raani ki mummy- "tumare papa ke bad ghar ko sambhalna tha tumhe sambhalna tha, jis se samay hi nahi mila, par ab tum vaha ho to us ped ki puja karna, tumhare papa ki aatma ko shanti milengi"
rani- "kar dungi puja par muze aapke shadi ki kahani batani hongi"
raani ki mummy- "raat me bata dungi, Avi ke sath puja karna, aur sham hone se pahale aa jana"
rani- "jaldi aa jaungi"
aur rani ne call cut kiya,
aur khush hote huye mere gale lag gayi,
Avi- "to..!"
rani- "yaha mummy papa ki shadi huyi thi aur hame puja karni hai"
Avi- "yaha aane se faiyada ho gaya"
rani- "ye ped tumne select kiya tha, love you"
Avi- "chalo jaldi puja karte hai, barish hone ke chance hai"
aur rani khush ho gayi ye sunkar ki ye ped uske mummy papa ka hai,
rani ki khushi ka kohi thikana nahi tha,
rani aur main ne us ped ke pass ki jagah saf ki aur vaha puja ki,
panditjj ko jab ye bat pata chali to unko is me BHAGVAN ki leela dikhai di,
rani to bahot khush thi,
ab to ham puja karne ke bad isi ped ke niche baith kar bate karne lage,
rani muze apni mummy papa ke bareme batane lagi,
dono me kitna pyar tha ye batane lagi,
Avi- "rani, aaj ek kaam achha hua"
rani- "isliye accident hua hoga taki ham yaha aa jaye"
Avi- "wo sab to thik hai par ab hame chalna chahiye"
rani- "kuchh der rukhte hai na"
Avi- "pagali, ham to yaha raat bar ruk jaye par upar dekho lagta ha tufaan aane vala hai"
rani- "abhi to achha lag raha tha aur ab barish bhi shuru ho gayi"
ham bat kar rahe the ki barish bhi shuru ho gayi,
ham bhagte huye mandir ki taraf jane lage,
tabhi mera pair fisal gaya,
aur main ek ped se ja takraya,
muze aisa feel hua ki ped ke under se aawaz aayi ho,
"beta chot to nahi lagi "
main vahi statue ban gaya,
rani- "Avi chot to nahi lagi"?
rani ne muze hilakar hosh me laya,
rani- "Avi kya hua chalo jaldi varna bhig jayenge"
Avi- "haa"
aur ham mandir ki taraf bhagne lage,
par ek bar main ne us ped ki taraf palat kar dekha,
mere under se aawaz aa rahi thi ki ek bar us ped ke pass chala jau,
par main palat kar mandir me chala gaya,
hamare mandir me aane tak barish tufaan me badal gayi,
lighting aur barish ke sath hawaye, achanak sab kuch badal gaya,
rani- "ye kya ho gaya"?
Avi- "ye barish ko bhi abhi aana tha, aur ye to tufaan me badal gaya"
rani- "ab to lagta hai sham tak hame yahi rukna hoga"
vaha ke log bhi bate kar rahe the ki aaj barish jyada hongi,
jinke pass car the wo vaha se jane lage,
hamne kuchh der vahi rukne ka faisla kiya,
mandir me achhi jagah thi jaha ham is barish ka maza lete huye bate kar rahe the,
kafi achha samay bit raha tha,
achha din sabit ho raha tha ki is barish ne khel kharab kar diya,
2 gante barish chali tab jake barish kuchh kam huyi,
bariah kam hote hi jo car pahale vaha se ja chuki thi wo vapas aa rahe the,
ye sab vapas kyu aa rahe the?
main ne puchha to pata chala ki ham jis raste se aaye the us raste pe barish ke vajahse ek ped car ke upar gir gaya jis se rasta band ho gaya,
ye sunke ham sochne lage ki ab ham kaise jayenge,
tabhi jo car vapas aayi thi wo dausre raste ki taraf jane lagi,
Avi- "ye rasta kis taraf jata hai"?
aadmi- "ye kacha rasta hai jo dam se hota hua shahar3 me jata hai"
Avi- "kya ye rasta safe hai"?
aadmi- "safe to hai par dam ke officer ne permission di tabhi dam paar karke dusari taraf ja sakte hai kyu ki jo bridge hai uski height bahot kam hai"
Avi- "car to ja rahi hai"
aadmi- "shayad dam officer ko pata cala honga ki ye rasta band ho gaya hai is liye wo rasta open kiya honga"
rani- "Avi ham kya kare"?
Avi- "sochne do"
aadmi- "ye barish rukengi aisa muze nahi lagta, aur sham bhi hone vali hai to meri maniye aap is raste se shahar3 jaiye kyu ki yaha rukne me aapko problem hongi aur raasta kab khulenga pata nahi"
Avu- "is raste se shahar3 kitni dur hai"
aadmi- "25 km"
Ahi- "us se to hame 75 km ka chakker lag jayenga"
rani- "yaha rukne se achha hai ham chalte hai kyu ki barish rukengi nahi abhi kam huyi hai tab tak highway par pahoch jayenge"
Avi- "muze bhi lagta hai ki hame chalna chahiye abhi 4 baj rahe hai der ho gayi to andhera aur barish dimag kharab kar dega"
rani ke haa karte hi hamne dusare raste jane ka fiasla kiya,
ham shahar3 jane vale the,
jis taraf jane ko chachi ne manaa kiya tha,
shahar3 me gaya ye bat chachi ko pata chali to bhukamp aa jayenga,
ye ho kya raha tha?
pahale accident ke vajahse laga ki muze shahar3 nahi jana chahiye,
aur ab to BHAGVAN khud muze shahar3 bhejna chahata hai,
meri kismat muze shahar3 le jana chahati ho to,
shayad BHAGVAN ka aashirvad lekar shahar3 jau aisa meri kismat me hoga,
rani thi meri sath,
rani ke haa karte ham shahar3 ki taraf nikal gaye,
baki car sath hone se dar kam lag raha tha,
aur rani sath hone se main jald se jald highway touch karna chahata tha,
ham ne dam cross kar liya,
dam achha tha, rukne ka dil kar raha tha par abhi ruk nahi sakte the,
vaha ke kuchh photo nikaal kar ham shahar3 ki taraf jane lage,
us shahar3 ki taraf jisne mere maa papa ko muzse chhin liya tha,