/** * Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection. * However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use. */

चमत्कारी

Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: Fri Mar 31, 2017 2:31 pm

Re: चमत्कारी

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 107

Vo mata ko na pahchan pane ka dukh jatati rahi aur main samjhata raha....kuch din uske sath gujarne ke baad main apne ussi khandani prashn ke uttar ki talash me nikal gaya.

Chalte huye achanak mere kano me kuch logo ke jor jor se cheekhne ki awaz sunayi padi….awaz sunyi padte hi main uss disha me badhta gaya aur jaise hi vaha pahucha to samne ka drishya dekh kar mera kroadh satve aas maan par pahuch gaya.

Ab aage…..

Vaha kayi vampires aur bhediya manav, kuch logo ko maar maar kar kha rahe the…to kuch log sundar sundar ladkiyo se jabardasti sambhog karne ki koshish kar rahe the…..vo sabhi unse bachne ke liye jor jor se dard me cheekh aur chilla kar madad ke liye pukar rahi thi…Ye drishya dekh kar mera gussa mere kabu se bahar ho gaya.

Adirishi (dahadte huye)—rukkkk jaooooo..

Meri awaz vaha ki vadiyo me prati dwanit ho kar goonjne lagi…sab chounk kar meri taraf dekhne lage…mujhe dekh kar unn logo ko asha ki ek kiran dikhayi dene lagi.

Ek vampire—hahaha…..tu manav yaha kaise aa gaya re…..

2nd vampire—hahaha.....ab ye inn sab ko hamse bachayegaaaa....hahahaha

3rd vampire—ye to khud hi hamara bhojan ban ke aaya hai...haahahahahah

Vo sab—hahahahahaha

Adirishi (gusse me)—tadaakkkk…..taddaaakkkk….tadaakkkk……badatamiz log mujhe bilkul pasand nahi hain…

Ek bhediya manav—ye…kyaa bola re tuuu…..aaaaaaaaaaaaaaaaaa

Adirishi (gusse me)—mujhe ek hi baat ko dubara bolne ki aadat nahi hai

2nd bhediya manav—teri ye himmat ki hame chunouti de…..pahle tujhe hi khaunga main ab….aaaaaaaaaaaaa

Adirishi (jor se)—ankh se andha aur kaan se bahra hai kya….? Itni der se kuch suna aur dekha nahi tune....ki tere sathiyo ka kya hua aur kya kaha maine.... ?

Ab ki baar kayi vampires aur bhediya manav ek sath mere upar aag ke gole phenkne lage...vo sab meri pani ki shakti se bujh kar thande ho gaye.....isse pahle ki vo aur kuch prahar karte, maine aag ki shakti ka prayog kar unhe raakh ka dher bana diya....unke dard me cheekhne ki awaz se sab ke kaan ke parde fatne lage aur phir kuch der baad sab kuch shant ho gaya.

Adirishi—aap sab koun hain...aur ye log aap logo par atyachar kyo kar rahe the.... ?

Ek ladki—hum sab jinn aur pariya hain...baki aur bhi kayi log yaha rahte hain....ye sab kilwish ke sainik the....jo har roj kisi na kisi pari ko apni hawash ka shikar banate rahte hain....vo sab hamse sambhog kar ke apni hi tarah ki santan paida karna chahte hain....hamara jeevan to nark se bhi badtar ho chuka hai.

Adirishi—kyo tum logo ka koi ghar nahi hai kya, jo aise pahad ki gufao me rahte ho.... ?

2nd pari—hamara koi ghar nahi hai...kabhi yaha to kabhi vaha bhatakna hi hamara jeevan hai.

Adirishi—ab se aisa nahi hoga....tumhara bhi apna ek lok hoga.

Ek jinn—ye kaise sambhav hoga.... ? koun banayega hamare liye lok…?

Adirishi—main banaunga tum sab ke lok....aur iske liye mujhe tridev aur maa aadi shakti ki aradhna kar ke unki kripa prapt karni hogi...unki kripa ke bina ye karya asambhav hai.

3rd pari—isme to bahut samay lagega…..tab tak to ye hawash ke bhediye hame noch noch ke kha jayenge..

Adirishi—aisa kuch bhi nahi hoga….tum sab apne andar ki shaktiyo ko pahchano….philhal main iss jagah ko suraksha kawach se baandh deta hu….koi bhi iss kawach ko bhed kar andar nahi aa sakta….tab tak main apna kaam bhi poora kar lunga.

1st pari—kya hum apne iss masiha ka naam jaan sakte hain….?

Adirishi—main koi masiha nahi hu…main to upar wale ki banayi huyi srasti ka matra ek manav hu…mera naam adirishi hai.

2nd pari—aaj se aap hi hamare raja hain aur aap hi hamare malik.

Sab—haan..haan...aap hi hum sab ke raja hai.

Tabhi ek vriddh pari ne aa kar mere pair pakad kar rone lagi....maine usko uthaya aur uske bahte huye anshuo ko pocha...aur phir uske dukh ka karan pucha.

Vriddh pari (rote huye)—meri putri ko vo dust kilwish utha le gaya hai....meri beti ko bacha lo.

Adirishi—aap chinta mat kijiye...main abhi kuch upay karta hu apki beti ko bachane ka.

Maine apni ankhe band kar ke dhyan lagaya to mujhe uski ladki ka pata chal gaya....main turant hi vaha se adrishya ho gaya aur jaha vo dust uss ladki ke sath jabardasti karne ka prayas kar raha tha, sidhe vaha pahuch kar visible ho gaya.

Vo ladki jor jor se ro ro kar uss dust kilwish se raham ki bheekh maang rahi thi...uske hath pair rassi jaisi kisi cheez se bandhe huye the....maine kilwish ko pakad kar uthaya aur door patak diya....lekin vo turant gusse se uth kar khada ho gaya aur kha jane wali nazaro se mujhe dekhne laga....uske sainik mujhe maarne ke liye daude par usne unn sab ko hath ke ishare se vahi rok diya.

Kilwish (jor se)—sab vahi ruk jaoo....isne mujhse takrane ki jurrat ki hai...isko saza bhi main hi dunga ab....Andhera kayam rahe...

Kilwish (gusse me)—tu koun hai aur teri yaha aane ki himmat kaise huyi.... ? kya tujhe ye malum nahi ki ye andhere ke samrat Tamraj Kilwish ka kshetra hai.... ?

Adirishi (jor se)—Ilaka to kutto ka hota hai.....sher jis jungle me chala jaye, ussi jungle ka raja ban jata hai...aur andhera hamesha kabhi kayam nahi rahta...andhere ke baad ujala bhi hota hai.

Kilwish (jor se)—tuuu haiii kounnn.... ?

Adirishi (sher ki tarah dahadte huye)—Adirishiiii

Kilwish (gusse me)—to le ab marr…..

Usne turant mere upar aag ki barish karni shuru kar di…main pani ki shakti ka prayog kar uska vaar bekar kar diya.. apna vaar nisphal hote dekh vo aur bhi gussa ho gaya aur iss bar usne pani ki shakti ka hi prayog mere upar kar diya jise maine hawa ka bawandar bana ke uda diya…usne mere upar saanp chhod diye…jinhe maine aag ki shakti se jala diya…..agli bar usne mere upar burf ke gole feke lekin unko main aag ki shakti se hi pighla diya.

Apna har vaar bekar jate dekh usne apne sainiko ko mujhe maarne ko kaha…vo sab hamla karne ke liye ek sath daud pade..unn sab ko main hawa ki shakti se uda diya.

Kilwish (gusse me)—adirishiii…tune kilwish se dushmani le kar theek nahi kiya…..ye pari ab kewal kilwish ki rani banegi….abhi to main ja raha hu lekin bahut jald teri mout ka saman le kar aunga…..mere agle vaar ka intazar karna

Phir vo vaha se gayab ho gaya…uske jate hi maine uss ladki ki rassiya kholi aur usko pakad ke khada liya…ab maine pahli bar uski taraf dhyan diya to dekhta hi rah gaya….gajab ki sundarta samayi thi usme…koi bhi ek nazar uske roop youvan ko dekh le to kaamaandh ho jaye…phir kilwish uske moh pash me fas gaya to kya ashcharya…?

Adirishi—kya naam hai tumhara….?

Vo pari—ji Sonalika

Main usko le kar uski mata ke paas aa gaya....lekin vo ek tak mujhe hi dekhe ja rahi thi....maine ek do bar uski taraf na chahte huye bhi dekh leta tha karan tha, uska abhutpurva soundarya…..halanki rajnandini se koi muqabla nahi tha….rajnandini ke roop soundarya aur sonalika ke soundarya me dharti aas maan ka antar tha…par phir bhi sonalika thi to khubsurat hi, isliye meri nazare bhi usko dekhne ki khatir fisal ja rahi thi…yahi haal shayad uska bhi tha.

Main unn sabse milne ke baad vaha se chala gaya….aur ek sunsan jagah dekh kar tridev ki aradhna karne laga.. mujhe pata nahi kitne din tak main unke dhyan me leen raha..akhir ek din meri tapasya safal huyi..teeno ne mujhe iss karya ke liye apne ashirwad swaroop kuch shaktiya pradan ki….phir main maa bhavani ki aradhna kar ke unka ashirwad bhi prapt kiya.

Tatpashchat maine unn shaktiyo ki madad se jinn lok, pari lok sahit saat states (loko) ka nirman kiya…saato loko ki shaktiyo se ek adbhut singhasan aur ek raj mukut ka nirman hua….chunki ye meri hi shaktiyo se bane loko ki ekatrit shakti se uttapann huye the, isliye sirf mera hi aadhipatya swikar karte the.

Sabhi ko apna apna alag lok milne par behad khushi thi…..unn sabne mujhe hi tann mann se apna raja maan liya tha…isliye maine bhi unki baat ka niradar nahi kiya…..iss dauran sonalika ne apne prem ka izhar mujhse kar diya lekin maine ye kah kar mana kar diya ki main kisi aur se prem karta hu aur main usko dhokha nahi de sakta.

Rajyabhishek ka karya kram maine rajnandini ke sath shadi karne ke din hi hona nishchit kiya, jisse vo bhi mere sath sath saato lok ki maharani ban sake.

Main ye khush khabri dene ke liye tabhka koyilee lout aaya….aur sidhe rajnandini se milne chala gaya…lekin vaha pahuchne par……


Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: Fri Mar 31, 2017 2:31 pm

Re: चमत्कारी

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 108

Sabhi ko apna apna alag lok milne par behad khushi thi…..unn sabne mujhe hi tann mann se apna raja maan liya tha…isliye maine bhi unki baat ka niradar nahi kiya…..iss dauran sonalika ne apne prem ka izhar mujhse kar diya lekin maine ye kah kar mana kar diya ki main kisi aur se prem karta hu aur main usko dhokha nahi de sakta.

Rajyabhishek ka karya kram maine rajnandini ke sath shadi karne ke din hi hona nishchit kiya, jisse vo bhi mere sath sath saato lok ki maharani ban sake.

Main ye khush khabri dene ke liye tabhka koyilee lout aaya….aur sidhe rajnandini se milne chala gaya…lekin vaha pahuchne par……

Ab aage……

Jab main vaha pahucha to gaon ka poora naksha hi badla hua tha….ek bhi admi mujhe gaon me dikhayi nahi de raha tha…khair main inn sab baato ko dar kinar karte huye rajnandini ke ghar pahuch gaya.

Main kafi der tak darwaja khat khatata raha…badi mushkil se mere jor jor se chillane ke baad rajnandini ne darwaja khola aur mujhe dekhte hi jor se chipak gayi.

Adirishi (shocked)—kya hua nandini…tum itni pareshan kyo lag rahi ho….?

Rajnandini—Pata nahi rishi..kuch din se gaon me badi ajib ajib tarah ki ghatnaye ho rahi hain….kisi pishach ka saya hai gaon me…aisa sab kahte hain, jo logo ka khoon pi raha hai….kuch hi din me aadhe se jyada gaon wale mare ja chuke hain…isliye darr ke karan koi ghar se bahar hi nahi nikalta ab.

Adirishi—Jarur ye azgar ka hi kiya dhara hoga sab..

Rajnandini—mujhe bhi yahi lagta hai….

Adirishi—tum ek kaam karo.....jis murti ki tum puja karti thi....usko apne ghar me le aao....jis jagah bhagwati ki murti hoti hai vaha koi buri shakti pravesh nahi kar sakti, chahe vo kitni bhi shaktishali kyo na ho.

Rajnandini—lekin uske liye to bahar jana padega.... ?

Tabhi vaha uske mata pita bhi aa gaye aur mujhe dekh kar bahut khush huye….maine rajnandini ke sath ja kar maa mahakali ki uss murti ko la kar rajnandini ke ghar me sthapit kar diya aur ghar ke charo oor ek tilism ka nirman kar diya….vo tilism aisa tha ki uska tod mere aur rajnandini ke siwa aur kisi ko bhi gyat nahi tha.

Adirishi—ab iss ghar ke andar rahne wale sabhi log surakshit hain….yaha koi bhi dust niyat wala pravesh nahi kar sakta aur na hi iss ghar ke andar rahne walo ka koi nuksan kar sakta hai.

Vidhyadhar—beta, meri umra ab uss mukam par aa chuki hai jaha zindagi ka deepak kab bujh jaye, koi bharosa nahi isliye main chahta hu ki ab tumhari amanat tumhe sounp du….main tumhari aur rajnandini ki shadi karna chahta hu….

Adirishi—Ji, aap log jaisa uchit samjhe..mujhe koi aitaraz nahi hai.

Phir maine sab ko saat loko ke nirman ki puri baat bata di jise sun kar rajnandini aur uske mata pita behad khush huye.

Shakuntla—iska matlab ab meri beti inn sab loko ki maharani banegi.

Adirishi—ji haan….aur main chahta hu ki aap sab bhi raj tilak me shamil ho.

Mere raja banne ki khabar poore gaon me phail gayi jaldi hi….aur ye kaam mere dosto ka hi kiya hua tha…vo apni khushi ko kisi se chhupa nahi paye.

Agle kuch dino me hi meri aur rajnandini ki shadi kar di gayi…..lekin hum dono ne raj tilak ke baad pari lok me hi apni suhagrat manane ka faisla kiya.

Do teen din tak main unn sabhi gaon ka ghum phir kar jayza leta raha ki utpaat machane wala koun hai kintu iss dauran koi bhi apriya ghatna nahi huyi.

Main uske agle din rajnandini aur apne dosto ke sath sabhi nav-nirmit loko ki sair karne nikal gaya…..sabhi jagah unn loko ke vsiyo ne apne maharaj aur maharani ke pratham aagman ka purjor swagat kiya…rajnandini ye sab dekh kar behad prashann thi.

Uske baad jab hum pari lok ja rahe the tab marg me meri mulaqat unn mahatma se huyi jo mere ab guru bhi ban chuke the….maine aur rajnandini ne unhe pranam kiya….unhone hum dono ko apna ashirwad pradan kiya.

Maine unse rajguru banne ka anurodh kiya kintu unhone isme apni asmarthata vyakt ki aur rajguru ke liye mujhe rishi ashtavakra ka naam sujhaya.

Unse agya le kar hum unke bataye sthan par gaye jaha ashtavakra apna ashram bana kar rahte the aur tapasya kiya karte the….maine unko pranam karne ke uparant apna aur bakiyo ka parichay diya sath hi ye bhi bataya ki mera unke paas aane ka kya prayojan hai.

Ashtavakra—vats tum jante ho ki vo mahatma koun hain….?

Adiirishi—ji nahi munivar

Ashtavakra—vo mahatma brahmarishi vishwamitra hain….jo vibhinn loko me tapasya me ghumte huye tapasya karte rahte hain….agar unhone prithvi lok se yaha aa kar tumhe shiksha di hai to iske piche avashya hi koi mahatvapurna daivik karan chhupa hua hai.

Rajnandini—kaisa karan munivar….?

Ashtavakra—Jan kalyan hi vo karan hai…..iske nimitta hi unhone tumhe shaktiya pradan ki hain apna shisya bana kar…..mujhe tumhara prastav swikar hai vats adirishi.

Uske baad rishi ashtavakra ko maine parilok ka rajguru bana diya…hum sab pari lok lout aaye…kuch din baad hi dhumsham se mera aur rajnandini ka maharaj aur maharani ke pad pad par rajyabhishek sampann ho gaya.

Magar iss utsav me bhi koi khush nahi tha to vo thi sonalika….shayad vo mujhe apna dil de baithi thi…jabki rajnandini ke chehre par ek ajib si khushi chamak rahi thi akhir aaj uski suhgrat jo thi.

Jab raat me main uske kamre me gaya to vo suhag sej par, lal surkh jode me baithi mera intazar kar rahi thi…main uske paas ja kar baith gaya to rajnandini ne laaz aur sharam se apna chehra mere sine me chhupa liya…maine bhi usko apni baho ke ghere ke kaste huye bistar par jhukata chala gaya aur rajnandini sej par bichhti chali gayi.

Pighalta raha chaand raat bhar, mere agosh me
Dhalti rahai raat raat bhar, mere agosh me
Thi meri dulhan raat bhar, mere agosh me
Jism me ek sarsarahat thi, na the hum dono hosh me

Mit gaye the har fasle, na rahi koi duriya
Hawa bhi na gujre kahi, hum dono ke darmiya
The dono jakde huye mohabbat ki zanjeer me
Likhi thi vo raat hasin si, hamari taqdir me

Chumte hi rahe hum lab ek duje ke
Aur khote hi gaye, hum ek duje ke agosh me
Na kuch hosh tha hame, na thi koi madhoshi
Raat bhar sunayi deti rahi siskiya
Aur shor karti rahi khamoshi….!

Soch rahe the dono ek duje ki baho me aa kar ruk jaye ye raat bas, issi pal ki agosh me
Na soye the hum dono uss raat
Kyon ki badi hasin thi vo hamari suhagrat….!

Agle din ka suraj uga to rajnandini ne need khulne par mujhe jagte huye paya aur phir khud ko meri baho me nagn halat me pa kar sharam ke maare dohri ho gayi…vo jaldi se apne kapde uthane ko jhapti ki maine usko khich kar phir se bahupash me jakad liya….ek baar phir se hum dono ek dusre me samate chale gaye.

Jab youvan ka ye toofan shant hua tab main usko utha kar snan ghar me le aaya aur ek dusre ko nahlate huye hamne ek bar punah sambhog sukh ka anand liya.

Aise hi hamare din gujarne lage…hamara pyar aur bhi majboot hota gaya….sonalika kafi dukhi rahne lagi thi..maine jab iska karan pucha tab usne rote huye sab kuch bata diya….maine ye baat rajnandini ko batayi.

Rajnandini ne sonalika se bhi mujhe shadi karne ka sujhav diya lekin main taiyar nahi tha kintu uski kasam ke aage mujhe jhukna pada aur phir maine sonalika ko apnane ke liye maan gaya.

Agle din hi maine sonalika ko bhi parilok ki rani bana diya….ab vo bhi bahut khush thi… main kabhi rajnandini ke sath to kabhi sonalika ke sath prem kida me lipt ho gaya….aise hi kuch din nikal gaye..

Ab mujhe rishi kakshivan ke uss prashna ka jawab talashne ki chinta hone lagi jiske karan mere vansh ki kayi pidhiya uska uttar khojte huye swargwasi ho chuki thi…..

Ek din uss prashna ka uttar sochte sochte mujhe pata nahi kya sujha ki main samved ke ek shlok ko nirdharit sur me gana shuru kiya, iske sath hi mujhe uss prashna ka uttar bhi mil gaya.

Main turant hi parilok se adrishya ho kar sidhe rishi kakshivan ke ashram chala gaya…kakshivan mujhe dekhte hi jaan gaye ki aaj unhe unke prashna ka uttar mil jayega.

Unhone apne ek shisya ko bula kar unki chawal ke dano se bhari thaili fekwa di…rishi kakshivan ke samip pahuch kar maine unke prashna ka uttar diya.

Adirishi—pranam rishivar

Kakshivan—tumhara kalyan ho putra….kaho uttar mil gaya.

Adirishi—ji haan…

User avatar
SATISH
Super member
Posts: 9811
Joined: Sun Jun 17, 2018 10:39 am

Re: चमत्कारी

Post by SATISH »

(^^^-1$i7) 😰 बहुत मस्त स्टोरी है भाई हॉट और सेक्सी अगला अपडेट जल्द देना 😤 😤
User avatar
naik
Gold Member
Posts: 5023
Joined: Mon Dec 04, 2017 11:03 pm

Re: चमत्कारी

Post by naik »

superb very nice update brother

waiting your next update
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: Fri Mar 31, 2017 2:31 pm

Re: चमत्कारी

Post by Fan of RSS »

Thanks for Reading and Supporting 😆

Return to “Hindi ( हिन्दी )”