UPDATE * 55
Sona—vo to hoga hi na…adi ne tera blood jo nadi ko pilaya hai
Margret—kyaaaa..?..adii you cheater…tumne mujhe pyar me bahka ke ye sab kiya
Mai—sorry….mere paas aur koi option nahi tha
Hum aage badhte gaye jaisa ki maine sapne me dekha tha usi disha me….aage chalte huye mujhe vo jungle dikhayi dene laga….jaha har ek ped par ek nar mund latka hua tha…hum abhi jungle me do char kadam hi aage gaye honge ki achanak tabhi………….
Ab aage………
Tabhi hamare kano me kuch logoo ke apas me baat karne awaz sunayi padi….mai idhar udhar dekhne laga….tabhi kuch duri par se mujhe do log aate dikhayi pade
Unke badan par kapdo ka leshmatra bhi nahi tha…..bilkul nang dhadang idhar hi chale aa rahe the….maine unke aur pass jakar unki bate sunne ki koshish me jaise hi aage badha to uparped par latke nar mund se aag nikal ke hamare upar giri
Vo to achcha hua ki maine kawach bana rakha tha jisse uski is aag se hamara koi nuksan nahi hua….aur hum unke pass pahuch gaye….sona aur margret ne apni ankhe band kar li…vo dono apas me bate karte huye ja rahe the mai dhyan se unki baate sunne laga
Pahla—aaj amavas ki raat akhir aa hi gayi
Dusra—ha ….bahut intazar karna pada is amavas ki raat ke liye is baar
Pahla—vo to hai…..ye shubh avsar har 1200 saal baad aata hai…..jisse iska mahatva aur bhi adhik evam kayi guna badh jata hai
Dusra—ab shaitan azad ho jayega aur uska devil putra bhi jivit ho uthega
Pahla—ha aur phir har lok par sirf andhere ka samrajya hoga….hamare guru dev Narabali bhi bahut shaktishali hokar amar ho jayenge
Dusra—unhone aaj hame is jungle ka dhyan rakhne ka vishesh nirdesh diya hai…jisse koi bhi rukawat na daal paye is bali puja me
Pahla—yaha bhala aane ka dussahas koun kar sakta hai….vaise bhi ye jagah ke bare me koi nahi janta aur agar kisi tarah bhule bhatke idhar aa bhi gaya to khooni nadi hi uska khoon pi jayegi
Dusra—tumhari baat sarvatha satya hai parantu phir bhi hame satark rahne ki awashyakta hai
Pahla—vo to hum hain hi…aaj tak hamare hote huye gurudev ki kisi bali puja me koi bhi avrodh nahi aaya hai aur aaj bhi nahi ayega
Dusra—ye puja ho jaye to mai sabse pahle kisi jagah jakar khub sambhog karunga phir unka maans bhakshan karke khoon piyunga
Pahla—ha yaar bahut samayantaral ho gaya sambhog sukh liye huye….jab tak daal aur nikal gaon abad the tab tak hum rozana hi vaha ki ladkiyo aur striyo ko pakad kar unse sambhog karte the raat raat bhar…lekin vo sab bhi na jane kaha achanak gayab ho gaye
Dusra—ha yaar unke chale jane ke baad to hamare lund bas mutne aur hilane ke alawa baki kisi kaam ke nahi rah gaye hain
Main unki bate sun kar hairan rah gaya ki ye sale kutte kamine kitne bade kukarmi hain…mann to kar raha tha ki yahi inki kabra bana du…lekin pahle mujhe inke dimag ko apne niyantran me lekar us jagah ke bare me pata karnaa tha
Maine kiya bhi vahi….unke dimag ke sabhi kal purjo ko khol kar sari jankari nikal li aur uske baad talwar se un dono ki gardan kaat kar usi khooni nadi me phek diya…
Lekin vo khopdi abhi bhi hamare upar apni agni varsha band hi nahi kar rahithi to phir talwar ke ek hi prahar se us ped par latki khopdi ke hazar tukde kar diye…tab kahi jakar uska agni daah band hua
Margret—kaise kaise log yaha rahte hai…bilkul adim manav…inhe koi kapde pahanna kyo nahi sikhata hai.. kaise besharmo ki tarah dhang dhadang hokar ghum rahe the
Sona—kitne gande aur papi log hain
Mai—yaha apni juban tum dono band rakhna warna dikkat me phans jaogi
Dono—ok…
Mai jungle me aage badhne laga…jaisa maine sapne me dekha tha…jab bhi ped ke niche se gujarta vo uske upar latki khopdi se aag nikalne lagti…mai raste ke sabhi khopdi todta gaya..jisse loutne time ye dikkat na kare
Vaha jungle me ghumte huye hi shaam ho gayi….magar abhi tak uss shmashan tak nahi pahuch paya tha main mai usi bare me soch hi raha tha ki tabhi mujhe ek jagah roshni dikhayi di
Mai samajh gaya ki ye shmashan me aag jalne ki roshni hai kyon ki murda jalne ki durgandh yaha tak phail gayi thi….atah mai bhi usi disha me tezi se aage badhne laga
Kuch der me hi mai us shmashan ke karib pahuch gaya….chunki hum adrishya avashta me the to bina shakti ke hame koi nahi dekh sakta tha
Shmashan ko charo taraf se manav haddiyo ki boundry bana kar ghera gaya tha….pratyek haddi ke upar ek ek manav khopdi latki huyi thi
Shmashan ke madhya me ek bada sa hawan kund bana hua tha ….aur uske charo kone par ek ek chita jal rahi thi jiska prakash vaha phail raha tha
Vahi hawan kund ke samip hi bahut sare chhote chhote bachcho ko lita kar rakha gaya tha jinki umra 5 varsh se adhik ki nahi thi..maine ginti kiya to ye 108 bachche the
Unke hath pairo ko nukile kaante wali taar se baandh kar rakha gaya tha jisse un masumo ke najuk sharir me jagah jagah se khoon ris ris kar bah raha tha
Vo masum bachche dard aur darr se ro rahe the kintu unka aantarnad un kathor papiyo ke pasaan hriday nahi pighal rahe the
Un maao ki dasha kya ho rahi hogi jinke ye doodh pite bachcho ko unki god se chhin kar alag kar diya gaya….ye kalpana matra se hi meri atma tak kampayman ho uthi
Unka ye hriday vidarak darun krundan bhara drishya mujhse dekha nahi ja raha tha…barbas hi na chahte huye bhi meri ankhe karuna se chhalak aayi
Itna vibhats aur ghrina purn drishya dekh kar sona aur margret bhi apne apko rone se nahi rok payi….sabhi bachche jor jor se rote huye apni maa ko pukar rahe the
Thodi der me vaha ek 7’ lamba admi aaya aur ek bargi charo oor ka nirikshan karne ke uprant hawan kund ke paas bichhe aasan par baith gaya
Shmashan me is samay lagbhag 20 se adhik ki sankhya me vo nang dhadang log moujud the….kuch bali puja ki samagri ko yatha sthan jama rahe the to kuch chita ki aag ko bhadkane ke liye pata nahi kaha se kisi na kisi jivit admi ko pakad lake use jabran us aag me phek dete the
Jisse vaha ke vatavaran me dard mayi cheek pukar aur sharir jalne ki durgandh ke atirikt na to kuch sunayi de raha tha aur na hi mahsus ho pa raha tha
Naravali—sab satark rahna….meri kriya me koi vighna nahi aana chahiye warna tum sab ka anjam bahut hi bhayanak hoga
Ek shishya—aap nishchint rahe guru dev….hamare hote huye yaha hawa bhi pravesh nahi kar sakti
Dusra—ha gurudev hamne shmashan ke charo oor manav haddiyo ki badi laga kar unke upar ek ek khopdi mantro se keelit karke laga di hai….agar koi bhi us baadi ke andar pravesh karne ki cheshtha bhi karega to turant kaid ho jayega
Naravali—bahut sundar…andhera ho gaya hai..ab mai kriya shuru karne ja raha hu
Tabhi us bade saand (guru) naravali ne andhera badhte hi apni puja aarambh kar di….mantro ka dirgha swar me uchcharan karte huye vo hawan kund me nar maans aur bakre ki kaleji ke chhote tukde dalne laga
Udhar ghar me sote huye urmila ek cheetkar ke sath bistar se uth baithi aur anand ko hila hila kar uthane lagi
Urmila (jagate huye)—anand utho…utho
Anand—ajib musibat hai…raat me chain se sone bhi nahi milta…shadi karna hi bekar hai
Urmila—utho
Anand—kya hai urmi...tum itni ghabrayi huyi kyo lag rahi ho... ? tabiyat to theek hai na... ?
Urmila (bechain)—maine abhi bahut bura sapna dekha....
Anand—ye biwiya bhi na...din bhar to khud apne husband ko darati rahti hain aur raat hone par khud darr jati hain aur need ham becharo ki kharab hoti hai....so jao..bhagyawan sapna hi hai na koi haqiqat to nahi..
Urmila (pareshan)—nahi...vo..vo...maine sapne me adii ko dekha
Adi ka naam sun kar anand bhi thoda sajag ho gaya...akhir adi uski bhi to jaan tha...phir bhi mard tha to use urmila ko kisi tarah sambhalna tha kyo ki vo rone lagi thi ab
Anand—kya hua adi ko... ? vo to sona bahu ke sath gaya hai na…tumne hi to bheja hai use…tension na lo..vo bilkul mast hoga
Urmila (rote huye)—nahi…mera dil bahut ghabra raha hai…jarur mera adi kisi sankat me hai….mere adi ko abhi vapis lao
Anand—achcha mai phone par baat kara deta hu abhi tumahari adi se
Anand ne adi ka number par call lagaya lekin vo switched off ja raha tha….sona ke paas phone tha nahi…tabhi use dhyan aaya ki margret bhi to sath me hai to usko call lagaya lekin uska phone bhi band tha…..ab kuch kuch tension aur bechaini anand ko bhi hone lagi thi
Urmila (rote huye)—mai na kahti thi ki jarur mera adi lisi musibat me hai....tum abhi jao mere adi ko lekar aao
Anand—achcha mai subah pata lagata hu....sona ke relatives ka address bhi nahi malum mujhe
Urmila (rote huye)—mai kuch nahi janti.....abhi jao....kuch bhi karo....chahe jaha se bhi ho...mere bete ko lekar aao....vo dard me tadapte huye mujhe pukar raha tha...vo to ja hi nahi raha tha maine hi use jabardasti bheja... kaisi maa hu mai...agar mere adi ko kuch hua to mai bhi apne pran tyag dungi...jao pls..mere adi ko le aao
Vahi india me megha aur shree ki bhi need haram ho gayi thi…dono apne apne kamre me khud ke andar bechaini mahsus kar rahi thi…megha ki bechaini swapna tha to shree ki bechaini ki vajah uska dil
Megha (mann me)—ye kaisa sapna aaya mujhe….vo bhi itne saalo baad maine apne Rishi ko dekha...jisme uski jaan sankat me hai...kya mera beta jinda hai... ?...ha..jarur yahi baat hai...tabhi mujhe itni bechaini ho rahi hai jaisi aaj se 18 saal pahle huyi thi jab vo kho gaya tha...ab kya karu main... ?
Megha ne ajeet ko jaga kar use sari baat batayi lekin vo ise sapna samajh kar bhul jane ko kah kar phir so gaya lekin megha ki bechaini jab aur bhi jyada badhne lagi to vo raat ke andhere ki parwah kiye bagair nange pair paidal hi mandir ki oor daud laga di
Vahi shree apne bistar me baithe huye bechaini ki halat me baar baar adi ko call lagaye ja rahi thi…..har call ke sath uske dil ki bechaini duguni ho rahi thi
Shree (bechain)—ye adi ka phone kyo nahi lag raha hai….aaj subah se hi mere mann me rah rah kar bure bure khyal aa rahe hain……itni jyada dil me bechaini kyo ho rahi hai mere….?..jarur adii kisi musibat me hai…mujhe mousi ko call karke pata karna chahiye
Ye soch kar shree ne urmila ko call laga diya …adi ne maa ka number shree ko de diya tha…is call ki baat cheet ne dono ke dilo ki ghabrahat aur bechaini ko aur bhi badha diya….ab unhe pakka yakin ho gaya ki adi avashya hi kisi bahut bade sankat me phans gaya hai
Vahi urmila ka rona aur badh gaya to idhar shree bhi rote huye niche jamin par baith kar dono hath jod bhagwan se prarthana karne lagi
Dusri taraf megha paglo ki tarah bhagti huyi girte padte mandir ki choukhat tak pahuch hi gayi…kintu raat hone ki vajah se is samay mandir ke dwar bhi band the
Megha (rote huye)—bhagwan agar apne dwar band hi rakhna tha to mujhe aaj itne saalo baad ye sapna kyo dikhaya…? Tune mujhe kyo dikhaya ki mere rishi ko koi janjeero se baandh kar maar raha hai…tune use bachpan wale roop me kyo dikhaya mujhe….?
Megha (rote huye)—agar ye sapna sach hai to iska matlab mera beta jinda hai aur kisi ki kaid me hai….mere bete ki raksha karo bhagwan chahe to mere pran le lo
Ye kah ke usne bahar se hi mandir hi ghanti ko jor jor se bajane lagi…aur tab tak bajati rahi jab tak ki thak kar gir ke behosh nahi ho gayi