/** * Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection. * However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use. */

चमत्कारी

Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: Fri Mar 31, 2017 2:31 pm

Re: चमत्कारी

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 110​

Vishwamitra—tumhara kalyan ho vats….ab jao aur azgar se yuddh ki taiyari karo….aur rajnandini ko apne sath me jarur rakhna…azgar ko qaid karne me uski shakti ki jarurat padegi tumhe.

Uske pashchat main vaha se apne gaon ki taraf nikal chala jaha azgar ne kohram macha rakha tha…rajnandini bhi mere sath aa gayi…lekin yaha par sonalika ne badi galti kar di, vo bhi mere piche piche pari lok se bina kisi ko bataye nikal aayi.

Ab aage….

Usko hamare gaon ka pata malum nahi tha isliye vo bhatakte huye kapali ke thikane par ja pahuchi…jaha kapali ne usko paka liya…iski suchna turant kilwish tak pahucha di usne….kilwish fatafat uske paas pahuch gaya aur vaha sonalika ko dekh kar behad khush hua.

Jabki sonalika darr se jor jor se mujhe chillane lagi….main abhi gaon pahuchne hi wala tha ki mere dimag me turant sonalika ki cheekhe goonjne lagi.

Main turant rajnandini ke sath hi vaha se palat kar sonalika ke paas pahuch gaya jaha vo dust uske sath jabardasti karne ki koshish me laga hua tha…ye dekh kar mera kroadh satve aas maan par pahuch gaya…mujhe vaha dekh kar kapali mere upar apni tantrik mayavi shaktiyo ka prahar karne lag gaya…lekin uski koi bhi shakti mere samne adhik der tak nahi tik pa rahi thi…jab usko laga ki ab vo mere hatho mara jayega to mayavi vidhya se adrishya ho kar vaha se bhag gaya.

Uske bhagte hi kilwish ke numaende mujhe maarne ke liye daude lekin maine aag ki shakti se unki turant hi jal kar khak me mila diya aur phir ja kar kilwish ko uski gardan se pakad ke sonalika se door khich liya….sonalika roti huyi mere sine se lag gayi…apni hawsh ki poorti ek bar phir se poori hote na dekh kilwish tilmila gaya aur mere upar pattharo ki barish karne laga…inme se kuch ek patthar sonalika aur rajnandini ko bhi lage jisse vo ghayal ho gayi…

Ye dekh kar maine turant tez hawa ka prayog kar ke uske dwara meri taraf phenke ja rahe pattharo ka marg badal diya aur vo uske kuch bache huye pishacho ka hi kaam tamam karne lage….apne sabhi vaar vifal hote dekh kilwish ne apni maya se vaha andhera kar diya aur phir mere upar prahar karne laga.

Andhere me bhi main uski aahat ke adhar par uske har vaar ka samuchit jawab dene laga lekin phir bhi iss maya ke samne main kamjor padta ja raha tha…iska fayda utha kar usne dusri disha me vaar karne laga jisse ki main bhi aahat ka picha karte huye udhar hi vaar karne me dhyan lagau aur vo apna maksad poora kar sake…

Aur hua bhi kuch aisa hi…maine aahat hone ki disha me apni shaktiyo ka prayog karne laga…iss mouke ka fayda utha kar vo adrisha ho ke mere piche aa gaya aur pith me talwar ghused di jisse main dard me jor se cheekh kar niche gir gaya….mere niche girte hi vo sonalika ko pakad ke vaha se ghasit kar le jane laga…jisse sonalika bhi cheekh uthi.

Sonalika (cheekhte huye)—adirishiiiiiiiiiiii…..bachaaaaaoooooo

Pahle meri aur phir sonalika ke cheekhne ki awaz sun kar rajnandini ghabra uthi aur andhere me mujhe tatolte huye mere paas aa pahuchi…usko jaise hi meri halat ka ehsaas hua to uski ankho me dard aur gusse ka toofan umad aaya, ankhe ekdam lal angaare ki tarah damak uthi.

Agle hi pal gusse se uske kesh hawa me lahra uthe aur unka akaar tezi se badhne laga….uske inn kesho ne kilwish ko sir se pair tak apne bahupash me jakad liya aur ek jhatke se khinch kar usko mere paas patak diya.

Kilwish ne apne apko uss bandhan se chhudane ki bahut koshish ki lekin uska koi prayas kamyab nahi hua….jab vo khud ko nahi chhuda paya to rajnandini ko maarne ke liye usne mann hi mann kuch budbudane laga….isse pahle ki vo kuch kar pata rajnandini ne meri pith se talwar bahar khich kar uske sine me jor se ghusa kar aar paar kar di.

Kilwish dard se cheekhne laga lekin mara nahi….pith se talwar nikal jane se mera ghaav tezi se bharne laga aur kuch hi der me main uth khada hua aur maine uss divya talwar ko yaad kiya….agle hi kshan bhagwab shiv shankar ka vardan vo divya talwar mere hatho me apni chamak bikherne lagi….jise maine ek hi jhatke me kilwish ke sine me jad tak ghused diya jaha rajnandini ki talwar ghusi huyi thi theek uske bagal me hi.

Shiv shakti ke iss dohre prahar ( rajnandini ki talwar mata mahakali ki shakti ki den aur meri prabhu shiv ki) Kilwish dard se tadapne laga aur cheekhte, chillate aur tadapte huye hi phir shant ho gaya….maine vahi uski kabra khod kar ek taboot me band kar ke ussi jagah dafna diya aur upar se ek suraksha kawach se band kar diya.

Kilwish ke khatam hote hi uska maya janit andhera bhi samapt ho gaya…Main ab vaha se sonalika aur rajnandini ko lekar phir se gaon aa gaya jaha azgar ke vo khunkhar sainik aurto ke sath pashvik atyachar kar rahe the….maine turant aag ki shakti ka prayog kar ke unhe bhasm karne laga…unme se kuch sainik bhag kar azgar ke paas pahuch gaye.

Rajnandini apni maa se milne ghar chali gayi udhar Azgar ke sainiko neuske paas pahuch kar usko sara haal kah sunaya….sath me ek ghayal pisach ne aa kar usko kilwish ki mrityu ka samachar diya.

Azgar kilwish ki mout ki khabar sunte hi gusse se pagal ho utha aur turant apne sabhi nar pishacho ke sath uss gaon me aa dhamka jaha hum log the.

Aate hi usne maar kaat machani shuru kar di…sab bhagte chillate rajnandini ke ghar ke bahar jama ho kar mujhse madad ki guhar karne lage.

Maine jaise hi azgar aur uske sainiko ko vaha logo par julm karte dekha to mera gussa bhadak gaya….main unko ek ek kar ke yamlok pahuchane laga….dusri taraf ka morcha rajnandini ne sambhal liya halanki vo iss samay ladne ki halat me nahi thi kyon ki uske garbh ka akhiri waqt chal raha tha….lekin main ye janta tha ki uske garbh ko gurudev ne sankarsan kriya ke madhyam se kisi anya ke garbh me surakshit kar diya hai aur uss stri ke garbh ki santan ab rajnandini ki kokh me hai.

Azgar (gusse me)—tune kilwish ko maar kar apni mout ko dawat di hai..shayad tujhe pata nahi ki Azgar kewal fufkar nahi marta balki vo apne shikar ko poora nigal jata hai….rajnandini sirf meri hai

Adirishi—aaj tere paapo ka ghada bhar chuka hai dust..apne anzam ke liye taiyar ho ja ab.

Azgar ne mere upar aag phenki chalu ki lekin maine usko pani se bujha diya….usne pani ka upyog kiya to maine usko hawa se uda diya…..usne mere upar badi badi chattano ki barish ki to unko maine bijli ki shakti se visfot kar diya beech me hi.

Maine uske upar burf ka prayog kiya to usne apni aag ki shakti se usko pani bana diya….maine bijli se usko kabu me karna chaha to usne bhi apni shaitani bijli se usko madhya me hi rok diya….

Phir vo adrishya ho kar vaar karne laga..kabhi idhar se to kabhi udhar se to kabhi charo taraf se ek sath…jisse sab gaon wale ghayal hone lag gaye….ye dekh kar maine apni anguthi ki shakti se adrishya ho gaya aur to uska vaar bhi kuch samay ke liye ruk gaya aur vo samne pratyaksh aa gaya.

Mujhe vaha na dekh kar usne samjha ki main usse darr kar bhag gaya hu ya phir rajnandini ke ghar ke andar ja chhipa hu…to vo ab rajnandini ki taraf apni gandi niyat se badhne laga…iss avsar ka labh utha kar maine phir se uss divya talwar ko yaad kiya aur uske hath me aate hi maine sidhe uske samne prakat ho gaya…

Mujhe iss tarah se achanak apne samne dekh vo chounk gaya…vo kuch karta ki uske pahle hi maine uss divya talwar ko uske sine me aar paar kar diya jisse uska pahla kawach toot gaya.

Uska kawach todte hi mere sine me asahniya dard hone laga aur main jor se chillate huye vahi dhadam se gir gaya… mere chillane ki awaz se rajnandini ka dhyan meri taraf khich gaya aur vo mujhe niche pade dard me tadapta hua dekh kar rote huye daud padi.

Rajnandini jaise hi mere paas pahuchi azgar ne uske pet me jor se laat maar di…vo vahi niche gir ke tadapne lagi..ye dekh kar maine kisi tarah se khada hua aur jaldi se apni talwar uske sine se nikal ke uski gardan katna chaha vaise hi usne apni talwar mere pet me ghusa di.

Rajnandini (cheekhte huye)—rishiiiiiiiiiiii

Sonalika—adiiiiiiiiiii

Mere hatho se talwar chhut kar kaha giri mujhe pata nahi lekin main vahi gir gaya….usne agla vaar meri gardan par karne hi vala tha ki beech me yakayak sonalika beech me aa gayi aur ek hi jhatke me uski gardan alag ho gayi.

Ye dekh kar rajnandini ki ankhe rote rote achanak tamtama uthi….azgar phir se meri gardan par vaar karne hi wala tha ki tabhi rajnandini ne apne kesho me use lapet liya aur uske sath hi uske vo kesh usko hawa me utha kar tezi lahrane lage aur phir unhone azgar ko kahi door, bahut door kisi anjane grah me phenk diya.

Meri ankhe band hone lagi thi aur sab kuch dhundhla padne laga tha…saanse bhi thamne si lagi thi….mere muh se bas ek hi shabd nikal raha tha vo bhi badi mushkil se..aur vo shabd tha rajnandini…….rajnandini jamin par hi sarakte huye mere paas aayi aur mere sir ko chumne lagi lipat ke rote huye.

Adirishi—r..a…..j..nandinii

Rajnandini (rote huye)—nahiii…rishii…tumhe kuch nahi hoga….main tumhe kuch nahi hone dungi….hey maa mere rishi ko bacha lo..

Adirishi—aa…..r.o…m.a.t….m.a.i.n……v.a.pis…..ja.rur…..aun.ga…..ek..din…….ye….mera….va.da…raha…raj..nan…dini mera …intazar…karn..a..

Rajnandini (rote huye)—nahii..tum kahi nahi jaoge…..main tumhe kahi nahi jane dungi….samjhe na tum….rishii.. rishi… (chehre ko hilate huye) tum kuch bolte kyo nahi..rishii…… (jor se) rishiiiiiiiiiiiiiiiii…..nahiiiiii….

Aur phir rajnandini jor jor se dahad maar kar rote huye behosh ho gayi ….tabhi achanak mera sharir vaha se adrishya ho gaya…..behoshi ki halat me hi rajnandini ne ek mare huye bachche ko janam diya….sab jagah mere marne ki khabar se shok vyapt ho gaya….

Ashtavakra ne apne ek shisya ko parilok ka rajguru bana kar vaha se chale gaye….mere sabhi dost bhi pari lok chhod kar apne gaon aa gaye….kisi ko ye tak nahi pata tha ki rajnandini jinda bhi hai athva nahi…kewal gaon walo ko chhod kar..kyon ki uske baad rajnandini uss gaon se kahi gayi hi nahi….uske rishi ki pratham aur antim milan ki yaadgar thi vo jagah…usne rishi ki yaado ko hi apna ashiyana bana liya aur uske aane ka intara karti rahi sadiyo tak.

FLASHBACK ENDS
User avatar
naik
Gold Member
Posts: 5023
Joined: Mon Dec 04, 2017 11:03 pm

Re: चमत्कारी

Post by naik »

fantastic update brother

superb very nice
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: Fri Mar 31, 2017 2:31 pm

Re: चमत्कारी

Post by Fan of RSS »

UPDATE—111 ​

Adirishi aur Rajnandini ki prem kahani sunte sunte sabhi ki ankho se aviral jal dhara pravahit hone lagi thi…sadiyo purani iss prem gatha ki samapti ke baad bhi kisi ko kuch josh nahi tha…sabhi chetna shunya ho kar jadwat achetan ki avastha me stabdh ho gaye the…aisa lag raha tha jaise ki unko kisi ne apni sammohan vidhya se sammohit kar liya ho.

Sabhi gahre sadme jaisi halat me the…kisi ne bhi kabhi kalpana tak nahi ki thi ki koi kisi ko itna bhi pyar kar sakta hai….kisi ka sadiyo intazar kar sakta hai…urmila, megha, anand, shree to adii ka sach jaan kar chounk hi gaye the vahi saroj aur deepa ka bhi yahi haal tha…

Anand, urmila, megha, ajeet, agni, saroj, deepa, sabhi dost, khatra, chitra, margret yaha tak ki uss tote murugan tak ki ankhe ashru poorit ho chuki thi….kintu shree ki ankho ka rang kuch alag hi tha…na to unme anshu the aur na hi koi bhav samajh me aa raha tha…na jane kya tha uski ankho me..shayad uski inn ankho me aane wale samay me kisi bhayanak aandhi ki neev pad chuki thi.

Dusri taraf adii aur rajnandini apne aap me hi ek dusre ki baho me lipte khoye huye the…inn sab baato se poori tarah se bekhabar ki unko kayi ankhe dekh bhi rahi hain…vo dono to bas ek dusre ki ankho hi ankho me baate karte huye apne apne gile shikwe mitane me vyast the….bina sawan ke hi unki ankhe varsha ritu ki tarah bah rahi thi.. jaise kah rahi ho ki…

Rok Kar Baithe Hain, Kayi Samandar Ankho Mein…
Dagabaaz Ho Sawan To Kya…..
Hum Khud Hi Baras Lenge….

Rajnandini (anshu bahate huye mann me)—tumne mujhe kitna intazar karwaya rishi…sab kahte the ki tum ab kabhi nahi aaoge, lekin main to bas tumhare akhiri shabdo par vishwash kar ke jiye ja rahi thi…kaise maine ye samay bitaya hai tumhare bina…tum nahi jante….

Chaha Tha Muqammal Ho, Mere Gum Ki Kahani
Main Likh Na Saki Kuch Bhi, Tere Naam Se Aage.

Adii (mann me)—mujhe to khud hi hosh nahi tha ki meri zindagi kaha hai…? Main to ab tak mrig trishna me bhatak raha tha….main khud ko hamesha adhura mahsoos karta tha kintu uss adhurepan ki vajah nahi janta tha…bas kisi anjani manzil ki talash me dar dar bhatakta raha…na to kisi ka hua aur na hi kisi ko apne dil ke karib aane diya…aaj tumhe dekhte hi mera vo adhurapan khatam ho gaya….meri uss anjan manzil ki talash bhi tum tak pahuchte hi samapt ho gayi….rishi sirf tumhara tha aur tumhara hi rahega nandini…

Dono ek bar phir se ek ho gaye aur ek dusre ko chumne lage….baki sab kisi mook darshak ki bhanti bina palak jhapkaye dono ki iss prem leela ko dekhne ka anand uthate rahe.

Shree dusri taraf muh kar ke khadi thi, pata nahi vo kya soch me doobi huyi thi…akhir kar iss khamoshi ko toda murugan ne….uski awaz se sabhi chounk kar iss khamoshi bhare vatavaran se bahar nikal aaye.

Murugan (dukhi awaz me)—kitni door door ke do premiyo ko tune mila diya bhagwan….mujhe bhi meri bahan se kyo nahi mila deta…? Na jane kaisi hogi vo…? Mere baad uska kya hua hoga….? Meri vinti bhi sun le bhagwan..sun le

Sab chounk kar udhar dekhne lage ki ye koun bol raha hai….lekin jab unhone ek tote ko admi ki tarah baat karte huye dekha to chakit rah gaye.

Murugan (rote huye)—tum sab mujhe aise mat dekho…adii tum hi meri madad kar do..meri bahan se mila do mujhe…tumhe tumhare pyar ka vasta..meri madad kar do.

Uske iss karun krandan ki pukar ne adii aur rajnandini ke dil tak bhi dastak de gayi aur dono apni yaado ke jharokho se bahar nikal aaye…jab dono ne apne samne sab logo ko khade dekha aur khud ko ek dusre ki baho me lipte hone ka ehsaas hua to dono behad sharminda ho kar alag ho gaye.

Adii—mummy….ye rajnandini…..

Urmila (beech me hi)—kuch bolne ki jarurat nahi hai beta…..main sab sun chuki hu…ye to meri bahu hai..nahi bahu nahi balki meri beti hai….aa ja beti…mere gale lag ja..

Rajnandini ne apne sir par pallu dal ke turant uth kar urmila ke pair chhuye...urmila ne usko utha kar apne gale se laga liya.

Rajnandini—main kshama chahti hu maa ji...mujhe pata hi nahi chala ki aap kab yaha aa gayi.

Urmila—achcha hua ki tumhe pata nahi chala warna mujhe pata kaise chalta ki iss sansar me koi mere adii ko itna chahne wali bhi hai....tu ro mat beti...ye aisa hi hai, mujhe bhi aise hi rone ke liye chhod kar chala jata hai...ye pagal ye bhi nahi sochta ki uske bina uski ye budhi maa kaise jee payegi.

Adii—mummy...mujhe bhi gale lagao na

Urmila—nahi... tu mujhe rulata bahut hai...ab to main apni beti ko hi gale lagaungi.

Adii—theek hai to main apni dusri maa ke gale lag jata hu.

Adii (megha ke paas ja kar)—maa

Adii ke muh se maa shabd sunte hi megha ki rulayi phut padi….uske muh se iss ek shabd ko sunne ke liye, na jane uski pyasi mamta kab se tadap aur taras rahi thi….aur kab vo apne bete ko sine se laga kar apna kaleje ko shant karegi…aaj vo shabd jab usne suna to khud ki bhavnao par kabu nahi rakh saki…..ek maa ki ankhe bagawat kar baithi….shayad isliye hi maa ko dharti se bhari kaha gaya hai….usne jaldi se adii ko apne sine se chipka liya aur rote huye uske poore chehre ko chumne lagi.

Megha (rote huye)—bete…mere lal…..tu kaha chala gaya tha…tu nahi janta ki main kaise tere bin jee rahi thi.

Adii—mat ro maa...main sab jaan chuka hu maa....ab se aap ka ye beta apni maa ke paas hi rahega .

Rajnandini ne bhi megha ke pair chhuye to usko bhi usne gale se laga kar bahut pyar kiya...aaj dono maa ki ankhe itni khushi bardast hi nahi kar pa rahe the, unse aviral ganga jamuna ki jal dhara nirantar bahe ja rahi thi...adi aur rajnandini ne anand aur ajeet ka ashirwad liya.

Adii ko dekh kar margret aur agni bhi uske sine se lagne ke liye vyakul thi magar kuch kah nahi pa rahi thi...margret aur shree to lag bhi jati uske gale kintu rajnandini ke samne khud ko bahut asahaj mahsoos kar rahi thi....unhe rajnandini ke pyar ke samne apna pyar behad chota nazar aane laga tha...jabki agni ke mann me aisa kuch bhi nahi tha...unn dono ke milan se vo khush thi...uske bare me to sab jaan hi chuke the.

Adii—maa, ye agni hai...ye bhi apki bahu hai...mujhe maaf kar dena agni, main tumhara apradhi hu...main tumhe vo haq nahi de paya jiski tum haqdar thi.

Megha—hame sab pata chal chuka hai beta...agni ne hame sab bata diya hai.

Agni (adii ke pair chhu kar)—aap aisa kabhi mat sochiyega....mujhe kabhi aap se koi shikayat nahi thi...aapne mujhe swikar kar liya, yahi mere liye bahut badi khushi ki baat hai.

Baad me agni ne rajnandini ke bhi pair chhuye...rajnandini ne usko apni choti bahan ki tarah samman diya...urmila ne bhi agni ko sine se lagaya....adi ne margret ka parichay bhi rajnandini se karaya to rajnandini ne khushi se usko accept kar liya....sab khush the milne me hi..magar tabhi...

‘’Vo ladki kaha hai jisko sankarsan ke jariye kisi dusre garbh me sthapit kiya gaya tha... ?’’ sabse piche dusri taraf muh kiye khadi shree ne kaha...shayad iss sawal ki vajah se vo kafi tension me lag rahi thi...
User avatar
naik
Gold Member
Posts: 5023
Joined: Mon Dec 04, 2017 11:03 pm

Re: चमत्कारी

Post by naik »

(#%j&((7) (^^^-1$i7) 😌

very nice update brother

keep writing keep rocking
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: Fri Mar 31, 2017 2:31 pm

Re: चमत्कारी

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 112

Baad me agni ne rajnandini ke bhi pair chhuye...rajnandini ne usko apni choti bahan ki tarah samman diya...urmila ne bhi agni ko sine se lagaya....adi ne margret ka parichay bhi rajnandini se karaya to rajnandini ne khushi se usko accept kar liya....sab khush the milne me hi..magar tabhi...

‘’Vo ladki kaha hai jisko sankarsan ke jariye kisi dusre garbh me sthapit kiya gaya tha... ?’’ sabse piche dusri taraf muh kiye khadi shree ne kaha...shayad iss sawal ki vajah se vo kafi tension me lag rahi thi...

Ab aage....

Abhi tak rajnandini ne shree ko nahi dekha tha, sirf uska naam suna tha....shree ke iss sawal ne sab ke dil me koutuhal paida kar di thi..shayad vo bhi iss uttar janna chahte the...rajnandini ko iss baare me koi jankari nahi thi isliye uske mann me aisa koi bhav nahi tha.

Rajnandini—koun ladki... ? ye koun hai aur kis ladki ki baat kar rahi hai.... ?

Adii—hamari beti ki...

Rajnandini (shocked)—kyaaaa... ? lekin meri aulad to mere garbh me hi khatam ho gayi thi uss dust ne usko mere pet me hi maar diya tha…phir ye kaise sambhav hai…?

Adii—hamari beti jinda hai rajnandini…gurudev ye jante the ki vo dust usko maarne ki avashya koshish karega isliye unhone sankarsan ke madhyam se tumhare garbh ko kisi anya aurat ke garbh se sthanantarit kar diya tha.

Rajnandini (shocked)—kyaaaaaa….? (rote huye)…Itni badi baat aur tumne mujhe kabhi nahi batayi..akhir kyo.. rishi tumne ye baat kyo nahi batayi mujhe…? Main aaj tak iss dukh se dukhi rahi ki main tumhari akhiri nishani ki bhi hifazat nahi kar saki…jab dusro ke bachcho ko khelta dekhti to mujhe barbas hi apne bachche ki yaad aa jati aur main ek kone me muh chhupa ke rone lagti….mere bhagya ki ajeeb vidambana to dekho ki meri beti jinda hai aur main use mari huyi samajh kar aaj tak roti rahi…kyo kiya tumne mere sath aisa rishi..kyo…?

Adii—Jisse kisi ko koi shaq na ho…agar tumhe ye baat malum hoti to tum khud ko usse milne se rok nahi pati aur isse azgar ko shaq ho jata…sari yojna par pani phir jata agar azgar uss ladki ko koi nuksan pahucha deta to..isliye iss baat ko sabhi se gupt rakhne ka gurudev ne nirnay liya.

Rajnandini (rote huye)—kaha hai meri beti…? Mujhe apni beti se milna hai…batao rishi…meri beti kaha hai..? mujhe uske paas le chalo..

Adii (mann me)—tum abhi poora satya nahi janti rajnandini…kya tum apni hi beti ko apni soutan bante huye dekh sakogi…? Kya tum apne pati ko bistar me apni hi beti ke sath baant sakogi….? Ye kadwe tathya ko swikar kar pana itna asaan nahi hai rajnandini….aur iss samay tum isse jyada satya sunne aur samajhne ki halat me nahi ho…mujhe isme gurudev ki hi madad leni padegi samay aane par.

Rajnandini (rote huye)—bolo rishi…chup kyo ho…? Bhagwan ke liye kuch to bolo, rishi…

Adii—Vo ladki aur koi nahi balki khud…… Shree hi hai…..tumhare samne khadi ladki shree hi tumhari beti hai, rajnandini….aur meri to beti ke sath sath bahan bhi hai.

Sab (shocked)—kyaaaaa…..?

Shree ko jis baat ki ashanka ne gher rakha tha, akhir uski vahi ashanka satya ka roop le kar uske samne khadi ho gayi…uske hriday me ek aseem dard tuhne laga aur phir badhte badhte ye dard jab apni sarhad paar kar gaya to shree ki ankho se jhar jhar karte huye anshuo ka roop le kar bahne laga….jinko ki usne badi der se rok kar rakha tha kintu baadh aane par pani ke bahav ko apni disha tay karne se bhala koi baandh rok sakta hai kya…?

Rajnandini (shocked)—kyaa ye meri meti hai….shree meri beti hai….?

Adii—hmmmm

Rajnandini—shreee…betiii

Adii ke mukh se ye sunte hi rajnandini bhag kar shree ko pakad ke apni taraf ghuma liya aur dekhte hi chounk gayi shree bilkul rajnandini ki xerox copy thi…shree bhi behad khubsurat thi bilkul apni maa rajnandini ki hi tarah..haan agar kuch fark tha to ye tha ki rajnandini ke chehre par ek tez tha jo uske soundarya ko char chand laga raha tha warna iss fark ke bina inn dono ko ek sath dekh kar kisi ke liye bhi ye batana behad jatil baat thi ki inme se shree koun hai aur rajnandini koun….?

Shree ke chehre ko dekhte hi rajnandini ke dil se shanka ke saare badal chhat gaye…uske anshuo se tar batar chehre ko dekh kar uske dil me bhi dard umadne laga to usne jaldi se shree ko apni bahupash me jakad liya.. shree bhi apni maa ke sine se lipat gayi aur jor jor se rone lagi.

Megha (nam ankhe)—ye kaisa sanyog hai...kaisa chamatkar hai ye... ? maine to kabhi socha bhi nahi tha ki kabhi aisa din bhi dekhne ko mil sakta hai…?

Urmila (nam ankhe)—sach much ye kisi bhi chamatkar se kam nahi hai..ek ladki kisi ki bahan bhi hai aur uski beti bhi..(mann me)—aur kal ko hone wali uski biwi bhi....teen rishte ek hi ladki ke , ek hi ladke ke sath hona chamatkar hi to hai.

Anand—lekin beta ye sab hoga kaise... ? mera matlab hai ki yaha to aisa ho pana sambhav nahi hai.

Adii—hum pari lok vapis jayenge..ye kaam vahi par sambhav ho sakega.

Ajeet—to yaha ke business ka kya hoga…?

Adii—hum beech beech me yaha aate rahenge…jisse azgar ka confusion bhi barkarar rahega aur vo yaha se vaha talashte ghumta phirega.

Murugan (udasi se)—adirishiii….

Adii—matlab ki tum bhi admi ki bhasa bolte ho….?

Murugan (shocked)—tum bhi ka kya matlab hai…kya koi aur bhi meri tarah aisi bhasa bolta hai…?

Adii—bata dunga…par pahle tum apne vishay me mujhe sab kuch vistar se batao…tabhi janne ke baad main tumhari koi madad kar paunga..

Murugan—mera naam murugan hai..main garud lok me apni bahan maina ke sath rahta tha…hum dono ko bahut sari bhasa bolne ka gyan tha…mujhe adhik unchayi me udne ka bahut shouk bhi tha aur ghamand bhi….ek bar main aur maina dono udte udte garud lok se bahut door nikal aaye…maina ke mana karne ke bavjud bhi main ahankarvash aur unchayi par chala gaya…mere iss ahankar ke parinam swaroop surya ki tez kirno ke prabhav se mere pankh jal gaye aur main aas maan se gir kar iss dharti lok me pahuch gaya…achcha hua ki main ek khalihan me rakhi fasal ke dher par gira tha isliye jinda bach gaya…main bina pankh ke ud to sakta nahi tha to ek shikari ne mujhe pakad kar shahar me ek vaishya ko bech diya…..vaha rahte huye dhire dhire meri juban bhi gandi ho gayi.. jab mere pankh phir se nikal aaye to main ek din vaha se bhag nikla lekin yaha bhi ek shikari ke bichhaye jaal me phans gaya aur usse mujhe iss aurat ne kharid liya….bas yahi meri kahani hai….na jane meri bahan kaisi hogi.. kaha hogi vo…?

Adii—hmmm…tumhari bahan sakushal hai aur vo bhi tumhare liye utni hi vyakul aur adhir hai jitna ki tum usse milne ke liye utavle ho.

Murugan (khushi se)—kyaaaa sach me…? Meri bahan jivit hai aur sakushal bhi…? Kya tum usse mil chuke ho... ? (phir ankho se neer bahate huye)...batao na meri bahan kaha hai... ? main tumhara ehsaan kabhi nahi bhulunga.

Adii—yahi hai tumhari bahan mere paas me....

Murugan (shocked)—kyaaa....yahi hai…? Lekin vo to mujhe kahi dikhayi nahi de rahi hai..aisa kyo…?

Adii—kyon ki maine usko apni shakti se adrishya kar rakha hai…lo abhi usko tumhare samne le aata hu…

Aur phir mere ankhe band karne ke kuch pal baad hi vaha maina sab ki nazro ke samne aa gayi…jise dekh kar sab chounk gaye …sabse jyada to murugan aur maina hi chounke ek dusre ko dekh kar.

Murugan (chilla kar)—mainaaa….meri bahannnn…

Maina—murugann…bhaiyaaaaaa

Dono tezi se ud kar ek dusre ke paas pahuch kar apni chonch lada lada kar apne gile shikwe door karne lage… jabki dusri taraf rajnandini aur shree apne aap me hi khoyi huyi thi…main uske baad apne sabhi dosto se gale mila..sab pyar se mile…maine unki bhi shikayte door ki…last me chitra ko bhi gale lagaya…vo kafi der se asha bhari nazro se meri taraf nihar rahi thi.

Poora din aise hi milne milane me vyatit ho gaya…murugan aur maina ne bhi hamare sath hi rahne ka faisla kiya.. shree ke dil me pichhli ghatnao ka dukh to tha lekin uske mann me ek khushi bhi thi ki ab vo ek din jarur apne pyar, apne adii ki biwi banegi.

Main bhi aaj behad khush tha ki kayi varsho ke baad aaj rajnandini ke sath sone ko milega…uski komal baho ke ghere me uske madak jism ka sparsh aaj phir se mujhe milega….raat hote hi main iss khushi me jhumte huye apne kamre me ghus gaya…jaha pahle se hi koi leti huyi thi…main bhi khushi se uchhal kar uske upar kood gaya.

Return to “Hindi ( हिन्दी )”