/** * Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection. * However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use. */

Adventure of karma ( dragon king )

User avatar
mastram
Expert Member
Posts: 3664
Joined: Tue Mar 01, 2016 3:30 am

Re: Adventure of karma ( dragon king )

Post by mastram »

एक दम मस्त कहानी है भाई अगले अपडेट का इंतज़ार रहेगा
User avatar
SATISH
Super member
Posts: 9811
Joined: Sun Jun 17, 2018 10:39 am

Re: Adventure of karma ( dragon king )

Post by SATISH »

😘 😝 (^^^-1$i7) बहोत ही कामूकता पूर्ण स्टोरी है मस्त अपडेट अगले अपडेट का इंतजार है
ritesh
Novice User
Posts: 825
Joined: Tue Mar 28, 2017 3:47 pm

Re: Adventure of karma ( dragon king )

Post by ritesh »

thanks
मेरा क्या है जो भी लिया है नेट से लिया है और नेट पर ही दिया है- (इधर का माल उधर)
शरीफ़ या कमीना.... Incest बदलते रिश्ते...DEV THE HIDDEN POWER...Adventure of karma ( dragon king )



ritesh
Novice User
Posts: 825
Joined: Tue Mar 28, 2017 3:47 pm

Re: Adventure of karma ( dragon king )

Post by ritesh »

Update 39

Tabhi achanak dono chattan ke bane Murat hilne lage aur

unki kulhadi upar uth gayi jaise abhi humpe girne wali ho...





Hum piche hat gaye .. Aur us war se Bach gaye lekin jaha

kulhadi giri waha ek bada gadha ho gaya ..

Hum do hisso me bat gaye ek taraf main tha dusi taraf sintel

aur Gasper the ..

Main.. Monark sintel aur Gasper ki madat karo...

Monark apne asal roop me agaya aur jo chattan danav

Gasper aur sintel ke taraf badh raha tha usko apne kundalini me pakad liya .. Aur sintel aur Gasper ne apni talwar nikal war kiya lekin kuch nahi hua bahut mazboot chattan se bane huye the ...



Monark.. Jada dar isko main jakad ke nahi rakh payunga ...

Monark ne apna muh khola aur aag ka gola chattan danav pe pheka lekin chattan danav pe uska koi asar bhi nahi hua .. Na hi inke ankhe Lal thi ..

Idhar dusra chattan danav mere taraf badh raha tha .. Maine hath upar kiya aur thandar bolt magic use kiya aur tabhi waha us chattan danav pe bijli giri .. Aur chattan danav ka Sharir tukre ban bikhar gaya .. Main dusre danav ki aur badh hi raha tha ke tabhi achanak meri najar jamin pe gire ek Lal pathar pe gayi tabhi wo pathar hawa me utha aur chamakne laga aur dekhte hi dekhte sabhi bikhre chattan phirse Jama ho gaye aur chattan danav mere samne khada tha...



Idhar monark ne chattan danav ko chod diya aur apne wind taqat ka istemal kar us chattan danav ko hawa me utha liya aur phir jamin pe gira diya chattan danav ke tukre tukre ho gaye .. Lekin tabhi main dusre danav ke war se bachhe huye naraj dusre danav ki aur gayi to dekha phirse Lal pathar
hawa me utha aur chamakne laga aur dusre danav ke tukre bapas ek ho gaye... Mujhe baat samajh me agayi ..





Maine dobara hath upar kiya aur thandar bolt ka istemal kiya mere taraf ke chattan danav pe wo tukro me bat gaya Maine jaldi se us Lal chattan ko dekha aur apni talwar nikal ek war me hi chattan Ke tukre kar diye .. Jaisa Maine socha tha chattan danav bapas nahi juda.. Maine apna rukh dusre danav ki aur kiya...

Main.. Monark uske tukre kar do aur Gasper sintel us Lal chattan ke tukre kar dena .. Jaisa maine kaha unhone kiya .. Chattan danav khatam ho gaya...



Dono sintel aur Gasper buri tarah half rahe the .. Waise manna padega dono bahaduro ke bahadur the ..taqat me kam ho sakte hai lekin himmat me dono mujhse kam nahi the sach kahu to mujhse bhi Jada himmat thi unme .. Mujhe pata hai mere pass anginat taqat hai isliye main har khatre
ka samna asani se kar leta hu lekin ye dono aam the thodi si taqat ke sath mere kadam se kadam mila rahe the... Dono kamal ke the ... Aur ek kamal ki baat thi mere sath husna thi jo ek jin thi aur mere knowledge Ke hisab se jin kafi taqarwar hote hai Maine abtak husna ke taqat ka puri tarah istemal nahi kiya tha ...






Hame danavo ki kamjor kadi mil gayj thi unke shaktiya un Lal rang ke chattanose aati thi .. Agle dono floor pe bhi khatarnak danav the dusra wala pehle se bada aur khatarnak tha lekin unki bhi kamjor kadi thi Lal chattan jo unke Sharir me kahi na kahi rahti thi .. Humne suru sehi us chattan ko nishana banaya aur hame kamyabi milti gayi ....

Jab hum 10 no floor pe the humne danav ko hara diya aur 11 no floor ke aur badh rahe the tabhi hamare samne tin alag alag darwaje dikhe ..

Sintel.. Aab kya tin tin darwaje ... Konse darwaje se jaye

...tabhi ek awaj aayi ...


Awaj.. Bahut khub mehmano tumne mujhtak pahuchne tak rasta saaf kar liya lekin mujhtak tum mese koi ek hi pahuch sakta hai kiu ke jis bhi darwaje se aage badho sirf ek hi aage badh payega ... Aab faisla kismat pe hai kon mujhtak pahucha hai ... Hahahaha ....

Main.. Hmm tumsab ne suna na aage Jane ke ka bas ek hi

tarika hai .. Kya kehte ho ..

Gasper.. Kehna kya hai apna apna darwaja chun lete hai ..

Durjan kara ke aur hamare bich bas ye darwaja hai ..

Sintel.. Ye koi kaal bhi ho sakta hai...

Maine search magic ka use kiya lekin mujhe kuch bhi pata

nahi chala ...

Main.. Jo bhi ho hum yahi ruk to nahi sakte ... Aage badhna hi

hoga ... Waise agar koi jaal bhi hoga to mujhe nahi lagta tumsab uska samna nahi kar sakte baas abtak jo bhi hua hai usko yaad rakhna ... Chalo taiyar ho jao .. Maine bich ke darwaje pe khada ho gaya ... Baki dono bhi dusre daye aur baye darwaje pe khada ho gaye ..



Hum aage badhne hi wale the ke tabhi mere man me ek khayal aaya. ..

Main.. Ruk jao tum dono aage mat jao .. Dono ruk gaye ..

Gasper.. Kya hua bhai ..

Main.. Hum tino ko aage Jane ki jarurat kya hai... Main aage jata hu tum dono yahi ruko .. Agar mujhe yaha durjan kara nahi mila to main lout aayunga gate se ...

Sintel.. Nahi bhai sirf aap ko hi khatre ka samna karne nahi denge .. Itna keh ke sintel aage badh gaya gate se main dekhta rah gaya ... Phir Gasper bhi aage badh gaya .. Maine ek thandi sanse li ..

Maine apne kadam aage badha diye ...





Darwaje ko par karte hi mujhe ek mahal jaisa senary dikhne laga .... Lekin ye mahal kala tha diware Kali thi aur mahal me darbari insan nahi danav the aur unke bich upar singhasan

pe baitha tha sayad unsab ka king .. Yani durjan kara ...

Durjan kara.. Aao mere mehman aao .. Bahut intezar karwaya hai tumne mujhe aao ...

Main.. Intezar to mujhe karna pada hai .. Rani pari kaha hai ..

Durjan kara .. Insan ho hahaha tum aaye ho rani pari ko

chudane hahaha ...

Main.. Rani pari kaha hai ....

Durjan Kara.. Aram se mere mehman aram se manna padega

yaha tak pahuch gaye .. Bahut bahadur lagte ho lekin aab bas

tumhare kadam aur aage nahi badh sakte...

Main.. Mujhe rokega kon .. Main yaha Rani pari ko lene aaya

hu mujhe sidhe se louta do to sayad main tumhari jaan baksh du ..

Durjan kara .. Hahaha tum meri jaan bakshoge hahaha ....

Main.. Jitna hasna Hai has lo ye tumhare jindagi ki ankhri hasi hai ..

Durjan kara .. Insan bhi kitne mazak karte hai mere danavo

aaj tumhare bhukh is insan ke naram mash se bhar lo .. Jao....

Maine bhi der nahi ki aur monark ko asal roop lene ko bol diya ...



Monark ko dekh danav ruk gaye .. Monark ne unpe aag ke gole se hamla kar diya Charo aur bisfot hi bisfir danav ke chithde udne lage ...
मेरा क्या है जो भी लिया है नेट से लिया है और नेट पर ही दिया है- (इधर का माल उधर)
शरीफ़ या कमीना.... Incest बदलते रिश्ते...DEV THE HIDDEN POWER...Adventure of karma ( dragon king )



ritesh
Novice User
Posts: 825
Joined: Tue Mar 28, 2017 3:47 pm

Re: Adventure of karma ( dragon king )

Post by ritesh »

Mega final update 40


Monark ne durjan kara pe bhi aag ke gole pheke lekin aag Ke gole durjan kara tak ja nahi paye aur wohi usse kuch duri pe hi ek adrisya diwar se takra fat gaye ... Monark durjan kara ko dekh gurraya ..wo aage badh hi raha tha ke main use rok liya..



Main.. Ruk jao monark .. Monark ruk gaya ... Charo aur sirf danavo ke chithde pade huye the .. Aur ek taraf main khada tha husna aur monark ke sath dusri taraf durjan kara .. Uske chehre pe kamina muskan tha ...

Main.. Durjan kara rani pari kaha hai... Kya kiya unke sath ...

Durjan kara .. Rani pari ki chodo tumhe apne dono sathio ki

fikar nahi hai kya hua hoga unke sath ..

Main.. WO koi kamjor insan nahi hai bahadur yodha hai wi khud ko sambhal sakte hai kisi bhi chunowti ke aage .. Durjan kara.. Hmm itna biswas un dono pe .. Hahahaha ..


Main.. Durjan kara rani pari kaha hai unko samne lao ...

Durjan kara .. Hahaha ohhho tumko utni fikar hai rani Pari

ki to khud dhund lo ..

Main.. Tumhe batana hi hoga .. Maine apna hath upar kiya aur thandar bolt magic ka istemal kiya... Bijli akar durjan kara ke upar giri lekin ye kya jaise koi adrisya diwar mere thandar bolt ko ROK diya bijli Charo aur bikhar gayi Charo aur bijli ke dhamake ho gaye ...

Durjan kara.. Hahaha bas itna hi kar sakte ho .. Hahaha main

amar ban gaya hu aab mujhe koi maar nahi sakta ...

Hahahaha ...

Main.. Hahaha haiwan kabhi amar nahi hote .. Tumhari mout pakki hai .. ( man me .. Mere koi bhi war kaam kiu nahi kar rahe konsi taqat Hai jo mere taqat ko ustak pahuchne se rok rahi hai )


Durjan kara .. Main amar hu mujhe koi maar nahi sakta agar biswas nahi to karlo apni puri kosis .. Tumhe khatam karne ke baad us duniya ki wari hai .. Hahaha duniya mera intezar
karo tumhara apna demon king lout raha hai ... Hahaha ...

Main.. Main kabhi aisa hone nahi dunga .. Maine apni talwar nikal li aur bijli ki tezi se durjan kara pe war karne ke liye lapka lekin mera war na Jane kaise phirse ek adrisya diwar ya suraksha kabach se takra ruk gayi .... Main war pe war

karta raha samne se piche se upsr se niche se lekin mera war

durjan kara tak pahuch hi nahi raha tha ...

Durjan kara .. Bahut khel khel liya aab meri wari tabhi durjan kara ne apna ek hath upar kiya aur tabhi uske hath me kala dhua Jama ho gaya aur dekhte dekhte wo dhua ek talwar me badal gayi ...

Durjan kara.. Blade of the dark show your power .. Itna keh ke usne talwar ghumayi Maine talwar ko apne talwar se ROK liya lekin uska force itna tha ke main udta hua dur ja gira lekin mujhe chot nahi aayi mere suraksha kabach ne mujhe bacha liya ...



Durjan kara .. Hmm very interesting .. Tumhare pass bhi suraksha kabach hai .. Lekin kitna taqat war mujhse bhi taqatwar kya abhi pata chal jayega kiska kabach taqarwar

hai kon pehle tut ta Hai ..





Phir kya tha him dono me bhayankar talwar baji hone lagi hamare talwar ek dusre ke talwaro se takrate kabhi ek dusre ke kabach se lekin hum dono ka hi kabach kafi mazboot tha tutne ka naam nahi le raha tha ... Har gujarte waqt Ke sath hamari ladayi bhayankar hone lagi hum magic use karne lage talwar ke sath ... Talwar takrayi phir magic spells cast hote .. Mere magic bahut taqarwar the lekin phirvi main durjan kara ka kabach todne me naqam ho raha tha ..aur durjan kara ka black magic mere upar beasar sabit ho taha tha.. Hum ladte ladte ruk gaye ...ek dusre ke ankho me dekh agle war ki kalpana karne lage tabhi durjan kara bola...

Durjan kara.. Hmm not bad tum me kabiliyat hai kya kehte ho mere senapati ban jao dono milke puri duniya pe raj karenge ..koi bhi nahi hoga hamara mukabla karne layak ... Main.. Idea achha hai lekin no thanks main apne jindagi me
behad khush hu .. Mujhe duniya ko gulam bana raaj karne me koi interest nahi hai ...

Durjan kara.. Ek baar aur soch lo .... Hamare kadme ko

duniya bhar ki doulat hogi duniya hamare kadmo me hogi .. Kya chahiye tumhe ha ha ha bolo ha .. Ladkiya , doulat , kingdom bolo ... Sab tumhare kadmo me hoga.. Hath mila lo ban jao mera senapati ...

Main.. Tumne socha bhi kaise mera ruh abtak saaf hai tum jaisa nahi jisme sirf lalach haiwaniyat bhari padi hai .. Durjan kara .. Too bad aab to tumhe marna hi hoga is duniya

aur mere bich tum khade ho ...

Main .. Aur jabtak is jisam me jaan hai khada rahunga ...

Hamari bate khatam ho gayi aab phirse wsri action ki thi .. Maine apne talwar me apne lighting magic ko mix kar diya aur dobara talwar ghuma durjan kara pe hamla karne laga mere war aab pehle se kayi guns taqarwar the .. Mere pehle kuch war Ke sath hi mujhe kuch mahsoos hua jaise har takrate talwar aur kabach ke sampark ke sath mere mastisk


me awaj gunjne lagi ...

Awaj kuch sand the jo har ek shabd takrate talwar ke sath

mere mastisk me gunjne lage... Andhere, ko , harana, hai , to ,

roshni , bano...





Mujhe kuch waqt laga Lekin mujhe samajh me agaya meri najar ek aur jagah gayi durjan kara ke gale me ek locket tha jo black tha lekin phirvi usme se light nikal raha tha ....



Maine thoda dhayan diya to mujhe sab kuch samajh aane

laga..

Durjan kara ne rani pari ko unko khubi ke karan agwa kiya tha aur wo khubi thi suraksha kabach banane ka .. Lekin pehle kabhi durjan kara ke pass kabach nahi tha warna king soloman durjan kara ko kabhi jalhmi nahi kar pate .. Matlab ye jo kabach hai ye jarur rani pari ki hi taqat hogi .. Lekin kaise kaise ye ho sakta hai rani pari kabhi durjan kara ko unki shakti nahi dengi .. Iska matlab durjan kara ne kisi
tarah Rani pati ko apne najdik rakha hai .. Kaise ...





Hamara battle chal raha tha ... Hum bina thake ek dusre pe

war kiye ja rahe the .. Durjan kara sach kahu to behad

taqatwar tha.. Kali shakti ne usko lagbhag amar hi bana diya

tha itni taqat thi ...

Maine apne dimag ko shant rakh har pal soch raha tha kya

karne se main is kabach ko par kar sakta hu ...





Tabhi hum dono ki talwar takrayi aur bijli de roshi paida hui aur wo roshni durjan kara pe padi .. Tabhi mere dimag ki batti jali... Rani pari mujhse kya kehne ki kosis kar rahi thi .. Andhere ko harana hai to roshni bano ..



Tabhi mujhe husna ki yaad agayi husna ki taqat light magic

se aati thi .... Main durjan kara se dur ho gaya ...

Durjan kara .. Kya hua thak gaye aabhi to suru hua hai ..

Main.. Thaka nahi main kuch soch raha tha ...


Durjan kara.. Socho aur socho lekin tumhare pass waqt

behad kam hai ..

Main.. Husna tumhari taqat light se aati Hai na tum mujhe

apni taqat de sakti ho ...

Husna.. Malik aap ko meri taqat chahiye .. Main is waqt ka kabse intezar kar rahi thi ... Mere malik mere malik... Itna kehte kehte husna roshni ke gole me badal gayi pura floor roshni hi roshni ho gaya .... Tabhi mujhe us roshni se awaj aayi ...

Husna.. Malik aab waqt agaya hai hum ek ho jaye .. Malik mujhe Kabul kare .. Itna kehte huye husna ka roshni ka gola mere andar sama gaya .... Mujhe achanak mere andar asim

taqat ka mahsoos hone laga ... Mera pura jisam roshni ke tarah chamakne laga mere Baal lambe ho gaye .. Yahatak ki meri talwar bhi roshni ki ki tarah chamakne lagi ... Mere jisam ka har hissa roshni bikhar raha tha ...



Durjan kara mujhe aise dekh do kadam puche ho gaya roshni



ke kirono se use taklif ho rahi thi ..





Main.. Ye hui na baat husna .. Husna mere mind me boli...

Husna.. Mere malik aap ko roshni ki besumar taqat Mubarak

ho ..

Main.. Durjan kara aaja aab dekhta hu tujhe .. Maine ek chalang ke sath durjan kara pe apni talwar se war kiu durjan kara ne apni talwar se mujhe rokne ki kosis ki lekin meri roshni ki talwar durjan kara ke black sord ko kisi makhan ke tarah chirte hute uske suraksha kabach ko bhedte huye Duran kara ka hath kat diya ...

Durjan kara ka hath kat te hi wo dard se tadap te hute puche

hat gaya ...

Main.. Aab mujhe yaad yaha king soloman ne roshni ki taqat se tumhara hath Kata tha matlab ye hath tumhari magic se bani hai .. Lekin isbaar hath nahi tumhara sar karega ...
मेरा क्या है जो भी लिया है नेट से लिया है और नेट पर ही दिया है- (इधर का माल उधर)
शरीफ़ या कमीना.... Incest बदलते रिश्ते...DEV THE HIDDEN POWER...Adventure of karma ( dragon king )



Return to “Hindi ( हिन्दी )”