi jhat se apni nazrein neechay jhuka leti hain......

pratap- kya baat hain rashi...tere ander itna kuch badllav aa gaya hain.....sehar mein rehkar main tujhe aab bhi aachey se samajh nahin paa raha hoon....lagata hain is baar sehar ki hawa tujhe aachey se lagi hain......ya fir aur koi baat hain......kahin tu mujhse kuch chupa to nahin rahi......fir pratap sare naukron ki ore bade gaur se dekhney lagta hain......sare naukar apne kaamon mein vyast they......raghu bhi apne kaam mein laga hua tha is wajah se wo ek bhi baar rashi ki taraf nahin dekh raha tha.....

rashi ka chehra durr se peela padh gaya tha....wo kisi bhi haal mein apne bhaiya ko asliyaat nahin zaahir karna chahti thi- nahin bhaiya.....wo....aisi ...koi baat ....nahin...main chalti hoon.....aur rashi jhat se apne haveli mein jane ke liye jaise hi mudati hain tabhi pratap ki awaaz sunkar wo wahin ruk jati hain.......

pratap- tu bhi na......arey main tera bhai hoon koi kasai nahi jo tu mujhse itna darti hain.......pratap jhat se apna haath rashi ke galon par ferta hain- jaa apne kamrey mein jakar wahin aaram kar......ye koi ghumney ka samany nahin hain...shaam ko chali jana.......aur rashi jhat se apne kamrey mein aati hain.....uska dil zoron se dhadak raha tha.......wo aabhi bhi apne sanson ko kabu mein karney ki nakam koshish kar rahi thi.....

is tarah poora din beet gaya magar aaj na hi raghu uske kareeb aaya aur na hi rashi ki himmat hui ki wo raghu ke kareeb jaye......shaam ko raghu apne kaam se fursat hokar apne ghar ki taraf chal padta hain......wo roz ki tarah aaj bhi usi jheel ke paas jakar baith jata hain aur jheel ke behtey pani ko bade gaur se dekhney lagta hain.....bhale hi wo aaj rashi ko mudkar nahin dekha tha magar aaj uska dil bahut bechain ho raha tha....

thodi deer baad usey rashi ki awaaz sunayi deti hain wo apna sir ghumakar uski ore ek tuk dekhney lagta hain.....rashi uske kareeb aati hain aur jhat se raghu ke bagal mein aakar baith jati hain.......aaj uski aankhon mein aansoon they......pata nahin ye raghu ke rukhey vyahaar se ye raghu ke ander aaye is badlaav se......par jo bhi tha ye to aaney wala waqt hi batayega ki rashi ke dil mein is waqt kaun sa toofan hain..............................................

______________________________
कैसे कैसे परिवार Running......बदनसीब रण्डी Running......बड़े घरों की बहू बेटियों की करतूत Running...... मेरी भाभी माँ Running......घरेलू चुते और मोटे लंड Running......बारूद का ढेर ......Najayaz complete......Shikari Ki Bimari complete......दो कतरे आंसू complete......अभिशाप (लांछन )......क्रेजी ज़िंदगी(थ्रिलर)......गंदी गंदी कहानियाँ......हादसे की एक रात(थ्रिलर)......कौन जीता कौन हारा(थ्रिलर)......सीक्रेट एजेंट (थ्रिलर).....वारिस (थ्रिलर).....कत्ल की पहेली (थ्रिलर).....अलफांसे की शादी (थ्रिलर)........विश्‍वासघात (थ्रिलर)...... मेरे हाथ मेरे हथियार (थ्रिलर)......नाइट क्लब (थ्रिलर)......एक खून और (थ्रिलर)......नज़मा का कामुक सफर......यादगार यात्रा बहन के साथ......नक़ली नाक (थ्रिलर) ......जहन्नुम की अप्सरा (थ्रिलर) ......फरीदी और लियोनार्ड (थ्रिलर) ......औरत फ़रोश का हत्यारा (थ्रिलर) ......दिलेर मुजरिम (थ्रिलर) ......विक्षिप्त हत्यारा (थ्रिलर) ......माँ का मायका ......नसीब मेरा दुश्मन (थ्रिलर)......विधवा का पति (थ्रिलर) ..........नीला स्कार्फ़ (रोमांस)
Masoom
Pro Member
Posts: 3101
Joined: Sat Apr 01, 2017 11:48 am

Re: Kagaz Ki Kashti (Ek Prem Kahani)

Post by Masoom »

Update-12



rashi- baat kya hain raghu......aaj tumne mujhse baat tak karney ki koshish nahin ki.......baat to door tumne meri taraf ek nazar palatkar bhi nahin dekha......aisi kaun si galti hui mujhe jo tum mujhe itnani badi saza de rahe ho......chup kyon ho bolo.....

raghu rashi ko apne se door hatata hain- nahin rashi ye theek nahin hain....jo kuch ho raha hain humare beech wo sab sahi nahin hain......aab humare beech ye dooriyan hi rahe to ye hum sab ke liye aacha hoga......

rashi jhat se raghu ka collar pakad kar usey apne pass kheechti hain- kya!!!! ye kya keh rahe ho tum raghu.....kal tak to sab theek tha fir aaj aisa kya hua humare beech jiske wajah se tumne aisa faisla liya......kisi ne kuch kaha kya tumse.......kaise main jeewongi tumhare bagair....murr jawongi main......issey aacha hota ki tum mera gala ghont dete......mujhe marna pasand hain magar aab tumse judaai ek pal bhi ganwara nahin.....

raghu- hosh mein aawo rashi!!!! ye kya bachon jaisi baatein kar rahi ho.....ye baat tum bhi aachey se janti ho aur main bhi ki ye humara pyaar kabhi is janam mein poora nahin hoga......ye janam kya agle janam mein bhi nahin.....main tumhein kaise samjhaun ki jo ho nahin sakta usey bekar mein zidd karney se kya fayda......aabhi tumhare samney tumhari puri zindagi padi hain.......itnani jaldi koi zindagi ka faisla nahin liya ja sakta......

rashi ke aankhon se aansoon aabh bhi beh rahe they- to fir theek hain agar yehi tumhari zidd hain to fir mera murr jana hi aacha hain....kum se kum jee kar main tumhein haasil nahin kar sakti to kum se kum tumhare liye murr to sakti hoon......

raghu jhat se ek zor ka thappad rashi ke gal par jadh deta hain- hosh mein aawo rashi......tum kuch bhi bake jaa rahi ho......jaan dene se kisi samaysa ka koi samadhan nahin hota.....aur tumhare bhaiya hain na wo agar jaan gaye is baat ko to wo to mujhe jaan se maar dalengey magar tumhein bhi nahin chodengey......aur main nahin chahta ki tumhein meri wajah se koi bhi aanch aayein........

tabhi wahan par vidya bhi aa jati hain......ek baar to usey ye sab nazara dekhkar jhatkaa lagta hain magar wo jhat se raghu ke samney jakar khadi ho jati hain......rashi ki jab nazar uspar padti hain wo apne aankhon se behtey aansoon pochti hain aur apni nazrein jhat se neechi kar leti hain.....

vidya- to baat aab yahan tak aa chuki hain.......tumne bhi mujhse kya dosti nibhayi hain rashi......meri dosti ki aad lekar tumne mere hi bhaiya ko apne pyaar ke jaal mein fansa liya.........aur tum kis pyaar ki baat kar rahi ho wo pyaar jo kabhi poora nahin ho sakta......aur agar galti se tum ek ho bhi gaye to kya tumhein itna yakeen hain ki tumhare bhaiya tum dono ko zinda chodengey......ye sab jo tum keh rahi ho rashi wo sab filmon mein aacha lagta hain......magar ye humari zindagi koi filmi duniya nahin hain....jo kuch hain wo sab haqeeqat hain.......aur ye tumhare liye bhi aacha hoga ki tum is sapnon ki duniya se bahar aawo.......

yaad hain na tumhein yahan par pyaar karney walon ka kya anjaam hota hain........kya tum bhool gayi ki ramesh ka tumhare bhaiye ne kya haal kiya tha.......

rashi aabhi bhi chup chaap vidya ki baat sun rahi thi......kaun ramesh.....main kisi ramesh ko nahin janti......

vidya- to chalo mere saath aaj main tumhein apni aankhon se dikhati hoon ki do pyaar karney walon ka yahan kya anjaam hota hain......aur vidya jhat se rashi ka haath tham leti hain aur usey jhat se lekar gawn ki ore chal padti hain.......rashi bhi bina kuch kahe chup chaap vidya ke saath chal padti hain......raghu wahin kisi paathar ki tarah buth bankar chup chaap khada tha.......kuch door chaalney par usey ek chota sa jhopadi dikhayi deta hain.....wo wahin jakar ruk jati hain.......

vidya- dekho rashi is ghar ko....kabhi yahan bhi hansta khelta parivaar hua karta tha......ye jo ghar dekh rahi ho ye ramesh ka ghar hai...aawo mere saath main tumhein us shaksh se milwati hoon jiska sirf ye gunaah tha ki usney bus pyaar kiya tha......aur aaj bhi usey us pyaar ki saza mil rahi hain....aawo mere saath.......rashi bhi hairat se vidya ke peechay peechay us jhopadi ke ander daakhil hoti hain.......

jab rashi ke samney jo nazara usey dikhayi deta hain usey dekhkar uske hosh udd jate hain......us ghar mein ek 50 saal ki budhi aurat baithi hui thi aur ek 18 saal ki ladki wahin chawal been rahi thi......wahin thode door par ramesh apne charpayi par leta hua tha.......afsoos ki wo aab chalney ki halat mein nahin tha......uske ek pawn aur ek haath nahin they.........aur wo aab pagal bhi ho chuka tha.....uski dash dekhkar rashi ke aankhon se ek baar fir se aansoon nikal padtey hain......

jaise hi wo ladki vidya ko dekhti hain wo usey dekhkar muskura deti hain......wo bhi jhat se ander aati hain......tabhi wo boodhi aurat rashi ki ore dekhkar ussey ishara karti hain ki ye ladki kaun hain.....issey pehle ki rashi kuch bol pati vidya bol padti hain.......

vidya- maa ji ye meri saheli hain rashi......ye sehar mein rehti hain....aabhi kuch din hue aayein isey yahan par......is waqt ye mere ghar par hi rehti hain.......bus do char din ke baad ye wapas apne sehar laut jayegi......main bus yahan se gujar rahi thi to socha ki aapse milti chaloon......aab ramesh ke ander kuch badlaav aaya ki nahin......

tabhi wo aurat bolti hain- nahin beti......iski zindagi to aaj narak se badhtar hain......issey aacha hota ki mera beta kab ka dum tod chuka hota.....roz roz se marney se to aacha hain na ki iski ek din maut aa jati......kum se kum ye takleef to nahin jhelni padti.......rashi ko hairani ho rahi thi ki bhala ek maa apne bete ke liye aisi baatein kaise bol sakti hain....magar jo rashi sun rahi thi wo sab ek kadwa sach tha......

rashi- kya hua tha maaji inke saath.....

vidya- main batati hoon......fir vidya bolna shuru karti hain....baat aaj se 9 saal pehle ki hain.......us samay ramesh sehar mein rehkar apni padhayi kar raha tha.....wo bhi saal mein do baar yahan aata tha apni chutti mein......fir ek din iski naukari lag gayi teacher mein......ye school ka master ban gaya......iske parivaar mein bhi iski maa aur bapu they.......aur ye iski choti behan......jo us samay kareeb 10 saal ki thi......ek baar jab garmi ki chutti hui tab ye yahan apni chutti bitane apne ghar aaya......sab kuch aacha bhala chal raha tha.....magar ek din iske zindagi mein gauri naam ki ladki aayi......

usney bhi ramesh se pehli nazar mein pyaar ho gaya tha......wo bhi aksar usi jheel par mila kartey they.......magar kabhi undono ke ander jismani khwahishein nahin thi...wo dono ek dusare ko saacha pyaar katey they......magar ek din inke pyaar ko grahan lag gayi......aisa grahan jo aaj tak nahin mita......tumhare bhaiya pratap ki nazar in dono par padh gayi......fir hona kya tha.....waise bhi log uski naam se khauff khate hain......

wo in dono ko pakadkar beech gawn mein ek peed se inhein baand diya gaya.....aur usney indono par julm dhana shuru kiya......magar har baar ramesh ke mooh se bus gauri ka naam hi nikata tha...usney apna har dard mein gauri ko yaad kiya karta tha......jab pratap ne dekha ki uska durr aab logon ke dilon se nikal jayega tab usney gauri ko sare aam sab logon ke samey uski izzat lutwayi.......bhare gawn ke samney usey nanga kiya gaya.....yehi nahin pratap aur khud uske saathiyon ne milkar gauri ko bari bari ganda kiya........

gauri usi haal mein cheekti rahi chillati rahi magar un darindon ko uspar zara bhi daya nahin aayi......wo sab milkar usey ramesh ke aankhon ke samney usey ganda kartey rahe.......aur fir jab unki hawas bujh gayi tab wo ramesh ko ek raasi se band diye aur uska ek haath aur pawn ko uske jism se alag kar diya......magar ramesh ko issey bhi un logon se koi shikwa gila nahin tha......wo usi haal mein gauri ke pass gaya aur uske nangey bandan par ek chaddar dali.......magar gauri ko aab aisa laga ki aab wo ramesh ke layak nahin rahi ......is liye usney wahin rakha ek dhardhaar hathiyaar se apne aap ko khatam kar liya......aur aakirkaar mein wo ramesh ki bahon mein apna dum tod di.......ye sadma ramesh bardaast nahin kar paya aur usney bhi apni jaan dene ki koshi ki magar uski behan ne usey ain mauke par bacha liya....

ramseh to kareeb ek mahine tak aspataal mein pada raha behoshi ki halat mein......jab kabhi usey hosh aata wo bus gauri ka hi naam leta.......aur gauri ki yaad uske dimag mein is tarah ghar kar gayi ki wo uski yaad mein pagal ho gaya......tab se lekar aaj tak uski halat aisi hi hain......yahan par ye hota hain do pyaar karney walon ka anjaam.........

vidya itna bolkar khamosh ho jati hain aur ek tuk rashi ki ore dekhney lagti hain.......bolo hain koi jawab tumhare paas iska......rashi aabhi bhi wahin khamosh khadi thi ......usey aabh bhi apne bhaiya par vishwaas nahin ho raha tha.......aaj uske pass vidya ke kisi bhi sawalon ka koi jawab nahin tha...........................................................

______________________________
कैसे कैसे परिवार Running......बदनसीब रण्डी Running......बड़े घरों की बहू बेटियों की करतूत Running...... मेरी भाभी माँ Running......घरेलू चुते और मोटे लंड Running......बारूद का ढेर ......Najayaz complete......Shikari Ki Bimari complete......दो कतरे आंसू complete......अभिशाप (लांछन )......क्रेजी ज़िंदगी(थ्रिलर)......गंदी गंदी कहानियाँ......हादसे की एक रात(थ्रिलर)......कौन जीता कौन हारा(थ्रिलर)......सीक्रेट एजेंट (थ्रिलर).....वारिस (थ्रिलर).....कत्ल की पहेली (थ्रिलर).....अलफांसे की शादी (थ्रिलर)........विश्‍वासघात (थ्रिलर)...... मेरे हाथ मेरे हथियार (थ्रिलर)......नाइट क्लब (थ्रिलर)......एक खून और (थ्रिलर)......नज़मा का कामुक सफर......यादगार यात्रा बहन के साथ......नक़ली नाक (थ्रिलर) ......जहन्नुम की अप्सरा (थ्रिलर) ......फरीदी और लियोनार्ड (थ्रिलर) ......औरत फ़रोश का हत्यारा (थ्रिलर) ......दिलेर मुजरिम (थ्रिलर) ......विक्षिप्त हत्यारा (थ्रिलर) ......माँ का मायका ......नसीब मेरा दुश्मन (थ्रिलर)......विधवा का पति (थ्रिलर) ..........नीला स्कार्फ़ (रोमांस)
Masoom
Pro Member
Posts: 3101
Joined: Sat Apr 01, 2017 11:48 am

Re: Kagaz Ki Kashti (Ek Prem Kahani)

Post by Masoom »

Update-13 (A)


is waqt uske aankhon se aansoon beh rahein they.......wo vidya se kuch nahin kehti aur jhat se bahar nikal jati hain........jaise hi wo bahar aati hain uske samney raghu khada tha........rashi ki nazar jab raghu par padti hain wo wahin khamoshi se apna sir neechay jhuka leta hain.......rashi uske paas aati hain aur jhat se uske gale lag jati hain aur kisi chote baachey ki tarah foot foot kar ro padti hain.......raghu kisi buth ki tarah wahin chup chaap khada rehta hain.......

rashi- raghu aab tum hi kaho.......ismein mera kya kasoor hain......bus yehi na ki maine tumse pyaar kiya hain......main janti hoon ki jo ramesh aur gauri ke saath hua wo bahut galat hua....mere bhaiya ne jo kiya wo galat kiya mujhe aaj uska bahut dukh hain.........bhagwaan na kare ki kabhi kisi ke saath aisa ho......agar tum ye samajh rahe ho ki main ramesh aur gauri ke anjaam se durr se peechay hutt jawongi to ye tumhari bhool hain.....aab to mera pyaar aur bhi gehraa ho gaya hain....aaj mujhe ek nayi himmat mili hain.......main tumse vaada karti hoon raghu ki agar mujhe apne pyaar mein agar jaan bhi deni padey to bhi main hanstey hanstey ye zindagani tumhare naam kar doongi.......

raghu- rashi sach mein tum pagal ho......kyon nahin samajhti ki is pyaar mein humein bus tadap aur rushwayi hi milegi......fir kyon tum is aag se khel rahi ho.....

rashi- haan aaj main pagal ho gayi hoon....tumhare liye.....tumhare pyaar ke liye.....bolo raghu main tumse aakhri baar poochti hoon ki thamogey mera daman........main tumhein koi zabardasti nahin karungi.......magar itna yaad rakha ki main tumhare bin shayad jee nahin pawongi.....is liye jo bhi faisla lena khoob soch samajh kar lena.......kahin aisa na ho ki tumhein apne faisley par baad mein pachtana padey.......aur rashi jaise hi jane ke liye mudati hain tabhi raghu jhat se uska haath tham leta hain aur jhat se rashi ko apne seenay se laga leta hain.......

raghu- tumne ye kaise soch liya ki main tumse pyaar nahin karta.......mujhe bhi tumse utna hi pyaar hain rashi jitna ki tum mujhse karti ho.......main bhi tumse vaada karta hoon ki jab tak jeewonga marte dum tak tumhare saath rahunga......ye aaj raghu tumse vaada karta hain.......rashi ki aankh bhar aati hain aur wo jhat se raghu ke seenay se lipat jati hain......raghu bade pyaar se uske sir par apna haath fer raha tha......thodi deer baad vidya bahar aati hain aur ye sab nazara dekhkar usey ek baar fir se jhatkaa lagta hain magar is baar wo kuch nahin kehti aur wo wahan se seedha apne ghar ki ore nikal jati hain....

rashi- vidya mujhse aaj bahut naraz hai.....haan maine uski dosti ki aad li thi tumhein pane ke liye.......aur usi dosti ki aad mein maine aaj tumhein apna banaya hain......magar main kya karun raghu maine to kabhi ye sochkar pyaar nahin kiya....ye to bus ho gaya........ho sake to vidya se itna zaroor kehna ki wo mujhe maaf kar de.......aab main chalti hoon raat hone wali hain kahin kisi ne dekh liya to khwamokhwaah baat bigad jayegi........aur rashi jhat se raghu ke lab choom leti hain aur jhat se apne ghar ki ore nikal padti hain.......aaj uske dil mein ek khushi bhi thi wahin dusari taraf uske dil mein apne bhaiye ke liye nafrat si ho gayi thi........

raghu chup chaap wahin khade hokar rashi ko jata hua dekh raha tha......wo bhi aaj dharam sankat mein fansa hua tha.......ek taraf to uska pyaar tha wahin dusari taraf uska parivaar tha......ye to aane wala waqt bata sakta tha ki raghu ki zindagi mein aagey kya mod aayega......

thodi deer baad wo apne ghar pahuncti hai.......samney pratap wahin baitha hua chai pee raha tha.......jab paratap par rashi ki nazar jati hain wo jhat se apna chehra nafrat se dusari ore fer leti hain.......

pratap- kahan se aa rahi ho tum rashi......ye tumhara sehar nahin ki jo tum itne raat gaye idher udher ghoomti rehti ho......ye ganv hain......yahan par shaam ke baad ladkiyon ka ghar se niklna mana hain....aagey se tum itne raat tak bahan nahin ghumogi......

rashi- aapse matlab......main kahin bhi jawon.....aapko mere niji mamley mein dakhal andaazi karney ki koi zarurat nahin.......main aapki koi ghulam nahin hoon jo aap kahengey, jaisa kahengey wo main karungi.......

pratap gussey se wahin khada ho jata hain aur wo rashi ki ore badhney lagta hain aur thode deer baad wo rashi ke samney aakar ruk jata hain- sehar mein rehkar lagta hain ki tu tameez bilkul hi bhool gayi hain....kissey tujhe kya baat karni chahiye ye tujhe nahin maloom......agar tu meri behan nahin hoti to tujhe main aabhi batata ki main kya cheez hoon.......aabhi tu mujhe aache se janti nahin hain........

rashi- bataney ki kya zaroorat hain bhaiya........wo to main dekh hi rahi hoon......mujhe to aab apne aap par sharam aati hai ki main aap jaise insaan ki behan hoon.....kaash issey aacha hota ki mera koi bhai nahin hota......rashi ye shabdh poora kar pati tabhi uske gaal par ek karkara thappad padta hain jissey uska chehra laal padh jata hain aur uske aankhon se aansoon chalak padtey hain.........

pratap- tu choti hain iska matlab ye nahin ki tu jo kuch bhi kahegi wo main chup chaap sunta jawonga.......yahan mera raaz chata hain......jo main yahan chahta hoon wahin yahan hota hain......aaiyenda mere niji mamley mein dakhal andazi bhi mut karna.......warna mujhse bura aur koi nahin hoga.....aur haan aagey se tu mujhse tameez se pesh aana.......

rashi- bura.......aapse bura to aur koi ho bhi nahin sakta.......is chehrey ke peechay main aapka asli chehraa dekh chuki hoon.......kitna bhayank chehra hain aapka.......

pratpa fir se rashi par apna haath uthatha hain tabhi uski maa beech mein aakar uska haath tham leti hain- ye tu bawla ho gaya hain kya pratap......maar dalega kya rashi ko........iska kya kasoor hain....kyon tu ispar apna hath utha raha hain.......bhala tujhe ye sab shobha deta hain ek jawan behan par aise haath uthatey hue.......

rashi- nahin maa.......aaj inhein mutt rokiye......aaj inke dil mein mere liye jitnai nafrat hain sab mujhpar aaj nikal lene dijiye.......aakir inse mujhe aur kya umeed bhi ho sakti hain.....

sarita- ye tu kya anap shanap bake jaa rahi hain........chal jaa apne kamrey mein........

rashi- nahin maa.....main koi anap sanap nahin bak rahi........bus inka asli chehra aap ke samney laa rahi hoon........

sarita- asli chehra......matlab???? main kuch samjhi nahin....????

rashi- haan haan asli chehra........is chehre ke peechay ek aur bhi bhayanak chehra hain inka......

sarita- jo kehna hain saaf saaf keh......aise gol gol kyon baat kar rahi hain....

rashi- theek hain...to fir inse poochiye ki gauri kaun hain.........aur kya hua tha uske saath.......aur inhone kya kiya tha uske masoom ke saath.........

pratap rashi ki baateion ko sunkar hadbada jata hain- kaun gauri????? main kisi gauri ko nahin janta......

rashi- to fir aap ramesh ko bhi nahin jante hongey........agar aapko kuch yaad nahin to main aapko kuch yaad dilawon......

______________________________

Update-13(B)



pratap ke chehrey par ghabrahat ke bhaav saaf dikhayi de rahein they- ye tu kya kuch bhi bake jaa rahi hain.....main kisi gauri aur ramesh ko nahin janta........

rashi- aacha aapki yaadast to kafi kamzoor lagti hai......ya to aap jhoot bol rahein hain ya fir jaan boojh kar bhoolney ka bahana bana rahein hain........

pratap gussey se cheekh padta hain- rashi band kar apni bakwaas.....nahin to.......

rashi- cheekho mutt bhaiya.......aapke chilaaney se sach nahin badal jayega......agar aapko yaad nahin to fir main aapko yaad dilati hoon.....fir rashi bolna shuru karti hain......

wahin ramesh jo aaj pal pal apni zindagi aur maut ke beech jhool raha hain.....aapne to uski aisi haalat ki hain ki wo aaj na hi sahi se jee sakta hain aur na hi sahi se murr sakta hain.......aur main usi gauri ki baat kar rahi hoon jiska aapne 9 saal pehle sare ganv walon ke samey usey nanga kiya tha........usey nanga hi nahin kiya balki sare ganv walon ke samney usey apni hawas ka shikaar bhi banaya tha.......aur bari bari apne aadmiyon ke saath milkar uski izzat sare ganv walon ke samney utari........aaj aapki hi dain hain jiske wajah se usey atmahatya karna pada......usi sharmindagi ki wajah se usney apne aap ko khatam kar liya tha ........aabhi bhi kuch yaad aaya ya aur bhi main kuch yaad dilawon......

pratap ka gala sukh raha tha uske chehrey par paseenay saaf chalak rahein they........wo nahin samajh paa raha tha ki ye sari baateion rashi kaise janti hain.......kisney bataya usey.......aaj uske paas rashi ke sawalon ka koi jawab nahin tha........

rashi- chup kyon ho.....kya ye sach nahin hain..........

pratap- haan ye sach hain...magar unhoney gunaah kiya tha.....jiski saza unhein mili thi.......aur us gunah ki saza agar maut se bhi badhkar hoti to bhi main unhein deta.......

rashi- gunaah.............main poochti hoon kaun sa gunaah kiya tha unhone.....bus yehi na ki wo ek dusare se pyaar kartey they.....uske liye unhein itni badi saza mili......aapne bahut galat kiya bhaiya unke saath.......aab se mujhe aap se nafrat ho gayi hain......bus aaj ke baad mujhe kabhi bhi apni behan ka darza mutt dena.....ye samajh lena ki main aapke liye murr gayi hoon.....nafrat karti hoon main aapse......agar aaj main aapse ye kahun ki mujhe bhi kisi se pyaar ho gaya hain to kya aap bhi mujhe wahin saza dengey.......sare ganv walon ke samney kya aap mujhe bhi nanga karengey........kya sare ganv walon ke samney meri izzat utarengey jaisa gauri ka utara tha........nahin.....aap aisa nahin karengey.....is liye ki main aapki behan hoon.....haan agar aapki main kuch nahin lagti to aap bhi mere saath wahin sulukh kartey jo gauri ke saath kiya tha...... nafrat karti hoon main aapse......aur rashi itna kehkar jhat se rotey hue apne kamrey mein chali jati hain.......peechay sarita aur pratap ek dusare ko ek tuk dekh rahein they.......pratap ko kuch bolte nahin banta aur wo chup chaap wahin apne kamrey mein chala jata hain.......

sarita bhi uske peechay peechay jati hain aur pratap ke kandhey par apna haath rakh deti hain- beta...main janti thi ki ek na ek din rashi ko is baat ki jankari ho hi jayegi.....khair main ussey baat kar loongi...tu bhi jakar apne kamrey mein aaram kar main aab chalti hoon...aur sarita rashi ke kamrey ki ore chal padti hain.......thodi deer baad wo rashi ke paas jati hain aur uske sir par bade pyaar se apna hath ferti hain.......

sarita- beti....jo hua jane de....jo ho gaya usey badla to nahin jaa sakta na.......chal apna gussa thook de.......aur jakar pratap se maafi mang le......

rashi- kya?????? maa mujhe aapse to aisi umeed bilkul nahin thi......itna kuch ho jane par bhi aap mujhe hi dosh de rahi hain.....main kis baat ki unse maafi magoon......galti unhone ki hain aur maafi bhi main hi mangoon.......ye mujhse nahin hoga.....mujhe aapka bhi jawab mil gaya hain maa......hairani hoti hain ki aap sab kuch jaan kar bhi ajnaan bani hui hain......kaisi maa hain aap.....

sarita jhat se rashi ke sir par apna haath rakh deti hain- beti ye mardon ki duniya hain.......yahan mardon ka raaz shuru se chalta aaya hain aur aagey bhi chalta rahega......hum to bus unke saaya hain.......chahe galat ho ya sahi bus humein unki parchayi bankar sada unke saath rehna hain.......ye samaz ye duniya sab yahan mardon ka banaya chakravyuh hain......bus hum to sada unki dasi hain.......

rashi- maa......sharam aati hain mujhe aap par.......main nahin manti ye samaz aur duniyadari ki bekar ki baatein.......jo galat hain wo galat hain.....aur galat ko sahi nahin thehrtaya jaa sakta........khair jab itna sab kuch ho jane par bhi aap nahin badal saki to mujhe aab aapse koi aur umeed bhi nahin hain......mere khyaal se aab aapko mera jawab mil gaya hoga.......

saruta gussey se bister se uth jati hain- bawli ho gayi hain tu.......aaj tujhe galat sahi mein koi faisla nahin dikh raha.......arey jo ho gaya so ho gaya.......jane de us baat ko........aab bekar ki baat lekar dhone se kya fayda.......

rashi- waah maa...bekar ki baat......agar ye sab kuch mere saath hua hota to bhi aapko ye sari bekar ki baat lagti......yehi antar hain apnon mein aur gairon mein.......main khoon to aapki hi hoon magar afsoos ki aapke aur mere khyalaat mein zameen asmaan ka antar hain.......behatar hoga ki aap is waqt mere samney se chali jaiye.......nahin to mujhe mazbooran koi galat kadam uthana padega.......aur itna kehar rashi jhat se apna chehra gussey se fer leti hain..........is waqt uske dil mein toofan sa uth raha tha...pata nahin aab ye toofan kahan jakar khatam hone wala tha..................................................

______________________________
कैसे कैसे परिवार Running......बदनसीब रण्डी Running......बड़े घरों की बहू बेटियों की करतूत Running...... मेरी भाभी माँ Running......घरेलू चुते और मोटे लंड Running......बारूद का ढेर ......Najayaz complete......Shikari Ki Bimari complete......दो कतरे आंसू complete......अभिशाप (लांछन )......क्रेजी ज़िंदगी(थ्रिलर)......गंदी गंदी कहानियाँ......हादसे की एक रात(थ्रिलर)......कौन जीता कौन हारा(थ्रिलर)......सीक्रेट एजेंट (थ्रिलर).....वारिस (थ्रिलर).....कत्ल की पहेली (थ्रिलर).....अलफांसे की शादी (थ्रिलर)........विश्‍वासघात (थ्रिलर)...... मेरे हाथ मेरे हथियार (थ्रिलर)......नाइट क्लब (थ्रिलर)......एक खून और (थ्रिलर)......नज़मा का कामुक सफर......यादगार यात्रा बहन के साथ......नक़ली नाक (थ्रिलर) ......जहन्नुम की अप्सरा (थ्रिलर) ......फरीदी और लियोनार्ड (थ्रिलर) ......औरत फ़रोश का हत्यारा (थ्रिलर) ......दिलेर मुजरिम (थ्रिलर) ......विक्षिप्त हत्यारा (थ्रिलर) ......माँ का मायका ......नसीब मेरा दुश्मन (थ्रिलर)......विधवा का पति (थ्रिलर) ..........नीला स्कार्फ़ (रोमांस)
Masoom
Pro Member
Posts: 3101
Joined: Sat Apr 01, 2017 11:48 am

Re: Kagaz Ki Kashti (Ek Prem Kahani)

Post by Masoom »

Update-14


Rashi wahin apne bister par gumsum si leti hui thi.....usey aab bhi apne gharwalon par bilkul vishwaas nahin ho raha tha.....usey pratap se zyada apne maa par hairani ho rahi thi.....uska aab is ghar mein dum ghutne laga tha.....wo aab yahan se azaad hona chahti thi.......magar shayad upar wale ko kuch aur hi manzoor tha.......aabhi to rashi ke jeewan mein musibaton ka pahad tootney wala tha.......

udher sarita bhi bahut gussey mein thi.......wo jhat se pratap ke paas jati hain aur uske kahdhey par apna haath rakh deti hain.....pratp bhi is waqt bahut gussey mein tha.......

sarita- beta gussa thook de......jo hua jane de......rashi ki nadani samajh kar tu usey maaf kar de......jawani ke josh mein usney aisa keh diya hoga....tu uski baton ko dil par mutt le......aabhi usney dunayi dari kahan dekhi hain......jab uske sir par jimmedari ka bojh padega tab usey sab samajh mein aa jayega........

pratap- nadani nahin maa......aab rashi ke dheere dheere par nikalney lage hain......aur humari bhalai isi mein hain ki jab tak uske par poorey nikale ussey pehle humein uske paron ko kaat dena chahiye......

sarita- tu kehna kya chahta hain......main kuch samjhi nahin......

pratap- maa aab rashi badi ho gayi hain......aab mere khyaal se humein uski shadi kar deni chahiye......jab uske sir par jimmedari ka bojh padega tab wo duniyadari dheere dheere seekh jayegi.......aapka is bare mein kya khyaal hain....

sarita ke chehrey par khusi ke bhav aa jate hain- tune to mere munn ki baat cheen li........main bhi kab se yehi soch rahi thi ......magar teri nazar mein hain koi aacha ladka jo usey sari zindagi khus rakh sakega........

pratap- haan maa.....mera bachpan ka dost aditya.......wo rashi ko humesha khus rakhega.......waise bhi wo sehar mein rehkar padha hain to usey duniyadari ki aachi khasi samajh hain.......

sarita- baat to teri theek hain magar.........sarita itna kehkar chup ho jati hain.......

pratap- magar kya maa.......

sarita- tujhe pata hain na ki wo anath hain......uska aab is duniya mein koi nahin......aur uska bangla bhi aab khandhaar ban chuka hain.......bhala rashi wahan kaise reh payegi uske saath.......

pratap- to ismein sochney ki kya baat hain........main aditya se baat karunga ki wo yahin humare ghar mein ghar jamai banker rahega.......issey rashi bhi hum sab ke saath rahegi aur aapko damad ke roop mein aditya mil jayega........aapka kya khyaal hain.......

sarita- beta tujhe jo theek lage......waise bhi yahan faisla mard hi kartey hain aur hum aurton ko to bus uni parchayi bankar saath chalna padta hain........tu aditya se is bare mein baat kar le.......mujhe is ristey se koi aitraaz nahin hain........

pratap- theek hain maa main ussey jald hi is bare mein baat karta hoon........

ek taraf to yahan pratap aur sarita milkar rashi ke khilaaf khichadi paka rahein they wahin in sab se bekhabar rashi aabhi bhi raghu ke liye tadap rahi thi.........dekhna ye tha ki yahan par pratap ki jeet hoti hain ya uski haar.......faisla to aane wala waqt hi bata sakta tha.........

wahin dusari taraf raghu apne ghar mein chup chaap gumsum sa baitha hua tha.......usey to kuch samajh mein nahin aa raha tha ki wovidya se kya baat karein......vidya is waqt bahut gussey mein lag rahi thi......khana khane ke baad jab wo soney jata hain uske thode deer baad vidya uske paas aati hain.......vidya ko aata dekhkar raghu apne charpayi se turant uthkar baith jata hain........

vidya uske paas aati hain aur wahin uske bagal mein baith jati hain.....aur bina kuch bole wo jhat se raghu ke seenay se lag jati hain aur foot foot kar ro padti hain......ragh kisi buth ki tarah chup chaap vidya ko dekh raha tha.....wo nahin samajh paa raha tha ki vidya ko aakhir hua kya hai......fir wo apna ek haath uske sir par bade pyaar se ferta hain........vidya apne aankhon se aansoon pochti hain.......

raghu- kya hua vidya......main janta hoon ki tu mujhse naraz hain......tujhe jo saza mujhe deni hain de de magar bhagwaan ke liye yu khamosh mutt reh......main tere is phool se chehrey par udasi nahin dekh sakta......

vidya- bhaiya main aapse naraz nahin hoon aur na hi mujhe rashi se koi shikayat hain........aap sab jantey hue bhi is aag se khel rahein hain......aapko ramesh ka anjaam pata hai ye sab jankar bhi aap aabhi bhi apni aankh par paati bandhey hue hain......agar aapko kuch ho gaya to.........

raghu jhat se apna ek haath vidya ke mooh par rakh deta hain- to tu hi bata vidya main kya karun......maine bhi to usey kai baar samjhane ki koshish ki magar wo to ek hi baat zidd ki hui hain......wo mujhe bahut pyaar karti hain......wo shayad aab mere bagair nahin reh payegi.......

vidya- aur aap bhi to usey bahut pyaar karte ho na bhaiya.......rashi meri dost hain aur main usey bahut aachey se janti hoon...wo ek number ki ziddi bhi hain......agar usey jo cheez pasand aa jaye to wo usey kis bhi keemat par haasli karke hi chodti hain......aur main janti hoon ki wo aapko kabhi shikayat ka koi mauka nahin degi......wo dil ki bahut aachi hain magar..............

raghu- magar kya vidya??????

vidya- magar aap shayad pratap ko bhool rahein hain.......jaisi wo ziddi hain waise hi pratap bhi ziddi kisam ka insaan hain......zara sochiye bhaiya agar ye baat pratap ko pata lag gayi ki aap aur rashi ek dusare se bahut pyaar kartey hain to jante hain na iska anjaam kya hoga........ithihaas gawah hain bhaiya......wo aapko kabhi zinda nahin chodega.....aur ho sakta hain ki wo rashi ko bhi maar dale..........

raghu- magar humnein to anjaam ki parwaah kiye bina hi ek dusare se pyaar kiya hain.......jo upar wala chahega wahi hoga......vidhi ka vidhaan koi nahin badal sakta.......jo humari kismet mein hoga wo hona hi hain.......pata nahin us rab ko kya manzoor hain..........

vidya- theek hain bhaiya bus upar wale se yehi duwa karungi ki aap jahan bhi rehna khus rehna......aur vidya jhat se apne kamrey mein chali jati hain.......raghu bhi bahut deer tak aane wale samay ke bare mein ek baar fir se sochney lagta hain.........

dusare din roz ki tarah rashi wahin raghu ka badi hi besabri se intezaar kar rahi thi.......wo kabhi idher to kabhi udher tehal rahi thi.......uski bechaini waqt ke saath saath badhti ja rahi thi.......tabhi pratap upar chat par aata hain magar jab uski nazar rashi par jati hain wo wahin ruk jata hain aur jhat se wahin deewar ke kinarey chup kar khada ho jata hain.......

usney kabhi rashi ki itna bechain nahin dekha tha.......na chahtey hue bhi wo uspar shaq ki nazar se usey dekhney lagta hain.......kuch deer tak rashi aisi hi bechain si ghoomti hain fir wo apna pair patak kar neechay apne room mein chali jati hain.......pratap usey bade gaur se jata hua dekh raha tha........wo ek baat to aachey se samajh chuka tha ki rashi zaroor kisi ka intezaar kar rahi thi......magar kiska......kaun hain wo.......ye baat aab pratap ko khatakney lagi thi......wo bhi turant neehcay jata hain aur apne khaas aadmi shyaam ko bulata hain aur usey 1000 ka note thama deta hain.......

shayam hairat se usey dekh rah tha- ye kya hain malik....

pratap- tumhein mera ek kaam karna hain......tumhein rashi par nazar rakhni hain...wo kissey miti hain kahan jati hain aur kaun ussey baat karta hain ye sari jankari mujhe pal pal milti rehni chahiye......agar tumne mera ye kaam kiya to main tumhein mooh mangi rakam doonga......aur haan ye baat kisi ko bhi bhanak nahin lagni chahiye........aur shayam wahan se bahar nikal jaa hain........................................

______________________________

Update-15


Is waqt pratap ke munn mein rashi ke prati shak ke beej janam le chukey they........wo aachey se janta tha ki rashi roz kisi na kisi ka intezaar wahin chaat par karti hain magar kiska........kaun hain wo........kuch to baat hain jo rashi mujhse chupa rahi hain........agar kisi ne bhi meri behan ki ore dekhney ki zururat bhi ki to main us sale ki aankhein nikal loonga........khair jo bhi ho uska chehra jald hi mere samney aa jayega.........tab usey main batunga ki pratap kya bala hain.....

pratap ke munn mein is tarah ke sawal uth rahein they wahin in sab se bekhabar rashi apne kamrey mein turant jati hain aur fir se foot foot kar ro padti hain......aaj uske roney ki wajah bhi thi kyon ki raghu aaj kaam par nahin aaya tha.......uska dil kahin nahin lag raha tha......thodi deer baad pratap rashi ke kamrey mein jata hain ..........

rashi aabhi bhi wahin bister par lete hue sisak rahi thi........wo dabe paanv dheere se rashi ke paas jata hain aur jakar wahin rashi ke bagal mein baith jata hain aur dheere se apna haath rashi ke sir par ferta hain.......rashi chihunk si padti hain aur hairat se pratap ki ore dekhney lagti hain........wo jhat se apne aankhon se behtey aansoon poch leti hain.....magar pratap ki nazreion ne sab kuch dekh liya tha........

pratap- rashi tu roo rahi hain........kya baat hain......kisi ne kuch kaha kya tujhse........

rashi ka dil zoron se dhadak raha tha wo bilkul samajh nahin paa rahi thi ki wo pratap ki baateion ka kya jawab dein......wo jhat se apni nazrein neechay jhuka leti hain........

rashi- nahin......bhaiya......koi baat nahin hain.........bus aise hi.........

pratap apne dono haath rashi ke galon par rakh deta hain- kya baat hain rashi........tu mujhse zaroor kuch chupa rahi hain......aaj tere in aankhon mein aansoon.......

rashi- main sach keh rahi hoon bhaiya.....bus aise hi......papa ki yaad aa rahi hain isliye kuch aacha nahin lag raha........

pratap aachey se jaan chuka tha ki rashi ussey jhoot bol rahi hain....magar wo baar baar ek hi baat poochkar rashi ke munn mein shak ka beej nahin bona chahta tha.......wo rashi ka jawab sunkar wo jhat se usey apne seenay se laga leta hain........

pratap- to fir main aabhi papa ke paas phone karke unhein kuch dinon ke liye yahan bula leta hoon.........ussey tera bhi munn behal jayega.......kyon kya khyaal hain.....

rashi- nahin bhaiya......jane dijiye unke paas waise bhi time nahin hota.......khawmokwah wo pareshan hongey.........

pratap bade gaur se rashi ke chehrey ki ore dekh raha tha......usey aab yakeen ho chala tha ki rashi ussey kuch chupa rahi hain........magar wo is waqt chup rehna hi behatar samajhta hain.........

pratap- theek hain tu khana kha lena......main neechay jaa raha hoon mujhe kuch kaam hain.......aur pratap kamrey se bahar nikal jata hain.......

rashi ke munn mein bhi durr janam le chuka tha.........kahin bhaiya ko mere upar shaq to nahin ho gaya......hey bhagwaan kahin agar aisa ho gaya to toofaan khada ho jayega......nahin agar aisa hota to bhaiya itni aasani se aise nahin chale jate........rashi ke munn mein bhi hulchal hone lagi thi.........aaj din bhar pratap uske upar nazar rakhey hue tha.......

shaam ko roz ki tarah rashi wahin jheel ke kinarey jati hain raghu se milney.......aaj bhi raghu wahin chup chaap baitha hua jheel ko ek tuk dekh raha tha.......rashi aati hain aur wahin raghu ke bagal mein jakar baith jati hain........

raghu- rashi tum yahan?????

rashi- tum to aise pooch rahe ho jaise main aaj pehli baar yahan aa rahi hoon.......aur aaj tum kaam par kyon nahin aayein......main aaj tumhara subeh se intezaar kar rahi thi........jantey ho aaj mere dil par kya gujari hain......kaise maine ek ek lamha kata hain.......aisa lag raha tha jaise ek ek pal kisi sadi ke barabar gujar rahein ho.......

raghu- wo aaj vidya ki tabiyaat thodi theek nahin thi iske wajah se main kaam par nahin aa saka......usey bukhar ho gaya hain.......wahin main subeh uske liye dawai lene gaya tha........

rashi dheere se raghu ke aur kareeb aati hain aur jhat se uske seenay se lag jati hain........

rashi- samajh mein nahi aata raghu ki main tumhare bin kaise jeewongi.........ye premrog jo mujhe tumne diya hain dekhna ek din ye humari jaan lekar hi rahegi.........main aab tumhare bin ek pal bhi nahin jee sakti........aawo raghu kahin door chaltey hain is duniya se door........jahan humare beech koi dusara nahin aa sakta.........hum wahin chalkar apna ek chota sa jahan banayengey......wahan main howungi aur bus tum......na kisi ka durr aur na fikar aur na hi koi gum........

raghu- nahin rashi agar humara pyaar sacha hain to main tumhein poorey haq se sabse maang kar le jawonga.........ye mera tumse vaada hain.......

rashi jhat se raghu ke sir par dheere se chata marti hain- oye mister aashiq........ye jo tum dailogue maar rahe ho na wo filmo mein aacha lagta hain........inka vastvikta se koi lene dena nahin hain........aur tum mere bhaiya ko nahin jantey wo tumhari boti boti kaat dengey agar unhein zara bhi is baat ki bhanak bhi lagi to.......raghu yahan humare pyaar ko koi nahin samajhney wala......aabhi bhi waqt hain chalo chaltey hain kahin in sab se door........

raghu- magar mere peechay vidya aur meri maa hain......unka kya hoga......kaun dekega unhein........nahin main aisa nahin kar sakta........

rashi-to fir theek hain main agar tumhein lagta hain ki tum mera hath mere bhaiya se mang saktey ho fir jaisi tumhari marzi........magar raghu itna yaad rakha ki agar tumhein kahin kuch ho gaya to tumhari rashi bhi murr jayegi........

raghu bahut deer tak yu hu khamosh rehta hai- agar us upar wale ko humare pyaar par aitbaar hain to wo humein zaroor ek karega......tum us rab par to vishwaas karo.......dekhna ek din sab theek ho jayega.........

is waqt rashi raghu ke bahon mein leti hui thi.......raghu bhi uske sir par apna haath bade pyaar se fer taha tha.......rashi turant uthathi hain aur ek pyaara sa kiss raghu ke galon par le leti hain......aur fir se wo ek baar raghu ke lab ko choom leti hain.......raghu bhi apni aankh band kar leta hain aur wo dono us madur milan mein kho jata hain.......na jane kitne deer tak wo dono aapas mein ek dusare ke honton ko aise hi chustney rehtey hain.........is waqt un dono ka dil zoron se dhadak raha tha........tabhi raghu rashi se door hutt jata hain......

raghu- rashi mere khyaal se aab humein chalna chahiye........dekho ab andhera bhi hone wala hain......

rashi- theek hain magar kal tum aawogey na kaam par......main tumhara intezar karungi........

raghu bhi dheere se muskura deta hain- theek hain rashi main kal zaroor aawonga.........fir wo dono apne apne rastey chale jate hain.........unki har gatividiyon ko do jodi aankhon ne sab kuch dekh liya tha.........aur ye do jodi aankhein aur kisi ki nahin balki shyaam ki thi.......aur ye is baat ki ore ishara kar rahi thi ki aane wala waqt zaroor koi toofan lekar aayega...........................................................

______________________________
कैसे कैसे परिवार Running......बदनसीब रण्डी Running......बड़े घरों की बहू बेटियों की करतूत Running...... मेरी भाभी माँ Running......घरेलू चुते और मोटे लंड Running......बारूद का ढेर ......Najayaz complete......Shikari Ki Bimari complete......दो कतरे आंसू complete......अभिशाप (लांछन )......क्रेजी ज़िंदगी(थ्रिलर)......गंदी गंदी कहानियाँ......हादसे की एक रात(थ्रिलर)......कौन जीता कौन हारा(थ्रिलर)......सीक्रेट एजेंट (थ्रिलर).....वारिस (थ्रिलर).....कत्ल की पहेली (थ्रिलर).....अलफांसे की शादी (थ्रिलर)........विश्‍वासघात (थ्रिलर)...... मेरे हाथ मेरे हथियार (थ्रिलर)......नाइट क्लब (थ्रिलर)......एक खून और (थ्रिलर)......नज़मा का कामुक सफर......यादगार यात्रा बहन के साथ......नक़ली नाक (थ्रिलर) ......जहन्नुम की अप्सरा (थ्रिलर) ......फरीदी और लियोनार्ड (थ्रिलर) ......औरत फ़रोश का हत्यारा (थ्रिलर) ......दिलेर मुजरिम (थ्रिलर) ......विक्षिप्त हत्यारा (थ्रिलर) ......माँ का मायका ......नसीब मेरा दुश्मन (थ्रिलर)......विधवा का पति (थ्रिलर) ..........नीला स्कार्फ़ (रोमांस)
Masoom
Pro Member
Posts: 3101
Joined: Sat Apr 01, 2017 11:48 am

Re: Kagaz Ki Kashti (Ek Prem Kahani)

Post by Masoom »

Update-16


Jaise hi rashi apne ghar jati hain uske peechay peechay shyam bhi chal padta hain........wo turant pratap ke paas jata hain aur jakar uske samney apni garden jhukaye khada ho jata hain......pratap usey ek nazar upar se neechay tak dekhta hain fir wo kehta hain.........

pratap- kuch pata chala shyaam ??? rashi kahan gayi thi aur kissey wo milti hain........kahin mera shaq sahi to nahin hain na......

shyam- aapka shaq bilkul sach hain malik.......rashi har roz us jheel ke paas jati hain aur wo apne aashiq se roz milti hain........

pratap- kaun hain wo haramzyada.......main usey tadpaa tadpaa kar kuttey ki maut marunga.......uski aisi zururat kaise hui jo usney meri behan ke taraf aankh utha kar bhi dekhney ki gustakhi ki.....main poocha hoon kaun hain wo ?????

shyaam- jee malik wo aur koi nahin balki apna hi naukar raghu hain........

pratap jab ye baat sunta hain to uski aankhon mein khoon utar jata hain wo wahin gussey se cheekh padta hain.......

pratap- aacha to usney ki hain ye zururat.......lagta hain us harami ko apni zindagi pyari nahin hain....wo ye kaise bhool gaya ki rashi ka bhai main hoon.......jawo aur usey turant yahan par lekar aawo......aaj usey main aisi maut marunga ki aane wali saat pidi ke log bhi dubara pyaar ke naam par thar thar kapengey.......aab main usey batunga ki pratap kya cheez hain......

shyam jaise hi jane ke liye mudta hain tabhi wahin darwaze par sarita usey khadi milti hain.....wo wahin ruk jata hain........aur jhat se apni nazrein neechay jhuka leta hain........

sarita- ye tu kya kar raha hain pratap.......josh se nahin hosh se kaam le........shyam tu jaa apne ghar aur ye sab baatein tu kisi aur se mutt keha.......shyaam haan mein garden jhuka kar wahan se chala jata hain......

pratap- tumne suna nahin maa......wo humare ghar ka naukar aaj meri hi behan se ishq ladane chala hain.....us sale ki to main..........

sarita- nahin pratap......aabhi nahin jo karna wo subeh karna.......aur hosh mein rehkar karna........haan mujhe pehle hi samajh jana chahiye tha ki us raghu par humari hi beti par buri nazar hain.......wo shayad bhool gaya tha ki khwaab sirf khwaab hote hain.......wo kabhi sach nahin hotey......tu is waqt jakar aaram kar aur haan rashi ko is baat ki bhanak bilkul bhi mutt hone dena.......wo bhi aab bahut ziddi ho gayi hain kuch na kuch wo zarur ulta pulta karegi .........

pratap bade mushkil se apne gussey par kaboo pata hain aur wo jhat se apne kamrey mein jakar cigratte pene lagta hain.......raat bhar wo tarah tarah ke tarike sochta hain ki wo kal raghu ko kaisi maut marega.........in sab se bekhabar rashi aapne sapnon ki duniya mein gum thi......usey bilkul bhi nahin maloom tha ki toofan uske darwaze par dastak de chuka hain.......

dusare din roz ki tarah subeh rashi apne chaat par jati hai aur wahin uska intezaar karti hain......pratap uske upar nazar rakhey hue tha........wo bhi chup chup kar rashi ki har harkateion ko bade gaur se dekh raha tha......usey is waqt gussa to bahut aa raha tha magar wo aabhi bhi khamosh tha aur apne gussey ko piye jaa raha tha......fir wo jhat se rashi ke paas chala jata hain.......rashi wahin idher se udher tehal rahi thi.......pratap ko apne paas ata hua dekhkar wo jhat se wahin ruk jati hain aur apne chehrey ke bhav ko badalney ki koshish karti hain.......

pratap bade gaur se rashi ke chehrey ko dekh raha tha......wo aachey se sab samajh chuka tha.......

pratap- to aap yahan kisi ka intezaar kar rahi hain.........kiska......

pratap ke mooh se aisi baat sunkar rashi turant hadbada jati hain aur wo jhat se apni nazrein neechay jhuka leti hain.........

rashi- kisi ka nahin bhaiya.......wo to main bus.......aise hi.......idher se udher tehal rahi thi.........

pratap- jhoot!!!!!! tu jhool bol rahi hain.........pratap lagbhag cheekhtey hue bola.........pratap ke is vyahahar se rashi durr se seham jati hain.......

pratap- main tere mooh se sunna chahta hoon ki tu yahan par kiska intezar kar rahi hain.......teri bhalai isi mein hain ki tu sab kuch sach sach bata dein.....warna mujhe to sab ek din maloom chal hi jayega.......

rashi- kisi ka nahin bhaiya........aapko zaroor koi galat fehmi hui hain.........pratap ke chillaney se sarita bhi wahan aa jati hain........wo bhi aakar rashi ke bagal mein jakar chup chaap khadi ho jati hain.........

sarita- beta chup ho jaa.......tu baad mein aaram se rashi se baat kar lena.........

pratap- nahin maa jo baat hogi yahan hogi aur aabhi hogi......sach sach bata tera yaar kaun hain.......tu kya samajhti hain ki tu agar mujhe nahin batayegi to mujhe kya pata nahin chalega.......main janta hoon ki tu yahan par kiska intezaar kar rahi hain........

pratap ki aisi baateion ko sunkar rashi ke aankhon se aansoon nikal jate hain aur wo wahin durr se seham jati hain........

pratap- tu jaana chahti hain na chal main tujhe batata hoon ki tu yahan chaat par har roz kiska intezaar karti hain.......is samay raghu bhi aata hua dikhayi de raha tha..........aur tabhi pratap apne haathon ko ek taraf aagey badhakar apni ungali se ragh ki ore ishara karta hain...............iska.......tujhe iska hi intezaar kar rahi thi na........jab rashi ki nazar raghu par jati hain wo jhat se apni nazrein neechay jhuka leti hain.........

pratap ye dekhkar gussey se baukhlaa jata hain aur tabhi ek karara thappad rashi ke galon par jadh deta hain........

pratap- aaj tujhe main batunga ki yahan pyaar karne walon ka kya anjaam hota hain........thodi deer baad sarita ek naukar ko bhejkar raghu ko apne chaat ke upar hi bulwa leti hain.......raghu chup chaap wahin upar aata hain........aur jab wo samney ka nazara dekhta hain to wo wahin thithak jata hain........is waqt pratap wahin apne haathon mein ek bandook liye khada tha aur wahin rashi gumsum si ro rahi thi......uske bagal mein uski maa khadi chup chaap tamasha dekh rahi thi........

raghu- aapne mujhe bulaya malik........pratap wahin se dheere se aagey badhta hain aur dheere dheere wo raghu ke paas jata hain......aur uske kandhey par apna ek haath rakh deta hain.........

pratap- tujhe main ek kahani batata hoon......ye kahani aaj se 9 saal pehle ki hain........ramesh naam ka ek ladke ne ek guri naam ki ladki se yahan par pyaar karne ki gustakhi ki thi.......har roz wo dono chup chup kar us jheel ke kinarey mila kartey they aur ghanton ek dusaron ki bahon mein waqt gujara kartey they........jiske wajah se yahan ka mahaul ganda hone laga.......har jawan dilon mein pyaar ki ek kranti janam lene lagi.......aakhir ganv ka sawla tha to mujhe hi kuch karna pada.......maine socha ki kyon na is gandagi ko hi zad se mita diya jaye.....na yahan par ye rahega aur na hi koi gandagi hogi........

fir ek din maine unhein is bare mein pyaar se samjhaya....yahan tak ki main ramesh ko kuch paison ka lalchach bhi diya magar uske dimag mein to gauri ka bhoot sawar tha......mere laakh samjhane par bhi jab wo naa mana tab jante ho maine uska kya harsha kiya........uska ek haath aue ek pair kaat dala aur usey zinda chodh diya........taki wo har par har lamha mujhe yaad karta rahein......tabhi beech mein hi rashi bol padti hain......

rashi- aur gauri ka aapne kya kiya bhaiya......apni ye ghinuani harkat bhi zara bata dijiye.....aapne to uske saath wo kiya jo koi haiwaan bhi kisi ke saath nahin karta......aap insaan ke roop mein ek haiwaan hain........

pratap ka ek aur karara thappad rashi ke galon par padta hain aur uska chehra laal padh jata hain.......

rashi- ruk kyon gaye aur maro mujhe......aapke marney se sachayi nahin badal jayegi.........

pratap- lagta hain aaj fir se mujhe 9 saal purani yaadein taaza karni padegi.......aaj fir se is ganv mein ek aashiq ne janam le liya hain aur ye wo gandagi hain jissey mujhe jadh se isey mitana hoga.........

rashi jhat se pratap ke samney aakar khadi ho jati hain aur apne seenay par laga dupaata wahin neechay farsh par fenk deti hain......pratap bade gaur se rashi ki ore sawal bhare nazreion se dekhney lagta hain.......

rashi- to fir thik hain bhaiya.......main taiyaar hoon.....mujhe aapne pyaar ke liye sab manzoor hain.........ithhaas khud ko dohrata hain ye baat sach hain........to fir aab deer kis baat ki.......aap aagey badhiye aur yahan aakar raghu ka ek haath aur ek pair ko uske badan se hamesha ke liye juda kar dijiye.......aur fir apne aadmiyon ke saath yahin sabke beech mujhe bhi nanga kijiye aur bari bari se na sahi to aap sab ek saath milkar mera balatkaar kijiye........aakhir aaj main bhi dekhun ki aaj ek bhai apni hi behan ke saath ye sab karney ki himmat rakhta hain ya nahin.........

pratp gussey se cheekh padta hain aur fir se ek zor ka tamacha rashi ke galon par jadh deta hain.......tamacha inta zor ka tha ki rashi ke hont fat jate hain aur uske mooh se khoon nikal padta hain.......wo wahin chup chaap khadi rehti hain........

pratap apne saathiyon ko ishara karta hain- tum sab mera mooh kya dekh rahe ho......is kuteey ko yahin zinda dafan kar do.......fir sab aadmi ke haathon mein ek bada sa lakdi ka laatha rehta hain wo sab ek saath raghu par toot padtey hain.......raghu chup chaap wahin maar khata hain magar apne aap ko bachane ki bilkul koshish nahin karta......ye nazara dekhkar rashi cheekh padti hain.........wo turant daud kar raghu ke seenay se lipat jati hain aur tabhi pratap ke aadmi raghu par apna danda barsana band kar dete hain........

pratap wahin apna apna bandook raghu ke samney taan deta hain ye dekhkar rashi ke aanhon se aansoonwon ke sailaab foot padtey hain.........wo turant raghu ke samney aakar khadi ho jati hain.........ye sab dekhkar pratap nahin rukata aur uske haath bandook ke trigger ki ore dheere dheere badhney lagtey hain........

pratap- hutt jaa rashi samney se......nahin to kuch deer mein teri bhi laash wahin farsh par padi hogi........is kuttey ko to main apne inhi haathon se marunga........main kehta hoon tu hutt jaa.......

rashi- bhaiya.......main raghu ke liye apne seenay par goli bhi khane ko taiyaar hoon......agar hain aap mein himmat to fir chalaiye goli.......aaj aapko humari pyaar ke taaqat ka andaaza ho jayega.......agar hum saath jee nahin saktry to saath murr to zaroor saktey hain......aaj main bhi dekhungi ki ek bhai ke haath apni hi behan par goli chalaney se kanptey hain ki nahin.........

pratap is waqt bahut gussey mein tha wo jhat se apni bandook rashi ke seenay pa nishana sadhta hain aur fir dheere dheere apne ungilyon ko trigger ke nazdeek le jata hai aur kuch hi pal ka faasla tha yahan zindagi aur maut ka.......................................
______________________________

Update-17


Bus kuch hi palon ka faasla tha ki pratap ke haathon do laashein wahan jameen par beech jani thi agar sarita ne pratap ko rok na liya hota to........

sarita laghbahag cheekh padti hain.......aakhir kuch bhi ho wo rashi ki maa thi......aur maa ka dil itna kathor nahin hota.........

sarita- ruk jaa pratap.........tujhe zara bhi hosh hain ki tu aaj apni hi behan ke seenay par bandook tane khada hain........bhale hi aaj tere haath nahin kapengey magar main ek maa hoon main ye sab kabhi apni aankon se nahin dekh sakti ki uski beti ki laash uski aankon ke samne padi ho........bhagwaan ke liye ruk jaa........aur sarita jhat se pratap ke paas aati hain aur uske bandook ko apne haathon se tham leti hain.......pratap bhi turant ruk jata hain........

pratap- theek hain maa agar tu kehti hain to main ruk jata hoon.........magar aaj ke baad tu isey samjha de ki aagey jo main chahunga wahin hoga.......agar ye meri baat nahin manegi to aab ye is ghar mein nahin reh sakti........isey keh do ki ye apne aashiq ke saath kahin jakar apna mooh kala kare.......aaj ke baad meri koi behan nahin hain..........

sarita- bawlaa ho gaya hain tu....bhala koi apni behan ke bare mein koi ye sab kehta hain kya???? tu is waqt bahut gussey mein hain tu jaa apne kamrey mein main issey baat karti hoon.........fir pratap ek nazar un dono ko ghoor kar dekhta hain aur fir se bol padta hain......

pratap- theek hain maa jaa raha hoon magar is haramzyadey se keh do ki aaj ke baad ye yahan par kaam ke liye nahin aayega......main hi aadmi pehchaan nahin paaya........agar maine isey yahan dubara dekh bhi liya to mujhse bura aur koi nahin hoga.........aur pratap gussey se apne kamrey mein chala jata hain.......kuch deer tak wahan charon taraf khamoshi rehti hain fir wo khamoshi sarita todti hain..........

sarta- dekh rashi aaj to maine pratap ko rok liya.......magar aab bhi tu nahin manegi to main tere liye kuch nahin kar sakti.........tere liye yehi aacha hoga ki tu isey bhool jaa.......yahan pyaar vyaar ye sab be-fizol ki baatein hain..........arey ye to tujhe ek waqt ka khana bhi dhang se nahin khila sakta to ye teri zaroroton ko kaise poori karega.......dekh aapne aap ko tu kahan hain aur ye kahan..........

rashi is waqt wahin chup chaap khadi thi apni garden neechay jhukaye........is waqt bhi uske aankhon se aansoon beh rahein they.........wo kuch deer tak aise hi chup rehti hain fir wo turant raghu ke labon par apna lab rakh kar uske honton ko choom leti hain.........ye dekhkar sarita gussey se pagal ho jati hain aur rashi ke nazdeek jakar uske galon par kaskar ek zordaar thappad marti hain.......rashi ka chehra ek baar fir se laal padh jata hain........

rashi- aap ruk kyon gayi maa........aur maro mujhe.......chahe to aaj meri jaan le lo.......main raghu ke bagair ek pal bhi nahin jee sakti.......mere khyaal se aapko aapke sawalon ka jawab mil gaya hoga..........

raghu jhat se sarita ke samney apne haath jod leta hain ye dekhkar rashi hairat se usey ek tuk dekhney lagti hain.........

raghu- in sab ka kasoorwaar main hoon malkin.......jo kuch bhi hua hain ismein rashi ka koi dosh nahin hain.........aap ho sake to isey maaf kar dijiyega........aap log yehi chahtey hain na ki main rashi ke zindagi se humesha ke liye ussey door chala jawon to fir theek hain mujhe aapki har baat manzoor hain magar main bhi iske badley aapse kuch mangna chahta hoon.........

sarita gussey se raghu ko ek tuk dekh rahi thi wo kuch nahin kehti........ye dekhkar raghu aagey bolta hain........

raghu- meri aapse vinti hain ki aap rashi ko kuch mutt kijiyega.......ye aabhi nadan hain.......isey duniyadari ki koi samajh nahin hain........arey isey to ye bhi nahin maloom ki ye mere saath poorey zindagi to kya ek din ye mere saath nahin gujar sakti......aakhir mere paas hain hi kya.........main to isey ek waqt ka khana bhi sahi se nahin khila sakta..........bus jate jate itna hi kahunga ki aap rashi ko humesha khus rakhna.......main rashi ki aanhon mein aansoon nahin dekh sakta......main aab rashi ke zindagi se humesha humesha ke liye door chala jawonga...........ye kehkar raghu jaise hi jane ke liye mudta hain rashi jhat se aakar uske samney khadi ho jati hain aur usey bade gaur se dekhney lagti hain.........

rashi- waah raghu waah tumne bhi kya apna pyaar nibhaya.......mujhe ek hi pal mein paraya kar diya.........arey issey aacha hota ki tum mera gala ghont dete kum se kum mujhe tumhare haathon marney ka saubhagya to prapt hota........ye tumne kaise soch liye ki main tumhare bagair ek pal bhi jee sakungi.........

raghu- nahin rashi hosh mein aawo.......maine tumse ye baat pehle bhi kaha tha ki humara milna kabhi sambhav nahin hai......ye duniya humare pyaar ko kabhi nahin samjhegi.........aaj ke baad tumhare raaste alag hain aur mere raaste alag.......ye aacha hoga ki tum aab koi apne liye aacha jeewan saathi chun lo.........

rashi gussey mein aakar raghu ke galon par kaskar ek thappaad jadh deti hain- main jeewan saathi chun loon........ye baat tum keh rahe ho........mujhe jab bachpan se sirf rushwai hi mili hain to aab mujhe kya pyaar naseeb hoga.......shayad meri kismet mein yehi likha hain.........agar tum yehi chahte ho to fir theek hain main apne liye koi aacha sa jeewan saathi chun loongi magar itna yaad rakhna ki mere shadi ke dusare hi din tumhein mere marney ki khabar tum tak jaroor pahunch jayegi........bus itna hi tumse kahungi ki mere aarthi mein tum zaroor shamil hona.......shayad issey meri aatma ko shanti mil jayegi.......aur rashi wahin foot foot kar ro padti hain........is waqt raghu ki aankein bhi num thi.......wo kuch deer wahin rashi ko ek tuk dekhta hain fir wo jhat se apne ghar ki ore nikal padta hain.......

rashi bhi daudtey hue apne kamrey mein jati hain aur wahin foot foot kar rone lagti hain........sarita kisi buth ki tarah wahin khade hokar tamasha dekh rahi thi......usey aabh bhi rashi ke baateion par bilkul yakeen nahin ho raha tha.........kuch deer baad wo bhi rashi ke kamrey mein aati hain aur uske sir par apna haath bade pyaar se rakh deti hain......

sarita- beti jo hua wo aacha nahin hua......mujhe tujhse aisi bilkul umeed nahin thi........ye pyaar vyaar ki baatein sirf filmon aur kitabon mein aachi lagti hain.......iska niji zindagi se kahin koi lene dena nahin hain.......jo hua wo tu ek sapna samajh kar bhool jaa.......main tujhse pehle bhi keh chuki hoon ki ye mardon ki duniya hain.......yahan par mardon ka raaz chata hain......hum to bus unki parchayi hain........ye log chahein humein jaise rakhey chahein jis haal mein rakhein humein rehna padta hain........

rashi- aap is waqt mere paas se chali jaiye.......mujhe nahin sunna aapka ye bakwaas........ye sab niyam kanoon ye sab aapke liye bane hongey........mujhe is samaz aur duniya dari se koi lena dena nahin hain.........

sarita- meri baateion ko zara thande dimag se sochna beti........yahan jeenay ke liye hum auraton ko zehar ka kadwaa ghut peena padta hain........baki tu to aab khud hi samajhdaar hai aur itna kehkar sarita kamrey se bahar nikal jati hain...............................

______________________________
कैसे कैसे परिवार Running......बदनसीब रण्डी Running......बड़े घरों की बहू बेटियों की करतूत Running...... मेरी भाभी माँ Running......घरेलू चुते और मोटे लंड Running......बारूद का ढेर ......Najayaz complete......Shikari Ki Bimari complete......दो कतरे आंसू complete......अभिशाप (लांछन )......क्रेजी ज़िंदगी(थ्रिलर)......गंदी गंदी कहानियाँ......हादसे की एक रात(थ्रिलर)......कौन जीता कौन हारा(थ्रिलर)......सीक्रेट एजेंट (थ्रिलर).....वारिस (थ्रिलर).....कत्ल की पहेली (थ्रिलर).....अलफांसे की शादी (थ्रिलर)........विश्‍वासघात (थ्रिलर)...... मेरे हाथ मेरे हथियार (थ्रिलर)......नाइट क्लब (थ्रिलर)......एक खून और (थ्रिलर)......नज़मा का कामुक सफर......यादगार यात्रा बहन के साथ......नक़ली नाक (थ्रिलर) ......जहन्नुम की अप्सरा (थ्रिलर) ......फरीदी और लियोनार्ड (थ्रिलर) ......औरत फ़रोश का हत्यारा (थ्रिलर) ......दिलेर मुजरिम (थ्रिलर) ......विक्षिप्त हत्यारा (थ्रिलर) ......माँ का मायका ......नसीब मेरा दुश्मन (थ्रिलर)......विधवा का पति (थ्रिलर) ..........नीला स्कार्फ़ (रोमांस)

Return to “Hindi ( हिन्दी )”