thakurji- "meri samaj me kuch nahi aa raha hai"
meena-"sach pitaji hai , bhale pitaji kaise bhi kyu na ho , hone chaiye neha ke pass ya phir usko pata hona chahiye ki pitaji kaha hai"
thakurji- "ye tumne sahi kaha hai , neha ko yogendrasingh ki aisi halat dekh kar dukh hoga par utna nahi jitna pitaji ko na dekene se hoga , aur neha ko is bat ka smadhan hoga ki pitaji jinda hai, aur thik ho sakte hai"
meena-"sahi kaha , neha ko ham ek ummid dikhayenge ki pitaji marte marte bach gaye hai , aur pitaji thik ho sakte hai"
thakurji- "samajh gaya , tum neha ke sath game khelna chahti ho"
meena-"aisa karna jaruri hai , is family ke liye mujhe ek aisa game khelna hoga jis se pitaji jo chahte the wo pura ho jaye"
thakurji- "samaj gaya , tum jo karna chahti ho karo , main hamesha tumare sath hu"
meena-"to hame ek chota sa jhut bolna padega.
thakurji- "tum jo kahogi vahi karunga main"
meena-"ham pitaji ko thik karne ki puri koshish karenge ,
thakurji- "main ache se ache doctor ko dhund kar launga"
meena-"aur hame neha ko ye batana hoga ki pitaji ko heart aatck aaya tha" ,
thakurji- "heart aatyak se aisi halat nahi hoti"
meena-"par heart aatyak badi building ki chhat par aaya , aur pitaji niche gir gaye jaha nukile kaate ya khile ho to ?
thakurji- "bat me dam hai"
meena-"goli ke nishan kanto ke ban jayenge"
thakurji- "tumne jaisa kaha hai vahi karenge"
meena-"par suman didi ko sach batayenge , taki mujhe unki madat mile"
thakurji- thik hai , ye sach sirf mere tumare aur suman bahu ke bich hi rahega"
meena-"aur bakiyo ke liye dusara sach rahega"
thakurji- "aur Avi ?
meena-"use thik to hone dijiye uske liye bhi ek kahani soch lungi"
thakurji- "tume jo karna hai wo soch samaj kar karna"
meena- "mujhe pata hai ki kya karna hai , aur kaise karna hai"
thakurji- "tum sabko sambhalna , aur main aisa hospital dhund kar nikaalunga jaha yogendrasingh ka ilaj ho"
meena-"thik hai , aap gaon jane ka intzam kijiye"
thakurji- "kab jana chahogi ?
meena-"kal nikalte hai"
thakurji- "main doctor se bat karta hu , baki ilaj gaon me karenge , main ek doctor bhi apne sath leta hu jo gaon me rah kar yogendrasingh ka ilaj kare"
meena-"ye tik rahenga"
aur meena neha ko pitaji ke sach ka samna karva dengi,
par ek jhuti kahani ke sath jo meena ke najariye se jhut nahi sach hai,
pata nahi meena kya soch rahi hai ?
aur karna kya chahti hai ?