/** * Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection. * However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use. */

चमत्कारी

Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: Fri Mar 31, 2017 2:31 pm

Re: चमत्कारी

Post by Fan of RSS »

UPDATE-88

Akaal ko aise hamle ki katayi ummid nahi thi...vo dard se tadapte huye niche jamin chatne laga...apne bhai akaal ko aise dard me bilakhte dekh kar bakaal gusse se apna aapa kho baitha aur usne turant rajnandini ke upar aag ke gole barsane chalu kar diye.

Rajnandini daye baye ho kar uske aag ke golo se khud ko bachati rahi...apna har vaar nishphal jate dekh bakaal aur bhi gussa ho gaya.

Vo apni maya rachne laga lekin vo poori tarah se isme kamyab ho pata uske pahle hi rajnandini ne furti dikhate huye uchhal kar uske seene me laat aur ghoonso ki barsat kar di sath hi uske main point me bhi ek laat jama di.

Bakaal bhi apne bhai ki tarah jamin me lot kar dard se tadapne laga...sahi mouka samajh kar rajnandini ne sona ko utha kar vaha se gayab ho gayi. Aur sidhe pari lok ki seema me pahuch gayi...abhi usne apna pahla kadam pari lok me rakha hi tha ki tabhi achanak......

Ab Aage......

Pari lok ki seema me pair rakhte hi poore pari lok me vyapt anant andhakar achanak door ho gaya….poore lok me har jagah par roshni hi roshni phail gayi.

Mahal me baithe maharaj aur maharani ke sath gurudev bhi chounk kar apni jagah se khade ho gaye...har kisi ke mann me hairani aur kayi prakar ki shanka ke bhaav umad aaye.

Maharaj—gurudev...ye prakash kaisa hai.... ? kya hamare lok ke bure din samapt ho gaye hain.... ?

Gurudev—abhi kuch bhi kahna sambhav nahi hai….main khud bhi hairan ho gaya hu iss roshni ko dekh kar.

Idhar rajnandini sonalika ko apne kandhe ka sahara dete huye kisi tarah mahal tak pahuch gayi....sabhi sainik rajkumari sonalika ko kisi ke sath dekh kar usko giraftar karne ke uddeshya se aage badhe kintu jaise hi unki nazar rajnandini par padi to sabhi ke pair vahi jam gaye aur chehro par ghor hairani chha gayi.

Idhar maharaj aur maharani ke paas ek sainik bhagta hua gaya aur unhe rajkumari ke aane ki suchna di...kintu maharaj aur maharani uss sainik ki poori baat sune bina hi adhuri baat sun kar mahal se bahar ki taraf bhage.. unko aise bhagte dekh guru ji bhi unke piche ho liye.

Maharaj aur maharani jaise hi mahal ke bahar aaye to unhe bhi behad hairani huyi ye dekh kar ki sabhi sainik jamin par ghutno ke bal sir jhuka kar baithe huye hain.

Vo abhi unko kuch kahne hi ja rahe the ki tabhi samne se aati huyi apni putri sonalika ko dekh kar chounk gaye unke sath guru ji bhi hairan rah gaye...ashcharya se unki ankhe khuli ki khuli rah gayi...unhe apni ankho par vishwash hi nahi ho raha tha ki vo jo kuch dekh rahi hain vo satya hai.

Sabhi hairan aur ashcharya chakit sonalika ko dekh kar nahi balki uske sath rajnandini ko dekh kar ho rahe the.... gurudev aur baki sab ke muh se apne aap hi nikal gaya.

"Maharaniiii.....Rajnandiniiiiii"

Rajnandini ke paas me aate hi maharaj aur maharani ke sath sath gurudev bhi ghutno par baith gaye aur rajnandini ko dono hath jod kar pranam kiya.

Maharaj—pranam maharani

Gurudev—mera bhi pranam swikar kare maharani rajnandini.

Rajnandini—aap mujhe pranam kar ke apne pad ki garima ka apman mat kijiye raj guru.....aap khade ho jaiye...aur maharaj aur maharani aap bhi uthiye aur apni putri ko sambhaliye.

Maharani—ji maharani

Maharaj—mahal me padhariye maharani.

Mahal ke andar pravesh karte hi rajnandini ke upar phoolo ki varsha hone lagi....aisa lagne laga jaise varsho se mritpray pari lok punah punar jivit ho utha ho.

Mahal ke andar rajnandini aise chal rahi thi jaise ki yaha ki har cheez, har kaksh se bhali bhanti parichit ho...aise hi chalte huye uske kadam ek jagah pahuch kar ruk gaye.

Ye raj sabha thi jaha ki ek deewar par adirishi ki vishal tasveer shobhayman ho rahi thi....uss tasveer ke paas pahuchte hi rajnandini ne adirishi ke pairo me apna sir tika diya aur uski ankho se ashru dhara pravahit hone lagi.

Dusri taraf swarg lok me munish ab adii ko bilkul bhi akela nahi chhod raha tha....har samay uske sath rahta thaek din uske kisi mitra ke yaha par koi utsav ka karya kram tha to vo apne sath adii ko bhi le gaya.....halanki adii ke jehan me uss samay rishi ki yaade thi.

Karya kram ke douran unn dev putro ki nazar rishi par pad gayi jinhe adii ne mara tha aur vo bhi iss utsav me bhag lene aaye huye the.

1st dev putra—mitra vo dekho...vo manav yaha bhi aa gaya.

2nd dev putra—achcha hua...aaj sahi mouka hai....apne uss apman ka badla lene ka...chalo usko aisa sabak aaj sikhayenge ki vo phir kabhi kisi dev putra se ulajhna to door dev lok ki taraf ayega bhi nahi.

1st dev putra—tum sahi kahte ho...chalo sab.

Sabhi jo ki lagbhag 10 se 15 log the apne sath kuch dev sena lekar rishi ke bahar nikalne ka intazar karne lage… jab kafi der tak rishi bahar nahi aaya to unhone apne ek sathi ko andar kisi bahane se usko bahar bulane ke liye bhej diya.

Dev putra—suniye…aap se milne ke liye dharti lok se koi apka mitra aaya hua hai…bahar apki pratiksha kar raha hai.

Rishi—mera mitra…? Aur dharti lok se…? lekin dharti lok me to mera koi mitra hai hi nahi…aur main to dharti lok me rahta bhi nahi, phir koun aa gaya dharti lok se mujh se milne…?

Dev lok—pata nahi…aap ek bar usse mil to lijiye….bechara itni door se aaya hai.

Rishi—hmmm…theek hai chalo…dekhte hain…par pahle main apne dost munish ko to bata du nahi to vo bevajah pareshan hoga.

Dev putra (jhuth)—maine unko bata diya hai….unhone hi mujhe apke paas batane ko bheja hai.

Rishi—theek hai chalo.

Rishi uske sath bahar aa gaya…vo rishi ki uss jagah le gaya jaha sabhi badi besabri se uska intazar kar rahe the… rishi ko aate huye dekh kar unn sabhi ke chehre par kutil mushkan phail gayi.

Rishi—koun aaya hai mujhse milne….? Yaha to dharti lok ka koi bhi nahi dikh raha hai.

1st dev putra—pahle hamse to mil lo.

2nd dev putra—uss din bada uchhal raha tha na…aaj dikha apni bahaduri.

3rd dev putra—sab mil kar maro isko….isko pata chalna chahiye ki devtao se bhidne ka ky anzam hota hai.

4th dev putra—tune ham par hath utha kar bahut badi galti ki hai…..aaj tujhe bachane koi nahi ayega.

Rishi—dekhiye…pahli baat to main apko janta tak nahi…to hath uthane ka to prashna hi paida nahi hota… jarur hi aap logo ko koi vaham hua hoga.

1st dev putra—vaham….dekha sathiyo…..ab maar khane ke darr se ye hame jhutha kah raha hai…kahta hai ki hame janta tak nahi.

2nd dev putra—abhi jaan jayega….chalo sab mil kar maro isko….abhi yaad aa jayega sab kuch.

3rd dev putra—vaise teri jankari ke liye bata de ki hamne hi tujhe bahar bulaya hai…teri marammat karne ke liye…. Ab tujhe maar maar ke adh mara kar ke yahi se dharti lok me phenk denge.

Rishi—aap logo ne iska matlab jhuth bol kar mujhe yaha bulaya hai jabki main haqiqat me aap logo ko aaj pahli bar dekh raha hu.

4th dev putra—kitna bada jhootha hai ye….maro isko sab.

Sab rishi ke upar koi na koi hathiyar le kar toot pade….rishi unhe bar bar samjhane ka prayas karta raha lekin vo kuch sunne ko taiyyar hi nahi the.

Sab ke sab mil kar rishi ke upar laat ghoonso ki barsat karne lage…..rishi bar bar khud ko bachane aur samjhane ki koshish karta raha…tabhi kisi ne uske sir par piche se kisi bhari bharkam cheez se prahar kar diya jisse vo lahu luhan ho kar niche gir pada aur behosh ho gaya.

1st dev putra—ab jakar meri atma ko shanti mili hai….sahi pitayi huyi hai iski.

2nd dev putra—kaho to jaan se hi maar dete hain.

3rd dev putra—mera bhi yahi khyal hai.

4th dev putra—theek hai maar do…jo hoga dekha jayega baad me.

Sabhi apni apni talwar lekar rishi ki taraf badhne lage…..udhar rishi ke behosh hote hi uske andar adii ki yaad dast jivant ho uthi.
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: Fri Mar 31, 2017 2:31 pm

Re: चमत्कारी

Post by Fan of RSS »

अपडेट—89

सभी देव पुत्रो ने धोखे से ऋषि के सिर पर वार कर दिया जिससे ऋषि बेहोश हो गया….ऋषि के बेहोश होते ही उसके जिस्म मे आदी की चेतना जागृत हो गयी…और सभी घाव अपने आप तेज़ी से भरने लगे.

1स्‍ट देव पुत्र—अब जा कर हमारे हृदय को सुकून मिला है.

2न्ड देव पुत्र—सही कहा दोस्त….उस दिन तो बहुत अकड़ रहा था…आज चूहा बन गया…हाहाहा

3र्ड देव पुत्र—इस चूहे को धरती मे फेंक दो यही से

सभी उसको उठा कर धरती मे फेंकने के लिए जैसे ही उसके पास पहुचे वैसे ही आदी एक झटके मे उठ कर खड़ा हो गया…उसको ऐसे
खड़े होते देख एक तो सभी डर कर थोड़ा पीछे हट गये लेकिन जल्दी ही खुद को संयत कर लिया.

4त देव पुत्र—ओह्ह्ह…ये तो फिर से खड़ा हो गया….और घूरता क्या है बे…..अभी की मार कम पड़ गयी क्या…?

1स्ट देव पुत्र—लगता है कि आज इसका मरण दिन ही आ गया है.

3र्ड देव पुत्र—तो फिर इंतज़ार किस बात का…..मारो फिर से इसको.

सभी एक साथ फिर से हाथो मे तलवार लेकर आदी की तरफ बढ़ने लगे तेज़ी से…जैसे ही एक देव पुत्र ने उसके उपर तलवार से वार किया तो आदी ने बीच मे ही उसकी तलवार को पकड़ लिया और एक लात उसके सीने मे ज़ोर से मार दी.. जिससे वो देव पुत्र दर्द से चिल्लाते हुए
बहुत दूर तक फिसलते हुए जा गिरा.

आदी (ज़ोर से)—मैने उस दिन तुम लोगो को समझाया था ना, कि मुझे बदतमीज़ लोग बिल्कुल भी पसंद नही हैं और दुबारा मैं समझाता नही
हूँ.

2न्ड देव पुत्र—ये तो फिर से अकड़ने लगा.

3र्ड देव पुत्र—मारो सब इसको.

सब के सब एक साथ आदी के उपर टूट पड़े….आदी ने तुरंत अपनी तिलिस्मि तलवार को याद किया तो तलवार रोशनी बिखेरती हुई आदी के हाथो मे आ गयी….अब इन देव पुत्रो को तो इस तलवार की ताक़त का अंदाज़ा था नही….सो सभी भिड़ गये आदी से.

लेकिन अगले ही पल वहाँ उन देव पुत्रो की दर्द भरी चीख पुकार से वहाँ का वातावरण गूँजायमान होने लगा...जो भी आदी के सामने आता, वो
आदी के एक ही वार से घायल हो कर दूर जा गिरता.

अपने साथियो की ऐसी बुरी हालत देख उन देव पुत्रो ने आदी को चारो तरफ से घेर कर उसके उपर घातक जान लेवा प्रहार करने लगे.

मगर आदी बिना डरे उनके घातक प्रहारो को अपनी तलवार से रोक कर उन्हे लहू लुहान करने लगा….किसी को तलवार के वार से तो किसी
को लात और घूँसो के प्रहार से कुछ ही पल मे उन अभिमानी देव पुत्रो के गुरूर को खाक मे मिलाने लग गया.

आदी का ऐसा विकराल रूप देख कर कयि देव पुत्रो के पसीने छूट गये…..उनके साथ जितने भी देव सेना के सैनिक आए थे आदी ने उनको यमलोक पहुचा दिया.

कई देव पुत्र घायल होने के बाद वहाँ से भाग खड़े हुए….उनका लीडर अब भी मैदान मे डटा हुआ था…लेकिन उसका कोई पैंतरा अब आदी के उपर काम नही कर रहा था.

लीडर देव पुत्र (मन मे)—कोई इंसान इतना शक्तिशाली कैसे हो सकता है….? इसने तो मेरे सभी साथियो को पल भर मे ही धूल चटा दी….अगर इसको जल्दी ही नही मारा गया तो ये देव लोक के लिए बड़ा ख़तरा बन सकता है…मुझे अब शक्ति प्रयोग ही करना पड़ेगा…यही एक उपाय शेष है अब.

ये मन मे सोच कर उसने अपनी आँखे बंद कर के एक शक्ति का आह्वहन करने लगा….उसको शक्ति का आह्वहन करते देख आदी उसके
हाव भाव से उस शक्ति का अनुमान लगाने लगा.


Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: Fri Mar 31, 2017 2:31 pm

Re: चमत्कारी

Post by Fan of RSS »

अगले ही पल वहाँ आग बिखेरती हुई एक शक्ति प्रकट हुई जिसको कि उस देव पुत्रा ने उंगली से आदी को ख़तम करने का इशारा कर दिया.

इशारा पाते ही वो शक्ति आदी की तरफ बड़ी तेज़ी से आग की लपटें निकालते हुए बढ़ी…जैसे ही वो आदी के समीप पहुचि तो आदी ने
उसको अपनी तलवार से रोक दिया…धीरे धीरे वो शक्ति आदी की तलवार मे ही समा कर गायब हो गयी.

अपनी शक्ति को निष्फल होते देख वो देव पुत्र क्रोधित हो गया और एक के बाद एक शक्तियो का प्रहार करने लगा लेकिन उसकी कोई भी शक्ति आदी की तलवार के सामने अधिक देर तक नही टिक सकी और तलवार मे ही समा जाती जिससे तलवार की ताक़त और भी बढ़ती चली गयी.

अपना हर वार विफल हो जाने पर वो देव पुत्र बिना सोचे समझे निहत्था ही आदी को क्रोध मे आ कर मारने के लिए दौड़ पड़ा….जैसे ही पास
आया तो आदि ने उसका एक हाथ पकड़ कर उसके हाथ की हड्डी तोड़ दी.

वो दर्द मे ज़ोर ज़ोर से चीखने लगा….आदी अपनी तलवार उठा कर जैसे ही उसके उपर वार करने को उधयत हुआ वैसे ही उसके कानो मे किसी लड़की के हँसने की आवाज़ सुनाई पड़ी तो उसने उस देव पुत्र के पेट मे एक लात मार के उस आवाज़ की दिशा मे चला गया लेकिन जाते जाते..

आदी—दुबारा मुझसे भिड़ने से पहले किसी अच्छे गुरु से युद्ध शिक्षा ले लेना….जा मैने तुझे जीवन दान दिया
.....................................

उधर अंदर कार्य क्रम मे जब मुनीश को आदी कही नज़र नही आया तो वो हर जगह उसको तलाश करने लगा..ऐसे ही उसको खोजते हुए वो उस देव पुत्र के पास तक पहुच गया.

मुनीश (चौंक कर)—अरे आप की ये हालत कैसे हो गयी युवराज…..?

देव पुत्र—ये सब तुम्हारे उस दोस्त के कारण ही हुआ है.

मुनीश (शॉक्ड)—क्याआ….? मेरा दोस्त…‼..कहाँ है वो और क्या किया उसने…?

देव पुत्र—वो तुम्हारी बहन प्रियमबाड़ा के साथ बदतमीज़ी कर रहा था….मैने उसको रोका तो उसने मेरे उपर ही हमला कर दिया और मुझे घायल करने के बाद पता नही तुम्हारी बहन को कहाँ ले गया होगा अब….तुम्हारा दोस्त समझ कर मैने हाथ नही उठाया वरना आज तो उसकी मृत्यु निश्चित थी मेरे हाथो से…..

मुनीश—क्याआआआ…..? वो अब मेरी बहन के पीछे पड़ गया……हे गुरुदेव मैं बर्बाद हो गया….इस आदी ने मेरे पूरे परिवार का कल्याण
कर दिया….किधर गया है वो…आज मैं उसको जिंदा नही छोड़ूँगा…उसने मेरी दोस्ती के नाम पर धोखा दिया है मुझे…..कहाँ मिलेगा वो मुझे….?

देव पुत्र—आआआआ….इस तरफ गया है वो..तुम्हारी बहन को ज़बरदस्ती लेकर

मुनीश—मैं आ रहा हूँ बहन…तुम चिंता मत करो….आज इस हैवान को मैं जीवित नही रहने दूँगा….

मुनीश गुस्से मे आग बाबूला हो कर उस देव पुत्र के अनुसार बताई दिशा की ओर तेज़ी से बढ़ गया.
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

वही धरती पर आनंद के द्वारा सारी सच्चाई जान कर मेघा के दिल मे दर्द अब और भी गहरा हो चुका था… रह रह कर उसके हृदय मे एक टीस सी उठ रही थी.

ख़तरा और चित्रा इस बात को लेकर परेशान थे कि आख़िर श्री की बॉडी गयी कहाँ….लाख सोचने के पश्चात भी उन्हे कुछ भी समझ नही आ रहा था.

श्री के साथ ये दुर्घटना होने से कुछ समय पहले……..
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: Fri Mar 31, 2017 2:31 pm

Re: चमत्कारी

Post by Fan of RSS »

UPDATE—89

Sabhi dev putro ne dhokhe se rishi ke sir par vaar kar diya jisse rishi behosh ho gaya….rishi ke behosh hote hi uske jism me adii ki chetna jagrit ho gayi…aur sabhi ghaav apne aap tezi se bharne lage.

1st dev putra—ab ja kar hamare hriday ko sukoon mila hai.

2nd dev putra—sahi kaha dost….uss din to bahut akad raha tha…aaj chuha ban gaya…hahaha

3rd dev putra—iss chuhe ko dharti me phenk do yahi se

Sabhi usko utha kar dharti me phenkne ke liye jaise hi uske paas pahuche vaise hi adii ek jhatke me uth kar khada ho gaya…usko aise khade hote dekh ek to sabhi darr kar thoda piche hat gaye lekin jaldi hi khud ko sanyat kar liya.

4th dev putra—ohhh…ye to phir se khada ho gaya….aur ghurta kya hai be…..abhi ki maar kam pad gayi kya…?

1st dev putra—lagta hai ki aaj iska maran din hi aa gaya hai.

3rd dev putra—to phir intazar kis baat ka…..maro phir se isko.

Sabhi ek sath phir se hatho me talwar lekar adii ki taraf badhne lage tezi se…jaise hi ek dev putra ne uske upar talwar se vaar kiya to adii ne beech me hi uski talwar ko pakad liya aur ek laat uske seene me jor se maar di.. jisse vo dev putra dard se chillate huye bahut door tak phisalte huye ja gira.

Adii (jor se)—maine uss din tum logo ko samjhaya tha na, ki mujhe badatmeez log bilkul bhi pasand nahi hain aur dubara main samjhata nahi hu.

2nd dev putra—ye to phir se akadne laga.

3rd dev putra—maro sab isko.

Sab ke sab ek sath adii ke upar toot pade….adii ne turant apni tilismi talwar ko yaad kiya to talwar roshni bikherti huyi adii ke hatho me aa gayi….ab in dev putro ko to iss talwar ki taqat ka andaza tha nahi….so sabhi bhid gaye adii se.

Lekin agle hi pal vaha unn dev putro ki dard bhari cheekh pukar se vaha ka vatavaran gunjayman hone laga...jo bhi adii ke samne aata, vo adii ke ek hi vaar se ghayal ho kar door ja girta.

Apne sathiyo ki aisi buri halat dekh unn dev putro ne adii ko charo taraf se gher kar uske upar ghatak jaan leva prahar karne lage.

Magar adii bina dare unke ghatak praharo ko apni talwar se rok kar unhe lahu luhan karne laga….kisi ko talwar ke vaar se to kisi ko laat aur ghoonso ke prahar se kuch hi pal me unn abhimani dev putro ke gurur ko khak me milane lag gaya.

Adii ka aisa vikaral roop dekh kar kayi dev putro ke pasine chhut gaye…..unke sath jitne bhi dev sena ke sainik aaye the adii ne unko yamlok pahucha diya.

Kayi dev putra ghayal hone ke baad vaha se bhag khade huye….unka leader ab bhi maidan me data hua tha…lekin uska koi paintara ab adii ke upar kaam nahi kar raha tha.

Leader dev putra (mann me)—koi insan itna shaktishali kaise ho sakta hai….? Isne to mere sabhi sathiyo ko pal bhar me hi dhool chata di….agar isko jaldi hi nahi mara gaya to ye dev lok ke liye bada khatra ban sakta hai…mujhe ab shakti prayog hi karna padega…yahi ek upay shesh hai ab.

Ye mann me soch kar usne apni ankhe band kar ke ek shakti ka aahvahan karne laga….usko shakti ka aahvahan karte dekh adii uske haav bhav se uss shakti ka anuman lagane laga.

Agle hi pal vaha aag bikherti huyi ek shakti prakat huyi jisko ki uss dev putra ne ungli se adii ko khatam karne ka ishara kar diya.

Ishara pate hi vo shakti adii ki taraf badi tezi se aag ki lapte nikalte huye badhi…jaise hi vo adii ke samip pahuchi to adii ne usko apni talwar se rok diya…dhire dhire vo shakti adii ki talwar me hi sama kar gayab ho gayi.

Apni shakti ko nishphal hote dekh vo dev putra kroadhit ho gaya aur ek ke baad ek shaktiyo ka prahar karne laga lekin uski koi bhi shakti adii ki talwar ke samne adhik der tak nahi tik saki aur talwar me hi sama jati jisse talwar ki taqat aur bhi badhti chali gayi.

Apna har vaar vifal ho jane par vo dev putra bina soche samjhe nihattha hi adii ko kroadh me aa kar maarne ke liye doud pada….jaise hi paas aaya to adi ne uska ek hath pakad kar uski hath ki haddi tod di.

Vo dard me jor jor se cheekhne laga….adii ne apni talwar utha kar jaise hi uske upar vaar karne ko udhyat hua vaise hi uske kano me kisi ladki ke hasne ki awaz sunayi padi to usne uss dev putra ke pet me ek laat maar ke uss awaz ki disha me chala gaya lekin jate jate..

Adii—dubara mujhse bhidne se pahle kisi achche guru se yuddh shiksha le lena….ja maine tujhe jeevan dan diya

Udhar andar karya kram me jab munish ko adii kahi nazar nahi aaya to vo har jagah usko talash karne laga..aise hi usko khojte huye vo uss dev putra ke paas tak pahuch gaya.

Munish (chounk kar)—arey aap ki ye halat kaise ho gayi yuvraj…..?

Dev putra—ye sab tumhare uss dost ke karan hi hua hai.

Munish (shocked)—kyaaaa….? Mera dost…‼..kaha hai vo aur kya kiya usne…?

Dev putra—vo tumhari bahan priyambada ke sath badatmeezi kar raha tha….maine usko roka to usne mere upar hi hamla kar diya aur mujhe ghayal karne ke baad pata nahi tumhari bahan ko kaha le gaya hoga ab….tumhara dost samajh kar maine hath nahi uthaya warna aaj to uski mrityu nishchit thi mere hatho se…..

Munish—kyaaaaaaaa…..? vo ab meri bahan ke piche pad gaya……hey gurudev main barbad ho gaya….iss adii ne mere poore pariwar ka kalyan kar diyaa….kidhar gaya hai vo…aaj main usko jinda nahi chhodunga…usne meri dosti ke naam par dhokha diya hai mujhe…..kaha milega vo mujhe….?

Dev putra—aaaaaaaa….iss taraf gaya hai vo..tumhari bahan ko jabardasti lekar

Munish—main aa raha hu bahan…tum chinta mat karo….aaj iss haiwan ko main jivit nahi rahne dunga….

Munish gusse me aag babula ho kar uss dev putra ke anusar batayi disha ki oor tezi se badh gaya.

Vahi dharti par anand ke dwara sari sachchayi jaan kar megha ke dil me dard ab aur bhi gahra ho chuka tha… rah rah kar uske hriday me ek tees si uth rahi thi.

Khatra aur chitra iss baat ko lekar pareshan the ki akhir shree ki body gayi kaha….lakh sochne ke pashchat bhi unhe kuch bhi samajh nahi aa raha tha.

Shree ke sath ye durghatna hone se kuch samay pahle……..
User avatar
shubhs
Novice User
Posts: 1541
Joined: Fri Feb 19, 2016 12:53 am

Re: चमत्कारी

Post by shubhs »

बहुत बढ़िया
सबका साथ सबका विकास।
हिंदी हमारी राष्ट्रभाषा है, और इसका सम्मान हमारा कर्तव्य है।

Return to “Hindi ( हिन्दी )”