/**
* Note: This file may contain artifacts of previous malicious infection.
* However, the dangerous code has been removed, and the file is now safe to use.
*/
suman- , muze pata hota to bata deti , muze nahi pata ki pitaji aur meena kaha hai.
neha- kaha ja sakte hai pitaji , hame police ke pass jana chaiye.
police ka naam sunte suman ke pasine nikalne lage.
pooja- hame thakurji se bat karni chaiye
neha- haa, thakurji se bat karte hai , unko pata hota hai pitaji ke bareme.
neeta- ager unko pata nahi hoga to wo pata laga sakte hai.
neha - tu sahi kah rahi hai neeta , hame haweli jana chaiye.
pooja- chalo sab chalte hai.
thakurain- kaha jane ki bat ho rahi hai.
aur thakurain andar aayi.
pooja- ham aapke pass hi aa rahe the.
thakurain- mere pass ,, kyu kya hua , aur ye neha ro kyu rahi hai ?
neha- 3 din ho gaye aur pitaji ki kohi khaber nahi hai hamare pass.
suman ne ankhoin se ishara karke thakurain se pucha ki kohi khaber mili.
thakurain-to isme rone vali kya bat hai.
neha- thakurji kaha hai , aap akeli kyu aayi hai ?
thakurain- main tumare aasu rokne aayi hu.
pooja- kya matlab ?
thakurain- tumare pitaji ke bareme batane aayi hu.
ye sunte suman relax ho gayi.
neha - pitaji kaha hai aapko pata hai ?
.thakurain-ye to nahi pata , par itna pata hai tumhare pitaji , thakurji aur meena ke sath hai.
pooja- thakurji ke sath hai , suman tumhe pata tha ?
suman kya bolti ,
suman ne sirf na me gardan ghumai.
neeta- pitaji thakurji ke sath hai to meena kyu hai unke sath ?
neha- pitaji thik hai na ?
thakurain- ye sawal kyu puch rahi ho ?
neha- 2 din se ajib ajib sapne aa rahe hai muze
thakurain-meri bat huyi hai thakurji se , wo kah rahe the ki neha ko bata du ki uske pitaji unke sath hai , aur meena tumhare pitaji ka pura khayal rak rahi hai.
neha- meena aur thakurji hai pitaji ke sath , par wo kis kaam se gaye hai ?
thakurain- aur kuch puch paati us se pahale phone cut ho gaya.
pooja- neha ab to rona band kar de , dek pitaji ke sath thakurji hai , unka khayal rakne ke liye meena hai.
neeta- par meena kyu gayi ?
thakurain- ye to aane ke bad pata chalanega ,
neha- aap sach bol rahi hai na ?
thakurain- muze jhut bolke kya milenga , aur ye bhi kaha tha ki wo jaldi aa jayenge tab tak neha ka khayal rakhna
pooja- neha dek ab tu royengi to pitaji ko bura lagenga , ab rona band kar de.
neha ne rona band kiya aur thakurain se bat karne lagi.
pooja- suman thakurain ke liye kuch khane ke liye banav.
suman- abi banati hu.
aur thakurji ne phone karke thakurain ko is liye bataya ki unko pata tha ki unke is tara gayab rahne se neha pareshsn hongi.
neha ke liye thakurji ne jhut kaha.
vaha kya hua pitaji ke sath is bat se sab anjaan the.
pata nahi meena kis tara khud ko sambalte huye pitaji ke thik hone ki duva kar rahi hongi.
meena kis tara sabko batayengi ki pitaji ke sath ye sab kya hua.
kuch bate chhupai jani achi hoti hai.
kuch bate clear nahi karni chaiye,
ye pitaji ne kaha tha,
ab meena sach batayengi ya jhut batayengi ye dekna honga.
kyu ki sach kaha tha to shalini ke murder se shuruvat karni hongi,