ye bat suman ko samaj me nahi aayi
kisi ko bhi samaj me nahi aaya ki neha kaha hai
wo kaha gayi hai
sweta ne bataya ki neha mousi apne ghar gayi hai
suman to Avi ko apne gale laga kar pyar karne lagi
par meena to bas neha ke us tarah chale jane se dar rahi thi
thodi der bad neha akeli vapas aayi
aur Avi ke kamre me jane ki jagah pitaji ke pass gayi
baki sab dekhte rah gaye ki neha ye kar kya rahi hai
wo Avi ko dekhne kyu nahi ja rahi hai
neeta aur suman meena ke sath bat karne lagi neha se
pooja ko bhi jaan na tha ki neha ye sab kar kyu rahi hai
neeta- neha dekh Avi thik ho gaya
neha- pitaji kab thik honge
suman-wo bhi thik ho jayenge , par dekh hamare pyar se Avi thik ho gaya
neha- pitaji kab thik honge
pooja- ye tu kya bol rahi hai
neha- pitaji
suman- neha , hamara Avi ,, bhul gayi hamne kya kya socha tha Avi ke liye
neha- pitaji ne hamare liye kya kya socha tha
neeta- neha mazak mat kar
neha- mazak tu kar rahi hai mere sath ,
pooja- neha bat kya hai
neha- pitaji ko wada kiya tha ki Avi ko thik kar dungie wo wada pura kar liya
suman- neha ye tu kya bol rahi hai
neha- vahi jo tune suna hai
neeta- neha tera dimag kharab ho gaya hai ,
pooja- meena ne bataya phir bhi tu ye sab soch rahi hai , pitaji ko heart attack aaya tha
neha- meena ne ye nahi bataya ki heart aatack kyu aaya tha
neeta- use kaha pata hai
neha- pata bhi hoga to wo hame kyu batayengi , wo to suman ke bareme sochengi na
suman- neha tu ye kya bol rahi hai meena ko nahi pata
neha- ager pata nahi hai to wo aise chup kyu hai , mujhe roka kyu nahi ab tak
neeta-wo aisi hi hai
neha- tum sab andhi ho gayi ho , jo main dekh rahi hu wo tum nahi dekh rahi ho ,
pooja- neha ager aisa hai to main tere sath hu
neeta- didi aap bhi
neha- ager main jhuth bol rahi hu to meena ko bolo ki mujhe jhutha sabit kare
suman- jo sach hai ham sab ke samne hai , meena kuch kahe ya na kahe us se kya lena dena hai
neha- dekha suman ko bhi pata hai ki kyu pitaji ki aisi halat huyi hai
neeta- meena tu hi kuch bol neha ko
meena- mujhe pitaji ne bas itna kaha tha ki kisi ke dimag me burai ne kabja kiya ho to kitna bhi sach bolo usko jhuth hi lagta hai
neha- apni badi badi bate apne pass rakh
pooja- neha jane de , tujhe jaisa rahna hai vaisa rah , tujhe kohi kuch nahi kahenga
suman- neha mujhe tumse ye umid nahi thi
neha- mujhe bhi tumse aisi umid nahi thi , tu to Avi ke pyar me andhi ho gayi hai
suman- wo mera beta hai
neha-ye mere pitaji hai
sab neha se bahas kar rahe the ki seema ne sabko aawaz de di
seema- didi ,dekho Avi ko kya ho raha hai , uske muh se khoon nikal raha hai
itna sunte sab dar gaye
par ye kya
sab aankhe fad kar dekhte rah gaye
suman se pahale neha Avi ke pass gayi
neha abhi bol rahi thi ki Avi uska kohi nahi hai
aur Avi ke bareme sunte neha bhag kar Avi ke pass gayi
neha aur suman ke sath baki sab bhi Avi ke kamre me aa gaye
par ye kya Avi to aaram se so raha hai
suman-seema Avi to so raha hai
seema- ye bas mazak tha
neha- tujhe akal hai ki nahi ,kitna dar gayi thi main , ager Avi ko kuch ho jata to
sab neha ki taraf dekhne lage
sabko apne kanno pe vishwas nahi ho raha tha
neeta- neha tune kya kaha
neha- main ne , kuch bhi to nahi
neeta- neha tu ye sab kyu kar rahi hai
neha- hato mere raste se mujhe pitaji ke pass jana hai
suman- neha
neha- kya hai
aur suman ne neha ko gale laga liya
suman- neha tere dil me kya hai ye mujhe pata hai , aur aaj ye bhi pata chala ki tere dimag me kya chal raha hai , tu apne dil ki sun , apne dimag ki burai ko nikaal de
neha ne suman ki bat ka jawab nahi diya
aur apne pitaji ke pass jakerr rone lagi
neha phir se usi do raste pe khadi thi jaha ek taraf jaysingh tha aur dusari taraf shalini bhabhi thi
neha Avi ke liye aaj bhi confuse thi
pitaji ke sath jo hua uske bad to Avi keliye nafrat vapas paida ho gayi
par Avi ke liye jo pyar tha wo khatam hone ka naam nahi le raha tha