/**
* Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection.
* However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use.
*/
meena ne ek ek karke sabko samaja diya ki kya hua tha
neeta ne meena ka sath diya
neeta ka sath milte pooja aur neha bhi dhire dhire samaj gayi ki kya hua tha
komal ke vajahase neha ye maanne ko tayyar ho gayi ki ye sab sach hai
pitaji uske sath bat nahi karenge
neha ke liye ye sabse bada zatka tha
neha pitaji ke bahot karib thi
neha ne to jine ki umid hi chhod di thi
par komal ke liye neha ne is sach ko apna liya
neha ne accept kar liya is sach ko
is me neeta ne neeta ki madat ki
par neha ke dil aur dimag me kya chal raha tha ye sirf use pata tha
jab bhi neha khud ko sambhalti hai to BHAGVAN ko ye dekh kar acha nahi lagta aur phir se kuch na kuch kar ke neha ko rula deta hai
neha ne bhi maan liya tha ki usi kismat hi aisi hai
lekin neha ko suresh komal kavita ke rup me thodi khushh abi bhi mil rahi thi
neeta abhi tak neha ke sath sath chal rahi thi
neeta ka hi sahara tha neha ko jis se wo kitne bhi bade zatke ko bardast kar leti hai
ager neeta na hoti to neha kab ki haar jati is ladai me
zindagi ek jung hai usko ladte rahna padta hai yahi neeta neha ki batati thi
neha ke sath BHAGVAN ne bahot bura kiya phir bhi neha ne BHAGVAN ko shukariya kaha ki uske pitaji uske sath hai
wo aise bhi apne pitaji ke sath rah lengi par usko apne pitaji se dur mat karna
neha ki halat ki kohi kalpana bhi nahi kar sakta
neha ki ghod me komal apna sar rakh kar so rahi thi
aur neha ke hanto me pitaji ki hant tha
neha ne ek pal ke liye bhi pitaji ko khud ki najaro se dur nahi kiya
neha- kya hua pitaji ke sath
meena- main tume sab kuch batati hu , tum baito
neha- batav kya hua pitaji ko , kis vajse ye sab hua
meena- us din pitaji achanak sote huye jaag gaye , aur bina kisi ko bataye ghar se bahar chale gaye
neeta- meena aur suman ko laga ki thakurji ke pass gaye honge
meena- par 2 3 ganto bad thakurji khud pitaji ko puchte huye ghar aa gaye
neeta- thakurji ke aate , suman ko pitaji ki fikar hone lagi ki wo kaha gaye honge
meena- thakurji ne apne aadmiyo ko pitaji ko dhundne ke liye laga diya
neeta- ek aadmi ne pitaji ko shahar3 ke bus me baithte huye dekha
meena- pitaji shahar3 ja rahe the , shayad wo shalini bhabhi aur jaysingh bhaisaab ke ghar ja rahe honge
neeta- aur Avi ko thik karne ka rasta dhundna chah rahe honge ,
meena- sach bat kya thi wo kisi ki pata nahi hai
neeta- pitaji shahar3 gaye ye ye pata chalte suman ne thakurji aur meena ko unko lane ke liye bhej diya
meena- main aur thakuji shahar3 gaye , par vaha jate hamnne jo dekho wo dekh kar shocked ho gaye
neeta- pitaji chhat par the
meena- jaise ham chhat par gaye vaise pitaji kisi bat se pareshan dikh rahe the , aur isi bich pitaji ko heart attack aa gaya
neeta- meena aur thakurji pitaji ke pass jate us se pahale
neha- us se pahale kya ?
meena- pitaji chhat se niche gir gaye , aur niche nukile kaate (nail) the jis ke vajhase pitaji ko aur jyada chot lag gayi
neeta- meena aur thakurji ne samay rahate pitaji ko hospital me le aaye ,
meena- thakuji be ache docter ko bula kar pitaji ki jaan bacha li , ager ek minute bhi der hoti to
neha- kuch nahi hota pitaji ko , pitaji mujhe chhod kar kahi nahi jayenge
meena- ye karishama hi hai ,ya kahu tumara pyar jo pitaji bach gaye , varna doctor bol rahe the ki pitaji ka bachna mushkil tha
neha- pitaji chhat par kya kar rahe the
meeena- mujhe nahi pata , main ne aas pass ki jaga dekhi aur mujhe kuch bhi nahi mila , shayad wo shalini bhabhi aur jaysingh bhaisaab ko yaad kar rahe honge
neha- mujhe pata hai ye sab kyu hua aur kiske vajhase hua hai , aur iske liye main use kabhi maf nahi karungi
meena- ye kya bol rahi ho tum ?
neha- meena tune pitaji ko bacha kar mere upar ahsan kiya hai , apni jaan dekar bhi ye ahsan nahi chuka sakti