UPDATE*50
Budhiya—mai nahi janti....bas itna janti hu vo shaitan ke bande hain...maine unhe bachche le jate kayi baar dekha hai....vo bahut hi bhayanak shakal wale hain
Mai—theek hai...apka bahut bahut shukriya...kya koi aur madad kar sakti hain aap hame us jagah ko talashne me
Budhiya—"Man ki har baat ikatthi ki, Ek baat banayi Mitti ki’’....agar is paheli ko suljha loge to neela patthar tak pahuch jaoge...agar use hasil kar liya to vo tilismi darwaje tak bhi pahuch jaoge..jo tumhe kahi bhi pahucha sakta hai aur vapis bhi la sakta hai
Mai—is paheli ka kya matlab hai.... ?
Ab aage………..
Mai us paheli ke bare kafi der tak sochta raha lekin vo ab bhi abujh bani huyi thi….jab sochte sochte sar dard karne laga to maine baad me vichar karne ka socha
Budhiya—tum log raat hone se pahle yaha se chale jao.....ye jagah jyada der tak rukne layak nahi hai
Sona—aap kuwe me kaise giri…..?
Budhiya—maine tum logo ki idhar aane ki awaz suni to mujhe laga vahi log aa gaye…mai darr se bhagne lagi… bhagte bhagte mera pair fisal gaya aur mai pani me gir gayi
Margret—aap unse bachne ke liye kaha chhupti ho….?
Budhiya—mai raat hone se pahle hi yaha se dur chali jati hu.....thodi dur par ek mandir hai...usme ghus kar raat gujarti hu
Sona—kyo na aaj raat me unhe maar do
Mai—nahi…aisa karne se vo satark ho jayega aur ye bhi ho sakta hai ki bachcho ko koi nuksan pahucha de… isliye abhi hame khud ko chhupa ke rakhna hoga….waqt aane par unko bhi dekh lunga
Margret—hum invisible hokar rahenge….kisi ko nahi dikhenge….hihihihi
Hamne ek phir se dono gaon ko poora ghum kar dekha ki shayad koi clue mil jaye magar aisi jagah kahi nazar nahi aayi jisse hum nirash hokar phir se usi kuwe ke paas aa gaye
Mai—hum bhi aaj raat usi mandir me rukenge
Budhiya—agar unhe malum chal gaya to…?
Mai—kisi bhi pavitra jagah par buri atmaye pravesh nahi kar sakti...phir ye to mandir hai
Sona—theek hai..
Margret—ha to chalo na phir…..raat hone hi wali hai…agar vo aa gaye to mai to mari jaungi…ye to jinn hai…ye pari hai…tumhare paas powers hain…aur ye budhiya to mar bhi jayegi to koi farak nahi padta…bachi mai akele marne ke liye…..nahi..mujhe abhi nahi marna…chalo hum abhi mandir jayenge
Mai—chalo sab nahi to ise koi khaye ya na khaye par ye mera dimag jarur kha jayegi
Hum sabhi vaha se uth kar kuch hi der me mandir pahuch gaye…mandir kya balki poora khandhar hi kahna use sahi hoga….ha shani dev ki ek patthar ki bahut purani murti jarur vaha virajit thi
Samay rahte hamne dinner kar liya….sar chhupane ke liye ye theek jagah thi….khatra bahar hi khada tha… shayad andar aane me darr raha tha….usne hamare sone ka prabandh kar diya tha
Mai let kar phir se us paheli ke bare me sochne laga.....uske har ek shabd ka arth ko parakhne laga
Mai (mann me)—ye kaisi paheli hai….mann ki har baat ikatthi ki…bhala mann ki sabhi bate kabhi ekatthi hona possible hai…impossible aur ek baat banayi mitti ki…ye bhi utpatang hai…pata nahi vo mahatma iska agar matlab bhi bata deta to uska kya chala jata
Mai (mann me)—ab kaise is paheli ko solve karu…?…kaise..kaise…?….(kuch yaad aane par)…mann ki har baat ikatthi ki…..ye to sirf do hi condition me ho sakta hai….dusra…ek baat banayi mitti ki…ye bhi ek hi ho sakta hai ab inme se koun sa arth sahi hai…pata nahi
Mai—maa ji..ek baat bataiye…yaha koi aas paas shmashan ya phir koi kisi ki samadhi sthal hai kya….?
Budhiya—mujhe pata nahi lekin kahte hain ki kisi mahan atma ki ne bahut samay pahle is gaon me samadhi li thi…kintu vo jagah kaha par hai ye koi nahi janta…
Mai—koi shmashan hai kya yaha…?
Budhiya—meri jankari me to nahi hai....kyon ki kisi ke bhi marne par uske pariwar wale apne khet ya bagiche me hi uska antim sanskar karte the
Mai (kuch clue ke milne ki ummid)—achcha ye to pata hoga ki vo mahatma rahte kaha the…?
Budhiya—maine apni nani se suna tha ki unka ashram dono gaon ke beech me tha…..kintu ab to vaha charo oor bade bade ped aur khet hain…
Mai (kuch ummid se)—apka bahut bahut shukriya
Sona—ab samadhi ka kya chakkar hai..?…ye sab kyo puch rahe ho….?
Margret—ha adi…raat me shmashan aur samadhi vamadhi ka naam nahi lena chahiye…meri nani kahti hain ki raat me inka naam lene se bhoot aa jate hain…mujhe na bhoot se bahut darr lagta hai….nani kahti hai ki vo khoon pi jate hain….mera khoon bhi pi jayenge
Mai—meri maa tu so ja…..tere hath jodta hu….
Margret—mai sach kah rahi adi..meri nani ye bhi kah....
Mai (beech me hi daant kar)—chup ...ab agar tune apni nani ka dubara naam liya na to tujhe utha kar bahar phek dunga .... nahi to chup chap se so ja
Sona—hihihihi
Mai—jyada mat has nahi to tujhe bhi phek dunga....naak me dum kar rakha hai dono ne....pata nahi jab saat ho jayengi to mera kya hoga...
Margret (muh latka kar dhire se)—adi...mujhe darr lag raha hai
Mai—theek hai..chal aa ja mere paas
Sona (jaldi se)—mujhe bhi lag raha hai
Phir dono apni jagah se uth kar dono mujhse chipak ke let gayi....aur phir kuch samay baad so gayi...lekin mai aur khatra jaag rahe the
Khatra—kuch socha aapne us paheli ke bare me.... ?
Mai—socha to hai…lekin confirm nahi hai
Khatra—vo kyo... ?
Mai—dekho mere hisab se ‘mann ki har baat ikatthi ki’...ke teen arth nikalte hain...pahla...mann (yani vajan toulne ki ikayi)...bhar baat (lakdi)..har ek lakdi ek jagah par ikatthi kar li......dusra.....kisi ke mann ki sabhi baat ko jaanna........teesra....mann ki har baat (yani akash,jal,hawa,aag,dharti) inko ikattha kiya matlab dhyan me baithna
ab bachta hai.....’Ek baat banayi mitti ki’.....iske teen arth nikalte hain...pahla….ek aisi mitti wali jagah jo kshariya white colour ki hoti hai.....dusra...dead body ko un ikattha ki huyi lakdi ke upar litana...teesra....dhyan me leen hokar sharir tyag karna arthat dhyan dwara un panch tatwa ko sharir se alag karne ke baad ye sharir kewal mitti hi rah jayega bina un tatwa ke
ab dekhna ye hai ki inme se koun sa sahi nikalta hai.....hame subah se hi is kaam me lag jana hai...kyon ki kal amavas hai...agar kal nahi to phir kabhi nahi
abhi hum baate kar hi rahe the ki kisi ladki ki payal ki chham chham karti aur madhur gane ki awaz hamare kaano me goonjne lagi....ye awaz bilkul hamare paas ke nikaal gaon se aa rahi thi
mai—khatra tum yaha dhyan rakhna mai jara gaon ka ek chakkar laga kar aata hu...
khatra—raat me vaha jana uchit nahi hai..malik....ye jagah shrapit hai
mai—tum chinta mat karo....maine in logo aur tumhare charo oor suraksha kawach bana diya hai....jisko bhedna inke vash me nahi hai
khatra—theek hai malik
Mai khatra ko vaha dhyan rakhne ko chhod kar us awaz ki sachchayi parakhne ke liye gaon ki taraf nikal gaya... awaz abhi bhi mere kafi karib se aa rahi thi
Mai lagatar us awaz ka pichha karte huye nikaal gaon me aa gaya....lekin mujhe vo kahi nahi dikhi ...lekin tabhi mujhe aisa laga jaisa koi abhi abhi mere piche se gujra hai
Mai turant palat gaya...lekin vaha koi nahi tha....mai idhar udhar nazar ghuma kar dekhne laga...tabhi mujhe phir se laga ki is baar koi mere karib se gujra hai
Punah us payal ki jhankar aur madhur gane ki awaz sunayi dene lagi...mai udhar hi chalta gaya....us awaz ka pichha karte....aur tabhi