parwaah mat karo….imran haath hila kar bola….tumne bohath furthi dikhayi hai….
aur
mujhe mahez ittefakh se maalum ho gaya….
fir
usne safdar ko bataya ke pichli raat uspar kiss
tarah humla hua….
aur
kiss tarah usne ek gaadi par kabza kiya….gaadi ki number plate ki chaan-been karne ke silsile mein use ek aurat ka naam….
aur
pata maalum hua….ittefakh se wo aurat wahi nikli jiss ke silsile mein safdaar maalumaat haasil karne nikla tha….!
gaadi uski hai….imran bola….
aur
wo jiss ki maine pitaayi ki wo driver
tha….filhaal usne apni zubaan khattai bandh
rakhi hai….specialist ka khayal hai ke wo ab bhi
hosh mein nahi hai….guddhi par zara zor se haath padh gaya tha….!
mere paas bhi ek gaadi ka number hai….safdar
murda si awaaz mein bola….
fir
usne jeb se note book nikaali….
aur
safaahath (pages) palat’ta raha….yeh wahi gaadi hai….jo mard ne club mein talab ki thi….iska
number note ki jiye….
shayad
isse mard ki shakshiyath par roshni padh sake….!
pad par likh do….imran ne mez ki taraf ishaara
kiya
safdar ne number likhe….
aur
fir….naashte ki mez ke khareeb aa baitha….!
lo ek cup coffee hi sahi….imran cup uski taraf
sarkata hua bola
shukriya….do-teen ghoont lene ke baad bola….koi sar-pair bhi hai is case ka….?
abhi to sirf x-2 ki dhoom se saabkha
hai….mardood ne meri ghair maujoodgi mein shaadi
karli….
varna
aisa sehra likhta ke kasrath aulaad se tang aa kar jungle ki raah leta….!
baata udhaane ki koshish na ki jiye….
aye mere lakhte-jigar….abhi apna bhi yahi haal hai ke andhere mein ghote maar rahe hai….ab is
number ka haal bhi khula jata hai….usne phone
par black-zero ke number dial kiye….
aur
dusri taraf se jawaab milne par kaha….yeh ek
gaadi ka number hai….likho….number likhwa dene
ke baad bola….maalum karo ke kiss ke naam par register hai….haa jaldi hi hai….reciever rakh kar safdar ki taraf mudha….!
sadia rani ka geographia….? safdar ne sawaal
kiya
kya tum nahi jaante us imaarath ki zyadatar khawateen madamme hi kahe laati hai….!
oh….
unchi cheezein hai….imran sar hila kar bola achanak phone ki ghanti baji….
aur
imran ne receiver utha liya….oh jee haa….main hi
hu….salaam alaikum….jee haa aap so rahe
the….bohath khaas baat hai….main aap se office
mein milna chahta hu….11 baje….bohath behtar….thik 11 baje pahunch jaunga….!
receiver rakh kar imran ne coffee ki dusri
piyaali bhari….
aur
sulaiman ko awaaz di….!
farmaiye….sulaiman kamre mein aa kar bola
dopahar ke khane mein kya hai….?
aqiqe ka ghost….
abay….kahan se haath laga….?
barabar walon ke bachche ka….!
haddiyan hi haddiyan bhijwai hongi….imran ne
mayoosi se kaha
botiyaan bhi thi….wo maine billiyon ko khilaa di….
dimaagh to nahi chal gaya….
ab aap aise gaye guzre bhi nahi ke botiyaan khud
khaye….
aur
haddiyan billi ke aage daal de….!
thik kehta hai….imran ne udaas lahje mein kaha….
baherhaal
dopahar ka khana tumhare hi saath rahega….!
haddiyon ka soup bana lu….? sulaiman ne chahek
kar pucha….
shayad
taqathwar bhi hota hai….!
dafaa ho jao….imran haath hila kar bola
sulaiman bura sa muh bana kar rukhsath ho gaya….
ab aap ka kya programme hai….? imran ne safdar
se pucha
raat bhar ka jagaa hu….
agar
ijazath hoto yahin padha rahu….!
main samajh gaya….imran baayin (left) aankh daba kar bola….haddiyon ka soup pina chahte ho….!
dopahar ka khana aap mere saath continental mein khaiyega….!
dhamki hai ya dawath….?
dawath janab….aap ko dhamki de kar kahan rahunga….!
sir sultan uske intezar mein the….jaise hi usne apne aane ki ittela bhijawi fauri office mein bulwa liya….
aap bin bataye wahan se aa gaye….imran ne pucha maujooda haalaat mein wahan veeraane mein padhe rehna munaseeb nahi samjha….!
main bhi yahi chahta tha….
lekin
aap se kahe nahi saka….waise main yahan
pahunchte hi do aadmiyon ki duty lagayi thi….!
haa….to fir….tumne wo saamaan kaise bhijwaya
tha….? sir sultan ne hans kar pucha
khanam nasreen ko….?
nahi….sir sultan uchal padhe
oh….to kya aap ko bhi dhoka hua hai….? kya wo aisi sazaa ki haqdar nahi thi….?
akhlaakhi (naitik) nukta nazar se yaqeenan
thi….sir sultan murda si awaaz mein bole
bas to fir….use bhool jaiye….abhi bohathon par
meri nazar hai….
khair….baherhaal….
main isliye haazir hua hu ke zara x-2 ki file nikalwaiye….!
t.s.s….sir sultan ne ahista se kaha….
aur
fir….besakhta chaunk padhe….imran ko ghaur se
dekha….
aur
unke maathe par saloote ubhar ayi….
fir
unhone apni mez ki daraaz se imran ka cassette player nikaala….
aur
use apne piche aane ka ishaara karte hue sound
proof kamre daakhil ho gaye….darwaaza ehtiyaat (dhyaan) se bandh kar ke cassette player ka
switch on kar diya….
aur
begum x-2 ki awaaz sunne lage….!
guftgu khatm hone par swicth off kar ke bole….na
tum x-2 ki file talab karte….
aur
na mujhe yaad padhta….wo file top secrete
section ke redord room se ayegi….wahan ek ladki do saal pahle record keeper ki assistant
thi….yeh usi ki awaaz ho sakti hai….
shayad
miss tamoti kahe laati thi….usne kharaabi saheth
(health-problem) ki bina par isteefa diya tha….
lekin
meri maalumaat ke mutabikh wo pichle 6 maah se ek videshi embassy mein kaam kar rahi hai….!
imran ne samajh jane wale andaaz mein sar ko
hilaya….ladki hona bhi kitni achi baat hai….usne
kaha
kya matlab….?
aap ko na sirf uski awaaz yaad hai….
balki
naam bhi nahi bhoole….yeh bhi jaante hai ke pichle 6 maah se ek embassy mein kaam kar rahi hai….!
bakwaas karoge to thappad maar dunga….gadhe
kahin ke….sir sultan jhenp kar bole
khair….khair….mujhe bhi kuch yaad aa gaya hai….usi file mein apna yeh remark bhi dekhunga
ke ek aurat bhi x-2 ki asliyath se waqif hai….
lekin
x-2 us par is hadh tak bharosa karta hai ke uska
naam aur pata likh kar rakhna zaroori nahi
samajhta….tab to baat saaf ho gayi….main khud
record room mein jaa kar file nikaalunga….
aur
dekhunga uski bhi zaroorat nahi….yahan x-2 ka bakhaida mat failaye….!
jaisi tumhari marzi….
aap is maamle se bilkul betaalookh ho jaye….
lekin
hoshiyaar rahiyega….
kyun ki
aap bhi jaante hai ke x-2 kaun hai….!
isliye to gaaun se chala aya hu….
sir sultan ne us embassy ke taalookh ek chota
note likh kar imran ke hawaale kiya….
aur
imran wahan se rukhsath ho gaya…..!
ek public phone booth se black-zero se contact kiya….
gaadi kisi prince dawood ke naam se register hai….pata 104 inter-continental….dusri taraf se awaaz ayi….!
to wo wahin rehta hai….?
jee haa….aur dusri ittela….khanam nasreen ke
kamre mein paye jane wale kuch finger-prints us
aadmi ke ungliyon ke nashaanat se mil gaye hai….jiss ki laash hume burrito road wali imaarath mein dekhi thi….!
imaarath kiss ki milkiyath hai….?
nadar chandula ki….khaalon ka tijarat (vyapaar)
hai….
lekin
uske bayaan ke mutabikh imaarath arse se khaali padhi rahi hai….wo us laash ki shinaakht bhi nahi kar saka….!
fayaz ke mahekme ki kaarvaaiyon se aagha rahne ki koshish karna….!
bohath behtar janab….
silsila cut kar ke imran booth se bahar aya….ab uska rookh hotel inter continental ki taraf
tha….
aur
readymade make-up naak par chipka chuka tha….!
continental ke khareeb pahunch kar usne gaadi
roki….
aur
gaadi se ek camera….
aur
flash gun nikaal kar imaarath ki taraf chal padha….!
ek bajne wala tha….hotel ke booth se ghar ke
number dial kiye….dusri taraf se sulaiman ki awaaz sun kar bola….safdar sahab ko jagaa kar unhe phone par bhejdo….!
aap kab aa rahe hai….? maine matar kar soup tayyaar kar liya hai….!
khud pi jao….tumhare saath lunch na kar
sakunga….safdar ko bhejo….
fir
wo intezar karta raha….safdar ki awaaz sun kar bola….main continental mein maujood hu lunch karna chahte hoto aa jao….!