UPDATE*43
Sona—chhod mujhe...ye maarne ki baat karti hai tumhe...
Mai—jane bhi de na ab...unki vaise bhi bahut dhunayi ho chuki hai...chalo re ab ghar chalo...aaj ki class attend ho gayi
Franklin aur daniel ne tab tak julia aur margret ko pakad kar alag kiya.....hum vaha se jane hi vale the ki tabhi vaha dan danati huyi 10-15 gadiya aa gayi
Ab aage...........
Ground me aate hi un gadiyo se gunde nikalne lage.....koi hockey stick liye to koi hath me talwar liye huye....sabhi sidhe canteen ki hi aa rahe the...
Aliza—ab dekhti hu tum logo ko…..kaise bach ke jate ho…?
Mai—dekhiye Miss Aliza hum yaha padhne aaye hain…..behtar hoga ki ye ladayi jhadge ka rasta chhod do….khud padho aur hame bhi padhne do….
Aliza—ye college mere baap ka hi hai…samjha…yaha vahi padh sakta hai jise mai chahu
Daniel—adi…chal mafi mang lete hain..yaar....ye stephen hai....ye karate champion hai
Kaith—ha..adi...ye bahut log hain...hum kuch nahi kar sakte
Franklin—mai tere sath hu..adi...4-5 ko to thikane laga hi dunga
Tab tak vo log bhi vaha aa chuke the….unka jo leader tha vo sidha aliza ke paas pahuch gaya
Stephen—bolo baby….kisne aap par hath uthane ki himmat ki hai…?..abhi uski arthi utha dunga mai
Aliza (meri oor isara kar)—ye….hai….
Stephen (mere paas aakar)—kyo be tujhe jyada charbi chadhi hai…..
Mai—arey franklin….ek coffee ka order kar na yaar….sir me dard hone laga hai mere
Stephen (jor se)—mai tere se baat kar raha hu…aur tu coffee manga raha hai..tu janta nahi ki mai koun hu... ?
Mai—kitna time lagega coffee me.... ?
Stephen (mere kandhe ko pakad)—tu mujhe pagal samajhta hai…?..abhi tere kaan ka ilaz karta hu..
Daniel (uske aage hath jod)—jane do na bhai…galti ho gayi..
Stephen (daniel ko)—chattaakkkk…..sale galti ho gayi….ab mai batata hu tum sab ko stephen kya cheez hai
Aliza aur uski friends khade ab mushkura rahi thi…..sona aage badhne ko huyi to maine ishare se use rok diya aur margret ko lekar ghar jane ko kaha
Sona ko to sab pata tha ki inse nipatna mere liye mamuli baat hai….vo margret ko bahar khichne lagi lekin vo nahi gayi…daniel ko thappad lagne se mera dimag kharab ho gaya
Mai—hath hata….
Stephen—kyaa bola….phir se bol jaraa…..
Maine ek nazar aliza aur uske friends ki taraf dekha….jinke chehro par ab utsukta ke bhav uttapann hone lage the ki ab mera jawab kya hoga…vaise jawab unhe bhi expected ho gaya tha mere bolne ke lahze se
Mai—chattttaaakkkkkkk
Stephen is thappad se ladkhadate huye niche gir gaya…poora gaal lala pad gaya uska….sabhi sakte me aa gaye…aliza aur uski friends ka to muh hi khula rah gaya
Mai—mujhe dubara bolne ki adat bilkul nahi hai…dubara mat puchhna kabhi..
Stephen ke sathi pahle to shock me rah gaye ki ye kya ho gaya….aisa hone ki unko kya kisi ko bhi ummid nahi thi…jab shock se bahar aaye to mere upar hamla karne doud pade
Stephen (jor se)—ruk jaoooo…..koi aage nahi ayega……isne stephen par hath uthaya hai….ab ye mera case hai….piche hat jao sab….
Uske sabhi gunde piche ho gaye….stephen khada hokar phir se mere paas aane laga…franklin cofee le aaya tha to mai vahi pine laga…lekin pine se pahle hi stephen ne hath mar ke use gira diya
Stephen—tune mujh par hath uthaya….harami ki aula…………kad..kad..kad…. aaaaaahhhhhhhh….. aaaaaaaaaahhhhh
Stephen coffee gira ke jaise hi mujhe marne ke liye hath uthaya gali bakte huye..maine uska hath pakad ke jor se ghuma diya..jisse uske hath kihaddi kande ki jad se toot gayi…aur dard se chillane laga
Mai—gali deta hai…kutta kahi ka…..
Maine use gireban se pakad keghaiste huye kitchen me lage chalu gas stove me uska sir jor se rakh diya….
Stephen (jor se)—aaaaaaaaaaa……..aaaaaaaa…..bachaoooooooo……bachaaaooooooooo…aaaaaaaa
Poora college vaha jama ho chuka tha…..maximum students mujhe john wale case se janne lage the dazy bhi mujhe ishare se chup rahne ko kah rahi thi..lekin mera to mood off ho chuka tha
Stephen ke gunde ab mujhe marne ke liye toot pade…maine stephen ko utha ke unke upar hi phek diya stephen ke sar ke poore baal jal gaye the jinki durgandh poore canteen me phail gayi thi…sar se khoon bah raha tha..abhi bhi vo dard se chhat pata raha tha
Stephen ke unke upar girne se samne aa rahe gunde bhi uske sath niche gir gaye….maine paas me rakha gas cylinder utha ke uski nob khol di aur hath me machis utha liya
Ye dekhte hi sabki jaan halak me atak gayi…..poora dahsat ka mahoul paida ho gaya….sabhi ke bech afra tafri mach gayi….sab apni jaan bachane ke chakkar me jitna jaldi ho sake college se bahar ki oor bhagne lage
Students hi nahi…vo gunde bhi apne hathiyar phek kar jaldi se gadi me baith vaha se khisak gaye... stephen ko vahi tadapne ko chhod gaye…aliza to kab ki khisak gayi thi vaha thi chup chap
Sab mujhe pakad ke machis jalane se rokne lage...margret ne mere hath se machis chhen kar bahar phek aayi
Mai (gusse me)—sala gali deta hai....jinda dafna dunga...
Margret—adi..shant...ho jao..sab chale gaye hain…
Mai—ek coffee lana yaar
Franklin—koi hai hi nahi to coffee dega koun….sab to college chhod kar bhag gaye
Sona—ye kya ho gaya tha isko….?
Margret—adi se gali bardast nahi hoti hai....gali padne par vo out of control ho jata hai, bachpan se hi
Kaith—phir to gali dene wale ko bhagwan hi bachaye adi se
Sona—chalo ghar chalte hain ab…
Mai—ise hospital bhijwa do
Franklin—maine uske gali dete hi hospital call kar diya tha aur mariz ka naam bhi likha diya tha bhai.. vo akar utha le jayenge ab chal tu
Hum sab college se ghar nikal gaye…..khana khane ke baad mai jakar apne room me so gaya…sham ko sona ne mujhe uthaya…dinner ke liye
Dad—college me kuch hua tha kya aaj….?
Mai (sona ki oor dekh kar)—kuch nahi dad
Dad—kam se kam mujhe bata to diya kar beta
Urmila—kya hua…? Kya hua college me…?..koi mujhe bhi kuch batayega…?
Sona—kuch nahi mummy ji…aaj pahla din tha na…to ulta ragging ho gayi sabki bas
Dinner khatam karke mai kuch der room me study kiya…phir let kar sone ki koshish karne laga…udhar mummy ke room me
Dad—urmila tumhe kya lagta hai…
Urmila—kis baare me..?
Dad—yahi ki kya hamara adi…margret aur sona ke sath aisa kar sakta hai..jaisa ki vo bol rahi hain…?
Urmila—mai uski maa hu…..ek bete ko uski maa se jyada koi nahi pahchan sakta…..meri parvarish itni bekar nahi hai ki mera beta aisa kuch karega….mujhe malum hai ki sona aur margret jhooth bol rahi hain
Dad—par tum to unka hi favour karti ho….?
Urmila (has kar)—aap nahi samjhoge….ye aurato ki bate hain…vo jhuth bol rahi hain lekin galat nahi hain
Dad—kya matlab….?
Urmila—dono adi se pyar karti hain aur use pana chahti hain….jise jo tarika samajh me aaya mujhe patane ka usne vo apnaya….vaise bhi jung aur pyar me sab jayaz hai
Dad—lekin adi..?..vo to margret ko pasand karta hai lekin kabhi lagta hai ki sona ko…
Urmila—dono ko…..margret uska pyar hai….aur sona ke liye bhi maine uski ankho me fikar dekhi hai
Dad—to uski shadi kisse karogi….?
Urmila—dono se…
Dad—kya…?
Urmila—ha…
Dad—phir to adi beta …tera to kalyan ho gaya…mai ek se hi pareshan hu…tujhe to do do ko jhelna hai
Urmila (ankh dikha kar)—kyaaa kahaa…?
Dad—nahiii…nahii…maine kuch nahi kaha….bhagyawan…so jao
Raat me sote huye achanak mujhe apne pairo me kuch geela geela sa mahsus hua …aisa laga jaise ki koi mere pairo ke paas baith kar ro raha hai chup chap
Ye dekhne ke liye ki koun hai maine apni ankho ko thoda sa khol ke samne dekha to mera dil ro pada mujhe khud par gussa aane laga..kitna galat tha mai