/**
* Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection.
* However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use.
*/
Abhi hum yahi bate karte huye chale ja rahe the ki kisi ke joro se hasne ki awaz aane lagi….hamne udhar jakar dekha to hum bhi chounk gaye….margret darr ke maare mujhse chipak gayi
Mai—ye koun ho sakta hai…..itna bada……?
Margret—adii…mujhe darr lag raha hai…kitna bhayanak hai
Ab aage………
Hamare samne ek vishal aakaar aur deel daul wala ajib tarah ka jeev tha jo apne charo oor aag ke gole fek raha tha aur sath hi jor jor se attahas bhi karta ja raha tha
Margret (darte huye)—adii…ye koun hai….jo muh se aag nikal raha hai aur itna bada hai…aisa admi to maine kabhi nahi dekha mujhe bahut darr lag raha hai
Sona—daro mat adi hai na sath me
Mai—ye ruk jao…ye kya kar rahe ho….pagal ho kya…?
Vo meri baat sun kar chounk ke hamari taraf dekhne laga….kuch der ghurne ke baad phir se phir se joro se hasna shuru kar diya
"bahut din baad kisi ko maarne ko mila hai....tum sab ko maar dunga....hahaha"....usne kaha aur meri baat ka koi jawab diye bina hi hamari taraf aag fekne laga
Vo to achcha hua ki maine kawach se dono ko surakshit kar diya tha jisse uske aag ke gole kawach se takrate hi thande pad gaye
Use paglo ke jaise aise hamla karte dekh maine bhi apni shaktiyo ko jagrit kar liya…ab main uske har hamle ke liye taiyar tha….abhi bhi vo lagatar aag barsaye ja raha tha lekin uski ye aag hamse takrate hi thandi ho ja rahi thi
Apne dwara hamare upar feke gaye aag ke golo se hame koi nuksan hota na dekh vo aur gusse me aa gaya aur aas paas ke bade bade patthar utha utha kar marne laga
Margret ki to darr ke mare halat hi kharab thi….vo to sona use baar baar samjha kar shant karne me lagi huyi thi lekin usne apne jeevan me pahli baar aisa kuch para loukik jeev dekha tha to uske mann me bhay ka uttapann hona swabhavik si baat hi thi
Uske patthar bhi jab hamara koi nuksan nahi kar paye to vo kuch aur tarika sochne laga….maine use jyada mouka dene theek nahi samjha…isme mera samay hi barbad hota
Vo aur kuch karta isse pahle maine apni jagah se adrishya hokar piche se uski gardan daboch liya….vo apne hath pair chalane laga…..apni poori taqat laga kar bhi jab vo apni gardan meri pakad se nahi chhuda paya to usne apni haar swikar kar li
"Mujhe chhod do…..mai apni haar swikar karta hu"…..vo lagbhag gidgidate huye kahne laga
Mai—pahle pata tu hai koun…? Bevajah ham par hamla kyo kiya.... ?
Vo—mai batata hu....sab batata hu...par pahle meri gardan to chhodo
Mai—pahle sab bata....tera koi bharosa nahi
Vo—mai ek jinn hu.....mera naam....khatra hai...
Mai—jinn.....ye sab kyo kar rahe the.... ?
Khatra—bachpan se hi mujhe apni taqat ka bahut ghamand tha......jinn me main sabse taqatwar jinn hu... apni taqat ke nashe me maine sab ko khub pareshan karta tha....isme mujhe bahut maza aata hai....logo ko tadpa tadpa kar marne me...
Mai—phir..tum yaha kya kar rahe ho...tumhe to apne jinn lok me hona chahiye..... ?
Khatra—vaha sab mujhe dekhte hi chhup jate hain....isliye main ab idhar udhar ghum kar logo ko pareshan karta hu
Mai—ab main tumhe kaid me kar lu to..... ?
Khatra—mai to ab vaise bhi apki kaid me aa chuka hu….ab se aap mere aaka hain aur main apka gulam
Mai—vo kyo…? mai tumhara koi aaka nahi hu
Khatra—aapne mere taqat ke ghamand ko tod diya hai....aaj tak koi bhi mujhe taqat ke khel me nahi hara saka tha kintu aapne mujhe chutkiyo me hi paraast kar diya....yahi hamara niyam hai ki jo hame hara de ya jise chirag mil jaye hum uske gulam ho jate hain
Mai—pahli baat to ye ki mujhe gulam ki jarurat nahi aur dusri mujhe to koi chirag bhi nahi mila
Khatra—ek hi baat hai.....meri taqat hi mera chirag tha...jise aapne pa liya...mujhe apna gulam swikar kare...ab se main har samay aapke sath hi khidmat me rahunga
Mai—mujhe koi gulam nahi chahiye....mai tumhe azad karta hu....jao apna jeevan jio
Khatra—aisa na kare....ye to mera ahobhagya hai ki jo apke jaisa malik mujhe mila hai....shayad isiliye aaj tak mujhe koi na hara saka tha
Mai—theek hai tum mere sath rah sakte ho....lekin gulam ki tarah nahi ek dost ki tarah
Khatra—jaisa aap chahe
Idhar margret aur sona sakte me thi ki main vaha kar kya raha hu....sabse se jyada shocked to margret thi...use aaj jhatke pe jhatke lag rahe the
Halanki use adi ki powers ke bare me pata to tha kintu kabhi uske samne uska prayog nahi hua tha.....yaha aane par pahli dafa usne adi ki power ko jana ....pahle teleport hokar yaha pahuchna aur ye jinn ko dekhna...phir adi ka uski gardan dabochna....sab jaise ek sapne ki tarah ho raha tha uske samne
Sapna hota to bhi chal jata kintu ye sab to uski khuli ankho ke samne ho raha tha….isiliye uske mann me darr aur vishmay dono ke bhav the
Margret—ye adi...itni der se vaha kya kar raha hai... ? aata kyo nahi jaldi.... ?
Sona—lagta hai adi ne us jinn ko pakad liya hai...
Abhi dono apas me bate kar hi rahi thi ki khatra jham karke achanak unke samne aa gaya.....dono aise achanak se use apne paas me dekh kar bahut joro se darr gayi aur kaamp kar piche ki taraf dhadam se gir gayi
Dono (kaamp kar khata ko samne dekh)—huuaaaaaaaa
Margret (darr se chillate huye)—mummyyyyyy.....marrrr gayyyiiiiiii....jinnnnnn...neeeee...khaaaa...liyyyaaaaa... adiiii.......bachaoooooo........bachaooooooo.......adiiiiiiiiii.......khaaaaaa.....liyyyaaaaaa
Mai (jor se)—ye chuppp.....jabardasti gala phad rahi hai.....yahi hu main....koi nahi kha liya
Margret—ye.....ye...kha lega...mujhe....
Mai—vo nahi kha lega tumhe….chalo utho…pagal….mai hu na….vo ab hamara dost hai
Sona—kyaa dost.... ?
Mai—ha...isse koi khatra nahi hai hame.....ye khatra hai
Margret—aaaaaaaaaa…..bachaaoooo
Mai—ab kya hua….kyo chilla rahi ho….?
Margret (dhire se)—tumhi ne to kaha ki ye khatra hai
Mai (apna sar pakad)—ufffffff....arey mei maa....iska naam khatra hai....vo khatra nahi jo tum samajh rahi ho
Margret (bholepan se)—to aisa bolo na....dekho mera dil kitni jor se darr se dhadak raha hai
Sona—ye khatra jinn haiiiii
Mai—ab tum mat shuru ho jana
Margret—kyaa...ye hamare sath rahegaaaa...... ?
Mai—haa….aur yaar tum na apna ye huliya change karo…..nahi to ye raat me tumhe dekh kar aise hi darr ke chillayegi aur meri need kharab kar dengi
Khatra—jo hukum mere aka
Khatra ne apna huliya change karke ek 20-22 saal ke ladke ka kar liya….tab kahi jake dono khaskar margret kuch shant huyi
Mai—khatra ab mujhe batao..ki ye jagah koun si hai aur is gaon ka aisa vichitra haal kyo hai jo yaha koi nahi rahta..?
Khatra—ye gaon ka naam daal hai…aur iske aage jo gaon hai uska naam nikaal hai….kalantar me ye gaon bhi bahut khush haal aur samriddh tha…par yaha kisi ki buri nazar lag gayi…..aaye din yaha se chhote chhote bachche gayab hone lage…kabhi kabhi to jawan ladke aur ladkiya bhi gayab ho jati thi jinka koi pata nahi chalta tha
Sona (kaan me)—ye kitna sundar naam hai na adi…pahle daal aur phir nikaal
Mai (dhire se)—chup..besharam Pari…jab dekho tere mann me yahi sab chalta rahta hai
Mai—ha..khatra tum aage batao..
Khatra—logo ne maan liya ki jagah shrapit ho chuki hai…unme dahsat ka mahoul ban chuka tha…logo ne darr se shaam ke baad ghar se bahar nikalna tak chhod diya tha….lekin usse bhi jab koi fayda nahi hua to logo ne chup chap rato raat ye gaon chhod kar kahi aur chale gaye
Sona—to tum yaha kya kar rahe ho…..?
Khatra—aap dono mere aaka ki biwi ho to meri bhi malkin huyi….yaha sab apna khana pina chhod kar bhag gaye …mujhe khana bahut pasand hai….isliye mai yaha ruk gaya….aram se kha pikar sota aur idhar udhar ghum kar logo ko pareshan karta bas
Mai—ye jagah dharti me hi hai na..... ?
Khatra—nahi mere aaka....ye jagah shikargarh hai…..ye jinn lok aur parilok ke beech me hai…..shikargarh me kul 2100 gaon hain….jinme se 2000 gaon me shaitan ka raaz chalta hai….ye bhi gaon ab uske kabze me aa gaya
Sona—to tumhe kuch kyo nahi hua.... ?
Khatra—maine apni 10000 saal ki jindagi me pahli baar aaj haar ka swad chakha hai….vaise bhi mai raat me jinn lok chala jata tha
Margret--Kyaaaaaa kaha...10000 saal ....?
Khatra--ji malkin yahi meri umra hai
Mai khatra ki baate sunkar chounk gaya kyon ki mai bhi to un bachcho ke karan hi ghar se nikla tha…mujhe is gaon ka dhyan me dikhne ka rahasya ab samajh me aane laga tha
Mai—achcha koi jankari hai ki in bachcho ko gayab koun karta tha…?
Khatra—iske bare me kisi ko pata nahi…..lekin ha…ek budhiya rahti hai..aage nikaal gaon me..kintu vo pagal hai.. agar vo achchi hoti to shayad kuch bata pati
Mai (shock)—kya ek pagal budhiya…?..to vo kyo nahi gayi sabke sath…?
Khatra—vo to pagal hai na…use kya pata darr kya hota hai….bas raat din ulta sidha bad badati rahti hai…uske to koi paas me bhi nahi jata tha…na use koi gaon me ghusne hi deta tha….hamesha bhatakti rahti thi bechari.. use apne sath koi lekar gaya bhi nahi
Ab mere mann me usse milne utsukta aur bhi prabal ho gayi….mai mann hi mann sapne se judi har kadi ko ek dusre se jodne laga
Mai (mann me)—pahle mujhe shmashan me un masum bachcho ki bali ka sapna aaya…phir sapne me hi vo lal pani ki nadi dikhayi di…phir vo jungle dikha….dhyan lagane par ye gaon dikha…gaon pahuchne par khatra (jinn) mila……is gaon me bhi bachcho ki apharan ki baat samne aayi…iska matlab is gaon ka sambandh mere sapne se jarur hai….ab vo pagal budhiya ka jikra aaya….to ho sakta hai ki usse milne ke baad koi aur rahasya samne khul kar aaye…..
Mai—hame jald se jald uss budhiya se jakar milna hoga
Margret—par vo to poori pagal hai na..adii
Khatra—par usse aap ko kya kaam ho sakta hai, aka... ?
Maine khatra ko sapne wali poori baat bata di...jise sun kar vo bhi bahut hairan hua
Khatra—aise to bahut se tantrik aur shmashan hain shikargarh me….kintu jaisa aapne bataya vaisa to maine bhi nahi dekha ya suna
Mai—tabhi to maine kaha ki hame uss budhiya se milna bahut jaruri hai..vo bhi jitna jaldi ho sake
Khatra—uska koi thour thikana to hai nahi pakka ki ek jagah par mil jaye….ha use chalke dono gaon daal nikaal me khojna padega
Sona—par itna jaldi kyo.... ?
Mai—vo isliye kyo ki agar ye gaon shaitan ke kabze me hai to jahir hai ki use hamare yaha aane ka abhas ho jaye aur vo hamare pahuchne se pahle hi uss budhiya ko maarne ki koshish bhi kar sakta hai
Margret—agar vo budhiya koi chudail vudail huyi tooooo.....vo mera poora khoon pi legi tooooo.. ?
Mai—arey chupp.....tera khoon pi legi...pagal...jab kaha na ..mai hu na sath me tumhare
Khatra—theek hai chaliye.....usse din me hi milna uchit hai....raat me ye jagah rukne layak nahi hai... raat me yaha kuch bhi ho sakta hai…
Mai—tum theek kahte ho...chalo
Phir hum khatra ke sath milkar gaon ke ek ek ghar me ghus kar uss budhiya ko khojne lage
Khatra—theek hai chaliye.....usse din me hi milna uchit hai....raat me ye jagah rukne layak nahi hai... raat me yaha kuch bhi ho sakta hai…
Mai—tum theek kahte ho...chalo
Phir hum khatra ke sath milkar gaon ke ek ek ghar me ghus kar uss budhiya ko khojne lage
Ab aage..........
Is gaon me us budhiya ka koi pata nahi chala….hamne har ghar me ghus kar dekh liya….tab dusre gaon jane ka faisla kiya....ham raste bate karte huye aage badhne lage
Sona (meri oor dekh mushkura ke)—ye gaon ka naam bada ajib hai na adii
Mai—tere dimag me kachra bhara hai to mai kya karu
Sona—to saf kar do na
Margret—is khadus ka naam khud hi kitna bakwas hai khatra
Mai—ha..khatra tumhara aisa naam kyo hai….?
Khatra—sab mujhse darte the....yaha tak ki vampire aur aas paas ke saat lok ke niwasi bhi mujhe dekhte hi apne gharo me ghus jate the.....vo mujhe dekhte hi apni jaan khatre me samajhte the....isliye sabhi mujhe khatra ke naam se bulane lage
Mai—aur darte kyo the.... ?
Sona—sabko dekhte hi patak patak ke marta tha.....isiliye sab ise khatra..khatra kahne lage....poore parilok me bhi ise sab jante hain
Margret—Agar ye itna khatarnak aur taqatwar hai to phir adi tumne to ise badi asani se hara diya
Mai—vo isliye ki maine apni powers se iske mind ko control kar liya tha…
Sona—ohhhhh…ab samjhi……lekin ye to cheating hai
Mai (upar se niche ghurkar)—mujhe lagta nahi ki tu meri biwi banna chahti hai.... ?
Sona—iska biwi banne se kya lena dena.... ?
Mai—to tu kya chahti thi ki vo patak patak ke meri bhi haddiya tod deta…..hai na
Aise hi hum bate karte nikaal gaon me aa gaye aur us budhiya ki talash karne lage…..aise hi hum yaha bhi har ghar ko khangalne lage ki ek jagah margret kud kar mere upar chadh gayi ….
Actual me chalte huye sona ko shararat sujhi to usne dhire se mere baju me chal rahi margret ki gaand me chimti le li…jisse margret darr gayi…Margret ke aise upar chadhne se mera bhi balance bigad gaya aur uske sath niche gir gaya
Mai—ye kya pagalpan hai….?
Sona—kuch nahi ise tumhare upar chadhne ka mann ho raha tha bas..hihihi
Mai—tu apna muh band rakh
Margret (apne piche sahlate huye)—vo na vaha par kisi ne mere piche chimti kati.....vaha koi hai
Mai—chimti kati....piche...kya matlab... ?
Sona (mushkura kar)—aise samajh nahi ayega...apna hath lao mai abhi batati hu
Sona ne mand mand mushkurate huye mera hath pakad liya……tabhi mujhe kal raat wali ghatna yaad aa gayi
Mai (jaldi se)—ye..chhod..mera..hath...gandi kahi ki.....pakka ye teri hi karamat hai
Sona—mai bhala aisa kyo karungi....kyo margret maine aise nahi kiya na..
Margret—auchhhhhh....adii..phir se isne chimti kati...yahi hai
Mai—dono ko chup chap mere sath rahna hai to theek warna mai adrishya ho jaunga
Margret—tum ise samjha lo…..nahi to mouka milne par main bhi nahi chhodungi ise
Sona—ok…silence
Vo to shukar hai ki khatra hamse opposite side wale gharo me budhiya ko dekh raha tha….dono daantne ke baad mai phir se talash abhiyan me jut gaya
Hamne yaha bhi poora gaon chhan mara lekin uska koi pata nahi chala….dophar se adhik ka time ho chuka tha.. tabhi mujhe kuch paas me girne ki awaz sunayi di
Mai turant awaz ki disha me bhaga..magar kuch na dikha...vo teeno bhi bhag kar mere paas aa gaye
Khatra—kya hua malik
Mai—pahle to ye malik malik kahna band kar…mera naam adi hai..sidhe naam se bulaya kar….dusra apna naam change kar…teesra mujhe ye bata ki yaha paas me koi pani ka sadhan hai
Khatra—mai apka naam nahi le sakta...aur mera naam jo apko rakhna ho rakh do…teesra paas me pani pine ke liye ek bahut bada kuwa hai
Mai—theek hai chalo vaha pahle
Marget—ha mujhe pyas bhi lagi hai
Sona—mujhe bhi lagta hai tu bahut pyasi hai margret
Margret—you shut up
Khatra hame us kuwe tak le aaya...maine bhag kar kuwe ki jinare se niche jhank kar dekha to mujhe koi tairta hua nazar aaya
Mai—khatra fauran kuwe se us budhiya ko bahar nikalo
Khatra—jo hukum mere aaka
Sona—lo ji ye budhiya to kuwe me rahti hai….aur tum daal nikaal kar rahe ho..matlab chhan rahe ho…har baat ka galat arth nikalte ho
Margret—vo pakka khoon pine wali chudail hogi..adii
Mai—tu apna muh band rakhne ka kya legi…aur tu …yaha tum dono ke siwa koi chudail nahi hai
Sona—ek chummi phir….. hihihi..daal nikaal
Mai—tera kuch nahi ho sakta
Sona—lekin vo kuwe me kyo rahti hai…?
Mai—rahti nahi hai…kisi ne uthakar fek diya hai use kuwe me
Margret—pakka bhoot honge....mujhe bhooto se bahut darr lagta hai
Mai—ab bak bak ki na to tujhe utha kar kuwa me fek dunga...samjhi....mai hu na tere sath me phir kyo darr rahi hai
Tabhi khatra kuwe me se us budhiya ko bahar nikal laya……vo pani bhig jane thand se kaamp rahi thi… maine use paltakar pith ko press karke uske pet ka pani bahar nikala
Kuch der baad use hosh aa gaya.....to hame ghur kar dekhne lagi…..phir jane use kya sujha ki utha kar khadi huyi aur upar aas maan ki oor dekhne lagi….aur uske hame punah ghurna chalu kar diya
Bari bari sab ko Ghurte ghurte usne margret ki taraf jhapta mara to margret chillakar phir se uchak ke meri pith me chadh gayi
Budhiya (margret ko ghur kar)—phuttt…..phuttt...hihihi
Maere ishara karte hi khtra ne khana uske samne rakh diya….vo jinn tha uske liye ye koi badi baat nahi thi…vo jaldi jaldi khane lagi….khane ke baad usne pani piya
Mai—ab bataiye aap koun hain.... ?
Budhiya—yaha se bhag ja....vo maar dega tujhe bhi...bhag ja
Mai—koun mar dega... ?
Budhiya—main nahi bataungi....hihihi...nahi to vo mujhe bhi maar dega
Mai—agar mai use maar du to... ?
Budhiya—haan.......tu use maar sakta hai...maar de....maar de....use koi nahi maar sakta....vo tujhe bhi maar dega ... hihihihi
Mai—mai use maarne ke liye hi yaha aaya hu...aap kya chahti hain ki vo sabko maar de...lagta hai aap kisi ki maa nahi ho...koi apka beta nahi hai....(main usko bato me uljhakar power se uska mansik santulan dhire dhire theek karne ka prayas karne laga)
Budhiya (rote huye)—nahiii....mai bhi ek maa thi....usne maar diya mere bete ko...mere pati ko....
Mai—kisne maar diya... ?
Budhiya—shaitan ne..
Mai—shaitan ne... ?..mujhe poori baat batao aap..
Budhiya—ye gaon bhi kabhi khush haal the....in dono gaon ka naam daal aur nikaal ke piche bhi ek raaz hai
Mai—kya... ?
Budhiya—in dono gaon ki ye khasiyat hai ki inme do aise jagah hain jaha se hokar koi kisi bhi lok me ya jagah me ja sakta hai aur vapis bhi aa sakta hai
Mai—samjha nahi... ?
Budhiya—us gaon me ek jagah aisi hai jisme se ghuskar koi kisi bhi aas paas ke saat lok me ja sakta hai kuch hi pal me..isliye us gaon ka naam daal pada......vaise hi koi kahi se agar us raste se aata tha to vo is gaon me nikalta tha.. isliye iska naam nikaal hua
Mai—kaha hain vo jagah... ?
Budhiya—kahi jane ke liye daal gaon me aur vapis aane ke liye nikaal gaon me....jagah mai bhi nahi janti...kintu aaj bhi vo jagah hain
Khatra—to aap ko kaise malum... ? baki gaon wale bhi to jante rahe honge…?
Budhiya—nahi koi nahi janta iske bare me……mujhe ek baar ek mahatma ne ye baat batayi thi….vo jagah tilismi hai….bahut pahle yaha ke raja ne suraksha ke liye vo banwayi thi
Mai—to kya mai is raste se un logo tak bhi pahuch sakta hu….?
Budhiya—agar vo jagah aas paas ke saat lok me hogi to jarur pahuch jaoge
Sona—baki gaon wale kaha gaye…?
Budhiya—pata nahi…kahi dusre lok me chale gaye
Margret—koun hai jo bachche chura raha hai.... ?
Budhiya—mai nahi janti....bas itna janti hu vo shaitan ke bande hain...maine unhe bachche le jate kayi baar dekha hai....vo bahut hi bhayanak shakal wale hain
Mai—theek hai...apka bahut bahut shukriya...kya koi aur madad kar sakti hain aap hame us jagah ko talashne me
Budhiya—"Man ki har baat ikatthi ki, Ek baat banayi Mitti ki’’....agar is paheli ko suljha loge to neela patthar tak pahuch jaoge...agar use hasil kar liya to vo tilismi darwaje tak bhi pahuch jaoge..jo tumhe kahi bhi pahucha sakta hai aur vapis bhi la sakta hai