/** * Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection. * However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use. */

एक अनोखा बंधन compleet

User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: Fri Oct 10, 2014 4:39 am

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

“मम्मी पापा को भी मैं यही जवाब देता. अब मैं बड़ा हो गया हूँ. 21 साल उमर है मेरी. बालिग हूँ मैं अब और अपने भले बुरे का फ़ैसला खुद कर सकता हूँ. 7 साल पहले मुझे बहला फुसला कर मंडप पर बैठाया गया था. असहाय था उस वक्त मैं पर आज नही हूँ. आज किसी के आगे नही झूकुंगा. ये मेरी जींदगी है और मैं अपने तरीके से जीने का हक़ रखता हूँ.”

“मैं चलता हूँ बेटा. खुश रहो सदा. फिर भी जाते-जाते यही कहूँगा कि एक बार सोच लेना फिर से. एक मासूम लड़की की जींदगी का सवाल है जिसने पूरा साल बिना किसी स्वार्थ के तुम्हारी सेवा की है.”

“मुझे सिमरन से कोई शिकवा नही है. उसने मेरे लिए इतना कुछ किया उसके लिए आभारी हूँ. पर मैं मजबूर हूँ. मैं उस से मिलकर माफी माँग लूँगा. मुझे उम्मीद है कि वो मेरी बात समझेगी.”

“बेटा क्या तुम्हारी जींदगी में कोई और लड़की है जिसके कारण तुम सिमरन को ठुकरा रहे हो. अगर ऐसा है तो जान लो..उस से बेहतर पत्नी नही मिल सकती तुम्हे. जो त्याग और समर्पण उसने दिखाया है वो हर किसी के बसकि बात नही है. सोचना दुबारा फिर से. फॅक्टरी संभाल लेना जाकर अब तुम. मेरे जो बस में था मैने किया. चलता हूँ अब.”

रघु नाथ पांडे चेहरे पर निराशा के भाव लिए वाहा से निकल गया.

रघु नाथ के जाने के बाद ज़रीना तुरंत भाग कर आई और बोली, “तुम शादी शुदा हो और मुझे बताया तक नही. एक महीना तुम्हारे साथ रही मैं इस घर में. अब भी लंबे सफ़र के बाद तुम्हारे साथ आई हूँ. क्या ये बात नही बता सकते थे मुझे.”

“जान…मेरे लिए उस शादी का कोई मतलब नही था. मैने कभी उस शादी को शादी नही माना. बल्कि मैं तो भूल ही गया था गुड्डे-गुड्डी के उस मज़ाक को.”

“अब क्या होगा मुझे बहुत डर लग रहा है. सिमरन तुम्हारी पत्नी कैसे हो सकती है. तुम पर तो सिर्फ़ मेरा अधिकार है ना आदित्य.” ज़रीना रोते हुवे बोली.

“हां मुझ पर और मेरी आत्मा पर सिर्फ़ तुम्हारा अधिकार है.”

“उसने बहुत सेवा की तुम्हारी. कही तुम्हारा दिल उसके लिए पिघल तो नही जाएगा.” ज़रीना सुबक्ते हुवे बोली.

“पागल हो क्या. तुम्हारे सिवा मेरी जींदगी में कोई नही आ सकता. तुमने सुनी ना सारी बाते. फिर क्यों परेशान हो रही हो.”

“सिमरन से मिलने मत जाना…कही वो तुम्हे मुझसे छीन ले. वादा करो कि नही मिलोगे तुम सिमरन से.”

“पागल मत बनो. उस से मिलना बहुत ज़रूरी है. उसकी क्या ग़लती है. उस से मिल कर अपना पक्ष रखूँगा तभी बात बनेगी वरना तो वो मुझे ग़लत समझेगी”

“क्या वो सुंदर है?” ज़रीना ने आँखो से आँसू पोंछते हुवे कहा.

“मैं मिला ही कहा हूँ उस से. बस शादी के वक्त देखा था. तब बहुत छ्होटी थी वो. रो रही थी मंडप में आते हुवे. जैसे मुझे ज़बरदस्ती लाया गया था मंडप में वैसे ही उसे भी ला रहे थे उसके पेरेंट्स. और सुंदर हुई भी तो क्या फरक पड़ता है, मेरी ज़रीना का मुक़ाबला कोई नही कर सकता.”

“मिल लेना उस से मगर देखना मत उसे बिल्कुल भी, ठीक है, वरना तुम्हारा खून पी जाउन्गि मैं….. मेरे अल्लाह ये सब हमारे साथ ही क्यों हो रहा है.” ज़रीना ने कहा.

ज़रीना सोफे पर बैठ गयी सर पकड़ कर. आदित्य ने उसके कंधे पर हाथ रखा और बोला, “क्या हुवा जान तुम परेशान क्यों हो रही हो. मैं हूँ ना तुम्हारे साथ. तुम घबराओ मत सब ठीक है.”

“क्या ठीक है, अब जब तक तुम्हारी पहली शादी का मामला नही निपट जाता हम शादी नही कर सकते.” ज़रीना ने भावुक हो कर कहा.

“क्यों तुम्हे चुंबन की जल्दी पड़ी है क्या?” आदित्य मुश्कुरा कर बोला.

“आदित्य मज़ाक मत करो…क्या ये सब मज़ाक लग रहा है तुम्हे. किस हक़ से रहूंगी मैं अब यहा तुम्हारे साथ बताओ. अब मुझे जाना पड़ेगा ना अपने ही घर से.”

“कैसी बात कर रही हो तुम…क्यों जाना पड़ेगा तुम्हे. शादी के बिना भी ये घर तुम्हारा ही है.”

“ये तुम जानते हो, मैं जानती हूँ पर ये समाज नही जानता. तुम्हे लोग कुछ नही कहेंगे पर मेरे चरित्र की धज्जिया उड़ाई जाएँगी. लोग मुझे ग़लत नज़रो से देखेंगे. अभी तो ये भी नही पता कि धरम के ठेकेदार हमारे रिश्ते को कैसे लेंगे, उपर से ये बॉल-विवाह का लेफ्डा भी आ गया.आदित्य मैं कैसे रह पाउन्गि यहा…नही रह पाउन्गि. तुम खुद सोच कर देखो.”

ज़रीना की बात बिल्कुल सही थी. उसका ऐसा सोचना स्वाभाविक था. समाज के सामने शादी किए बिना उनका साथ रहना ज़रीना के चरित्र को कलंकित ही करेगा. ये बात ज़रीना समझ रही थी मगर आदित्य नही समझ पा रहा था.

“तो तुम मुझे और इस घर को छ्चोड़ कर चली जाओगी. बहुत बढ़िया…क्या इतनी जल्दी हार मान लोगि तुम”

“एक साल तक इंतेज़ार किया मैने तुम्हारा…पूरा एक साल. हार ना कभी मानी है और ना मानूँगी. मगर मैं नही चाहती कि मैं अपने संस्कारों की धज्जियाँ उड़ाउ. मेरे अम्मी-अब्बा की रूह भटकेगी अगर मैने ऐसा किया तो. मेरी परवरिश इस बात की इज़ाज़त नही देती कि मैं यहा बिना शादी किए बिना रहूं. और शादी में तो अब रुकावट आ गयी है. जब तक पहली शादी रफ़ा दफ़ा नही करते तुम तब तक दूसरी शादी कैसे करोगे.”

क्रमशः...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: Fri Oct 10, 2014 4:39 am

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

Ek Anokha Bandhan--19

gataank se aage.....................

Zarina dil mein bechaini si liye vaha se uth gayi, “kya kishi ne hamein dekh liya. Mere allaah hamaare pyar mein ab aur koyi rukaavat mat daalna.”

Aditya ne darvaaja khola, “chacha ji aap.”

“haan beta main. Tum to bina bataaye chale aaye. Kya beeti hai mujhpe aur teri chachi par kah nahi sakta.”

“aaeeye chacha ji… ander aaeeye”

“ander to aa jaaunga pahle ye bataao ki aisa kya ho gaya tha ki tum hamein bina bataaye chale aaye mumbai se. Aisa koyi karta hai kya apno ke saath.”

“chacha ji aap baithiye to sahi. Meri kuch majboori thi, jishke kaaran mujhe turant vaha se jaana pada…kya aap mujhe nahi jaante. Koyi kaaran raha hoga tabhi main bina bataaye chala aaya. Aap mujhe kabhi nahi jaane dete aur mera jaana bahut jaroori tha.”

Zarina sab shun rahi thi dil thaame.

“beta hamaara to chalo kuch nahi par simran ka kya.” Raghu nath panday ne kaha.

“simran ka kya… matlab?” aditya ne hairaani mein kaha.

“beta doctor ne kaha tha ki aisi koyi baat na kahein tumhaare saamne jish se tumhe dukh pahunche. Ishliye simran ka zikar nahi kiya hamnein. Tumhe ye shaadi bilkul pasand nahi thi. par hai to vo tumhaari patni na.”

“ye aap kya kah rahe hain mujhe kuch samajh nahi aa raha.” Aditya bechain ho utha.

Ye sab shun kar zarina ki bhi haalat kharaab ho gayi. Ushe apne kaano par vishwaas nahi ho raha tha.

“beta jab tak tum coma mein the simran mumbai mein hi rahi hamaare paas. Khub seva ki ushne tumhaari. Ham sab apne kaam mein busy ho jaate the par vo har vakt tumhaare paas baithi rahti thi. ek tarah se vahi tumhaari nurse thi pura saal. Jish din tumhe hosh aaya ush se do din pahle hi gayi thi vo delhi apne ghar. Vo vaapis aayi to tum chale gaye. Bahut royi vo tumhaare liye. Dekho beta 7 saal ho chuke hain shaadi ko. Saadi ke vakt 7 saal ke baad gone ki baat huyi thi. ab vakt aa gaya hai ki tum apni patni ko ghar le aao. Bhaiya jeenda hote to vo bhi yahi kahte jo main kah raha hun.”

“chacha ji…maine ush shaadi ko na tab maana tha aur na ab maanunga. Vo sab dada ji ne kar diya tha. mammi, papa bhi ishke khilaaf the. Mujhe simran se koyi naraazgi nahi hai par main ye baal-vivaah nahi nibha sakta.”

“beta besak bhaiya bhabhi bhi raaji nahi the ish shaadi ke liye par shaadi to huyi na aur pure hindu ritu rivaaj se huyi. Tum jaldbaaji mein koyi faisla mat lo. Thande deemag se soch lo. Simran bahut achi ladki hai. jitni seva ushne ki hai tumhaari utni koyi nahi kar sakta. Tumhaare baare mein pata chalte hi vo apni padhayi-leekhayi sab kuch chhod kar mumbai aa gayi thi. ushne apna patni dharam nibhaaya, tum nahi dekh paaye lekin hamne dekha hai. ushe thukraane ki bhul mat karna…bahut pyari bachi hai vo. Tumhaari jodi achi rahegi.”

“bas chacha ji please. Rahne dijiye ye sab. Main ish baal-vivaah ko kabhi swikaar nahi karunga.”

“haan beta main kaun hota hun, jishki baat tum maanoge.”

“nahi chacha ji aapki har baat maanunga magar ye nahi maan sakta. 7 saal pahle shaadi huyi…tab mujhe hosh bhi nahi tha. bahut bura laga tha mujhe ush vakt bhi ki ye kya majaak ho raha hai. par meri kishi ne nahi shuni. Maine ish shaadi ko kabhi swikaar nahi kiya aur na hi karunga.”

“tumhaare swikaar karne ya na karne se kya hota hai. shaadi pure samaaj ke saamne huyi thi aur pure riti rivaaj se huyi thi. aur ek baat shun lo tum. Simran mumbai apne ghar walo se lad kar aayi thi. kishi ko ummeed nahi thi ki tum coma se nikloge. Magar simran ne ummeed nahi chhodi. Vo itna pyar karti hai tumhe, patni ke saare farz nibhaaye ushne aur tum aisi baate kar rahe ho. Jab ushe pata lagega ye sab to vo to mar hi jaayegi. Kya kami hai ushme jo ki tum aisi baate kar rahe ho.”

“baat kami ki nahi hai. main ush se milunga aur samjha dunga ushe.”

“beta simran ke parents ne kishi vishwaas ke saath bheja tha ushe mumbai. Simran ki zidd thi varna vo ushe kabhi na bhejte, ab tum aisa bartaav karoge to toofan aa jaayega. Vo log chup nahi baithenge.”

“chacha ji mujhe kishi se gila shikva nahi hai. simran se main kabhi nahi mila. Bas shaadi ke vakt dekha tha ushe. Na hi ushke parivaar walo se mulaqaat huyi baad mein kabhi. Main unse maafi maang lunga. Rishte jabardasti nahi jode jaate. Dada ji ne galat kiya tha ye baal vivaah karva kar aur main ish galti ko jeendagi bhar nahi dho sakta.”

“theek hai beta jaisi tumhaari marji. Mera farz to tumhe samjhana tha. bhaiya bhabhi jeenda hote to vo bhi yahi samjhaate.”

“mammi papa ko bhi main yahi jawaab deta. Ab main bada ho gaya hun. 21 saal umar hai meri. Baalig hun main ab aur apne bhale bure ka faisla khud kar sakta hun. 7 saal pahle mujhe bahla phusla kar mandap par baithaya gaya tha. ashaay tha ush vakt main par aaj nahi hun. aaj kishi ke aage nahi jhukunga. Ye meri jeendagi hai aur main apne tarike se jeene ka haq rakhta hun.”

“main chalta hun beta. Khuss raho sada. Phir bhi jaate-jaate yahi kahunga ki ek baar soch lena phir se. ek maasum ladki ki jeendagi ka sawaal hai jishne pura saal bina kishi swaarth ke tumhaari seva ki hai.”

“mujhe simran se koyi shikva nahi hai. ushne mere liye itna kuch kiya ushke liye aabhaari hun. par main majboor hun. main ush se milkar maafi maang lunga. Mujhe ummeed hai ki vo meri baat samjhegi.”

“beta kya tumhaari jeendagi mein koyi aur ladki hai jishke kaaran tum simran ko thukra rahe ho. Agar aisa hai to jaan lo..ush se behtar patni nahi mil sakti tumhe. Jo tyag aur samarpan ushne deekhaya hai vo har kishi ke baski baat nahi hai. Sochna dubaara phir se. factory sambhaal lena jaakar ab tum. Mere jo bas mein tha maine kiya. Chalta hun ab.”

Raghu nath panday chehre par niraasha ke bhaav liye vaha se nikal gaya.

Raghu nath ke jaane ke baad zarina turant bhaag kar aayi aur boli, “tum shaadi shuda ho aur mujhe bataaya tak nahi. Ek mahina tumhaare saath rahi main ish ghar mein. Ab bhi lambe safar ke baad tumhaare saath aayi hun. kya ye baat nahi bata sakte the mujhe.”

“jaan…mere liye ush shaadi ka koyi matlab nahi tha. maine kabhi ush shaadi ko shaadi nahi maana. Balki main to bhool hi gaya tha gudde-guddi ke ush majaak ko.”

“ab kya hoga mujhe bahut dar lag raha hai. Simran tumhaari patni kaise ho sakti hai. tum par to sirf mera adhikaar hai na aditya.” Zarina rote huve boli.

“haan mujh par aur meri aatma par sirf tumhaara adhikaar hai.”

“ushne bahut seva ki tumhaari. Kahi tumhaara dil ushke liye pighal to nahi jaayega.” Zarina subakte huve boli.

“paagal ho kya. Tumhaare shiva meri jeendagi mein koyi nahi aa sakta. Tumne shuni na saari baate. Phir kyon pareshaan ho rahi ho.”

“simran se milne mat jaana…kahi vo tumhe mujhse cheen le. Vaada karo ki nahi miloge tum simran se.”

“paagal mat bano. Ush se milna bahut jaroori hai. ushki kya galti hai. ush se mil kar apna paks rakhunga tabhi baat banegi varna to vo mujhe galat samjhegi”

“kya vo shunder hai?” zarina ne aankho se aansu ponchte huve kaha.

“main mila hi kaha hun ush se. bas shaadi ke vakt dekha tha. tab bahut chhoti thi vo. Ro rahi thi mandap mein aate huve. Jaise mujhe jabardasti laaya gaya tha mandap mein vaise hi ushe bhi la rahe the ushke parents. Aur shunder huyi bhi to kya farak padta hai, meri zarina ka muqabla koyi nahi kar sakta.”

“mil lena ush se magar dekhna mat ushe bilkul bhi, theek hai, varna tumhaara khun pee jaaungi main….. Mere allaah ye sab hamaare saath hi kyon ho raha hai.” zarina ne kaha.

Zarina sofe par baith gayi sar pakad kar. Aditya ne ushke kandhe par haath rakha aur bola, “kya huva jaan tum pareshaan kyon ho rahi ho. Main hun na tumhaare saath. Tum ghabraao mat sab theek hai.”

“kya theek hai, ab jab tak tumhaari pahli shaadi ka maamla nahi nipat jaata hum shaadi nahi kar sakte.” Zarina ne bhavuk ho kar kaha.

“kyon tumhe chumban ki jaldi padi hai kya?” aditya mushkura kar bola.

“aditya mazaak mat karo…kya ye sab majaak lag raha hai tumhe. Kish haq se rahungi main ab yaha tumhaare saath bataao. Ab mujhe jaana padega na apne hi ghar se.”

“kaisi baat kar rahi ho tum…kyon jaana padega tumhe. Shaadi ke bina bhi ye ghar tumhaara hi hai.”

“ye tum jaante ho, main jaanti hun par ye samaaj nahi jaanta. Tumhe log kuch nahi kahenge par mere charitra ki dhajjiya udaayi jaayengi. Log mujhe galat nazro se dekhenge. Abhi to ye bhi nahi pata ki dharam ke thekedaar hamaare rishte ko kaise lenge, upar se ye baal-vivaah ka lafda bhi aa gaya.aditya main kaise rah paaungi yaha…nahi rah paaungi. Tum khud soch kar dekho.”

Zarina ki baat bilkul sahi thi. ushka aisa sochna swabhaavik tha. samaaj ke saamne shaadi kiye bina unka saath rahna zarina ke charitra ko kalankit hi karega. Ye baat zarina samajh rahi thi magar aditya nahi samajh pa raha tha.

“to tum mujhe aur ish ghar ko chhod kar chali jaaogi. Bahut badhiya…kya itni jaldi haar maan logi tum”

“ek saal tak intezaar kiya maine tumhaara…pura ek saal. Haar na kabhi maani hai aur na maanungi. Magar main nahi chaahti ki main apne sanskaaron ki dhajjiyan udaaun. Mere ammi-abba ki rooh bhatkegi agar maine aisa kiya to. Meri parvarish ish baat ki izaazat nahi deti ki main yaha bina shaadi kiye bina rahun. Aur shaadi mein to ab rukaavat aa gayi hai. jab tak pahli shaadi rafa dafa nahi karte tum tab tak dusri shaadi kaise karoge.”

kramashah...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: Fri Oct 10, 2014 4:39 am

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

एक अनोखा बंधन--20

गतान्क से आगे.....................

“ज़रीना किसी ने तुम्हे देखा नही है यहा आते हुवे. तुम चुपचाप यहा रह सकती हो. क्यों इतना कुछ सोच रही हो.” आदित्य ने कहा.

“आदित्य मैं जाना नही चाहती हूँ यहा से…पर यहा रुकना भी बहुत अजीब लग रहा है.” ज़रीना सुबक्ते हुवे बोली.

आदित्य आगे बढ़ा. वो ज़रीना को गले लगाना चाहता था. मगर ज़रीना पीछे हट गयी और भाग कर अपने कमरे में आ गयी और दरवाजा बंद कर लिया.

आदित्य भाग कर आया उसके पीछे, “जान दरवाजा खोलो यू परेशान होने से कुछ हाँसिल नही होगा. और तुम ये घर छ्चोड़ कर नही जाओगी. अगर गयी तो मैं मर जाउन्गा.”

ज़रीना ने दरवाजा खोला और चिल्ला कर बोली, “चुप करो ऐसी बाते नही करते. मैं नही जा रही हूँ कही. मैं बस अपने क्न्सर्न बता रही थी. तुम एक औरत की मजबूरी नही समझ सकते.”

“समझ रहा हूँ जान मगर तुम ये घर छ्चोड़ कर नही जाओगी. ऐसा करते हैं, तुम यहा टेनेंट बन जाओ. मैं उपर वाला कमरा झूठ मूट में दुनिया को दीखाने के लिए तुम्हे दे देता हूँ. रहोगी तुम यही नीचे हर वक्त. किसी को क्या पता चलेगा. बस बाहर से सीढ़ियाँ डलवा देता हूँ. बाहर की सीढ़ियों से उपर जाना और पीछे की सीढ़ियों से नीचे आ जाना. मैं इस बाल-विवाह के झांजाट को जल्द से जल्द ख़तम करने की कोशिस करूँगा. चाहे कुछ हो जाए तुम रहोगी यही. बस मुझे रेंट देती रहना.”

“हां ये ठीक है. इस से हम साथ भी रहेंगे और दुनिया मुझे ग़लत भी नही समझेगी. पर ये रेंट का क्या चक्कर है.” ज़रीना अपने आँसू पोंछते हुवे बोली.

“रेंट तो भाई तुम्हे देना ही पड़ेगा.”

“हां पर कैसा रेंट.”

“रोज इस ग़रीब को अच्छा-अच्छा खाना बना कर दे देना यही रेंट है.”

“वो तो वैसे भी मैं दूँगी ही. मैं नही बनाउन्गि तो कौन बनाएगा खाना यहा” ज़रीना ने कहा.

“अच्छा जान तुम आराम करो मैं मार्केट से राशन ले आता हूँ. और बाहर से सीढ़ियाँ डलवाने का काम भी कल से शुरू करवा दूँगा. एक दिन में ही हो जाएगा सारा काम. फिर 4-5 दिन उसे मजबूत होने में लगेंगे फिर तुम दुनिया की नज़रो में टेनेंट बन जाना. तब तक छुप कर रहो.”

“ठीक है…क्या कुछ लाओगे”

“तुम लिस्ट बना दो मैं तब तक फ्रेश हो लेता हूँ.”

“ओके…” ज़रीना मुश्कुरा कर बोली.

………………………………………………………

रघु नाथ पांडे निराश-हताश घर पहुँच गया मुंबई. उनकी बीवी उन्हे देखते ही भाग कर आई उनके पास, “क्या हुवा कुछ पता चला की आदित्य कहा है.”

“हां पता चला…” रघु नाथ बोलते-बोलते रुक गया क्योंकि उन्हे सिमरन आती दीखाई दी उसकी ओर.

“चाचा जी क्या हुवा सब ठीक तो है?” सिमरन ने कहा

“हां बेटा सब ठीक है. आदित्य बिल्कुल ठीक है. आएगा तुझसे मिलने वो जल्दी ही.”

“कहा हैं वो?” सिमरन ने पूछा.

“गुजरात में ही है बेटा. कुछ बहुत ज़रूरी काम था उसे जिसके कारण उसे जाना पड़ा बिना बताए.”

ये सुनते ही सिमरन के चेहरे पर मुश्कान बिखर गयी. उसने मन ही मन कहा, “शुक्र है सब ठीक है.”

“चाचा जी पापा उनसे मिलने को बोल रहे थे. उन्हे मैने बताया नही है अभी की वो यहा नही हैं. आपने मना किया था ना अभी बताने से इश्लीए उन्हे कुछ नही बताया, बस यही बताया है कि उन्हे होश आ गया है. अब बतायें कि क्या कहूँ पापा को. वो तो कल ही मुंबई आने को बोल रहे हैं और वो यहा नही हैं.”

“बेटा थोड़ा बैठते हैं पहले. आराम से सोचते हैं कि क्या करना है.”

“ठीक है चाचा जी. आप बैठिए आराम से, मैं चाय लाती हूँ आपके लिए… इलायची वाली.” सिमरन ने कहा और कह कर चली गयी.

“कैसे बताउन्गा इस मासूम को कि जिसके लिए तुम इतना परेशान हो, जिसकी तुमने दिन रात सेवा की वो तुम्हे अपनाना ही नही चाहता. नही बता पाउन्गा इसे कुछ भी. ये काम आदित्य को ही करना होगा.इस फूल सी बच्ची को मैं ये सब अपने मूह से नही बता सकता.” रघु नाथ पांडे ने मन ही मन कहा.

सिमरन किचॅन में चाय बनाती हुई बस आदित्य को ही सोच रही थी, “आपको नींद में ही देखा मैने पूरा साल. रोज आपके चरण छू कर दिन की शुरूवात करती थी. यही दुवा करती थी मैं कि आप इस गहरी नींद से उठ जायें और आपकी गहरी नींद मुझे लग जाए. देखना चाहती थी आपको उठे हुवे. पर आप नींद से जाग कर चले भी गये यहा से और मुझे पता भी नही चला. इस से बुरा नही कर सकते थे भगवान मेरे साथ. काश देल्ही नही जाती तो आपको देख पाती और आपके चर्नो में बैठ कर कहती की मुझे बहुत ख़ुसी हुई आपको जागे हुवे देख कर. पता नही आप मेरे बारे में सोचते हैं कि नही पर मैं आपको बहुत प्यार करती हूँ. बचपन से ही बस आपको ही बैठा रखा है दिल में.”

“अरे सिमरन चाय उबल गयी बेटा कहा खोई हो” चाची ने आवाज़ दी.
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: Fri Oct 10, 2014 4:39 am

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

सिमरन अपने विचारो से बाहर आई और तुरंत गॅस ऑफ किया, “ओह सॉरी चाची जी, ध्यान भटक गया था.”

“कोई बात नही बेटा होता है कभी-कभी. वैसे क्या सोच रही थी तुम. ज़रूर आदित्य के बारे में ही सोच रही होगी.”

सिमरन का चेहरा शरम से लाल हो गया ये सुन कर. उसने बात को टालते हुवे कहा, “आप चलिए मैं चाय लाती हूँ.”

“इतनी सुंदर और सुशील बहू हमें ढूँढे नही मिलती. अच्छा हुवा जो कि तुम बचपन में ही हमारे आदित्य की बीवी बन गयी.” चाची ने कहा.

“चलिए ना चाची जी मैं चाय ला रही हूँ.” सिमरन शरमाते हुवे बोली.

“हां ले आओ बेटा…” चाची ने कहा और चली गयी

चाची के साथ ही निशा खड़ी थी. वो आदित्य के चाचा, चाची की, इक-लौति संतान थी. चाची के जाने के बाद वो सिमरन के पास आई और बोली, “भाभी बड़ी खुश लग रही हो. खुशी-खुशी में चाय खराब तो नही कर दी.”

“चल भाग यहा से…तुझे कौन सा चाय पीनी होती है. खराब भी हुई तो तुझे क्या फरक पड़ेगा.” सिमरन ने कहा.

“वैसे भैया को ना आप देख पाई उठने के बाद और ना मैं. आप देल्ही चली गयी और मुझे अपने कॉलेज की ट्रिप पे जाना पड़ा.” निशा ने कहा.

“अच्छी बात ये है कि वो ठीक हैं, इन बातों से कोई फरक नही पड़ता है.” सिमरन ने कहा.

“हां ये तो है…भाभी तुमने कितनी सेवा की है भैया की. कोई और इतना नही कर सकता था.”

“बस-बस…चल ये बिस्कट ले कर जा मैं चाय की ट्रे लाती हूँ.” सिमरन ने कहा.

सिमरन चाय लेकर आई ड्रॉयिंग रूम में तो रघु नाथ ने कहा, “बेटा मैं सोच रहा हूँ कि पहले तुम आदित्य से मिल लो. दोनो मिल कर डिसाइड कर लो कि गोना कब करना है. फिर अपने पापा को बुला लेना.”

“नही चाचा जी कैसी बात कर रहे हैं आप. मैं कुछ डिसाइड नही कर सकती. सब कुछ मम्मी,पापा ही डिसाइड करेंगे.” सिमरन ने कहा.

“वो तो ठीक है बेटा. पर वक्त बदल गया है अब. तुम दोनो एक दूसरे से मिल कर सब कुछ तैय करोगे तो अच्छा रहेगा.”

सिमरन कुछ परेशान सी हो गयी ये सुन कर और चाय रख कर चली गयी वाहा से.

“आप भी ना. वो कैसे करेगी बात आदित्य से, वो भी अपने गोने के बारे में. क्या देखा नही आपने कि वो कितना शरमाती है. ज़्यादा बाते करनी आती भी नही उसे. ये बातें तो आपको ही करनी होंगी सिमरन के घर वालो से. ये बच्चे क्या डिसाइड करेंगे.” चाची ने कहा

“तुम्हे नही पता भाग्यवान. आजकल के बच्चे बहुत बड़ी-बड़ी बातें करते हैं. हम जो डिसाइड करेंगे शायद वो इन्हे अच्छा ना लगे.” रघु नाथ ने धीरे से कहा.

“ऐसा क्यों बोल रहे हैं आप.” चाची ने पूछा.

रघु नाथ ने पूरी बात बता दी अपनी बीवी को.

“हे भगवान! ऐसा सोच भी कैसे सकता है आदित्य. ऐसा हुवा तो अनर्थ हो जाएगा. मैं बात करूँगी उस से. दिमाग़ खराब हो गया है उसका जो कि ऐसी बाते कर रहा है.”

“बहुत समझाया मैने उसे मगर उसने मेरी एक नही सुनी” रघु नाथ ने कहा.

“अच्छा तभी आप दोनो को मिलने को बोल रहे थे.”

“हां मैं चाहता हूँ कि जो भी बात करनी है आदित्य खुद करे सिमरन से. मैं अपने मूह से उसे ये सब नही बता सकता.”

“आदित्य को समझावँगी मैं. वो मेरी बात ज़रूर मानेगा. और सिमरन को देखा नही है उसने अब तक. एक बार मिल लेगा तो पता चलेगा उसे कि वो किसे ठुकराने की सोच रहा है.”

“भगवान से यही दुवा है की सिमरन के साथ कोई अनर्थ ना हो. आदित्य का कुछ नही बिगड़ेगा… वो लड़का है, सब कुछ सिमरन का ही बिगड़ेगा.”

“ऐसा कुछ नही होगा आप शांत रहें. आपको सिमरन की बहुत चिंता हो रही है…बिल्कुल अपनी निशा की तरह मानते हैं आप उसे.”

“हां मेरी बेटी ही है सिमरन. देख नही पाउन्गा उसके साथ ये अनर्थ होते हुवे.” रघु नाथ ने कहा.

क्रमशः...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: Fri Oct 10, 2014 4:39 am

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

Ek Anokha Bandhan--20

gataank se aage.....................

“zarina kishi ne tumhe dekha nahi hai yaha aate huve. Tum chupchaap yaha rah sakti ho. Kyon itna kuch soch rahi ho.” Aditya ne kaha.

“aditya main jaana nahi chaahti hun yaha se…par yaha rukna bhi bahut ajeeb lag raha hai.” zarina shubakte huve boli.

Aditya aage badha. Vo zarina ko gale lagaana chaahta tha. magar zarina peeche hat gayi aur bhaag kar apne kamre mein aa gayi aur darvaaja band kar liya.

Aditya bhaag kar aaya ushke peeche, “jaan darvaaja kholo yu pareshaan hone se kuch haansil nahi hoga. Aur tum ye ghar chhod kar nahi jaaogi. Agar gayi to main mar jaaunga.”

Zarina ne darvaaja khola aur cheella kar boli, “chup karo aisi baate nahi karte. Main nahi ja rahi hun kahi. Main bas apne concern bata rahi thi. tum ek aurat ki majboori nahi samajh sakte.”

“samajh raha hun jaan magar tum ye ghar chhod kar nahi jaaogi. Aisa karte hain, tum yaha tenant ban jaao. Main upar vala kamra jhut moot mein duniya ko deekhane ke liye tumhe de deta hun. Rahogi tum yahi neeche har vakt. Kishi ko kya pata chalega. Bas baahar se seedhiyan dalva deta hun. Baahar ki seedhiyon se upar jaana aur peeche ki seedhiyon se neeche aa jaana. Main ish baal-vivaak ke jhanjat ko jald se jald khatam karne ki koshis karunga. Chaahe kuch ho jaaye tum rahogi yahi. Bas mujhe rent deti rahna.”

“haan ye theek hai. ish se hum saath bhi rahenge aur duniya mujhe galat bhi nahi samjhegi. Par ye rent ka kya chakkar hai.” zarina apne aansu ponchte huve boli.

“rent to bhai tumhe dena hi padega.”

“haan par kaisa rent.”

“roj ish garib ko atcha-atcha khana bana kar de dena yahi rent hai.”

“vo to vaise bhi main dungi hi. Main nahi banaaungi to kaun banaayega khana yaha” zarina ne kaha.

“atcha jaan tum araam karo main market se raasan le aata hun. Aur baahar se seedhiyan dalvaane ka kaam bhi kal se shuru karva dunga. Ek din mein hi ho jaayega saara kaam. Phir 4-5 din ushe majboot hone mein lagenge phir tum duniya ki nazro mein tenant ban jaana. Tab tak chup kar raho.”

“theek hai…kya kuch laaoge”

“tum list bana do main tab tak fresh ho leta hun.”

“ok…” zarina mushkura kar boli.

………………………………………………………

Raghu nath panday niraash-hataash ghar pahunch gaya mumbai. Unki biwi unhe dekhte hi bhaag kar aayi unke paas, “kya huva kuch pata chala ki aditya kaha hai.”

“haan pata chala…” raghu nath bolte-bolte ruk gaya kyonki unhe simran aati deekhayi di ushki aur.

“chacha ji kya huva sab theek to hai?” simran ne kaha

“haan beta sab theek hai. aditya bilkul theek hai. aayega tujhse milne vo jaldi hi.”

“kaha hain vo?” simran ne pucha.

“gujrat mein hi hai beta. Kuch bahut jaroori kaam tha ushe jishke kaaran ushe jaana pada bina bataaye.”

Ye shunte hi simran ke chehre par mushkaan bikhar gayi. Ushne man hi man kaha, “shukar hai sab theek hai.”

“chacha ji papa unse milne ko bol rahe the. Unhe maine bataaya nahi hai abhi ki vo yaha nahi hain. Aapne mana kiya tha na abhi bataane se ishliye unhe kuch nahi bataaya, bas yahi bataaya hai ki unhe hosh aa gaya hai. Ab bataayein ki kya kahun papa ko. vo to kal hi mumbai aane ko bol rahe hain aur vo yaha nahi hain.”

“beta thoda baithte hain pahle. Araam se sochte hain ki kya karna hai.”

“theek hai chacha ji. Aap baithiye araam se, main chaaye laati hun aapke liye… ilaaychi wali.” Simran ne kaha aur kah kar chali gayi.

“kaise bataaunga ish maasum ko ki jishke liye tum itna pareshaan ho, jishki tumne din raat seva ki vo tumhe apnana hi nahi chaahta. Nahi bata paaunga ishe kuch bhi. Ye kaam aditya ko hi karna hoga.ish phool si bachchi ko main ye sab apne muh se nahi bata sakta.” raghu nath panday ne man hi man kaha.

Simaran kitchan mein chaaye banaati huyi bas aditya ko hi soch rahi thi, “aapko neend mein hi dekha maine pura saal. Roj aapke charan chu kar din ki shuruvaat karti thi. yahi duva karti thi main ki aap ish gahri neend se uth jaayein aur aapki gahri neend mujhe lag jaaye. Dekhna chaahti thi aapko uthe huve. Par aap neend se jaag kar chale bhi gaye yaha se aur mujhe pata bhi nahi chala. ish se bura nahi kar sakte the bhagvaan mere saath. Kaash delhi nahi jaati to aapko dekh paati aur apke charno mein baith kar kahti ki mujhe bahut khusi huyi aapko jaage huve dekh kar. Pata nahi aap mere baare mein sochte hain ki nahi par main aapko bahut pyar karti hun. Bachpan se hi bas aapko hi baitha rakha hai dil mein.”

“Arey simran chaaye ubal gayi beta kaha khoyi ho” chachi ne awaaj di.

Simran apne vichaaro se baahar aayi aur turant gas off kiya, “oh sorry chachi ji, dhyaan bhatak gaya tha.”

“koyi baat nahi beta hota hai kabhi-kabhi. vaise kya soch rahi thi tum. jaroor aditya ke baare mein hi soch rahi hogi.”

Simran ka chehra sharam se laal ho gaya ye shun kar. ushne baat ko taalte huve kaha, “aap chaliye main chaaye laati hun.”

“itni shunder aur shusil bahu hamein dhunde nahi milti. Atcha huva jo ki tum bachpan mein hi hamaare aditya ki biwi ban gayi.” Chachi ne kaha.

“chaliye na chachi ji main chaaye la rahi hun.” Simran sharmaate huve boli.

“haan le aao beta…” cachi ne kaha aur chali gayi

Chachi ke saath hi nisha khadi thi. vo aditya ke chacha, chachi ki, ik-lauti santaan thi. chachi ke jaane ke baad vo simran ke paas aayi aur boli, “bhabhi badi khuss lag rahi ho. Khussi-khussi mein chaaye khraab to nahi kar di.”

“chal bhaag yaha se…tujhe kaun sa chaaye peeni hoti hai. khraab bhi huyi to tujhe kya farak padega.” simran ne kaha.

“vaise bhaiya ko na aap dekh paayi uthne ke baad aur na main. aap delhi chali gayi aur mujhe apne college ki trip pe jaana pada.” Nisha ne kaha.

“atchi baat ye hai ki vo theek hain, in baaton se koyi farak nahi padta hai.” simran ne kaha.

“haan ye to hai…bhabhi tumne kitni seva ki hai bhaiya ki. Koyi aur itna nahi kar sakta tha.”

“bas-bas…chal ye biscuit le kar ja main chaaye ki tray laati hun.” Simran ne kaha.

Simran chaaye lekar aayi drawing room mein to raghu nath ne kaha, “beta main soch raha hun ki pahle tum aditya se mil lo. Dono mil kar decide kar lo ki gona kab karna hai. phir apne papa ko bula lena.”

“nahi chacha ji kaisi baat kar rahe hain aap. Main kuch decide nahi kar sakti. Sab kuch mammi,papa hi decide karenge.” Simran ne kaha.

“vo to theek hai beta. Par vakt badal gaya hai ab. Tum dono ek dusre se mil kar sab kuch taiy karoge to atcha rahega.”

Simran kuch pareshaan si ho gayi ye shun kar aur chaaye rakh kar chali gayi vaha se.

“aap bhi na. vo kaise karegi baat aditya se, vo bhi apne gone ke baare mein. Kya dekha nahi aapne ki vo kitna sharmaati hai. jyada baate karni aati bhi nahi ushe. Ye baatein to aapko hi karni hongi simran ke ghar walo se. ye bachche kya decide karenge.” Chachi ne kaha

“tumhe nahi pata bhagyavaan. Aajkal ke bachche bahut badi-badi baatein karte hain. Hum jo decide karenge shaayad vo inhe atcha na lage.” Raghu nath ne dheere se kaha.

“aisa kyon bol rahe hain aap.” Chachi ne pucha.

Raghu nath ne puri baat bata di apni biwi ko.

“hey bhagvaan! aisa soch bhi kaise sakta hai aditya. Aisa huva to anarth ho jaayega. Main baat karungi ush se. deemag kharaab ho gaya hai ushka jo ki aisi baate kar raha hai.”

“bahut samjhaya maine ushe magar ushne meri ek nahi shuni” raghu nath ne kaha.

“atcha tabhi aap dono ko milne ko bol rahe the.”

“haan main chaahta hun ki jo bhi baat karni hai aditya khud kare simran se. main apne muh se ushe ye sab nahi bata sakta.”

“aditya ko samjhaaungi main. Vo meri baat jaroor maanega. Aur simran ko dekha nahi hai ushne ab tak. Ek baar mil lega to pata chalega ushe ki vo kishe thukraane ki soch raha hai.”

“bhagvaan se yahi duva hai ki simran ke saath koyi anarth na ho. Aditya ka kuch nahi bigdega… vo ladka hai, sab kuch simran ka hi bigdega.”

“aisa kuch nahi hoga aap shaant rahein. Aapko simran ki bahut chinta ho rahi hai…bilkul apni nisha ki tarah maante hain aap ushe.”

“haan meri beti hi hai simran. Dekh nahi paaunga ushke saath ye anarth hote huve.” Raghu nath ne kaha.

kramashah...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma

Return to “Hindi ( हिन्दी )”