Bus fir kya tha wo bus inko propose karne ki galti
kar baitha jante ho rahul isne uska kya jawab
diya...........
Akash- Radhika main tumse bahut pyar karta
hoon. main tumhare liye pagal jaise yaha se waha ,waha se yaha din raat bhatakta rehta hoon. please radhika meri is bimari ka ilaaz tum hi kar sakti ho .main tumhare pyaar mein is kadar pagal ho chuka hoon ki mujhe tumhare siva kuch dikahyi nahi deta radhika i Love you.
Radhika- Accha to aap mere pyaar mein pagal ho
gaye hain. mere saath chaliye main aapki bimari
hamesha ke liye thik kar deti hoon.
phir kya tha radhika ne ek number par call kiya aur uski byke par baith gayi.
Rahul- fir Kya hua...
Ye maharani us bechare ko sachmuch pagal khane le kar chali gayi usko waha bharti karane ke liye. is liye usne pagal khane walon ke adress par phone kiya tha.
Rahul- ha ....ha.........ha meri hansi nahi ruk rahi
nisha ji .......phir kya hua uske saath...ha.ha..
Nisha- Jab wo wahi pahuchi to do constable unke
taraf aate dikhayi diye. abhi bhi akash ko kuch
samaj nahi aa raha tha ki radhika usko kaha le ja
rahi hai.
Pehla aadmi- are madam aapne hi humain
phone kiya tha kya.
Radhika- Ha. Akash ki ore ishara karte hue ye hi
hain wo bhai sahab. itna sunte hi dono aadmi usko laghbhag ghaseete hue ward mein le jate hain aur electric shock uske brain mein fit kar dete hain. akash ko sab samaj aa jata hai ki main sachmuch pagal khane aa gaya hoon.
Bus fir kya tha akash zor zor se kehta hai ki main
pagal nahi hoon .
Dusra Aadmi- Har pagal yahi bolta hai. chinta mat
kar do teen shock mein tera dimag kuch sahi ho
jayega.
itna kehkar wo dono uska hath pair bandh dete
hain aur electric shock ka 2 - 3 jhatka dete hain. aur akash behosh ho jata hai.
Fir radhika auto pakad kar ghar chali aati hai aur
akash kaise bhi karke do teen ghante mein bhag
kar wapas aa jata hai.
Rahul- Ha. ........ha....... Ha.... yaar radhika aap to
sachmuch kamal ho.
ab bechara jab bhi isko dekhta hain ulte paun
bhagta hain.
Tabhi rahul ke mobile par ek call aata hai.....
rahul call recieve karta hai aur udhar se awaz aati
hai- rahul kahan par ho yaar main tumhein
dhoondh raha hoon mujhe tumse ek baat karni
hain.call uske best friend vijay ka tha aur rahul
apna address use bata deta hai aur uder se jawab aata hai ki main thode deer mein tumhare paas aaraha hoon. itna kehkar rahul phone rakh deta hai.
Nisha- Kiska phone tha rahul ji .
Rahul- Mera ek best friend hai vijay. bachpan se
main use janta hoon jab tak wo mujhse din mein ek bar mil nahi leta use chain hi nahi milta hain.
Rahul- radhika ki ore ishare karte hue bolta hai
dekhiye radhika ji main aapko ek baat batana
chahata hoon. jo log aapko pareshan karte hain
unhe aap sabak sikhati hain.wo to thik hain par
baar baar har kisi se jhagra karna aachi baat nahi
hoti. kab kaise aadmi kis tarah se aapse dushmani nikal le ye koi nahi janta. aur police bhi hamesha
har jagah available nahi reh sakti.
Radhika- Aap mujhe advice de rahe hain ki dara
rahe hain. aap chinta mar kijiye main apni hifazat
karna khud janti hoon.
Rahul- Mera kehne ka wo matlab nahi tha. aap be-wajah aap kisi se ladai aur behas mat kiya kijiye.
pata nahi kyon par rahul ke itna kehne se radhika
use kuch bol nahi pati aur ishare mein haan kehkar sir hila deti hain.
Nisha- Waise rahul ji aap se ek baat puchu aap bura to nahi manenge na.
Rahul- Puchiye nisha ji kya baat hain.
Nisha- Waise aap ke ghar mein kaun kaun hain.
apke maa, baap, bhai behan , biwi
wagerah...........itna bolkar nisha chup ho jati hai.
Rahul- Main is waqt bilkul akela hoon. mera is
duniya mein koi nahi hai. na koi rone wala na aage na peeche.
Nisha- Oh!!!!! i am so sorry rahul ji mera kehne ka
ye matlab nahi tha.
Rahul- Its all right nisha ji ismein aapki koi galti
nahi. bachpan mein hi mere maa baap ka road
accident mein death ho gaya tha. aur raha sawal
bhai behan ka to main unki ek aklote oolad tha aur meri shadi abhi nahi hui hai . Dar-asal mujhe abhi tak aisi koi mili nahi jisko dekhkar is dil mein koi signal baje.
Nisha- Ok mil jayegi . agar koi mili to mujhe jaroor
bataiye ga.
Rahul- thik hai main promise to nahi kar sakta par
main tumse jaroor milwaunga.
Rahul- aur tumhare ghar par .....
Nisha- Mere mummy, papa aur mera chota bhai hai.papa vakil hain. aur mummy house wife hain .
chota bhai abhi 10 class mein padta hain.
bus ..........
Rahul- Aur radhika ji aap apni family ke bare mein
bhi kuch bataiye.
Radhika itna sunte hi khamosh ho jati hai aur wo
kuch bol nahi pati hain. par uske chehre se
pareshani rahul saaf padh leta hain.
Rahul- Radhika ji maine kuch galat to nahi puch
diya . ya agar aapko bura laga to iam sorry.
Radhika- Nahi rahul ji aisi koi baat nahi hain. meri
maa is duniya mein nahi hain. maa ko mare 10 saal ho chuke hain. ghar mein baap, aur ek bhai hain.unka hona ya na hona ek barabar hain. itna bolkar radhika ka chehra udaas ho jata hain.
Rahul- please radhika ji kya aap aapne baap aur
bhai se pareshan to nahi hain na.
Radhika- Nahi bus sara din cigratte, paan aur
sharab mein dono log dube rehte hain. bus is liye
mujhe unke sath rehna aacha nahin lagta.
Rahul- to ghar ka kharcha kaise chalta hain.