UPDATE * 76
Kabra phat padi aur lash bahar aa gayi…..sharir par kafan tak nahi tha ……lash ka chehra charo taraf ghumne laga lekin kewal chehra hi….. gardan se niche ke hisse yaani dhad me jara si bhi halchal nahi huyi. Dhad se upar ka hissa iss tarah se ghum raha tha jaise shesh jism se uska koyi sambandh hi na ho…..charo taraf nirikshan karne ke baad chehra yathawat fix ho gaya.
Kabristan me dur dur tak koyi na tha….hawa tak maano saans roke sadi gali lash ko dekh rahi thi.....lash kabra se nikal kar kabristan paar kar ke sadak par pahuch gayi.
Achanak hawa jor jor se chalne lagi…..maano khauf ke karan sir par pair rakh kar bhag rahi ho aur uske veg se lash ki haddiya aapas me takrakar khadkhadahat ki awaz karne lagi.
Badi hi khaufnak aur rongte khade kar dene wali awaze thi vo, magar unhe sunne ya kabra phad kar sadak par chali ja rahi lash ko dekhne wala vaha dur dur tak koyi na tha….vidhwa ki maang jaisi sooni sadak par lash khatar patar karte huye badhti chali gayi.
Ab Aage...........
Anand doctor ke sath urmila ke pass aa gaya jaha par Megha pahle se hi moujud thi….urmila apni ankhe band kiye leti huyi thi,uski saanse to chal rahi thi lekin phir bhi aisa lag raha tha jaise ki uske sharir me jaan hi na ho…haa kabhi kabhi jab uski ankho se aanshu bahne lagte tab andaza lag jata tha ki vo jivit hai.
Anand ko dekh kar megha uth kar khadi ho gayi....anand chair par baith kar urmila ka hath apne hath me lekar usse baate karne laga.
Anand :- Urmii, ankhe kholo...tum theek ho jao isliye to maine england chhod kar apne desh tumhari bahan ke paas tumhe le aaya ki shayad unke sath me rah kar tum theek ho jao....akhir kab tak apne aap ko saza deti rahogi ... asli gunahgar to main hu, saza to mujhe milni chahiye thi....mere gunah ke liye to bhagwan bhi mujhe maaf nahi karega.
Doctor :- aap kaisi baate kar rahe hain anand sir, aap to devta admi hain, aap ki vajah se to hamari india ka naam roshan ho raha hai, kitne hi berozgar logo ko rozgar diya hai aapne, anathalay,hospital aur school khole hain aapne
Megha :- haa doctor sb. Aap sahi kah rahe hain, bhai sahab didi ke gum me bahut dukhi hain isiliye aisi bahki bahki baate kar rahe hain.
Anand :- Nahi Megha, maine bahut bada gunah kiya hai.....Mera gunah sunn kar tum bhi mujh se nafrat karne lagogi.
Doctor :- ab Shree bitiya kaisi hai megha ji... ? aaj vo nazar nahi aayi yaha par.
Megha :- kya batau dr. Sahab jaise bhai sahab khud ko gunahgar samajh rahe hain vaise hi vo bhi adii ki mout ke liye khud ko kasurwar maan rahi hai......aaj paach saalo se main uski awaz sunne ke liye taras gayi hu....study bhi beech me hi chhod di usne....khane pine tak ka hosh nahi rahta usko.....jo bhi apne hatho se khila deti hu chup chap kha leti hai....bas raat din pooja ghar me bhagwan ki murti ke samne baithi rahti hai aur roti rahti hai.... kitne hi rishte aaye shadi ke liye magar shree sab ki photo bhagwan ki murti ke aage rakhe deepak me jala deti hai.... mujhe to bahut chinta hoti hai ki kya hoga iss ladki ka agar aisa hi chalta raha to.... ?
Doctor :- aap chinta mat kijiye bhagwan par bharosa rakhiye vo sab theek kar dega….waqt hi har jakhm ka malham hai.
Megha :- doctor sb. Didi kab tak theek ho jayengi shayad didi ki baat vo maan jaye aur apni jindagi me aage badhe.
Doctor :- kuch bhi kahna mushkil hai…..ab to hum bhi kisi chamatkar ke hi bharose hain jo urmila madam ko theek kar sakta hai.
Anand (nam ankho se) :- aisa mat kaho doctor……meri urmii ko theek kar do….chahe to meri poori property, dhan daulat sab le lo.
Doctor :- ek na ek din sab theek ho jayega sir….bas upar wale par vishwash rakhiye.
Megha :- aap sahi kahte hain….ab to upar wale ke kisi chamatkar ka hi intazar hai.
Vahi dusri taraf charo voh dost ek sath chalte huye ek park me jakar baith gaye aur vaha ka khubsurati ka anand lete huye aapas me baate karne lage.
Gangu :- Yaar hame yaha aaye huye chaar saal se bhi jyada ho gaya hai kintu abhi tak Rishi ke baare me hame kuch pata nahi chala.
Pangu :- Ye sab iss Chuttad ki vajah se hai, maine pahle hi kaha tha ki iss chutiye ki baat ka bharosa mat karo.
Chuttad :- to jao chale jao, main tum logo ko jane se nahi rokunga lekin main Rajnandini ko iss tarah tadapte huye nahi dekh sakta.
Nangu :- Rajnandini ki tadap aur uska dukh to hamse bhi dekha nahi jata aur hamse hi kya uska dukh dekh kar to pashu pakshi tak ka dil tadap uthata hai.
Pangu :- haa yaar tabhi to hum iss chuttad ke sapne wali baat par bharosa kar ke yaha aa gaye ye soch kar ki shayad hame Rishi yaha par mil jaye aur hum Rajnandini ke jeevan me phir se khushiya bhar sake, hamara gaon phir se pahle ki tarah darr aur khauf ke saaye se azad ho sake.
Gangu :- Lekin ye bhi to socho ki Rishi to marr chuka hai ye hum sab jante hain jabki ye chuttad kah raha hai ki isne Rishi ko apne sapne me dharti lok me dekha hai, haqiqat me nahi bhai balki sapne me…..aur hum iss chutiye chuttad ki baat par bharosa kar kisi tarah se dharti lok bhi pahuch gaye magar hua kya….? Hame Rishi ke bare me aaj tak kuch pata nahi chala uska milna to bahut door ki baat hai.
Chuttad :- Ye mat bhulo ki sapne kabhi kabhi sach ho jaya karte hain aur ye baat hamne Rishi se hi seekhi hai.
Pangu :- Rishi ki to mujhe bhi bahut yaad aati hai….vo hamesha sab ki madad karne ke liye taiyyar rahta tha… mujhe aaj bhi vo din yaad hai jab ek baar tez barish se sab kuch lagbhag jeena haram kar diya tha uss raat bhi barish joro se ho rahi thi…………..
(Pangu pichhli yaado me khota chala gaya………)
Tip.....tip.....tip....tip
Pichhle sattar ghanto se aasman tapak raha tha……oode oode bhari bhari badal virat chandova ki tarah upar tane huye the…..neeche bhigi dharti sikud simat kar maano chhoti ho aayi thi….keechad ki ghichir pichir ne mann ki prafullata har li thi.
Tip…tip….tip…..
Kali darawani raat ka yeh sannata kayi guna adhik gahra ho raha tha…..amraiyo me daalo aur tahniyo ki sandhiyo se chipke jhinguro ki ek ras-ek swar jhankar barsat ki iss prakriti ko bhayanak bana rahi thi…..kahi koyi kutta tak bhi to nahi bhonk raha tha.
Dhaan ke kheto me pani bhara tha, kahi kam to kahi jyada…..Medo par jutayi ke samay kisano ne mitti daal di thi, vah ab baith gayi thi lekin fislan ke karan uss par se chalna behad mushkil tha.
‘’Sali ne naak me dum kar diya, thoooo….’’
Pangu ne varsha ko gaali di aur surti thook kar mend par se khet me utar aaya.....ek bade mendhak ne chhalang mari to joro ki awaz huyi, chhappaaakkkk......pani ke kuch ek chhinte pangu ki nangi baaho par pade....na chhata tha, na baans ki chhatri hi thi, kandhe par gamchha bhar tha jo ki abhi poori tarah se bheega hua nahi tha.
Khet me dhaan ke poudho ko roundta hua vah aage badh raha tha.....sidhe pashchim ya dakshin ki taraf nahi, kone ki taraf....mulayam paank, kade tikhe ghoghe, ghaas ki paanthe, aur jaane kya kya talvo ke niche aa raha tha.
Ek ke baad dusra khet, dusre ke baad teesra, phir choutha…phir aur…phir aur……phir oonchi satah ki baluwahi jamin mili....makke ki khoontiyo se ulajh kar chalna asambhav ho utha to phir se pangu ne mend pakad li....yeh nangu ka khet tha aur maa bhi to nangu ki hi marri thi na.
Haa, abhi kuch der pahle nangu ki buddhi maa ke pran pakheru ude the aur nangu logo ko iski khabar dene nikla tha....do hi log baki the jinke yaha jana tha...Rishi aur Rajnandini.
Dharti se bahut door alpha namak grah par basa hua Tabhka koeeli koyi chhota gaon nahi tha, paanch hazar se upar ki jan sankhya wali ek bhari basti thi....darasal yeh chhoti chhoti kayi bastiyo ka ek samuh tha.
Beech beech me khet aur baag phaile huye the….uttar purab se kanni kaat kar ek nadi nikal gayi thi…..idhar district board ki pakki sadak, udhar meter guage ki railway line.
Rishi ka ghar najdik aaya to badal ki tipir tipir ruk gayi…keechad se sanne pairo ki ungliyo me halki halki khujli mahsus ho rahi thi…pangu ki tabiyat huyi ki kuwe me se ek balti pani khich le aur achchi tarah se pairo ko dho daale…lekin abhi to raat bhar ghumna phirna tha to phir kyo koyi pair dhoye…?
Rishi ke dalaan ke samne jo aangan tha, vah chhota nahi tha….lagatar kayi roj varsha huyi thi, magar satah oonchi hone ke karan aangan me ghich pich nahi ho paya….bheegi mitti pairo ke neeche rabar ki tarah dabti huyi mahsus ho rahi thi.
Bahar baithak khane me koyi so raha tha…Rishi ke pita Sukh dev dalaan ke bheetar kothari me soye honge, pangu ko yeh nishchay tha hi…phir bhi vah do sidhi upar baramde me na jakar niche aangan me hi khada raha.
Usne tambhakhu aur chune ke liye jeb se chunouti nikali, socha ki surti taiyyar kar ke hi Rishi aur uske pita ji ko jagana uchit rahega.
Lathi ek taraf khadi kar di aur uchak kar baramde ke kinare par baith gaya….aath dus roj baad vah Rishi ke yaha aaya tha….iss beech Rishi baadh peedito ki sahayta ke liye bahar hi bahar ghumta raha tha…pangu hi nahi gaon ke dusre logo ki bhi mulaqat iss douran Rishi se nahi huyi thi.
Surti khakar Pangu ne awaz lagayi, “ Rishi……oooo Rishiiiii…..Sukhdev chachaaaaa’’
‘’uuuunnnn’’ Rishi ke pita sukhdev ne karwat badli to charpayi charmara uthi.
Pangu :- Uthiye Sukhdev chacha.
Sukhdev :- kya hai…Pangu…..?
Pangu :- Nangu ki maa mar gayi.
Sukhdev :- (alsayi awaz me) Kab..... ?
Muh me surti ki thook bhar aayi thi….sukhdev ke samne thook bhi nahi sakta tha….badi mushkil se pangu ne thook ko nigal kar jaise taise kaha.
Pangu :- abhi ghanta bhar hua hai…..(phir kuch der ruk kar) chacha apki torch me battery to bhari hogi na….?
Kiwad khol kar Sukhdev bahar nikle aur torch ki roshni se samucha aangan jagmaga utha..
Pangu :- Rishi… kab louta chacha…?
Sukhdev :- Lout to aaya tha shaam ko hi lekin soya der se hai.
Pangu :- to phir usko uthane ki jarurat nahi hai.
Sukhdev rahe to chup hi lekin rang dhang se saaf tha ki beech need me yeh vighna unko behad akhara hai…itne me ghar ke andar se khatpat ki awaz sunayi padi.
Pangu :- Lijiye jaag to gaya Rishi.
Rishi :- pangu kya baat hai…? Itnni raat me…?
Pangu :- haa, yaar vo nangu ki maa mar gayi hai…isliye aana pada….lekin tum bahut thake ho.
Rishi :- chal…chal….pagal kahi ka….nangu mera bhi to dost hai.
Rishi kad kathi se majboot ek khubsoorat noujawan ladka tha…..saare gaon ke log usko pasand karte the….sabhi uss par apni jaan chhidakte the aur Rishi ki jaan thi Rajnandini.
Pangu :- (ghar se bahar nikalte huye) Rajnandini ke yaha bhi batana hai abhi.
Dono Rajnandini ke yaha jakar batane ke baad vaha se nigal gaye....kyon ki Rajnandini so chuki thi isliye usko jagana theek nahi samjha dono ne....raste me chuttad bhi mil gaya to teeno sath me chal diye.
Teeno nangu ke dalaan par pahuche....ghar ke andar aurato ka rona dhona chal raha tha….teekhi khurdari rulayi ke bedhak swaro se bhado ki kali raat ka yeh manhoos sannata took took ho raha tha....chuttad aur pangu lalten lekar gaye aur baans kaat kar le aaye.
Taaze hare baans ke dando se udhar arthi banti rahi, idhar logo me baate hoti rahi....aangan ke kone me tulsi ka chabutara tha...uske paas me hi laash rakh di gayi thi.
Samne eent ke aadhe tukde par dibbi jal rahi thi, jiska pheeka pheeka alok budhiya ki bujhi putliyo se takra raha tha.
Idhar pangu apni pichhli yaado me khoya hua tha jabki voh sadi gali laash kabristan se nikal kar raat ke sannate me sadak par chalte huye aage badhti chali ja rahi thi.
Vo Laash chalte huye achanak ek bunglow ke samne aakar ruk gayi aur uss bunglow ko kuch der tak ghurte rahne ke baad phir............