Post
by 007 » Mon Aug 08, 2016 11:59 am
Mujhko Padh Pana Har Kisi Ke Liye Mumkin Nahi,
Main Wo Kitab Hoon Jisme Shabdo Ki Jagah Zazbaat Likhe Hai..!!
Itna Bhi Gumaan Na Kar Apni Jit Par “Aye Bekhabar”,
Shahar Me Tere Jit Se Jyada Charche To Meri Haar Ke Hain…!!
Khun Abhi Wo Hi Hain,
Na Hi Shok Badle Na Hi Junoon,
Sun Lo Fir Se, Riyasate Gai Hai Rutba Nahi,
Rob Aur Khof Aaj Bhi Wahi Hain…!!
Tere Hi Naam Se Jana Jata Hai,
Na Jane Ye “Shohrat Hai Ya “Badnami”,
Bure Hai Ham Tabhi Jee Rahe Hai,
Achhe Hote To Duniya Jite Hi Nahi…!!
Tum Jindagi Me Aa To Gye Ho Magar Khyal Rakhna;
Ham “Jaan” De Dete Hai Magar “Jaane” Nahi Dete…!!
Is Baat Se Laga Lena Meri Shohrat Ka Andaj,
Wo Mujhe Salam Karte Hain, Jinhe Tu Salam Karta Hain…!!
Wo Manjil Hi Badnasib Thi Jo Hame Pa Na Saki,
Warna Jit Ki Kya Oukat Jo Hame Thukra De…!!
Kisi Ki Kya Majal Jo Hame Kharid Sakta Hamko,
Wo To Ham Hi Bik Gye Khriddar Dekh Kar…!!
Jaha Se Teri Baadhshahi Khatm Hoti Hain,
Waha Se Meri Navabi Suru Hoti Hain…!!
Peda To Me Bhi Sarif Hua Tha,
Par Sharafat Se Apni Kabhi Nahi Bani…!!
Banda Khud Ki Najar Me Sahi Hona Chahiye,
Duniya To Bhagwan Se Bhi Dukhi Hain…!!
Mere Bare Me Itna Mat Sochna,
Dil Me Ata Hoon, Smajh Me Nahi…!!
Wo Khud Par Garur Karte Hain,
To Isme Hairan Ki Koi Bat Nahi,
Jinhe Ham Chahte Hain,
Wo Aam Ho Hi Nahi Sakte…!!
Wo Taras Jaegi Pyar Ki Ek Bund Ke Liye,
Main To Baadal Hoon Kisi Aur Pe Baras Jauga…!!
Meri Himmat Ko Parakhne Ki Gustakhi Na Kar,
Pahle Bhi Kai Tufaano Ka Rookh Mod Chuka Hoon…!!
Auro Ki Jamin Sirf Jamin Hain Aur,
Hamari Jamin Ek Gardish…!!
Hamare Ke Ishare Pe,
Hawae Bhi Apna Rookh Badal Deti Hain,
Mere Tinke Bikhere Jo,
Jahan Me Kiski Hasti Hain…!!
Halat Ne Tod Diya Hame Kachhe Dhage Ki Tarah,
Vanra Hamare Vade Bhi Kabhi Janjir Hua Karte The…!!
Kabhi Fulo Ki Tarah Mat Jina,
Jis Din Khiloge, Tut Kar Bikhar Jaoge,
Jina Hain To Patthar Ki Tarah Jio,
Jis Din Tarashe Gye, “Khuda” Ban Jaoge…!!
“Jamane Ne Aahir Ke Asul To Badal Diye”,
Par “Khun Aur Dadagiri Aaj Bhi Wo Hi Hain”…!!
Tum Khush-Kishmat Ho Jo Ham Tumko Chahte Hain,
Varna, Ham To Wo Hain Jinko Khvabo Me Bhi Log Ijajat Lekar Aate Hain…!!
Duniyadari Ki Chadar Odhi Hain,
Par Jis Din Dimag Satka Na,
Itihaas To Itihaas, Bhugol Bhi Badal Dege…!!
Mahsus Jab Hua Ki Sara Shahar,
Mujhse Jalne Laga Hain,
Tab Smajh Aa Gaya Ki Apna Naam Bhi,
Chalne Laga Hain…!!
Shouk Se Badal Jao Tum Magar,
Ye Jahan Main Rakhna, Ki,
Ham Jo Badal Gye To Tum Karwate,
Badalte Rah Jaoge…!!
Sirf Tere Ishk Ki Gulami Me Hu Aaj Bhi,
Warna Ye Dil Ek Arse Tak Navab Raha Hain…!!
Tu Muhabbat Se Koi Chal To Chal,
Haar Jane Ka Housla Hain Mujh Me…!!
Hamari Shaksiyat Ka Andaj,
Tum Kya Lagaoge Galib,
Ke Ham To Kabragaho Se Bhi Gujrate Hain,
To Murde Uth Kar Kahte Hain, “Bhai Salam”…!!
Sidhiya Unhe Mubarak Ho,
Jinhe Chat Tak Jana Hain,
Meri Manjil To Asman Hain,
Rasta Mujhe Khud Banana Hain…!!
Laharo Ko Shant Dekh Kar Ye Na Samajhna Ki,
Samandar Me Ravani Nahi Hain,
Jab Bhi Unthenge Tufan Ban Ke Unthege,
Abhi Unthne Ki Thani Nahi Hai…!!
Hamari Takat Ka Andaja Amare Jor Se,
Nahi…Dushman Ke Shor Se Pata Chalta Hai…!!
Meri Takdeer Ko Badal Denge Meri Buland Erade,
Meri Kismat Nahi Mohtaj Meri Hatho Ki Lakiro Ki…!!
Ab Saja De Hi Chuke Ho To Mera Hal Na Puchna,
Agar Main Begunah Nikla To Tumhe Afsos Bahut Hoga…!!
Ham Bhi Dariya Hain,
Hame Apna Hunar Malum Hain,
Jis Taraf Bhi Chal Padende,
Rasta Ho Jaega…!!
Us Din Bhi Kaha Tha,
Aur Aak Fir Sun Le,
Sirf Umar Bhi Choti Hain,
Lekin Salam To, Saari Duniya Thokti Hain…!!
Aksar Wahi Log Uthate Hain Suraj Par,
Ungaliya, Ek Junoon Tak Ko Chune Ki Jin Ki Auoukat, Nahi Hoti…!!
Main Tere Nasib Ki Barish Nahi Jo Tuj Pe Baras Jau,
Tujhe Takdeer Badal Ni Hogi Mujhe Paane Ke Liye…!!
Meri shohrat ka andaja,
isi bat se laga lena,
jinhe tum salam karte ho,
wo mujhe salam kara hain…!!
Har kisi ko main khush rak saku,
wo salika mujhe nahi ata,
jo main nahi hoon, wo dikhne ka,
tarika mujhe nahi ata…!!
Wo log bhi chalte hain ajkal tevar badalkar,
jinhe hamne hi sikhaya tha chalna sambhal kar…!!
Meri aakho ke jadu se abhi tum kaha wakif ho,
ham use bhi jina sikha dete hain jise marne ka souk ho…!!
Us din bhi kaha tha aur aaj fir kahte hain…sirf umar hi choti hain,
lekin jajba to duniya ko mutthi me karne ka rakhte hain…!!
Taaj ki fikar to badhshah ko hoti hain,
ham to aahir hai,
aahir apmni riyasat khud lekar chalte hain…!!
Aahmano se kah do ki hamari udan dekhni hain,
to apna kad aur uncha kar le,
husn wale se kah do ki agar ishk,
dekhna ho to hamse aake mile…!!
Har kisi ke hath me bik jane ko taiyar nahi hain ye,
mera dil hian, tere shahar ka akhbar nahi…!!
Tujhe to hamari mohabbat ne mashhur kar,
diya bewafa,
varna tu surkhiyo me rahe. teri itni oukat nahi…!!
Hume pasand nahi jang me bhi chalaki, yaro,
jise nishane pe rakhte hain, bata ke rakhte hain…!!
Mahange Kapde Aapke Badan Ko To Dhak Sakte Hai,
Laekin Aapki Sasti Soch Chhipa Nahi Sakte…!!
Saajishe Laakho Banti Hai Meri Hasti Ko Mitaane Ki,
Bas Duaae Meri Maa Ki Unhe Mukammal Hone Nahi Deti…!!
Aa Gaya Hu Teri Mehfil Mein Is Khayal Se,
Kahi Pachhta Na Rahe Ho Mehfil Se Nikal Ke…!!
Mujhe Unchaaiyo Par Dekh Kar Hairaan Hai Bahot Log,
Par Kisi Ne Mere Pero Ke Chhale Nahi Dekhe…!!
Aag Lagana Meri Fitrat Mein Nahi,
Meri Saadgi Se Log Jale To Mera Kya Kusoor…!!