/**
* Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection.
* However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use.
*/
is ke liye thakurji ne doctor ko hukum diya ki pahale neeta ko hosh me laye
neeta sab me thodi samjdar thi aur meena ki shaheli ban gayi thi in 2 saalo me
neeta meena ki bat samaj jayengi
neeta ke hosh me aate meena ko gale lag kar rone lagi
meena neeta ko chup karte huye batane lagi ki pitaji ko heart attack aaya tha aur chhat se gir gaye
neeta ye sunkar rone lagi
meena ne kaha ki pitaji ke bachne ke kohi chance nahi the aise me unke liye london se doctor bulaye the tab jake pitaji ko bacha paye
meena ne neeta ko bahot kuch bataya , , is tara bataya ki neeta meena ke pair pakad kar shukriya kahne lagi pitaji ko bachane ke liye
phir meena ne kaha ki ager wo aise himmat kho dengi to neha ka kya hoga
meena ne pitaji ki bat yaad dilai neeta ko , ki neha ke sath rahna , use rone mat dena
neeta ne apne aansu poch liye aur pitaji ko dekhne gayi
pitaji ko dekh kar neeta rone lagi , meena ne kuch der neeta ko rone diya
phir neeta bhi meena ke sath khadi ho gayi ,
phir pooja ko batane ka samay aa gaya
pooja ne to hosh me aate meena ko thappad maar diya
aur meena ko pitaji ki halat ka kassor var maanne lagi
meena chup chap pooja ki bat sunti gayi
meena ne pooja ko kohi jawab nahi diya
neeta ye sab dekh nahi payi aur pooja didi ko samjhane lagi
meena ne jo kuch bataya tha wo sab pooja didi ko bata diya
pooja didi jaise jaise sab sun rahi thi vaise vaise uske aasu nikal rahe the
pooja puri bat sunte meena ke gale lag kar rone lagi
aur thakurji ko sukariya adda karne lagi
aur puri raat pitaji ke pass baithi rahi
meena ne neeta aur pooja ko to sambal liya
par jab neha ko hosh aayega to kya hoga ?
meena ne neeta aur pooja ko apne sath kahda to kar diya
par neha ke samne kohi bol hi nahi paata , kyu ku neha se sab pyar jo karte hai
meena puri raat sochti rahi ki neha ko kya kahengi
udhar Avi ko hospital me shift kar diya
pitaji ko hospital se laya aur Avi ko hospital me admit karna pada
kya ajib khel ban gaya tha
meena ne Avi ke bareme sochna band kar diya
kyu ki Avi se jyada neha ke bareme sochna jaruri tha
Avi ke pass suman didi thi
sath me thakurain bhi thi ,
thakurji chhotu ke sath ghar pe ruk kar sab samabhal rahe the
thakurji chhotu ko rone se rok rahe the
seema shweta ke sath bacho ko sambhal rahi thi
ramesh bhaisaab kabbi hospital to kabhi ghar ko dekhte
neha ko aadhi raat me hosh to aaya tha par nurse ne jaldi use behosh kar diya
neha ka bp low ho gaya tha
use kuch der aaram karne ki jarurat thi
hospital se khaber aayi ki Avi ko 1 hafta vahi rakhna hoga
ye bat sunkar meena ralax ho gayi
darne ki bat nahi hai
par ab sab kuch shuru se start karna hoga
puri mehnat bekaar ho gayi
Avi ye jhatka bardast nahi kar paya
aise me usko uske mata pita ka sach to galti se bhi bata nahi sakte
pooja aur neeta raat bhar pitaji ke pass thi
subah hote unki ankh lag gayi
par neha ki jordar chikh ke sath sabki ankhein khul gayi
neha bhag kar pitaji ke pass aayi
aur pitaji ka hant pakad kar rone lagi
neha jitni royengi utna acha hoga sach batane ke liye
meena ne neeta ko rok diya aur neha ko rone diye
neha kafi der tak roti rahi phir uth kar meena ko maarne lagi
jaise neha ko lag raha ho ki meena ne ye sab kiya hai
ya phir phitaji ke sath hote huye ye sab kaise ho gaya
meena ko thappad maarte huye neha phir se behosh ho gayi
meena chiz kya thi
itna kuch hone ke bad bhi usne apni himmat tutne nahi di , aur neha ke thappad khati gayi , jaise use shabashi mil rahi ho
jab agali bar neha hosh me aayi to neeta ne usko vahi bate batai jo pooja ko batai thi
.
aur kaise meena na hoti to pitaji ko bachana mushkil hota
meena ke vajahse pitaji aaj jinda hai
neha ne meena se kuch nahi kaha aur meena ka hant pakad kar apne gaal par thappad mara , aur jaker apne pitaji ke pass baite gayi
neha ne kisi se bat nahi ki
1 hafte tak neha gumsum si apne pitaji ke pass baiti rahi
na kisi ne neha se kuchh kaha aur nahi use pitaji se dur karne ki himmat juta pata
neeta badi mushkil se neha ko khana khilati
par neha to jaise murat ban gayi thi
udhar suman bhi hospital se ghar aayi hi nahi
ghar me itna kuch ho gaya phir bhi suman Avi ko chhod kar nahi aayi
ye 1 hafta bahot bhari pad raha tha sabpar
kya kare aur kya na kare sab yahi soch rahe the
neeta ko neha ki fikar ho rahi thi
neeta- didi neha ko kya ho gaya
pooja- main kya batau tujhe , mujhe bhi kuch samaj nahi aa raha hai
meena- main batau ?
neeta- meena kuch kar na
meena- neha ko sirf pitaji thik kar sakte ya phir ?
neeta- ya phir ?
meena- komal ,
neeta- haa komal neha ko hosh me la sakti hai
meena- ek kaam karo , komal ko thappad maro taki wo rote huye apni maa ke pass jaye , baki hame kuch karne ki jarurat nahi hongi
neeta pooja ek dusare ke chehare dekhne lage
merna- aise kya dekh rahi ho ?
neeta- komal ko kohi kaise maar sakta hai ?
meena- tumse to nahi hoga ,, mujhe hi kuch karna hoga
aur meena ne komal ko bhula kar use thappad mara
itna mara ki komal ki aawaz neha tak jaye
komal ko maarne ka dil kisi ka nahi kar raha tha par ye karna jaruri tha
aur komal rote huye apni maa ke pass gayi
baap beti ke riste ko maa beti ka rista hi tod sakta hai
komal ka rona sunte neha hosh me aa gayi
aur komal ko chup karte huye meena ke pass aayi ye puchne ki uski himmat kaise huyi komal ko maarne ki
par yaha to neeta meena ke hanto pe lakdi maar rahi thi , jis hant se komal ko mara tha
ye dekh kar komal ka rona band hua
aur neeta neha ko samajhana shuru kiya
neha neeta ki bat chup chap sunti gayi ,
pooja meena thakurji ki bate sunker neha ko samaj me aa gaya ki kismat ke aage kis ki chalti hai
jo ho gaya us pe rone ki jaga ab kya karna hoga ye sochna chaiye
aur thakurji ne neha ko vishwas dilaya ki wo uske pitaji ko thik kar denge