Zindagi ke rang--8
gataank se aage..................
Mona:"Me ghar ke pas jo park hai wahaan tumhara intezaar karoungi. Please Ali jaldi aana."
Ali:"Me bas 2 minute me pohanch raha hoon." Ye usne keh to diya par koyi uraan katola to pas tha nahi, wahaan pohanchne me koyi 15 minute to lag hi gaye. Ab tak Mona apne aap pe thoda bahut kaboo bhi kar chuki thi. Wo park ke bench pe apne suitcase ke sath baithi hui thi. Usse aise ghumzada baithe dekh kar Ali ko bahut dukh hua. Jis ladki ke sapne wo din raat dekhta tha aur jis ke liye wo kuch bhi kar sakta tha usse aise bhala kese wo dekh sakta tha?
Ali:"Mona sab theak to hai na aur tum aise suitcase ke sath yahaan kyun baithi ho?" Usse dekh kar ek baar phir jaise Mamta ki kahi sab batain Mona ko yaad aa gayi aur ek baar phir aankhoun se aanso behne lage. Ali forun uske pas baith gaya aur uske aanso saaf karne laga.
Ali:"Mona please mat ro. Sab kuch theak ho jayega. Me hoon na?"
Mona:"Kya theak hoga ab? Mee wo ghar chod diya hai."
Ali:"Kyun kya hua?"
Mona:"Kyun ke unhe me badchalan lagti hoon aur kehte hain ke tumhare sath apna munh kala kar wa rahi hoon." Ali ye sun ke ghuse se pagal ho gaya.
Ali:"Chalo mere sath dekhta hoon kis ki jurat hui tumhe ye kehne ki?" Wo ye keh kar uthne laga lekin Mona ne hath pakad ke bitha liya.
Mona:"Nahi Ali pehle hi bahut tamasha ho gaya hai. Vaise bhi wo to kab se mujhe ghar se nikalne ka mouka dekh rahi thi. Ab to me bhi wahaan jana nahi chahati."
Ali:"Theak hai phir chalo mere sath. Mere ghar chalo sab theak ho jayega."
Mona:"Pagal ho gaye ho kya? Kis rishte se sath chaloun? Kya har dost ko utha ke ghar le jate ho?"
Ali:"Par hum sirf dost hi to nahi. Isse barh ke bhi to ek rishta hai hum me."
Mona:"Kya aur kaisa rishta?" Dono ek duje ki aanhoun me kho chuke the aur saama tha ke bas tham sa gaya tha.
Ali:"Pyar ka rishta."
Mona:"Pagal ho gaye ho kya? Kis rishte se sath chaloun? Kya har dost ko utha ke ghar le jate ho?"
Ali:"Par hum sirf dost hi to nahi. Isse barh ke bhi to ek rishta hai hum me."
Mona:"Kya aur kaisa rishta?"
Ali:"Pyar ka rishta." Ye baat bina souche samjhe us kemunh se nikli thi. Youn keh lain ke dil me jo aarmaan pehli baar hi Mona ko dekh kar paida ho gaye tha aaj laboun pe aa hi gaye. Ye sun kar chand lamhoun ke liye Mona chup rahi. Pehli baar kisi ne youn igraar-e-mouhabat ki thi. In khamoush lamhoun me jo mouhabat ke paak ahesaas ko wo dono mehsoos kar rahe the aur jo wade aankhoun hi aankhoun me kiye ja rahe the wo bhala shabdoun me kahaan kahe ja sakte the? Aakhir Mona ne hi is khamoushi ko toda dheere se ye keh kar ke
Mona:"Pagal ho gaye ho kya?"
Ali:"Such poucho to wo to tumhe pehli baar hi dekh kar ho gaya tha. Phir bhi agar kisi ko pagloun ki tarha chahana aur ushi ke khayaloun me khoye rehna aur chahe din ho yaan raat ushi ke sapne dekhna pgalpan hai to haan me pagal ho gaya hoon."
Mona:"Tum ne aaj tak to aisa nahi kaha phir aaj ye sab kese?"
Ali:"Bhala itna aasaan hai ye kya? Tum souch bhi nahi sakti ke kitni hi baar kehne ko dil kiya par tumhe kho dene ka dar itna tha ke apne aarmanoun ko dil hi dil me marta raha aur ummeed karta raha us din ki jab tumhe apna dil dikha sakoun jis ki har dhakan me tum hi basi hui ho." Wo ye sab sun kar ek baar phir park ke bench par baith gayi. Ek ajab ahesaas tha ye. Kisi ko aisa kehte suna ke wo aap ko itna chahate hain. Sath hi sath abhi tak wo Mamta ke diye ghaou bhool bhi na oayi thi ke Ali ne itni badi baat is mouke pe keh di.
Mona:"To kya ye sahi mouka hai? Tum jante ho na ke abhi kuch hi der pehle mere sath kya hua hai? Aur ab ye sab? Mujhe samjh nahi aa rahi ke kya kahoun?"
Ali:"Me to aaj bhi na keh pata lekin dil ki baat pe aaj kabu na rakh saka jab tum ne hamre bech kya rishta hai pouch liya. me janta hoon tum pe kya beet rahi hai Mona aur is hi liye tumhara hath thamna chahata hoon. Ho sake to mera aetbaar kar lo. Wada karta hoon ke zindagi ke kisi bhi mour par tumhe thoukar nahi khane donga."
Mona:"Ye sab itna aasaan nahi hai jitna tum samjh rahe ho. Is pyaar mouhabat se bahir bhi ek duniya basti hai jis duniya me me ek garib teachcher ki wo beti hoon jo kal ko apne boudhe mata pita aur apni behan ke liye bhi kuch karna chahati hai. Aaj ye haal hai ke mere pe hi koyi chat nahi to apni zimedariyaan kese nibha paoungi? Aur aise me is pyaar mouhabat ke liye kahaan jaga hai? Ali tum bahut achche ladke ho. Kounsi aisi ladki hogi jo tumhare jaisa jevan sathi nahi pana chahegi? Par me wo ladki nahi jise tumhare paiwaar wale tumhare liye pasand karenge. Zara farak to dekho hum dono ke pariwaroun me. Kyun aisa koyi rishta shuru karna chahate ho jis ka anjaam bas dukh dard pe hi khatam ho?"
Ali:"Pyaar koyi karobaar to nahi jis ka nafa nuksaan souch kar kiya jaye. Ye to dil me janam lene wala ek aisa ahesaas hai jo lakhoun croroun ke bech me bas ek chere ko man me basa leta hai. Bhool jaao hum dono ke darmiyaan ke farak ko. Bas ye dekho ke tumhare samne jo khada hai wo bhi tumhari tarha ek insaan hai jis ke seene me tumhare liye hi dil dhadakta hai. Kya tumhare dil me bhi mere liye pyaar hai? Kya tum bhi mujhe us dewangi se hi chati ho jaise me tumhe chahata hoon?" Ek baar phir dono ke beech me khamosi a gayi. Dimaag tha ke keh raha tha Mona na chal aise raste par jis ki manzil koyi nahi aur dil tha ke keh raha tha ke jis safar me hamsafar hi sath na ho uski manzil pe pohanch jane ka bhi kya faida?
Mona:"Me bhi tumhe bahut chahati hoon." Dil aur dimaag ki is jang me aakhir kameyabi dilki hi hui. Mona ne sharma kar apni palkyain jhuka li aur uske khoubsurat gaal sharmahat ki waja se lal ho rahe the. Ali ka dil to khusi se pagal ho raha tha ye sun kar. Usne bade pyaar se Mona ka hath thaam liya.
Ali:"Tum souch bhi nahi sakti Mona ke aaj tum ne mujhe kitni badi khushi di hai. Me wada karta hoon ke tumhe kabhi tanha nahi chouronga."
Mona:"Mujhe tumhara aur tumhari mohabat ka aetabaar hai par Ali me apni zimedariyoun pe munh naho moor sakti."
Ali:"Aare keh koun raha hai tumhe? Tumhare mata pita kya mere mata pita nahi? Me wada karta hoon ke tumhara sahara banounga aur tum hari sab zimedariyaan aaj se meri hain. Hum mil ke in sab ko nibhayenge." Uski baat sun kar Mona ki aankhoun se do aanso chalak gaye. Par ye aanso khushi ke the. Ali ne bade pyaar se uske chaehre se aanso pouch diye.
Ali:"Aare pagli ab rona kaisa? Ab to hum apne jevan ka aghaaz karenge. Jitna rona tha ro chuki, ab tumhari aankhoun me aanso nahi aane chahiyain." Ye sun kar Mona kar chehra khil utha. Bhagwaan ke ghar der hai par andhear nahi. Wo souch rahi thi ke wo kitni khushnaseeb hai ke itna pyaar karne wala hum safar mil gaya hai usse.
Ali:"Aare kahaan kho gayi? Chalo ab kya yahin baithe rehna hai? Ghar chakte hain."Ye keh kar usne Mona ke hath se uska suitcase pakra aur garhi me rakhne laga. Thodi hi der me dono Ali ke ghar ki janib garhi me baith kar jane lage. Kya un donoun ke naye jeavan ki ye shuruwaat thi?
Thodi der baad dono Ali ko ghar pohanch gaye. Uske pita Aslam sahaab dukaan pe the aur aam toor pe to bade bhai Imraan bhi utne baje kaam pe hote the par us din tabiyaat kuch kharaab hone ki waja se ghar pe ruk gaye the. Drawing room me Mona ko baitha kar Ali uske liye cold drink lene chala gaya. Ushi duraan Imraan miyaan bhi unki awaaz sun kar kamre se nikal aaye. Jo dekha to ek ladki apne suitcase ke sath drawing room me baithi hui thi. Dukaan daroun ki yadashat bahut paki hoti hai. Ek nazar me hi pehchaan gaye ke ye woi ladki hai jo Ali ke sath unki dukaan pe aayi thi. Wo duniyadaar banda tha aur ek nazar me hi bhanap gaya ke majra kya hai?.....
Imraan ne ek nazar me hi pehchaan liya ke ye woi ladki hai jo Ali ke sath unki dukaan pe aayi thi. Wo duniyadaar banda tha aur ek nazar me hi bhanap gaya ke majra kya hai? Mona ne jab Imraan ko wahaan khade usse ghorte dekha to thoda ghabra gayi. Us din dukaan pe Ali ne bataya tha ke ye uske bade bhai hain is liye ye to usse pata tha ke wo koun hain?
Mona:"Namaste" Usne dheere se unhe dekh kar kaha. Imraan bagir koyi jawaab diye seedha rasoyi ki taraf chalne lage. Jab wahaan gaye to dekha ke unki dharam patni pakore tal rahi thi aur Ali glasoun me cold drinks daal raha tha. Ek to pehle hi se tabiyat kharab thi upar se Mona ko aise dekh kar usse najane kyun ghusa bhi char gaya tha.
Imraan:"Me pouch sakta hoon ke ye kya ho raha hai?" Us ne ghuse se poucha to uski dharam patni ne usse shanat karane ki koshish ki.
Aisha:"Kya kar rahe hain aap? Ghar me mehmaan aayi hai kuch to khayaal ki jiye."
Imraan:"Bin bulaye mehmaanoun se kese peesh aate hain mujhe bakhobi pata hai. Tum beech me mat bolo."
Ali:"Bhai dheere boliye. Ye fazoul ka tamasha karne ki kya zarorat hai?"
Imraan:"Me tamasha kar raha hoon? Ye ladki jisse tum uske boriye bistre ke sath ghar le aaye ho wo kya koyi kum tamasha hai?"
kramashah....................